WELCOME
YASARIM EL
FAZAL ORSACHCHAI
DAILY GOD WORD
1 YUHANNA 1;3 jo kuchh ham ne dekhá aur suná hai, tumheṉ bhí us kí ḳhabar dete haiṉ, táki tum bhí hamáre sharík ho: aur hámárí shirákat Báp ke sáth,
DAILY GOD VERSE
PAS IMAN SUNNE SE PAIDA HUTA HAI
AUR SUNNA MASIH KE KALAAM SE
ROMION 10;17
Romíoṉ 6;14
Is liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.
Mahabbat is meṉ nahíṉ, ki ham ne Ḳhudá se mahabbat kí, balki is meṉ hai, ki us ne ham se mahabbat kí, aur hamáre gunáhoṉ ke kaffáre ke liye apne Beṭe ko bhejá.
13 Pas Ḳhudá, jo ummed ká chashma hai, tumheṉ ímán rakhne ke báʻis sárí khushí aur itmínán se maʻmúr kare, táki Rúhuʼl Quds kí qudrat se tumhárí ummed ziyáda hotí jáe.
6 Yisúʻ ne us se kahá, ki Ráh, aur Haqq, aur Zindagí maiṉ húṉ; koí mere wasíle ke bagair Báp ke pás nahíṉ átá.
kyúṉki wuh kahtá hai, ki Maiṉ ne qubúlíyat ke waqt terí sun lí, Aur naját ke din terí madad kí: dekho, ab qubúlíyat ká waqt hai; dekho, yih naját ká din hai:
ʻIBRÁ NÍOṈ 7
1Aur yih Malik i Sidq Shálem ká bádsháh, Ḳhudá Taʻálá ká káhin, hameshá káhin rahtá hai: jab Ibráhím bádsháhoṉ ko qatl karke wápas átá thá, to isí ne us ká istiqbál kiyá, aur us ke liye barakat cháhí; 2isí ko Ibráhím ne sab chízoṉ kí dahyakí dí; yih awwal to apne nám ke maʻní ke muwáfiq Rástbází ká Bádsháh hai; aur phir Shálem, yaʻní Sulh, ká bádsháh: 3yih bebáp, bemáṉ, benasabnáma hai, na us kí ʻumr ká shurúʻ, na zindagí ká áḳhir, balki Ḳhudá ke Beṭe ke mushábih ṭhahrá.
9 Darwáza maiṉ húṉ: agar koí mujh se dáḳhil ho, to naját páegá, aur andar báhar áyá jáyá karegá, aur chárá páegá. 10Chor nahíṉ átá, magar churáne aur már ḍálne aur halák karne ko. Maiṉ is liye áyá ki wuh zindagí páeṉ, aur kasrat se páeṉ.
Yúhanná kí Injíl 10;9
Isí wáste wuh mírás ímán se miltí hai, táki fazl ke taur par ho,
Ifisíoṉ 4;4 Ek hí badan hai, aur ek hí Rúh; chunáṉchi tumheṉ jo buláe gaye the, apne buláe jáne se ummed bhí ek hí hai; 5ek hí Ḳhudáwand hai, ek hí ímán, ek hí baptisma; 6aur sab ká Ḳhudá aur Báp ek hí hai, jo sab ke úpar, aur sab ke darmiyán, aur sab ke andar haí. 7Aur ham meṉ se har ek par Masíh kí baḳhshish ke andáze ke muwáfiq fazl húá hai.
Romíoṉ 6;10 Kyúṉki Masíh jo múá, gunáh ke iʻtibár se ek bár múá: magar ab jo jitá hai, Ḳhudá ke iʻtibár se jítá hai. 11Isí tarah tum bhí apne áp ko gunáh ke iʻtibár se murda, magar Ḳhudá ke iʻtibár se Masíh Yisúʻ meṉ zinda samjho.