top of page
Writer's pictureYasarim El

Romíoṉ 4;16 Isí wáste wuh mírás ímán se miltí hai, táki fazl ke taur par ho,

Updated: Mar 27, 2022

MASIH YESU MEIN MERE AZIZ BHAI BEHAN,JITNE BHI MERE SATH BLOG KE WAISLE SE, MERE SATH JODEIN HAIN.KHUDAWAND #YESU MEIN APKI SALAMTI HO, YESU KE FAZAL SE ES WAQT JAB BHI QALAAM MEIN SE RUH KI TARKI KE LIYE NAYI BAAT ZAHIR HUTI HAI ,OSKO MAIN KHUD KE LIYE OR APNE AZIZ BHAI BEHNO, KE LIYE LIKH LETA HUN, KYU KI YAHI HUMARA KAM HAI,MASIH YESU KE JINDA OR PAAK LAHO KI KURBANI SE, JO HUMEIN HASIL HAI, KYU KE AZADI KE LIYE, MASIH NE HUMEIN AZAD KIA, TO JO AZAD KE WARIS HEIN,WUHI AZADI KI BAAT KRTEIN HEIN.OR JO KOI UNKI BAAT SUNTA OR USPAR IMAAN LATA HAI, WUHI MASIH YESU KE NAAM MEIN OR YESU MEIN AZAD HUTA HAI, JAISE KE HUM KHUDAWAND YESU KE FAZAL OR HUMARE KHADIM OR MUQADAS KHUDA PARAST KI DUAO OR HUM PAR KI MEHNAT SADKA HUMNE JO MASIH YESU MEIN AZADI PAYI, SAB JO ES WAQT BLOG PAD RAHEIN HEIN, UNKO TAKEED KRTA HUN, JO AAJ KA MERA VISHA HAI JISPAR MEIN KHUDA KE FAZAL HI SE LIKH PA RHA HUN, IMAN KE MUAFIQ APKI ZINDGIYO MEIN KHUDAWAND KA QLAAM,MASIH YESU MEIN JAD PAKAD KAR PHAL KA BAYIS BANE,

TO HUM KHUDAWAND KE JINDA QALAAM MEIN CHALTE HEIN, KI MASIH YESU JO HUMARE LIYE EK NAMUNA CHOD KE GAYE HEIN, JO KI EK TARAH KI HAQEEQI TAMSIL HAI JO UNHO NE IMAAN KI ANKHO KO KHULNE KE LIYE KAISE JISM KE MANID HUMARE BEECH KAAM KIYE JO EK TARAH SE HUMARE VASTE TAMSIL HAI, AAJ KE DIN MAUJODA ZINDGIYO MEIN KAISE PURI HUTI HAI,

LÚQÁ KÍ INJÍL 1;27 aur us kuṉwárí ká nám Maryam thá. 28Aur firishte ne us ke pás andar áke kahá; Salám tujh ko, jis par fazl húá hai! Ḳhudáwand tere sáth hai. 30 kyúṉki Ḳhudá kí taraf se tujh par fazl húá hai; 31aur dekh, tú hámila hogí aur beṭá janegí; us ká nám Yisúʻ rakhná.
35Aur firishte ne jawáb meṉ us se kahá, ki Rúhuʼl Quds tujh par názil hogá, aur Ḳhudá Taʻálá kí qudrat tujh par sáya ḍálegí, aur is sabab se wuh pákíza jo paidá honewálá hai Ḳhudá ká Beṭá kahláegá.

OR MAIN YE KALAAM PAD KAR MASIH YESU MEIN ES BAAT PAR IMAN LAAYA, KE JITNE BHI MASIH YESU MEIN AAJ KE DIN,YESU KE FAZAL SE RUH OR SUCHAI KE SATH MASIH YESU MEIN HAIN WUH SAB KUNWARI MARIYAM KI HI MANID HAIN, JINPAR AAJ KE DIN KHUDAWAND KI TARAF SE FAZAL HUA ES BAAT KA PAKA SABOOT HAI KE KHUDAWAND UNKE SATH HAI,

Romíoṉ 6;14 kyúṉki tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.
Yúhanná kí Injíl 1;16Kyúṉki us kí maʻmúrí meṉ se ham sab ne páyá, yaʻní fazl par fazl. 17Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí; magar fazl aur sachcháí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi.

OR JITNE BHI KHUDAWAND YESU MEIN KHUDAWAND KE JINDA PAAK KALAAM KO SUNKAR MASIH YESU PAR IMAN LAYE OR JINE RUH OR SUCHAI KA PAAK RUH HASIL HAI,WUH ES BAAT PAR BHI IMAN LAYEIN OR ESMEIN BANE RAHEIN KI WUH BHI KUNWARI MARIYAM KI MANIND HAIN, KUNWARI MARIYAM KI TARAH TABI UNPAR BHI KHUDA KA RUHUL-QUDUS NAZIL HAI,OR ES BAAT SE BILKOL BHI ANJAAN NA RHEIN KI KHUDA KI QUDRAT KA SAYA UNPAR HAI WUH BHI KHUDA KI QUDRAT KE SAYE KE NICHE HEIN, KYU KI KUNWARI MARIYAM BHI SALAAM SUNKAR APNE IMAN KI MUWFIQ KHUDA KE FARISTE KI BATO UPER IMAN LAYI, JIS TARAH KHUDA KA PAK KLAM SUNKAR HUM MASIH YESU MEIN IMAAN LAYE,KYU KI KUNWARI MARIYAM NE KHA

Lúqá kí Injíl 1;38 Dekh, maiṉ Ḳhudáwand kí bandí húṉ; mere liye tere qaul ke muwáfiq ho.
DEKHE JO BEGAIR KISI SHAQ KE KHUDAWAND KE KALAM KE UPPER IMAN LATE HEIN WUH KUNWARI MARIYAM KI MANIND,MASIH YESU UNSE PAIDA HUTE HAI,MASIH YESU JANI KHUDAWAND KA JINDA KALAAM WUHI KALAAM JO
YUHANA KI INJIL 1.1 IBTIDA MEIN QALAAM THA,
Romíoṉ 4;16 Isí wáste wuh mírás ímán se miltí hai, táki fazl ke taur par ho, aur wuh waʻda kull nasl ke liye qáim rahe;

OR JAB HUM KHUDA KE PAAK KALAM PAR IMAN LATEIN HEIN, TO HUM USKI MIRAS KO JANAM DETE HEIN, JO FAZAL KE TAUR PAR HUM PAR HUTI HAI

ESI LIYE TO KHUDAWAND KE PAAK KALAAM MEIN LIKHA HAI,

Zabúr 127;3 Dekho, aulád ḲHUDÁWAND kí taraf se mírás hai;Aur peṭ ká phal usí kí taraf se ajr hai.

OR HUMNE KALAM MEIN DEKHA,KUNWARI MARIYAM KE UPER KHUDAWAND KI TARAF SE AULAD KA FAZAL HASIL HUA,JO KHUDAWAND KI TARAF SE MIRAS THI, AUR USKE PET KA PHAL KHUDA KI TARAF SE MARIYAM KE IMAN KE MUAFIQ,USKE LIYE AJR TEHRA WUHI KHUDAWAND KA JINDA PAAK KALAAM JISE, KUNWARI MARIYAM KI MANID HUM BHI JAB AAJ KE DIN JINDA KALAM PAR YANI MASIH YESU PAR IMAN LATEIN HAIN TO KHUDAWAND KE FARZAND HUNE KA HAQ HASIL KARTEIN HEIN YANI KHUDAWAND YESU KE FAZAL SE KHUDAWAND KE RUH SE HUM BHI PHAL PATE HEIN,PAAK KALAAM MEIN LIKHA HAI KI PAAK RUH KA PHAL HAI

Galatíoṉ 5; 22 Magar Rúh ká phal mahabbat, ḳhushí, itmínán, tahammul, mihrbá-ní, nekí, ímándárí, 23hilm, parhezgárí hai

OR KHUDAWAND YESU MEIN BHI YAHI PHAL THEY

AISE HI AAJ KE DIN JAB HUM KHUDAWAND KE PAAK QALAM PAR IMAN LAKAR KHUDAWAND YESU KE NAAM ,MEIN KHUDAWAND KE PAAK RUH KO HASIL KARTEIN HAIN YANI WUH DOSRA MADAD GAR TO HUM RUH KA PHAL HASIL KARTEIN HEIN


Yúhanná kí Injíl 1;16 Kyúṉki us kí maʻmúrí meṉ se ham sab ne páyá,yaʻní fazl par fazl. 17 Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí; magar fazl aur sachcháí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi.

AUR KHUDAWAND KE KALAM MEIN SE ESI HAQEQI TAMSIL KO AGE DEKHTEIN PADTEIN HEIN,

Lúqá kí Injíl 1;39 Un hí dinoṉ Maryam uṭhí, aur jaldí se paháṛí mulk meṉ Yahúdáh ke ek shahr ko gayí, 40 aur Zakaryáh ke ghar meṉ dáḳhil hokar Ilíshibaʻ ko salám kiyá. 41 Aur joṉhíṉ Ilíshibaʻ ne Maryam ká salám suná, to aisá húá ki bachcha us ke peṭ meṉ uchhal paṛá, aur Ilíshibaʻ Rúhuʼl Quds se bhar gayí, 42 aur baland áwáz se pukárke bolí, ki Tú ʻauratoṉ meṉ mubárak, aur tere peṭ ká phal mubárak hai;
ESI TARAH HUM BHI JAB KHUDAWAND KE JINDA QALAM SE MAASIH YESU KE FAZAL SE HAMLA HUYE HUTEIN HEIN,TO JAB HUM SAB BHI YESU NAAM MEIN BADAN KE WASILE IK SATH IKATHA HUTEIN HEIN TO RUHUL QUDUS SE BHAR JATEIN,
IFISÍOṈ 3;16 tum us kí Rúh se apni bátiní insáníyat meṉ bahut hí zoráwar ho jáo; aur ímán ke wasíle se Masíh tumháre diloṉ meṉ sukúnat kare; táki tum mahabbat meṉ jaṛ pakaṛke, aur bunyád qáim karke, sab muqaddasoṉ samet baḳhúbí maʻlúm kar sako, ki us kí chauṛáí, aur lambáí, aur úṉcháí, aur gahráí kitní hai, aur Masíh ki us mahabbat ko ján sako, jo jánne se báhar hai, táki tum Ḳhudá kí sárí maʻmúrí tak maʻmúr ho jáo.





28 views0 comments

Comments


bottom of page