top of page
Writer's pictureYasarim El

BIBLE SAYS MONEY

YAʻQÚB 5;1

Ai daulatmando, zará suno to; tum apní musíbatoṉ par jo ánewálí haiṉ roo aur wáwailá karo. 2Tumhárá mál bigaṛ gayá, aur tumhárí poshákoṉ ko kíṛá khá gayá. 3Tumháre sone cháṉdí ko zang lag gayá; aur, wuh zang tum par gawáhí degá, aur ág kí tarah; tumhárá gosht kháegá. Tum ne aḳhír zamáne meṉ ḳhazána jamaʻ kiyá hai. 4Dekho, jin mazdúroṉ ne tumháre khet káṭe, un kí wuh mazdúrí jo tum ne dagá karke rakh chhoṛí, chillátí hai, aur fasl káṭne-wáloṉ kí faryád Rabbuʼl afwáj ke kánoṉ tak pahuṉch gayí hai. 5Tum ne zamín par ʻaish o ʻishrat kí, aur maze uṛáe; tum ne apne diloṉ ko zabh ke din moṭá táza kiyá. 6Tum ne rástbáz shaḳhs ko qusúrwár ṭhahráyá aur qatl kiyá; wuh tumhárá muqábala nahíṉ kartá.

I Patras 5;1 Tum meṉ jo buzurg haiṉ, maiṉ un kí tarah buzurg, aur Masíh ke dukhoṉ ká gawáh, aur záhir honewále jalál meṉ sharík bhí hokar, un ko yih nasíhat kartá húṉ, 2ki Ḳhudá ke us galle kí gallabání karo jo tum meṉ hai; láchárí se nigahbání na karo, balki Ḳhudá kí marzí ke muwáfiq ḳhushí se; aur nájáiz nafaʻ ke liye nahíṉ, balki dilí shauq se; 3aur jo log tumháre supurd haiṉ, un par hukúmat na jatáo, balki galle ke liye namúna bano;


Matí kí Injíl 13;22 Aur jo jháṛiyoṉ meṉ boyá gayá, yih wuh hai, jo kalám ko suntá hai, aur dunyá kí fikr, aur daulat ká fareb us kalám ko dabá detá hai, aur wuh bephal rah játá hai.


Lúqá kí Injíl 16;13 Koí naukar do málikoṉ kí ḳhidmat nahíṉ kar saktá: kyúṉki yá to ek se ʻadáwat rakkhegá, aur dúsre se mahabbat; yá ek se milá rahegá, aur dúsre ko náchíz jánegá. Tum Ḳhudá aur daulat donoṉ kí ḳhidmat nahíṉ kar sakte.


Mukáshafa 3;17 Aur chúṉki tú kahtá hai, ki Maiṉ daulatmand húṉ, aur máldár ban gayá húṉ, aur kisí chíz ká muhtáj nahíṉ; aur yih nahíṉ jántá, ki tú kambaḳht aur ḳhwár aur garíb aur andhá aur naṉgá hai; 18is liye maiṉ tujhe saláh detá húṉ, ki mujh se ág meṉ tapáyá húá soná ḳharíd le, táki daulatmand ho jáe; aur safed poshák le, táki tú use pahinkar naṉgápan ke záhir hone kí sharmindagí na uṭháe; aur áṉkhoṉ meṉ lagáne ke liye surma le, táki tú bíná ho jáe. 17Aur chúṉki tú kahtá hai, ki Maiṉ daulatmand húṉ, aur máldár ban gayá húṉ, aur kisí chíz ká muhtáj nahíṉ; aur yih nahíṉ jántá, ki tú kambaḳht aur ḳhwár aur garíb aur andhá aur naṉgá hai; 18is liye maiṉ tujhe saláh detá húṉ, ki mujh se ág meṉ tapáyá húá soná ḳharíd le, táki daulatmand ho jáe; aur safed poshák le, táki tú use pahinkar naṉgápan ke záhir hone kí sharmindagí na uṭháe; aur áṉkhoṉ meṉ lagáne ke liye surma le, táki tú bíná ho jáe.

Marqus kí Injíl 12;42 Itne meṉ ek kaṉgál bewa ne ákar do damṛiyáṉ, yaʻní ek dhelá, ḍálá. 43Us ne apne shágirdoṉ ko pás bulákar un se kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki jo haikal ke ḳhazáne meṉ ḍál rahe haiṉ is kaṉgál bewa ne un sab se ziyáda ḍálá; 44kyúṉki sabhoṉ ne apne mál kí bahutát se ḍálá; magar is ne apní nádárí kí hálat meṉ jo kuchh us ká thá, yaʻní apní sárí rozí, ḍál dí.

Aʻmál 8;18 Jab Shamaʻún ne dekhá, ki rasúloṉ ke háth rakhne se Rúhuʼl Quds diyá játá hai, to un ke pás rupaye lákar 19kahá, ki Mujhe bhí yih iḳhtiyár do, ki jis par maiṉ háth rakkhúṉ, wuh Rúhuʼl Quds páe. 20Patras ne us se kaha; Tere rupaye tere sáth gárat hoṉ, is liye ki tú ne Ḳhudá kí baḳhshish ko rupayoṉ se hásil karne ká ḳhayál kiyá.


Lúqá kí Injíl 12;33 Apná mál asbáb bechkar ḳhairát kar do; aur apne liye aise baṭúe banáo, jo puráne nahíṉ hote, yaʻní ásmán par aisá ḳhazána jo ḳhálí nahíṉ hotá, jaháṉ chor nazdík nahíṉ játá, aur kíṛá ḳharáb nahíṉ kartá. 34Kyúṉki jaháṉ tumhárá ḳhazána hai, wahíṉ tumhárá dil bhí lagá rahegá.

I Tímuthiyus 6;17 Is maujúda jahán ke daulatmandoṉ ko hukm de, ki magrúr na hoṉ, aur nápáedár daulat par nahíṉ, balki Ḳhudá par ummed rakkheṉ, jo hameṉ lutf uṭháne ke liye sab chízeṉ ífrát se detá hai; 18 aur nekí kareṉ, aur achchhe kámoṉ meṉ daulatmand baneṉ, aur saḳháwat par taiyár, aur imdád par mustaʻidd hoṉ;

I Tímuthiyus 6;10 kyúṉki rupaye ki mahabbat har qism kí buráí kí ek jaṛ hai; jis kí árzú meṉ baʻz ne ímán se gumráh hokar apne diloṉ ko tarah tarah ke gamoṉ se chhalní kar liyá.

Wá‘iz 5;10 Zardost rupaye se ásúda na hogá; aur daulat ká cháhnewálá us ke baṛhne se ser na hogá. Yih bhí butlán hai.

Matí kí Injíl 6;21 kyúṉki jaháṉ terá mál hai, wahíṉ terá dil bhí lagá rahegá.

Zabúr 37;16 Sádiq ká thoṛá sá mál Bahut se sharíroṉ kí daulat se bihtar hai.

Amsál 13;11 Jo daulat batálat se hásil kí jáe kam ho jáegí: Lekin mihnat se jama‘ karnewále kí daulat baṛhtí rahegí.


ʻIbrá Níoṉ 13;5 Rupaye kí mahabbat se ḳhálí raho; aur jo tumháre pás hai, usí par qanáʻat karo; kyúṉki us ne ḳhud kahá hai, ki Maiṉ tujh se hargiz dastbardár na húṉgá, aur kabhí tujhe na chhoṛúṉgá.

Amsál 17;16 Hikmat ḳharídne ko ahmaq ke háth meṉ qímat se kyá fáida hai,
Háláṉki us ká dil us kí taraf nahíṉ?

Lúqá kí Injíl 3;4 Aur sipáhíoṉ ne bhí us se yih púchhá, ki Ham log kyá kareṉ? Us ne un se kahá; Na kisí par zulm karo, aur na kisí se náhaqq kuchh lo, aur apní tanḳhwáh par kifáyat karo.


Ḳhurúj 22;26 Agar tú mere logoṉ meṉ se kisí muhtáj ko, jo tere pás rahtá ho, kuchh qarz de, to us se qarzḳhwáh kí tarah sulúk na karná, aur na us se súd lená.

Istisná 23;19 Tum apne bháí ko súd par qarz na dená, ḳhwáh wuh rupaye ká súd ho, yá anáj ká súd, yá kisí aisí chíz ká súd ho jo biyáj par dí jáyá kartí hai.


Matí kí Injíl 21;12 Aur Yisúʻ ne Ḳhudá kí haikal meṉ dáḳhil hokar, un sab ko nikál diyá, jo haikal meṉ ḳharíd o faroḳht kar rahe the, aur sarráfoṉ ke taḳhte aur kabútarfaroshoṉ kí chaukiyáṉ ulaṭ díṉ, 13aur un se kahá; Likhá hai, ki Merá ghar duʻá ká ghar kahláegá; magar tum use ḍákúoṉ kí khoh banáte ho.

Wá‘iz 7;12 Kyúṉki hikmat waisí hí panáhgáh hai, jaise rupaya; lekin ‘ilm kí ḳháss ḳhúbí yih hai, ki hikmat sáhib i hikmat kí ján kí muháfiz hai



1 view0 comments

Comments


bottom of page