top of page

#WAQT #TIME

Updated: Jul 17

ON THE EARTH HAVE LIMITED TIME,,


KHUDAWAND MEIN BAHUT HI AZIZ MERE BHAI BEHAN MAIN TAHE DIL SE APKA SHUKARGUZAR HO JO,AAP APNA KEEMATI #WAQT NIKAAL KAR MERA BLOG PAD RAHEIN HAIN JO KI AAJ KA MERA TOPIC MEANS VISHA BHI #WAQT HI HAI JISPE MEIN KHUDAWAND KE FAZAL SE LIKH RHA HON, AGE JAISE BHI KHUDAWAND HI KI MARZI PURI HO, IMAN KE MUAFIK KHUDAWAND KA YE JINDA QALAAM HUM SAB KI ZINDGHIYO MEIN KAAM KARE

KHUDAWAND #YESU MEIN AAP SAB KI SALAMATI HO #PRAISETHELORD IN THE NAME OF JESUS , HUM KHUDWAND KA SHUKAR KARTE HAI, HUMARE IMAN KE MUAFIK KHUDAWAND NE APNE JALAL KI DAULAT MEIN SE BAHUT ACHE VISHE PAR LIKHNE KA FAZAL BAKSHA JO AAJ KA TOPIC HAI WOH BAHUT KEMTI HAI JISKI AAJ KE DAUR PAR HAR EK SHAKS KE PAAS KAMI HAI, HUM SAB KO AAJ JIS CHIJ KI KAMI HAI WOH HAI #WAQT #TIME SAMAY JO AAJ KAL KI BAAG DAUD BARI ZINDGHI MEIN HUM SAB KE PAAS HAI HI NHI, OR ES WAQT KI KAMI KE KARAN HUM SE BAUHAT SI KEMTI CHIZE KHUTE CHALE JA RAHEIN HAIN JAISE KE ITMNAAN APNE DILO KI SKOONATOR PHIR RISHTE, FAMILY,OR OTHER SOCITY KO THIK SE WAQT HI NA DE PANA JO KE YE SAB EK TARAH KA PHAAD SA BAN CHUKA HAI,AYEIN HUM KHUDWAND KE JINDA QALAAM MEIN SE DEKH TE HEIN KI KHUDAWAND KA QALAAM HUMEIN #WAQT #TIME #SAMAY KE BARE MEIN KYA HADYAT KARTA HAI OR AJJ HUM WAQT KO QALAAL KE NAZARIYE SE DEKHTE HEIN QLAAMA KE HAWALE SE #WAQT #TIME HUMARI ZINDGHI MEIN KYA KIRDAR RKHTA HAI, TO QALAAM MEIN SE DEKHTE HEIN



II Kurinthíoṉ 6;2 kyúṉki wuh kahtá hai, ki Maiṉ ne qubúlíyat ke waqt terí sun lí, Aur naját ke din terí madad kí: dekho, ab qubúlíyat ká waqt hai;

dekho, yih naját ká din hai:


II Patras 3;8 Ai ʻazízo, yih ḳháss bát tum par poshída na rahe, ki Ḳhudáwand ke nazdík ek din hazár baras ke barábar hai, aur hazár baras ek din ke barábar.


Ifisíoṉ 5;16 aur waqt ko ganímat jáno, kyúṉki din bure haiṉ.


GANIMAT MATLAB GINA OR MITHA HUA MAQRAR EK TARA KA TEH KIYA HUA WAQT SEEMAT WAQT

KYU KE ZAMIN PAR HAR EK CHEEZ KA WAQT HAI

I MEAN ON THE EARTH HAVE LIMITED TIME


WÁ‘IZ 3;1 Har chíz ká ek mauqa‘, aur har kám ká, jo ásmán ke níche hotá hai, ek waqt hai. 2 Paidá hone ká ek waqt hai, aur mar jáne ká ek waqt hai; daraḳht lagáne ká ek waqt hai, aur lagáe húe ko ukháṛne ká ek waqt hai; 3 már ḍálne ká ek waqt hai, aur shifá dene ká ek waqt hai; ḍháne ká ek waqt hai, aur ta‘mír karne ká ek waqt hai; 4 rone ká ek waqt hai, aur haṉsne ká ek waqt hai; g̣am kháne ká ek waqt hai, aur náchne ká ek waqt hai; 5 patthar pheṉkne ká ek waqt hai, aur patthar baṭorne ká ek waqt hai; hamág̣oshí ká ek waqt hai, aur hamág̣oshí se báz rahne ká ek waqt hai; 6hásil karne ká ek waqt hai, aur kho dene ká ek waqt hai; rakh chhoṛne ká ek waqt hai, aur pheṉk dene ká ek waqt hai; 7 pháṛne ká ek waqt hai, aur síne ká ek waqt hai; chup rahne ká ek waqt hai, aur bolne ká ek waqt hai; 8 mahabbat ká ek waqt hai, aur ‘adáwat ká ek waqt hai; jang ká ek waqt hai, aur sulh ká ek waqt hai.


DEKHE KI KHUDAWAND KA QALAAM SAAF SAAF ES BAAT KI AGWAHI KRTA HAI,KI AASMAAN KE NICHE ZAMIN KE UPPER HAR EK CHIJ KA WAQT HAI,


Aʻmál 4;12 Aur kisí dúsre ke wasíle se naját nahíṉ; kyúṉki ásmán ke tale ádmíoṉ ko koí dúsrá nám nahíṉ baḳhshá gayá, jis ke wasíle se ham naját pá sakeṉ

KHUDAWAND YESU

EK MUQARAR WAQT KE LIYE EK SEEMAT WAQT KE LIYE HUMARE BEECH ZAMIN PAR AAYE, JO HUMARE AASMANI BAAP NE UNKO HUKAM DIYA USKO PURA KIYA OR VAPIS BAAP KE PAAS LAUT GAYE


Zabúr 119;60 Maiṉ ne tere farmán mánne meṉ

Jaldí kí aur der na lagáí.

Yúhanná kí Injíl 10;17 AGAR HUM USKE AKHIR MEIN PADE TU KHUDAWAND YESU APNI JUBANI BOL RAHEIN HEIN KI Yih hukm mere Báp se mujhe milá. ,,


ABI HUMNE SHURUAT MEIN PADA BHI

qubúlíyat ká waqt hai; dekho, yih naját ká din hai:


OR QABUL HARF ALFAZ par qalaam MEIN se IK BAHUT hi ACHA HAWALA HAI JO KHUDAWAND KE QALAAM MEIN SE MAIN NICHE MENTION KAR RHA HOON


Yúhanná kí Injíl 1;2 Lekin jitnoṉ ne use qubúl kiyá, us ne unheṉ Ḳhudá ke farzand banne ká haqq baḳhshá,


OR #NAZAT KE HAQ MEIN KHUDWAND KE QALAAM MEIN SE BAHUT ACHA HAWALA MAIN APKO NICHE PADNE KE LIYE DE RHA HOON,


Lúqá kí Injíl 19;9 Yisúʻ ne us se kahá, ki Áj is ghar meṉ #naját áí hai, is liye ki yih bhí Ibráhím ká beṭá hai. 10 Kyúṉki Ibn i Ádam khoe húoṉ ko ḍhúṉḍhne aur #naját dene áyá hai.

II Kurinthíoṉ 6;2 kyúṉki wuh kahtá hai,

dekho, yih naját ká din hai:



4 Jis ne mujhe bhejá hai, hameṉ us ke kám din hí din meṉ karne zarúr haiṉ,kyúṉki din bure haiṉ.


TU IMAN HI KE SABAB SE KHUDAWNAD KI JLAAL KI DAULAT MEIN SE JO MUJHE AAJ HASIL HUA MAINE WOH QALAAM WOH AASMANI ROTI APKE SATH BANT KAR KHAYI KYU WOH HUMEIN HUMARI ROJ KI ROTI DETA HAI

KHUDAWAND KA KALAAM ES BAAT KI GWAHI KRTA HAI JO KALAM KO SUNTA AUR SAMJHTA HAI,AUR WUH PHAL BHI LATA HAI IMAAN KE MUAFIQ KOI SAU GUNA SATH GUNA,TIS GUNA.


ʻIBRÁ NÍOṈ 4;2 Kyúṉki hameṉ bhí un hí kí tarah ḳhushḳhabarí sunáí gayí. Lekin sune húe kalám ne un ko is liye kuchh fáida na diyá, ki sunnewáloṉ ke diloṉ meṉ ímán ke sáth na baiṭhá. 3 Aur ham jo ímán láe, us árám meṉ dáḳhil hote haiṉ,


II Kurinthíoṉ 6;2 kyúṉki wuh kahtá hai, ki Maiṉ ne qubúlíyat ke waqt terí sun lí, Aur naját ke din terí madad kí: dekho, ab qubúlíyat ká waqt hai;

dekho, yih naját ká din hai:


AMEN

26 views0 comments

Comentarios


bottom of page