ʻIBRÁ NÍOṈ 10;39
1KYÚṈKI SHARÍʻAT JIS MEṈ ÁYANDA KÍ ACHCHHÍ CHÍZOṈ KÁ ʻAKS HAI, AUR UN CHÍZOṈ KÍ ASLÍ SÚRAT NAHÍṈ, UN EK HÍ TARAH KÍ QURBÁNÍOṈ SE, JO HAR SÁL BILÁNÁGA GUZRÁNÍ JÁTÍ HAIṈ, PÁS ÁNEWÁLOṈ KO HARGIZ KÁMIL NAHÍṈ KAR SAKTÍ. 2WARNA UN KÁ GUZRÁNNÁ KYÚṈ MAUQÚF NA HO JÁTÁ? IS LIYE KI JAB ʻIBÁDAT KARNEWÁLE EK BÁR PÁK HO JÁTE, TO PHIR UN KÁ DIL UNHEṈ GUNAHGÁR NA ṬHAHRÁTÁ. 3BALKI WUH QURBÁNÍÁṈ SÁL BA SÁL GUNÁHOṈ KO YÁD DILÁTÍ HAIṈ. 4 KYÚṈKI MUMKIN NAHÍṈ KI BAILOṈ AUR BAKROṈ KÁ ḲHÚN GUNÁHOṈ KO DÚR KARE. 5 ISÍ LIYE WUH DUNYÁ MEṈ ÁTE WAQT KAHTÁ HAI, KI
TÚ NE QURBÁNÍ AUR NAZR KO PASAND NA KIYÁ,
BALKI MERE LIYE EK BADAN TAIYÁR KIYÁ;
6PÚRÍ SOḲHTANÍ QURBÁNÍOṈ AUR GUNÁH KÍ QURBÁNÍOṈ SE TÚ ḲHUSH NA HÚÁ:
7US WAQT MAIṈ NE KAHÁ, KI DEKH MAIṈ ÁYÁ HÚṈ,
(KITÁB KE WARQOṈ MEṈ MERÍ NISBAT LIKHÁ HÚÁ HAI,)
TÁKI, AI ḲHUDÁ, TERÍ MARZÍ PÚRÍ KARÚṈ.
8UʹPAR TO WUH KAHTÁ HAI, KI NA TÚ NE QURBÁNÍOṈ AUR NAZROṈ AUR PÚRÍ SOḲHTANÍ QURBÁNÍOṈ, AUR GUNÁH KÍ QURBÁNÍOṈ KO PASAND KIYÁ, AUR NA UN SE ḲHUSH HÚÁ; HÁLÁṈKI WUH QURBÁNÍÁṈ SHARÍʻAT KE MUWÁFIQ GUZRÁNÍ JÁTÍ HAIṈ; 9AUR PHIR YIH KAHTÁ HAI, KI DEKH, MAIṈ ÁYÁ HÚṈ, TÁKI TERÍ MARZÍ PÚRÍ KARÚṈ; GARAZ WUH PAHLE KO MAUQÚF KARTÁ HAI, TÁKI DÚSRE KO QÁIM KARE. 10 USÍ MARZÍ KE SABAB HAM YISÚʻ MASÍH KE JISM KE EK HÍ BÁR QURBÁN HONE KE WASÍLE SE PÁK KIYE GAYE HAIṈ. 11AUR HAR EK KÁHIN TO KHAṚE HOKAR HAR ROZ ʻIBÁDAT KARTÁ HAI, AUR EK HÍ TARAH KÍ QURBÁNÍÁṈ BÁR BÁR GUZRÁNTÁ HAI, JO HARGIZ GUNÁHOṈ KO DÚR NAHÍṈ KAR SAKTÍṈ: 12LEKIN YIH SHAḲHS HAMESHA KE LIYE GUNÁHOṈ KE WÁSTE EK HÍ QURBÁNÍ GUZRÁNKAR, ḲHUDÁ KÍ DAHINÍ TARAF JÁ BAIṬHÁ; 13AUR USÍ WAQT SE MUNTAZIR HAI, KI US KE DUSHMAN US KE PÁṈWOṈ TALE KÍ CHAUKÍ BANEṈ; 14KYÚṈKI US NE EK HÍ QURBÁNÍ CHAṚHÁNE SE UN KO HAMESHA KE LIYE KÁMIL KAR DIYÁ HAI, JO PÁK KIYE JÁTE HAIṈ. 15AUR RÚHUʼL QUDS BHÍ HAM KO YIHÍ BATÁTÁ HAI; KYÚṈKI YIH KAHNE KE BAʻD, KI
16ḲHUDÁWAND FARMÁTÁ HAI;
JO ʻAHD MAIṈ UN DINOṈ KE BAʻD UN SE BÁṈDHÚṈGÁ, WUH YIH HAI, KI
MAIṈ APNE QÁNÚN UN KE DILOṈ PAR LIKHÚṈGÁ,
AUR UN KE ZIHN MEṈ DÁLÚṈGÁ; UN KE GUNÁHOṈ AUR BEDÍNÍOṈ KO PHIR KABHÍ YÁD NA KARÚṈGÁ.
18 AUR JAB IN KÍ MUʻÁFÍ HO GAYÍ HAI, TO PHIR GUNÁH KÍ QURBÁNÍ NAHÍṈ RAHÍ.
19 PAS AI BHÁIYO, CHÚṈKÍ HAMEṈ YISÚʻ KE ḲHÚN KE SABAB US NAYÍ AUR ZINDA RÁH SE PÁK MAKÁN MEṈ DÁḲHIL HONE KÍ DILERÍ HAI; 20 JO US NE PARDE YAʻNÍ APNE JISM MEṈ SE HOKAR, HAMÁRE WÁSTE MAḲHSÚS KÍ HAI; 21AUR CHÚṈKI HAMÁRÁ AISÁ BAṚÁ KÁHIN HAI, JO ḲHUDÁ KE GHAR KÁ MUḲHTÁR HAI;
II KURINTHÍOṈ 3;2
2 HAMÁRÁ JO ḲHATT HAMÁRE DILOṈ PAR LIKHÁ HÚÁ HAI, WUH TUM HO, AUR USE SAB ÁDMÍ JÁNTE AUR PAṚHTE HAIṈ: 3ZÁHIR HAI, KI TUM MASÍH KÁ WUH ḲHATT HO, JO HAM NE ḲHÁDIMOṈ KE TAUR PAR LIKHÁ; SIYÁHÍ SE NAHÍṈ, BALKI ZINDA ḲHUDÁ KÍ RÚH SE; PATTHAR KÍ TAḲHTÍOṈ PAR NAHÍṈ, BALKI GOSHT KÍ, YÁʻNÍ DIL KÍ TAḲHTÍOṈ PAR
MATÍ KÍ INJÍL 6
7 AUR DUʻÁ MÁṈGTE WAQT, GAIRQAUMOṈ KE LOGOṈ KÍ TARAH BAK BAK NA KARO; KYÚṈKI WUH SAMAJHTE HAIṈ, KI HAMÁRE BAHUT BOLNE KE SABAB HAMÁRÍ SUNÍ JÁEGÍ.
, Yúhanná kí Injíl 14;14 14AGAR MERE NÁM SE MUJH SE KUCHH CHÁHOGE, TO MAIṈ WUHÍ KARÚṈGÁ. 15AGAR TUM MUJH SE MAHABBAT RAKHTE HO, TO MERE HUKMOṈ PAR ʻAMAL KAROGE; 16AUR MAIṈ BÁP SE DARḲHWÁST KARÚṈGÁ, TO WUH TUMHEṈ DÚSRÁ MADADGÁR BAḲHSHEGÁ, KI ABAD TAK TUMHÁRE SATH RAHE, 17YAʻNÍ SACHCHÁÍ KÍ RÚH
26 KYÚṈKI HAQQ KÍ PAHCHÁN HÁSIL KARNE KE BAʻD AGAR HAM JÁN BÚJHKAR GUNÁH KAREṈ, TO GUNÁHOṈ KÍ KOÍ ÂUR QURBÁNÍ BÁQÍ NAHÍṈ RAHÍ; 27HÁṈ, ʻADÁLAT KÁ EK HAULNÁK INTIZÁR AUR GAZABNÁK ÁTISH BÁQÍ HAI, JO MUḲHÁLIFOṈ KO KHÁ LEGÍ. 28JAB MÚSÁ KÍ SHARÍʻAT KÁ NA MÁNNEWÁLÁ DO YÁ TÍN SHAḲHSOṈ KÍ GAWÁHÍ SE, BAGAIR RAHM KIYE MÁRÁ JÁTÁ HAI, 29TO ḲHAYÁL KARO KI WUH SHAḲHS KIS QADR ZIYÁDA SAZÁ KE LÁIQ ṬHAHREGÁ, JIS NE ḲHUDÁ KE BEṬE KO PÁMÁL KIYÁ, AUR ʻAHD KE ḲHÚN KO, JIS SE WUH PÁK HÚÁ THÁ, NÁPÁK JÁNÁ, AUR FAZL KÍ RÚH KO BEʻIZZAT KIYÁ. 30KYÚṈKI USE HAM JÁNTE HAIṈ, JIS NE KAHÁ, KI INTIQÁM LENÁ MERÁ KÁM HAI, BADLA MAIṈ HÍ DÚṈGÁ: AUR PHIR YIH, KI ḲHUDÁWAND APNÍ UMMAT KÍ ʻADÁLAT KAREGÁ. 31ZINDA ḲHUDÁ KE HÁTHOṈ MEṈ PAṚNÁ HAULNÁK BÁT HAI.

Comments