खून के रिश्ते Blood relation khoon ke Rishte लहू की वाचा
- Yasarim El

- Feb 1
- 10 min read
Blood Covenant
Khuda ke sath asmaani baap ke sath humara rishta iman ke wasile masih ki ruh ke wasile khun ka rishta hai .,
Isi liye aaj ke is topic ka naam rakha hai
Uski mamur men hum sab ne paya yani fazl par fazl ., fazl or sachchai masih yehsua ki marifat pauhcnhi
खून के रिश्ते जन्म, साझा वंश या वंशावली के माध्यम से व्यक्तियों के बीच के संबंधों को कहते हैं, जिनमें माता-पिता, भाई-बहन, बुआ, चाचा और चचेरे भाई-बहन शामिल हैं
पंजाबी में पगड़ी का आदान-प्रदान, जिसे पग वताउनी(या पग वताउना) कहा जाता है, पंजाब की एक गहरी जड़ें जमाई हुई सांस्कृतिक परंपरा है जो एक स्थायी, भाईचारे के रिश्ते को मजबूत करने का प्रतीक है, जिसे आमतौर पर भाईचारा कहा जाता है। पगड़ी का यह आदान-प्रदान दो व्यक्तियों और उनके परिवारों को, अक्सर पीढ़ियों तक, एक साथ बांधता है, जो हर परिस्थिति में सुख-दुख साझा करने की प्रतिबद्धता को दर्शाता है।
· पगड़ी का प्रतीकात्मक महत्व: पगड़ी पुरुष के सम्मान, आदर और गरिमा का प्रतीक है ।इसे धारण करना उस सम्मान को साझा करने और दूसरे व्यक्ति को भाई के रूप में स्वीकार करने का संकेत है।
भाईचारा और सम्मान: एक बार पगड़ी का आदान-प्रदान हो जाने के बाद, दोनों पुरुष एक-दूसरे को खून के भाई की तरह मानते हैं, और उनके परिवार भी एक-दूसरे के प्रति समान सम्मान प्रदर्शित करते हैं।
इतिहास और संदर्भ: हालांकि इसे अक्सर मित्रता से जोड़ा जाता है, लेकिन ऐतिहासिक रूप से इस कार्य ने गठबंधनों और भाईचारे को मजबूत किया, जिससे आपसी समर्थन और सुरक्षा सुनिश्चित हुई।
'मुंहबोला भाई' (Munh Bola Bhai) का अर्थ है ऐसा भाई जो सगा (रक्त संबंधी) न हो, बल्कि स्नेह, सम्मान या वचन के कारण बनाया गया हो। यह एक पवित्र रिश्ता है जिसमें बिना खून के रिश्ते के भी भाई-बहन की तरह प्यार और सुरक्षा की जिम्मेदारी निभाई जाती है। इसे "बनाया हुआ भाई" या "दीनी भाई" भी कहा जाता है।
· मुंहबोला भाई का अर्थ: जो खून का रिश्ता न होने पर भी मुंह से कहकर भाई माना गया हो।
· भावार्थ: जिसे सगा न होते हुए भी दिल से भाई बनाया हो।
· अंग्रेजी में: Adopted brother या Sworn brother
· ʻIbrá Níoṉ 9
· ‘:22Aur taqríban sárí chízeṉ sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí nahíṉ hotí.
Ahbár 17
· : 11kyúṉki jism kí ján ḳhún meṉ hai, aur maiṉ ne mazbah par tumhárí jánoṉ ke kaffáre ke liye use tum ko diyá hai, ki us se tumhárí jánoṉ ke liye kaffára ho; kyúṉki ján rakhne hí ke sabab se ḳhún kaffára detá hai
· यशायाह 41:8
· “इब्राहीम, जो मेरा दोस्त है।”
Yaʻqúb 2
· : 23aur yih nawishta púrá húá, ki Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbázi giná gayá, aur wuh Ḳhudá ká dost kahláyá.
Paidáish 17
· : 7Aur maiṉ apne aur tere darmiyán, aur tere ba‘d terí nasl ke darmiyán un kí sab pushtoṉ ke liye, apná ‘ahd, jo abadí ‘ahd hogá, báṉdhúṉgá, táki maiṉ terá aur tere ba‘d terí nasl ká Ḳhudá rahúṉ. 8Aur maiṉ tujh ko, aur tere ba‘d terí nasl ko, Kan‘án ká tamám mulk, jis meṉ tú pardesí hai aisá dúṉgá, ki wuh dáimí milkíyat ho jáe; aur maiṉ un ká Ḳhudá húṉgá. 9Phir Ḳhudá ne Abrahám se kahá, ki Tú mere ‘ahd ko mánná, aur tere ba‘d terí nasl pusht dar pusht use máne. 10Aur merá ‘ahd, jo mere aur tere darmiyán, aur tere ba‘d terí nasl ke darmiyán hai, aur jise tum mánoge, so yih hai, ki tum meṉ se har ek farzand i narína ká ḳhatna kiyá jáe. 11Aur tum apne badan kí khalṛí ká ḳhatna kiyá karná; aur yih us ‘ahd ká nishán hogá, jo mere aur tumháre darmiyán hai. 12Tumháre háṉ pusht dar pusht har laṛke ká ḳhatna, jab wuh áṭh roz ká ho, kiyá jáe, ḳhwáh wuh ghar meṉ paidá ho, ḳhwáh use kisí pardesí se ḳharídá ho, jo terí nasl se nahíṉ. 13Lázim hai, ki tere ḳhánazád aur tere zarḳharíd ká ḳhatna kiyá jáe, aur merá ‘ahd tumháre jism meṉ abadí ‘ahd hogá. 14Aur wuh farzand i narína, jis ká ḳhatna na húá ho, apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáe, kyúṉki us ne merá ‘ahd toṛá.
Paidáish 22
· : 16 Ḳhudáwand farmátá hai, Chúṉki tú ne yih kám kiyá, ki apne beṭe ko bhí, jo terá iklautá hai, dareg̣ na rakkhá, is liye maiṉ ne bhí apní zát kí qasam kháí hai, ki 17maiṉ tujhe barakat par barakat dúṉgá, aur terí nasl ko baṛháte baṛháte ásmán ke tároṉ, aur samundar ke kanáre kí ret kí mánind kar dúṉgá; aur terí aulád apne dushmanoṉ ke pháṭak kí málik hogí. 18Aur terí nasl ke wasíle se zamín kí sab qaumeṉ barakat páeṉgí; kyúṉki tú ne merí bát mání.
Romíoṉ 9
· : 7Aur na Ibráhím kí nasl hone ke sabab se sab farzand ṭhahre; balki yih likhá hai, ki Izháq hí se terí nasl kahláegí:
Galatíoṉ 3
· : 16Pas Ibráhím aur us kí nasl se waʻde kiye gaye. Wuh yih nahíṉ kahtá, ki nasloṉ se, jaisá bahutoṉ ke wáste kahá játá hai; balki jaisá ek ke wáste, ki Terí nasl ko; aur wuh Masíh hai. 17Merá yih matlab hai, ki Jis ʻahd kí Ḳhudá ne pahle se tasdíq kí thí, us ko sharíʻat chár sau tís baras ke baʻd ákar bátil nahíṉ kar saktí, ki wuh waʻda láhásil ho.
·
1 Kurinthíoṉ 7
: 19Na ḳhatna koí chíz hai, na námaḳhtúní; balki Ḳhudá ke hukmoṉ par chalná hí sab kuchh hai. 20Har shaḳhs jis hálat meṉ buláyá gayá ho, usí meṉ rahe.’
'6Aur Masíh Yisúʻ meṉ na to ḳhatna kuchh kám ká hai, na námaḳhtúní; magar ímán, jo mahabbat kí ráh se asar kartá hai. 'Galatíoṉ 5:6'15Kyúṉki na ḳhatna kuchh chíz hai, na námaḳhtúní, balki naye sire se maḳhlúq honá. 'Galatíoṉ 6:15
2 Kurinthíoṉ 5
: 17Is liye agar koí Masíh meṉ hai, to wuh nayá maḳhlúq hai: purání chízeṉ játí rahíṉ; dekho, wuh nayí ho gayíṉ. 18Aur sab chízeṉ Ḳhudá kí taraf se haiṉ, jis ne Masíh ke wasíle se apne sáth hamárá mel miláp kar liyá, aur mel miláp kí ḳhidmat hamáre supurd kí;
Romíoṉ 4
:16Isí wáste wuh mírás ímán se miltí hai, táki fazl ke taur par ho, aur wuh waʻda kull nasl ke liye qáim rahe; na sirf us nasl ke liye jo sharíʻatwálí hai, balki us ke liye bhí, jo Ibráhím kí mánind ímánwálí hai; wuhí ham sab ká báp hai
Romíoṉ 4
: 9Pas kyá yih mubárakbádí maḳhtúnoṉ hí ke liye hai, yá námaḳhtúnoṉ ke liye bhí? Kyúṉki hamárá daʻwá yih hai, ki Ibráhím ke liye us ká ímán rástbází giná gayá. 10Pas kis hálat meṉ giná gayá? Maḳhtúní meṉ, yá námaḳhtúní meṉ? Maḳhtúní meṉ nahíṉ, balki námaḳhtúní meṉ. 11Aur us ne ḳhatna ká nishán páyá, ki us ímán kí rástbází par muhr ho jáe, jo use námaḳhtúní kí hálat meṉ hásil thá: táki wuh un sab ká báp ṭhahre, jo báwujúd námaḳhtún hone ke ímán láte haiṉ, aur un ke liye bhí rástbází mahsúb kí jáe; 12aur un maḳhtúnoṉ ká báp ho, jo na sirf maḳhtún haiṉ, balki hamáre báp Ibráhím ke us ímán kí bhí pairawí karte haiṉ, jo use námaḳhtúní kí hálat meṉ hásil thá. 13Kyúṉki yih waʻda ki wuh dunyá ká wáris hogá na Ibráhím se na us kí nasl se sharíʻat ke wasíle se kiyá gayá thá, balki ímán kí rástbází ke wasíle se. 14Kyúṉki agar sharíʻatwále hí wáris hoṉ, to ímán befáida rahá, aur waʻda láhásil ṭhahrá. 15Kyúṉki sharíʻat to gazab paidá kartí hai; aur jaháṉ sharíʻat nahíṉ, waháṉ ʻudúlhukmí bhí nahíṉ. 16Isí wáste wuh mírás ímán se miltí hai, táki fazl ke taur par ho, aur wuh waʻda kull nasl ke liye qáim rahe; na sirf us nasl ke liye jo sharíʻatwálí hai, balki us ke liye bhí, jo Ibráhím kí mánind ímánwálí hai; wuhí ham sab ká báp hai
Romíoṉ 2
: 25Ḳhatne se fáida to hai, basharte ki tú sharíʻat par ʻamal kare: lekin jab tú ne sharíʻat se ʻudúl kiyá, to terá ḳhatna námaḳhtúní ṭhahrá. 26Pas agar námaḳhtún shaḳhs sharíʻat ke hukmoṉ par ʻamal kare, to kyá us kí námaḳhtúní ḳhatne ke barábar na giní jáegí? 27Aur jo shaḳhs qaumíyat ke sabab se námaḳhtún rahá, agar wuh sharíʻat ko púrá kare, to kyá tujhe, jo báwujúd kalám aur ḳhatne ke sharíʻat se ʻudúl kartá hai, qusúrwár na ṭhahráegá? 28Kyúṉki wuh Yahúdí nahíṉ, jo záhir ká hai; aur na wuh ḳhatna hai, jo záhirí aur jismání hai: 29balki Yahúdí wuhí hai, jo bátin meṉ hai; aur ḳhatna wuhí hai, jo dil ká aur rúhání hai, na ki lafzí; aise kí taʻríf ádmíoṉ kí taraf se nahíṉ, balki Ḳhudá kí taraf se hotí hai.
Kulussíoṉ 2
· 11usí meṉ tumhárá aisá ḳhatna húá, jo háth se nahíṉ hotá, yaʻní Masíh ká ḳhatna, jis se jismání badan utárá játá hai; 12aur usí ke sáth baptisma meṉ dafn húe, aur is meṉ Ḳhudá kí quwwat par ímán lákar, jis ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, us ke sáth jí bhí uṭhe. 13Aur us ne tumheṉ bhí, jo apne qusúroṉ aur jism kí námakhtúní ke sabab se murda the, us ke sáth zinda kiyá, aur hamáre sab qusúr muʻáf kiye; 14aur hukmoṉ kí wuh dastáwez miṭá ḍálí, jo hamáre nám par, aur hamáre ḳhiláf thí; aur us ko salíb par kíloṉ se jaṛkar sámne se haṭá diyá: 15us ne hukúmatoṉ aur iḳhtiyároṉ ko apne úpar se utárkar un ká barmalá tamásha banáyá, aur salíb ke sabab se un par fathyábí ká shádiyána bajáyá.
Ḳhurúj 24
· : 7Phir us ne ‘ahdnáma liyá, aur logoṉ ko paṛhkar sunáyá. Unhoṉ ne kahá, ki Jo kuchh Ḳhudáwand ne farmáyá hai, us sab ko ham kareṉge aur tábi‘ raheṉge. 8Tab Músá ne us ḳhún ko lekar logoṉ par chhiṛká, aur kahá, Dekho, yih us ‘ahd ká ḳhún hai, jo Ḳhudáwand ne in sab bátoṉ ke báre meṉ tumháre sáth báṉdhá hai. 9Tab Músá, aur Hárún, aur Nadab, aur Abíhú, aur baní Isráíl ke sattar buzurg úpar gaye. 10Aur unhoṉ ne Isráíl ke Ḳhudá ko dekhá; aur us ke páṉwoṉ ke níche nílam ke patthar ká chabútará sá thá, jo ásmán kí mánind shaffáf thá.
ʻIbrá Níoṉ 9
· : 11Lekin jab Masíh áyanda kí achchhí chízoṉ ká sardár káhin hokar áyá, to us buzurgtar aur kámiltar ḳhaime kí ráh se jo háthoṉ ká baná húá, yaʻní is dunyá ká, nahíṉ; 12aur bakroṉ aur bachhṛoṉ ká ḳhún lekar nahíṉ, balki apná hí ḳhún lekar, pák makán meṉ ek hí bár dáḳhil ho gayá, aur abadí ḳhalásí karáí. 13Kyúṉki jab bakroṉ aur bailoṉ ke ḳhún aur gáe kí rákh nápákoṉ par chhiṛke jáne se záhirí pákízagí hásil hotí hai; 14to Masíh ká ḳhún jís ne apne áp ko azalí Rúh ke wasíle Ḳhudá ke sámne beʻaib qurbán kar diyá, tumháre diloṉ ko murda kámoṉ se kyúṉ na pák karegá, táki zinda Ḳhudá kí ʻibádat kareṉ. 15Aur isí sabab se wuh naye ʻahd ká darmiyání hai, táki us maut ke wasíle se jo pahle ʻahd ke waqt ke qusúroṉ kí muʻáfí ke liye húí hai, buláe húe log waʻde ke bamújib abadí mírás ko hásil kareṉ. 16Kyúṉki jaháṉ wasíyat hai, waháṉ wasíyat karnewále kí maut bhí sábit honí zarúr hai. 17Is liye ki wasíyat maut ke baʻd hí járí hotí hai, aur jab tak wasíyat karnewálá zinda rahtá hai, us ká ijrá nahíṉ hotá. 18Isí liye pahlá ʻahd bhí bagair ḳhún ke nahíṉ báṉdhá gayá. 19Chunáṉchi jab Músá tamám ummat ko sharíʻat ká har ek hukm suná chuká, to bachhṛoṉ aur bakroṉ ká ḳhún lekar, pání, aur lál ún, aur zúfá ke sáth, us kitáb aur tamám ummat par chhiṛak diyá, 20aur kahá, ki Yih us ʻahd ká ḳhún hai, jis ká hukm Ḳhudá ne tumháre liye diyá hai. 21Aur isí tarah us ne ḳhaime aur ʻibádat ki tamám chízoṉ par ḳhún chhiṛká. 22Aur taqríban sárí chízeṉ sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí nahíṉ hotí.
· 23Pas zarúr thá, ki ásmání chízoṉ ki naqleṉ to in ke wasíle se pák kí jáeṉ; magar ḳhud ásmání chízeṉ in se bihtar qurbáníoṉ ke wasíle se. 24Kyúṉki Masíh us háth ke banáe húe pák makán meṉ dáḳhil nahíṉ húá, jo haqíqí pák makán ká namúna hai, balki ásmán hí meṉ dáḳhil húá; táki ab Ḳhudá ke rúbarú hamárí ḳhátir házir ho:
ʻIbrá Níoṉ 10
: 4Kyúṉki mumkin nahíṉ ki bailoṉ aur bakroṉ ká ḳhún gunáhoṉ ko dúr kare. 5Isí liye wuh dunyá meṉ áte waqt kahtá hai, ki
Tú ne qurbání aur nazr ko pasand na kiyá,
Balki mere liye ek badan taiyár kiyá;
6Púrí soḳhtaní qurbáníoṉ aur gunáh kí qurbáníoṉ se tú ḳhush na húá:
7Us waqt maiṉ ne kahá, ki Dekh maiṉ áyá húṉ,
(Kitáb ke warqoṉ meṉ merí nisbat likhá húá hai,)
Táki, ai Ḳhudá, terí marzí púrí karúṉ.
ʻIbrá Níoṉ 3
: 7Pas jis tarah ki Rúhuʼl Quds farmátá hai,
Agar áj tum us kí áwáz suno,
8To apne diloṉ ko saḳht na karo, jis tarah ki gussa diláne ke waqt
Ázmáish ke din jangal meṉ kiyá thá;
9Jaháṉ tumháre bápdádá ne mujhe jáṉchá aur ázmáyá,
Aur chálís baras tak mere kám dekhe.
10Isí liye maiṉ us pusht se náráz húá,
Aur kahá, ki In ke dil hamesha gumráh hote rahte haiṉ;
Aur inhoṉ ne merí ráhoṉ ko nahíṉ pahcháná;
11Chunáṉchi maiṉ ne apne gazab meṉ qasam kháí,
Ki yih mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge.
12Ai bháiyo, ḳhabardár, tum meṉ se kisí ká aisá burá aur beímán dil na ho, jo zinda Ḳhudá se phir jáe: 13balki jis roz tak Áj ká din kahá játá hai, har roz ápas meṉ nasíhat kiyá karo, táki tum meṉ se koí gunáh ke fareb meṉ ákar saḳhtdil na ho jáe: 14kyúṉki ham Masíh meṉ sharík húe haiṉ, basharte ki apne ibtidáí bharose par áḳhir tak mazbútí se qáim raheṉ: 15chunáṉchi kahá játá hai, ki
Agar áj tum us kí áwáz suno,
To apne diloṉ ko saḳht na karo,
jis tarah ki gussa diláne ke waqt kiyá thá.
16Kin logoṉ ne áwáz sunkar gussa diláyá? kyá un sab ne nahíṉ, jo Músá ke wasíle Misr se nikle the? 17Aur wuh kin logoṉ se chálís baras tak náráz rahá? Kyá un se nahíṉ, jinhoṉ ne gunáh kiyá, aur un kí lásheṉ biyábán meṉ paṛí rahíṉ? 18Aur kin kí bábat us ne qasam kháí, ki wuh mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge, siwá un ke jinhoṉ ne náfarmáni kí? 19G̣araz ham dekhte haiṉ, ki wuh beímání ke sabab dáḳhil na ho sake.
Yúhanná 15
: 15Ab se maiṉ tumheṉ naukar na kahúṉgá, kyúṉki naukar nahíṉ jántá ki us ká málik kyá karta hai; balki tumheṉ maiṉ ne dost kahá hai, is liye ki jo báteṉ maiṉ ne apne Báp se suniṉ, wuh sab tum ko batá díṉ. 16Tum ne mujhe nahíṉ chuná, balki maiṉ ne tumheṉ chun liyá, aur tum ko muqarrar kiyá, ki jákar phal láo, aur tumhárá phal qáim rahe; táki mere nám se jo kuchh Báp se máṉgo, wuh tum ko de. 17Maiṉ tum ko in bátoṉ ká hukm is liye detá húṉ, ki tum ek dúsre se mahabbat rakkho.
1 Kurinthíoṉ 11
: 25Isí tarah us ne kháne ke baʻd piyála bhí liyá, aur kahá, ki Yih piyála mere ḳhún meṉ nayá ʻahd hai: jab kabhí piyo, merí yádgárí ke liye yihí kiyá karo. 26Kyúṉki jab kabhí tum yih roṭí kháte, aur is piyále meṉ se píte ho to Ḳhudáwand kí maut ká izhár karte ho, jab tak wuh na áe.
Lúqá 22
: 19Phir us ne roṭí lí, aur shukr karke toṛí, aur yih kahkar un ko dí, ki Yih merá badan hai, jo tumháre wáste diyá játá hai: merí yádgárí ke liye yihí kiyá karo. 20Aur isí tarah kháne ke baʻd piyála yih kahkar diyá, ki Yih piyála mere us ḳhún meṉ nayá ʻahd hai, jo tumháre wáste baháyá játá hai.
Comments