top of page
  • Twitter
  • YouTube
  • Instagram

HEBREW YEAR OF VAV #57876 prophetic REVLATION Hebrew Year #5786

5. 2026 (5786 = Vav ka saal)

Eh saal hovega mazbooti da, jod da, vishwas de atma vich chalna da.

Yani aram de din men dakhil hune ke liye paryias karo .,

Badshaht ko khujne ke liye mehnat mushaqt Karen yani iman lao

Yúhanná 6

: 28Pas unhoṉ ne us se kahá, ki Ham kyá kareṉ, táki Ḳhudá ke kám anjám deṉ? 29Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá; Ḳhudá ká kám yih hai, ki jise us ne bhejá hai, us par ímán láo.

ʻIbrá Níoṉ 4

: 11Pas áo, ham us árám meṉ dáḳhil hone kí koshish kareṉ, táki un kí tarah náfarmání karke koí shaḳhs gir na paṛe.

29Merá júá apne úpar uṭhá lo, aur mujh se síkho; kyúṉki maiṉ halím húṉ, aur dil ká firotan; to tumhárí jáneṉ árám páeṉgi. 30Kyúṉki merá júá muláim hai, aur merá bojh halká.

Matí 11:28

Vav ka nishan hai  kil wang  tarzuma mukashafa apna vishwash masih men dalo kill ki tarah thokna

ʻIbrá Níoṉ 12

: 2aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá.

Agar hum pehle adam ki tarah apni dharmikta sabik kare ge apne dharmik kamon se jo musa ke kanon ke adhin musa ki vacha ke adhin dus hukmon ke adhin to

Jis tarah israli yatan karte rahe

Zabúr 95

: 10Chálís baras tak maiṉ us nasl se bezár rahá;

Aur maiṉ ne kahá, ki Yih wuh log haiṉ jin ke dil áwára haiṉ,

Aur unhoṉ ne merí ráhoṉ ko nahíṉ pahcháná.

11Chunáṉchi maiṉ ne apne g̣azab meṉ qasam kháí,

Ki Yih log mere árám meṉ dáḳhil na hoṉge.

ʻIbrá Níoṉ 4

: 3Aur ham jo ímán láe, us árám meṉ dáḳhil hote haiṉ, jis tarah us ne kahá, ki

Maiṉ ne apne gazab meṉ qasam kháí,

Ki yih mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge:

go biná e ʻálam ke waqt us ke kám ho chuke the.

Musa ki sharit ke adhin koi bhi jismani niyat men khuda ke nazdik rastbaaz nhi thehar sakta dharma nahi thehrar sakta kyu ki jismani niyat maut hai or unka shumar nafrmani ke bête  men hota hai kitab I muqadass ke mutabik

 


Humare liye  ye saal khud khuda ki taraf se manadi kar raha hai .,

Jis tarah khuda ke bulaye hoye chune hoye bête manadi kar rahen hain ki

2026 (5786) ik saal hai – ki hum “pehle Adam (6 – jismani)” adam men nhi chalna hai  jismani niyat men aql men irade men bali ruhani adam men chalna hai yani zayin men number 7 men iman or fazl ki ruh ke wasile

Or aram ke din men dakhil hune ke liye masih yisu ki khushkbri par iman layen .,

 

 

BIBLE ke  MUTBAIK NAWA SAAL

YANI 2026

SHURU HO CHUKA HAI

22 SEPTEMBER 2025 TO ,

IBRANI NAWA SAAL 5786 SHURU HO CHUKA HAI 22 SEPTEMBER  TO

TE SAL MAHINA  HAFTA DIN TE GHANTE., MINUT SECOND  EH EK WAQT HAIN .,

YANI KE MOL SHABAD SAL SHAMAN HAI WAQT HAI

TE ES SAL DA NAM

VAV DA SAAL HUN VAV EK IBRANI SHABAD HAI ., ATE ANK V HAI

YANI VAV HAI ANK 6   IBHRANI BHASHAH TE NISHAN CHIN DI BHASHA HAI JUBAN HAI ., 6 NISHAN HAI

HAI ,., KILL DA

YANI VAV ,

KILL ZAMIN VICH THOKIYA JANDA HAI.,

OR TAMBO DE PARDE NU RASSI NAL TANIYA JAND HAI ,.,

YANI TMBHO ZAMIN OTE LAHUNE LAYI ATE TANAN LAYI KILL DA ZAMIN VACHA MAZBOOTI NAL GADIYA HUNA BAUHT JAROORI HAI,.,

YANI KIL HAI CONNECTION DA JODAN DA NISHAN TAMBHU NU ATE TAMBHU ASMAN DI TAMSIL HAI .,

Yasa‘iyáh 40

: 22Wuh muhít i zamín par baiṭhá hai, aur us ke báshinde ṭiḍḍoṉ kí mánind haiṉ: wuh ásmán ko parde kí mánind tántá hai, aur us ko sukúnat ke liye ḳhaime kí mánind phailátá hai

' Ḳhudáwand terá fidya denewálá, jis ne rihm hí se tujhe banáyá, yúṉ farmátá hai, ki Maiṉ Ḳhudáwand sab ká ḳháliq húṉ; maiṉ hí akelá ásmán ko tánne aur zamín ko bichhánewálá húṉ; kaun merá sharík hai? '

 

Yasa‘iyáh 44:24

 

Aiyúb 9

: 8Wuh ásmánoṉ ko akelá tán detá hai,

Aur samundar kí lahroṉ par chaltá hai.

2Tú núr ko poshák kí tarah pahintá hai,

Aur ásmán ko sáyabán kí tarah tántá hai.

 

Zabúr 104

: 2Tú núr ko poshák kí tarah pahintá hai,

Aur ásmán ko sáyabán kí tarah tántá hai.

 

 

ʻIbrá Níoṉ 11

3Ímán hí se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki jo kuchh nazar átá hai záhirí chízoṉ se baná ho.

1Ab ímán ummed kí húí chízoṉ ká iʻtimád, aur andekhí chízoṉ ká subút hai. 2Kyúṉki usí kí bábat buzurgoṉ ke haqq meṉ achchhí gawáhí dí gayí.

 

Ab  is jaga jo vav hai yani keel ka nishan hai jiske wasile  alam ulihiyat zamin o asman ko paida karne wala khuda

Iman ki ruh se zamin o asman ko paida kiya

 

 

Yúhanná 1

1Ibtidá meṉ Kalám thá, aur Kalám Ḳhudá ke sáth thá, aur Kalám Ḳhudá thá. 2Yihí ibtidá meṉ Ḳhudá ke sáth thá. 3Sárí chízeṉ us ke wasíle se paidá húíṉ; aur jo kuchh paidá húá hai, us meṉ se koí chíz bhí us ke bagair paidá nahíṉ húí.

੨ ਕੁਰਿੰਥੀਆਂ

:

2 Kurinthíoṉ 4

:  13Aur chúṉki ham meṉ wuhí ímán kí rúh hai, jis kí bábat likhá hai, ki Maiṉ ímán láyá, aur isí liye bolá; pas ham bhí ímán láe, aur isí liye bolte haiṉ;

 

ਰੋਮੀਆਂ 10:

:

Romíoṉ 10

:  17Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.

 

Zamini jismani adam da ank hai 6  zamini jismani adam pehla adam

Khuda walo zamin te lagaya kill hai

Paidáish 1

: So chhaṭá din húá.

26Phir Ḳhudá ne kahá, ki Ham insán ko apní súrat par apní shabíh kí mánind banáeṉ;

27Aur Ḳhudá ne insán ko apní súrat par paidá kiyá, Ḳhudá ki súrat par us ko paidá kiyá; nar o nárí un ko paidá kiyá.

 

Paidáish 2

: 7Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne zamín kí miṭṭí se insán ko banáyá, aur us ke nathnoṉ meṉ zindagí ká dam phúṉká; to insán jítí ján húá.

 

Musa ki  shariat  ka ank vav  6 hi hai

Yani vav

ਖ਼ਰੋਜ 20

:

Ḳhurúj 20

: 9Chha din tak tú mihnat karke apná sárá kám káj karná; 10lekin sátwáṉ din Ḳhudáwand tere Ḳhudá ká sabt hai. Us meṉ na tú koí kám karná, na terá beṭá, na terí beṭí, na terá g̣ulám, na terí lauṉḍí, na tere chaupáye, na koí musáfir jo tere háṉ tere pháṭakoṉ ke andar ho;

Is liye agar koí Masíh meṉ hai, to wuh nayá maḳhlúq hai:

Na koí Yahúdí raha, na Yúnání; na koí gulám, na ázád; na koí mard, na ʻaurat: kyúṉki tum sab Masíh Yisúʻ meṉ ek ho.

Kulussíoṉ 3

: 10aur nayí insáníyat ko pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí bantí játí hai: 11waháṉ na Yúnáni rahá, na Yahúdí, na ḳhatna, na námaḳhtúní, na wahshí, na Skútí, na gulám, na ázád: sirf Masíh sab kuchh aur sab meṉ hai.

 

Ye kis  kam ki  baat  kar riha hai kalam

Jismani adam ka  number hai

6

To  jo shariat ke mutabik dharmik zindghi guzarde han unke liye  hukam hai ki 6 din kam kar yani hukmon ko manana palana karrte hoye dharmik jeevan jina

Yani ye  unke  liye hai  jo vishwash ki  atma men nahi or jinme  vishwash ki  atma nahi.,

Jo ima n ki ruh se ruh l quds ki hidayat se zindghi nhi guzarte  wuh number 6 hain yani vav men mushqat ke din men hai

Or WUHI NAFRAMANI KE BETE HAIN ., OR UNKO MUSA KI SHARIAT KE ADHIN KAR DIYA HAI

ʻIbrá Níoṉ 9

: :

10is liye ki wuh sirf kháne píne, aur tarah tarah ke gusloṉ kí biná par jismání ahkám haiṉ, jo isláh ke waqt tak muqarrar kiye gaye haiṉ.

 

ਰੋਮੀਆਂ 8

:6  6Aur jismání níyat maut hai;

musa ki shariat

੨ ਕੁਰਿੰਥੀਆਂ

: 3 kyúṉki lafz már ḍálte haiṉ, 2 Kurinthíoṉ 3:6

: gunah or maut ki shariat lafzo ki khadimat    7 maut ká wuh ʻahd jis ke hurúf pattharoṉ par khode gaye the,  dosh lagane wali doshi therane wali khidmat

 

 

Paidáish 3

:

17Aur Ádam se us ne kahá, Chúṉki tú ne apní bíwí kí bát mání, aur us daraḳht ká phal kháyá, jis kí bábat maiṉ ne tujhe hukm diyá thá, ki Use na kháná: is liye zamín tere sabab se la‘natí húí; mashaqqat ke sáth tú apní ‘umr bhar us kí paidáwár kháegá;

18aur wuh tere liye káṉṭe aur úṉṭkaṭáre ugáegí; aur tú khet kí sabzí kháegá; 19tú apne muṉh ke pasíne kí roṭí kháegá, jab tak ki zamín meṉ tú phir lauṭ na jáe; is liye ki tú us se nikálá gayá hai: kyúṉki tú ḳhák hai, aur ḳhák meṉ phir lauṭ jáegá.

Yani pehla Adam, zamini, jismani Adam, ke karan nafarmaani ke karan vishvaas mein na bane rehne ke karan, woh paap ka Vav bana, yani paap ka kill.Yani number 6, jismani Adam, zamin Adam.

:

Romíoṉ 5

: 12Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá — 13kyúṉki sharíʻat ke diye jáne tak dunyá meṉ gunáh to thá: magar jaháṉ sharíʻat nahíṉ, waháṉ gunáh mahsúb nahíṉ hotá. 14Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá.

Jaistra Adam ne nafrmani ki, vishvaas mein na bana raha, use tarah ek Israeli qaum nasal ke iman mein pakka na bane rehne ke karan, zindaon ke dil bhar-bhar gumrah ho jate the. Ohna ke karan hi Musa ko dus hukam diye gaye, yani Khudawand Khuda ka gussa, lanat.

Romíoṉ 5

 

20Aur bích meṉ sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda húá,

Galatíoṉ 4

: 4lekin jab waqt púrá ho gayá, to Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá, 5tákí sharíʻat ke mátahtoṉ ko mol lekar chhuṛá le, aur ham ko lepálak hone ká darja mile. 6Aur chúṉki tum beṭe ho, is liye Ḳhudá ne apne Beṭe kí Rúh hamáre diloṉ meṉ bhejí, jo Abbá, yaʻní, Ai Báp, kah kahkar pukártí hai. 7Pas ab tú gulám nahíṉ, balki beṭá hai; aur jab beṭá húá, to Ḳhudá ke sabab wáris bhí húá.

 

ਰੋਮੀਆਂ 8:

Romíoṉ 8

1Pas ab, jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, un par sazá ká hukm nahíṉ. 2Kyúṉki zindagí kí Rúh kí sharíʻat ne, Masíh Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád kar diyá. 3Is liye ki jo kám shariʻat, jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us ne apne Beṭe ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye bhejkar, jism meṉ gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá ham meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte haiṉ.

 

Kulussíoṉ 2

:  14aur hukmoṉ kí wuh dastáwez miṭá ḍálí, jo hamáre nám par, aur hamáre ḳhiláf thí; aur us ko salíb par kíloṉ se jaṛkar sámne se haṭá diyá:

ਕੁਲੁੱਸੀਆਂ 2

: 15us ne hukúmatoṉ aur iḳhtiyároṉ ko apne úpar se utárkar un ká barmalá tamásha banáyá, aur salíb ke sabab se un par fathyábí ká shádiyána bajáyá.

 

Ifisíoṉ 2

1Aur us ne tumheṉ bhí zinda kiyá, jab apne qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the, 2jin meṉ tum peshtar dunyá kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 3in meṉ ham bhí sab ke sab pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the: — 4magar Ḳhudá ne apne rahm kí daulat se, us baṛí mahabbat ke sabab, jo us ne ham se kí, 5jab qusúroṉ ke sabab murda hí the, to ham ko Masíh ke sáth zinda kiyá, (tum ko fazl hí se naját milí hai,) 6aur Masíh Yisúʻ meṉ shámil karke us ke sáth jiláyá, aur ásmání maqámoṉ par us ke sáth biṭháyá; 7táki wuh apní us mihrbání se, jo Masíh Yisúʻ meṉ ham par hai, ánewále zamánoṉ meṉ apne fazl kí beniháyat daulat dikháe: 8kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai: 9aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare. 10Kyúṉ-ki ham usí kí karígarí haiṉ, aur Masíh Yisúʻ meṉ un nek ʻamál ke wáste maḳhlúq húe, jin ko Ḳhudá ne pahle se hamáre karne ke liye taiyár kiyá thá.

11Pas yád karo, ki tum jo jism ke rú se gairqaumwále ho — aur wuh log jo jism meṉ háth se kiye húe ḳhatne ke sabab maḳhtún kahláte haiṉ, tum ko námaḳhtún kahte haiṉ — 12agle zamáne meṉ Masíh se judá, aur Isráíl kí saltanat se ḳhárij, aur waʻde ke ʻahdoṉ se náwáqif, aur náummed, aur dunyá meṉ Ḳhudá se ʻaláhida the. 13Magar tum jo pahle dúr the, ab Masíh Yisúʻ meṉ Masíh ke ḳhún ke sabab se nazdík ho gaye ho. 14Kyúṉki wuhí hamárí sulh hai, jis ne donoṉ ko ek kar liyá, aur judáí kí díwár ko jo bích meṉ thí, ḍhá diyá; 15chunáṉchi us ne apne jism ke zaríʻe se dushmaní, yaʻní wuh sharíʻat jis ke hukm zábitoṉ ke taur par the, mauqúf kar dí; táki donoṉ se apne áp meṉ ek nayá insán paidá karke sulh kará de; 16aur salíb par dushmaní ko miṭákar, aur us ke sabab se donoṉ ko ek tan banákar, Ḳhudá se miláe; 17aur us ne ákar, tumheṉ jo dúr the, aur unheṉ jo nazdík the, donoṉ ko sulh kí ḳhushḳhabarí dí: 18kyúṉki us hí ke wasíle se ham donoṉ kí ek hí Rúh meṉ Báp ke pás rasáí hotí hai. 19Pas ab tum pardesí aur musáfir nahíṉ rahe, balki muqaddasoṉ ke hamwatan aur Ḳhudá ke gharáne ke ho gaye, 20aur rasúloṉ aur nabíoṉ kí neo par, jis ke kone ke sire ká patthar ḳhud Masíh Yisúʻ hai, taʻmír kiye gaye ho; 21usí meṉ har ek ʻimárat mil milákar Ḳhudáwand meṉ ek pák maqdis bantí játí hai; 22aur tum bhí us meṉ báham taʻmír kiye játe ho, táki Rúh meṉ Ḳhudá ká maskan bano.

 

Yúhanná 1

: 29Dúsre din us ne Yisúʻ ko apní taraf áte dekhkar kahá; Dekho, yih Ḳhudá ká Barra hai, jo dunyá ká gunáh uṭhá le játá hai.

 

ʻIbrá Níoṉ 9

: 22Aur taqríban sárí chízeṉ sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí nahíṉ hotí.

 

ʻIbrá Níoṉ 10

:

10Usí marzí ke sabab ham Yisúʻ Masíh ke jism ke ek hí bár qurbán hone ke wasíle se pák kiye gaye haiṉ.

 

12lekin yih shaḳhs hamesha ke liye gunáhoṉ ke wáste ek hí qurbání guzránkar, Ḳhudá kí dahiní taraf já baiṭhá;

 

'to áo, ham sachche dil aur púre ímán ke sáth, aur dil ke ilzám ko dúr karne ke liye diloṉ par chhíṉṭe lekar, aur badan ko sáf pání se dhulwákar, Ḳhudá ke pás chaleṉ: '

 

ʻIbrá Níoṉ 10:22

 

 

2੧ ਯੂਹੰਨਾ

1 :

7lekin agar ham núr meṉ chaleṉ, jis tarah ki wuh núr meṉ hai, to hamárí ápas meṉ shirákat hai, aur us ke Beṭe Yisúʻ ká ḳhún hameṉ tamám gunáh se pák kartá haí.

 

1 Yúhanná 2

1Ai mere bachcho, yih báteṉ maiṉ tumheṉ is liye likhtá húṉ ki tum gunáh na karo. Aur agar koí gunáh kare, to Báp ke pás hamárá ek Madadgár maujúd hai, yaʻní Yisúʻ Masíh rástbáz; 2aur wuhí hamáre gunáhoṉ ká kaffára hai, aur na sirf hamáre hí gunáhoṉ ká, balki tamám dunyá ke gunáhoṉ ká bhí.

यानी यह साल वाव का साल दुनिया के लिए खुशख़बरी का साल है, कि मसीह यीशु के वसीले, लहू के वसीले, विश्वास के वसीले, ख़ुदा से मेल-मिलाप करे।

 

ʻIbrá Níoṉ 4

1Pas jab us ke árám meṉ dáḳhil hone ká waʻda báqí hai, to hameṉ ḍarná cháhiye, aisá na ho ki tum meṉ se koí rahá húá maʻlúm ho. 2Kyúṉki hameṉ bhí un hí kí tarah ḳhushḳhabarí sunáí gayí. Lekin sune húe kalám ne un ko is liye kuchh fáida na diyá, ki sunnewáloṉ ke diloṉ meṉ ímán ke sáth na baiṭhá. 3Aur ham jo ímán láe, us árám meṉ dáḳhil hote haiṉ, jis tarah us ne kahá, ki

Maiṉ ne apne gazab meṉ qasam kháí,

Ki yih mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge:

go biná e ʻálam ke waqt us ke kám ho chuke the. 4Chunáṉchi us ne sátweṉ din kí bábat kisí mauqaʻ par is tarah kahá hai, ki Ḳhudá ne apne sáre kámoṉ ko púrá karke sátweṉ din árám kiyá. 5Aur phir is maqám par yih kahtá hai, ki

Wuh mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge.

6Pas jab yih bát báqí hai, ki baʻz us árám meṉ dáḳhil hoṉ, aur jin ko pahle ḳhushḳhabarí sunáí gayí thí, wuh náfarmání ke sabab se dáḳhil na húe; 7to phir ek ḳháss din ṭhahrákar, itní muddat ke baʻd Dáúd kí kitáb meṉ use Áj ká din kahtá hai, jaisá peshtar kahá gayá, ki

Agar áj tum us kí áwáz suno,

To apne diloṉ ko saḳht na karo.

8Aur agar Yahoshúʻ ne unheṉ árám meṉ dáḳhil kiyá hotá, to wuh us ke baʻd dúsre din ká zikr na kartá. 9Pas Ḳhudá kí ummat ke liye sabt ká árám báqí hai. 10Kyúṉki jo us ke árám meṉ dáḳhil húá, us ne bhí Ḳhudá kí tarah apne kámoṉ ko púrá karke árám kiyá. 11Pas áo, ham us árám meṉ dáḳhil hone kí koshish kareṉ, táki un kí tarah náfarmání karke koí shaḳhs gir na paṛe. 12Kyúṉki Ḳhudá ká kalám zinda aur muassir, aur har ek dodhárí talwár se ziyáda tez hai, aur ján aur rúh, aur band band, aur gúde gúde ko judá karke guzar játá hai, aur dil ke ḳhayáloṉ aur irádoṉ ko jáṉchtá hai. 13Aur us se maḳhlúqát kí koí chíz chhipí nahíṉ, balki jis se ham ko kám hai us kí nazaroṉ meṉ sab chízeṉ khulí aur beparda haiṉ.

14Pas jab hamárá ek aisá baṛá sardár káhin hai, jo ásmánoṉ se guzar gayá, yaʻní Ḳhudá ká Beṭá Yisúʻ, to áo, ham apne iqrár par qáim raheṉ. 15Kyúṉki hamárá aisá sardár káhin nahíṉ, jo hamárí kamzoríoṉ meṉ hamárá hamdard na ho sake, balki sárí bátoṉ meṉ hamárí tarah ázmáyá gayá, táham begunáh rahá. 16Pas áo, ham fazl ke taḳht ke pás dilerí se chaleṉ, táki ham par rahm ho, aur wuh fazl hásil kareṉ jo zarúrat ke waqt hamárí madad kare.

Romíoṉ 5

1Pas jab ham ímán se rástbáz ṭhahre, to Ḳhudá ke sáth apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se sulh rakkheṉ; 2jis ke wasíle se ímán ke sabab us fazl tak hamárí rasáí bhí húí, jis par qáim haiṉ; aur Ḳhudá ke jalál kí ummed par faḳhr kareṉ. 3Aur sirf yihí nahíṉ, balki musíbatoṉ meṉ bhí faḳhr kareṉ; yih jánkar, ki musíbat se sabr paidá hotá hai; 4aur sabr se puḳhtagí; aur puḳhtagí se ummed paidá hotí hai: 5aur ummed se sharmindagí hásil nahíṉ hotí, kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai. 6Kyúṉki jab ham kamzor hí the, to ʻain waqt par Masíh bedínoṉ kí ḳhátir múá. 7Kisí rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá

Yúhanná 3

18Jo us par ímán látá hai, us par sazá ká hukm nahíṉ hotá; jo us par ímán nahíṉ látá, us par sazá ká hukm ho chuká; is liye ki wuh Ḳhudá ke iklaute Beṭe ke nám par ímán nahíṉ láyá. 19Aur sazá ke hukm ká sabab yih hai, ki núr dunyá meṉ áyá hai, aur ádmíoṉ ne táríkí ko núr se ziyáda pasand kiyá, is liye ki un ke kám bure the. 20Kyúṉki jo koí badi kartá hai, wuh núr se dushmaní rakhtá hai, aur núr ke pás nahíṉ átá, aisá na ho ki us ke kámoṉ par malámat kí jáe. 21Magar jo sachcháí par ʻamal kartá hai, wuh núr ke pás átá hai, táki us ke kám záhir hoṉ, ki wuh Ḳhudá meṉ kiye gaye haiṉ.

2 Thissaluníkíoṉ 1

 

8aur jo Ḳhudá ko nahíṉ pahchánte, aur hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ kí ḳhushḳhabarí ko nahíṉ mánte, un se badla legá: 9wuh Ḳhudáwand ke chihre aur us kí qudrat ke jalál se dúr hokar, abadí halákat kí sazá páeṉge; 10yih us din hogá, jab ki wuh apne muqaddasoṉ meṉ jalál páne, aur sab ímán lánewáloṉ ke sabab se taʻajjub ká báʻis hone ke liye áegá, kyúṉki tum hamárí gawáhí par ímán láe.

Ab number hai 8 yani shabad hai khet kA MTLB HAI KHATA GUNAH

ਅਹਬਾਰ

MUSA kI SHARA ADHIN

ਪਾਪ ਬਲੀ

Ahbár 4

1Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki 2Baní Isráíl se kah, ki Agar koí un kámoṉ meṉ se, jin ko Ḳhudáwand ne mana‘ kiyá hai, kisí kám ko kare, aur us se nádánista ḳhatá ho jáe: 3agar káhin i mamsúh aisí ḳhatá kare, jis se qaum mujrim ṭhahrtí ho; to wuh apní us ḳhatá ke wáste, jo us ne kí hai, ek be‘aib bachhṛá ḳhatá kí qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr guzráne.

12Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá — 13kyúṉki sharíʻat ke diye jáne tak dunyá meṉ gunáh to thá: magar jaháṉ sharíʻat nahíṉ, waháṉ gunáh mahsúb nahíṉ hotá. 14Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá. 15Lekin qusúr ká jo hál hai, wuh fazl kí niʻmat ká nahíṉ. Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr se bahut se ádmí mar gaye, to Ḳhudá ká fazl aur us kí jo baḳhshish ek hí ádmí, yaʻní Yisúʻ Masíh ke fazl se paidá húí, bahut se ádmíoṉ par zarúr hí ifrát se názil húí. 16Aur jaisá ek shaḳhs ke gunáh karne ká anjám húá, baḳhshish ká waisá hál nahíṉ; kyúṉki ek hí ke sabab se wuh faisala húá, jis ká natíja sazá ká hukm thá: magar bahutere qusúroṉ se aisí niʻmat paidá húí, jis ká natíja yih húá ki log rástbáz ṭhahre. 17Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr ke sabab maut ne us ek ke zaríʻe se bádsháhí kí; to jo log fazl aur rástbází kí baḳhshish ifrát se hásil karte haiṉ, wuh ek shaḳhs, yaʻní Yisúʻ Masíh ke wasíle se, hamesha kí zindagí meṉ zarúr hí bádsháhí kareṉge. 18G̣araz, jaisá ki ek qusúr ke sabab wuh faisala húá, jis ká natíja sab ádmíoṉ kí sazá ká hukm thá; waisá hí rástbází ke ek kám ke wasíle se sab ádmíoṉ ko wuh niʻmat milí, jis se rástbáz ṭhahrke zindagí páeṉ. 19Kyúṉki jis tarah ek hí shaḳhs kí náfarmání se bahut se log gunahgár ṭhahre, usí tarah ek kí farmánbardárí se bahut se log rástbáz ṭhahreṉge. 20Aur bích meṉ sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda húá, waháṉ fazl us se bhí niháyat ziyáda húá: 21táki jis tarah gunáh ne maut ke sabab se bádsháhí kí, usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se bádsháhí kare.

 

Romíoṉ 3

:  23is liye ki sab ne gunáh kiyá, aur Ḳhudá ke jalál se mahrúm haiṉ; 24magar us ke fazl ke sabab, us maḳhlasí ke wasíle se jo Masíh Yisúʻ meṉ hai, muft rástbáz ṭhahráe játe haiṉ: 25use Ḳhudá ne us ke ḳhún ke báʻis ek aisá kaffára ṭhahráyá, jo ímán láne se fáidamand ho; táki jo gunáh peshtar ho chuke the, aur jin se Ḳhudá ne tahammul karke tarah dí thí, un ke báre meṉ wuh apní rást-bází záhir kare; 26balki isí waqt us kí rástbází záhir ho: táki wuh ḳhud bhí ʻádil rahe, aur jo Yisúʻ par ímán láe, us ko bhí rástbáz ṭhahránewálá ho.:

 

Yasa‘iyáh 53

: na us kí koí shakl o súrat hai, na ḳhúbsúratí; aur jab ham us par nigáh kareṉ, to kuchh husn o jamál nahíṉ ki ham us ke mushtáq hoṉ. 3Wuh ádmíoṉ meṉ haqír o mardúd; mard i g̣amnák, aur ranj ká áshná thá: log us se goyá rúposh the, us kí tahqír kí gayí, aur ham ne us kí kuchh qadr na jání.

4Taubhí us ne hamárí mashaqqateṉ uṭhá líṉ, aur hamáre g̣amoṉ ko bardasht kiyá: par ham ne use Ḳhudá ká márá kúṭá aur satáyá húá samjhá. 5Háláṉki wuh hamárí ḳhatáoṉ ke sabab se gháyal kiyá gayá, aur hamárí badkirdárí ke bá‘is kuchlá gayá: hamárí hí salámatí ke liye us par siyasat húí; táki us ke már kháne se ham shifá páeṉ. 6Ham sab bheṛoṉ kí mánind bhaṭak gaye; ham meṉ se har ek apní ráh ko phirá; par Ḳhudáwand ne ham sab kí badkirdárí us par ládí.

7Wuh satáyá gayá, taubhí us ne bardasht kí aur muṉh na kholá; jis tarah barra jise zabh karne ko le játe haiṉ, aur jis tarah bheṛ apne bál katarnewáloṉ ke sámne bezabán hai, usí tarah wuh ḳhámosh rahá. 8Wuh zulm karke aur fatwá lagákar use le gaye; par us ke zamáne ke logoṉ meṉ se kis ne ḳhayál kiyá, ki wuh zindoṉ kí zamín se káṭ ḍálá gayá? mere logoṉ kí ḳhatáoṉ ke sabab se us par már paṛí. 9Us kí qabr bhí sharíroṉ ke darmiyán ṭhahráí gayí, aur wuh apní maut meṉ daulatmandoṉ ke sáth húá; háláṉki us ne kisí tarah ká zulm na kiyá, aur us ke muṉh meṉ hargiz chhal na thá.

10Lekin Ḳhudáwand ko pasand áyá, ki use kuchle; us ne use g̣amgín kiyá: jab us kí ján gunáh kí qurbání ke liye guzrání jáegí, to wuh apní nasl ko dekhegá, us kí umr daráz hogí, aur Ḳhudá kí marzí us ke háth ke wasíle se púrí hogí. 11Apní ján hí ká dukh uṭhákar wuh use dekhegá, aur ser hogá: apne hí ‘irfán se merá sádiq ḳhádim bahutoṉ ko rastbáz ṭhahráegá: kyúṉki wuh un kí badkirdárí ḳhud uṭhá legá. 12Is liye maiṉ use buzurgoṉ ke sáth hissa dúṉgá, aur wuh lúṭ ká mál zoráwaroṉ ke sáth báṉṭ legá; kyúṉki us ne apní ján maut ke liye unḍel dí, aur wuh ḳhatákároṉ ke sáth shumár kiyá gayá: taubhí us ne bahutoṉ ke gunáh uṭhá liye, aur ḳhatákároṉ kí shafá‘at kí.

 

ਇਬਰਾਨੀਆਂ ਨੂੰ 9

11Lekin jab Masíh áyanda kí achchhí chízoṉ ká sardár káhin hokar áyá, to us buzurgtar aur kámiltar ḳhaime kí ráh se jo háthoṉ ká baná húá, yaʻní is dunyá ká, nahíṉ; 12aur bakroṉ aur bachhṛoṉ ká ḳhún lekar nahíṉ, balki apná hí ḳhún lekar, pák makán meṉ ek hí bár dáḳhil ho gayá, aur abadí ḳhalásí karáí. 13Kyúṉki jab bakroṉ aur bailoṉ ke ḳhún aur gáe kí rákh nápákoṉ par chhiṛke jáne se záhirí pákízagí hásil hotí hai; 14to Masíh ká ḳhún jís ne apne áp ko azalí Rúh ke wasíle Ḳhudá ke sámne beʻaib qurbán kar diyá, tumháre diloṉ ko murda kámoṉ se kyúṉ na pák karegá, táki zinda Ḳhudá kí ʻibádat kareṉ. 15Aur isí sabab se wuh naye ʻahd ká darmiyání hai, táki us maut ke wasíle se jo pahle ʻahd ke waqt ke qusúroṉ kí muʻáfí ke liye húí hai, buláe húe log waʻde ke bamújib abadí mírás ko hásil kareṉ. 16Kyúṉki jaháṉ wasíyat hai, waháṉ wasíyat karnewále kí maut bhí sábit honí zarúr hai. 17Is liye ki wasíyat maut ke baʻd hí járí hotí hai, aur jab tak wasíyat karnewálá zinda rahtá hai, us ká ijrá nahíṉ hotá. 18Isí liye pahlá ʻahd bhí bagair ḳhún ke nahíṉ báṉdhá gayá. 19Chunáṉchi jab Músá tamám ummat ko sharíʻat ká har ek hukm suná chuká, to bachhṛoṉ aur bakroṉ ká ḳhún lekar, pání, aur lál ún, aur zúfá ke sáth, us kitáb aur tamám ummat par chhiṛak diyá, 20aur kahá, ki Yih us ʻahd ká ḳhún hai, jis ká hukm Ḳhudá ne tumháre liye diyá hai. 21Aur isí tarah us ne ḳhaime aur ʻibádat ki tamám chízoṉ par ḳhún chhiṛká. 22Aur taqríban sárí chízeṉ sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí nahíṉ hotí.

28isí tarah Masíh bhí ek bár bahut logoṉ ke gunáh uṭháne ke liye qurbán hokar, dúsrí bár bagair gunáh ke, naját ke liye un ko dikháí degá, jo us kí ráh dekhte haiṉ.

 

ʻIbrá Níoṉ 10

10Usí marzí ke sabab ham Yisúʻ Masíh ke jism ke ek hí bár qurbán hone ke wasíle se pák kiye gaye haiṉ. 11Aur har ek káhin to khaṛe hokar har roz ʻibádat kartá hai, aur ek hí tarah kí qurbáníáṉ bár bár guzrántá hai, jo hargiz gunáhoṉ ko dúr nahíṉ kar saktíṉ: 12lekin yih shaḳhs hamesha ke liye gunáhoṉ ke wáste ek hí qurbání guzránkar, Ḳhudá kí dahiní taraf já baiṭhá;

 

26Kyúṉki haqq kí pahchán hásil karne ke baʻd agar ham ján bújhkar gunáh kareṉ, to gunáhoṉ kí koí âur qurbání báqí nahíṉ rahí; 27háṉ, ʻadálat ká ek haulnák intizár aur gazabnák átish báqí hai, jo muḳhálifoṉ ko khá legí. 28Jab Músá kí sharíʻat ká na mánnewálá do yá tín shaḳhsoṉ kí gawáhí se, bagair rahm kiye márá játá hai, 29to ḳhayál karo ki wuh shaḳhs kis qadr ziyáda sazá ke láiq ṭhahregá, jis ne Ḳhudá ke Beṭe ko pámál kiyá, aur ʻahd ke ḳhún ko, jis se wuh pák húá thá, nápák jáná, aur fazl kí Rúh ko beʻizzat kiyá. 30Kyúṉki use ham jánte haiṉ, jis ne kahá, ki Intiqám lená merá kám hai, badla maiṉ hí dúṉgá: aur phir yih, ki Ḳhudáwand apní ummat kí ʻadálat karegá. 31Zinda Ḳhudá ke háthoṉ meṉ paṛná haulnák bát hai.

 

OR TISRA hai  NUMBER HAI

7  YANI  zayin ARAM DA  DIN

ʻIbrá Níoṉ 4

1Pas jab us ke árám meṉ dáḳhil hone ká waʻda báqí hai, to hameṉ ḍarná cháhiye, aisá na ho ki tum meṉ se koí rahá húá maʻlúm ho. 2Kyúṉki hameṉ bhí un hí kí tarah ḳhushḳhabarí sunáí gayí. Lekin sune húe kalám ne un ko is liye kuchh fáida na diyá, ki sunnewáloṉ ke diloṉ meṉ ímán ke sáth na baiṭhá. 3Aur ham jo ímán láe, us árám meṉ dáḳhil hote haiṉ, jis tarah us ne kahá, ki

Maiṉ ne apne gazab meṉ qasam kháí,

Ki yih mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge:

go biná e ʻálam ke waqt us ke kám ho chuke the. 4Chunáṉchi us ne sátweṉ din kí bábat kisí mauqaʻ par is tarah kahá hai, ki Ḳhudá ne apne sáre kámoṉ ko púrá karke sátweṉ din árám kiyá. 5Aur phir is maqám par yih kahtá hai, ki

Wuh mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge.

6Pas jab yih bát báqí hai, ki baʻz us árám meṉ dáḳhil hoṉ, aur jin ko pahle ḳhushḳhabarí sunáí gayí thí, wuh náfarmání ke sabab se dáḳhil na húe; 7to phir ek ḳháss din ṭhahrákar, itní muddat ke baʻd Dáúd kí kitáb meṉ use Áj ká din kahtá hai, jaisá peshtar kahá gayá, ki

Agar áj tum us kí áwáz suno,

To apne diloṉ ko saḳht na karo.

8Aur agar Yahoshúʻ ne unheṉ árám meṉ dáḳhil kiyá hotá, to wuh us ke baʻd dúsre din ká zikr na kartá. 9Pas Ḳhudá kí ummat ke liye sabt ká árám báqí hai. 10Kyúṉki jo us ke árám meṉ dáḳhil húá, us ne bhí Ḳhudá kí tarah apne kámoṉ ko púrá karke árám kiyá. 11Pas áo, ham us árám meṉ dáḳhil hone kí koshish kareṉ, táki un kí tarah náfarmání karke koí shaḳhs gir na paṛe. 12Kyúṉki Ḳhudá ká kalám zinda aur muassir, aur har ek dodhárí talwár se ziyáda tez hai, aur ján aur rúh, aur band band, aur gúde gúde ko judá karke guzar játá hai, aur dil ke ḳhayáloṉ aur irádoṉ ko jáṉchtá hai. 13Aur us se maḳhlúqát kí koí chíz chhipí nahíṉ, balki jis se ham ko kám hai us kí nazaroṉ meṉ sab chízeṉ khulí aur beparda haiṉ.

14Pas jab hamárá ek aisá baṛá sardár káhin hai, jo ásmánoṉ se guzar gayá, yaʻní Ḳhudá ká Beṭá Yisúʻ, to áo, ham apne iqrár par qáim raheṉ. 15Kyúṉki hamárá aisá sardár káhin nahíṉ, jo hamárí kamzoríoṉ meṉ hamárá hamdard na ho sake, balki sárí bátoṉ meṉ hamárí tarah ázmáyá gayá, táham begunáh rahá. 16Pas áo, ham fazl ke taḳht ke pás dilerí se chaleṉ, táki ham par rahm ho, aur wuh fazl hásil kareṉ jo zarúrat ke waqt hamárí madad kare.

 

LAST NUMBER HAI 5 YANI HEY  JO ANUGREH  KIRPA kA NUMBER HAI KIRPA kA NUMBER HAI

14Aur Kalám mujassam húá, aur fazl aur sachcháí se maʻmúr hokar hamáre darmiyán rahá, aur ham ne us ká aisá jalál dekhá, jaisá Báp ke iklaute ká jalál.

 

16Kyúṉki us kí maʻmúrí meṉ se ham sab ne páyá, yaʻní fazl par fazl.  magar fazl aur sachcháí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi. 18Ḳhudá ko kisí ne kabhí nahíṉ dekhá; iklautá Beṭá, jo Báp kí god meṉ hai, usí ne záhir kiyá.

 

Romíoṉ 4

16Isí wáste wuh mírás ímán se miltí hai, táki fazl ke taur par ho, aur wuh waʻda kull nasl ke liye qáim rahe; na sirf us nasl ke liye jo sharíʻatwálí hai, balki us ke liye bhí, jo Ibráhím kí mánind ímánwálí hai; wuhí ham sab ká báp hai

 

Romíoṉ 10

17Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.

ʻIbrá Níoṉ 12:

2aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá.

 

Paidáish 1

14Aur Ḳhudá ne kahá, ki Falak par naiyir hoṉ, ki din ko rát se alag kareṉ; aur wuh nishánoṉ, aur zamánoṉ, aur dinoṉ, aur barasoṉ kí imtiyáz ke liye hoṉ; 15aur wuh falak par anwár ke liye hoṉ, ki zamín par raushní ḍáleṉ: aur aisá hí húá. 16So Ḳhudá ne do baṛe naiyir banáe; ek naiyir i akbar, ki din par hukm kare, aur ek naiyir i asg̣ar, ki rát par hukm kare: aur us ne sitároṉ ko bhí banáyá. 17Aur Ḳhudá ne un ko falak par rakkhá ki zamín par raushní ḍáleṉ, 18aur din par aur rát par hukm kareṉ, aur ujále ko andhere se judá kareṉ: aur Ḳhudá ne dekhá ki achchhá hai. 19Aur shám húí aur subh húí. So chauthá din húá.

 

Wá‘iz 3

1Har chíz ká ek mauqa‘, aur har kám ká, jo ásmán ke níche hotá hai, ek waqt hai.

 

2 Kurinthíoṉ 6

1Aur ham jo us ke sáth kám meṉ sharík haiṉ, yíh bhí iltimás karte haiṉ, kí Ḳhudá ká fazl jo tum par húá, befáida na rahne do; 2kyúṉki wuh kahtá hai, ki

Maiṉ ne qubúlíyat ke waqt terí sun lí,

Aur naját ke din terí madad kí:

dekho, ab qubúlíyat ká waqt hai; dekho, yih naját ká din hai:

Aʻmál 4

:  12Aur kisí dúsre ke wasíle se naját nahíṉ; kyúṉki ásmán ke tale ádmíoṉ ko koí dúsrá nám nahíṉ baḳhshá gayá, jis ke wasíle se ham naját pá sakeṉ.

So agar tum gair masih aur gair vishwashi ho, tum Yisu ko nahi jante lekin Yisu tumhe paidaish se pehle hi janta hai. So woh tumse prem karta hai aur uska Pita bhi, jo ham sab ka Pita hai. Pita ke naam ka matlab hi mohabbat hai, prem hai. Aur Pita duniya se bohat pyar karta hai hamesha se hi, is liye usne apna ek lauta beta bakhsh diya hai – masih Yisu. Aur Yisu masih ke jism ki qurbani hi uske yani asmani Baap ke prem ka saboot hai, nishan hai.

4 Kyun jo dharm ke liye Masih har ek nihcha karne wale ke liye shara ka ant hai.5 Musa likhta hai bhai jo insaan us dharm ko poora karta hai jo shara se hai, woh usi se zinda rahega.6 Lekin woh dharm jo nihcha se hai, yeh kehta hai bhai…8 Par kya kehta hai? Bani tere paas, tere munh mein aur tere dil mein hai. Yeh woh nihcha ki Bani hai jo hum parchaar karte hain.9 Kyun ke agar tu apne munh se Prabhu Yisu ka iqraar karein aur apne dil mein maan lein ke Parmeshwar ne usse murdon mein se zinda kiya, to tu bachaya jaye ga.10 Dharm ke liye to dil se nihcha kiya jata hai aur mukti ke liye munh se iqraar kiya jata hai.

 

 
 
 

Comments


© 2023 by Daniel Lunsford. Proudly created with Wix.com

bottom of page