top of page
  • Twitter
  • YouTube
  • Instagram

musibat gunah ki saza nahi खुदा का जलाल ज़ाहिर हो इसलिए है


Yúhanná 9

1Phir us ne játe meṉ ek shaḳhs ko dekhá, jo janam ká andhá thá. 2Aur us ke shágirdoṉ ne us se púchhá, ki Ai Rabbí, kis ne gunáh kiyá thá, jo yih andhá paidá húá; is shaḳhs ne, yá is ke máṉ báp ne? 3Yisúʻne jawáb diyá, ki Na is ne gunáh kiyá thá, na is ke máṉ báp ne: balki yih is liye húá ki Ḳhudá ke kám us meṉ záhir hoṉ.

 

To aisa kyu kaha yisu masih

Nu or shigard ne yisu ko kyu pucha

Kyu ki shagird gunah ke adhin jo adam ke wasile duniya men aya or gunah ke wasile maut ayi.,chalak sanp ne aurat ko gumrah kiya or aurat ke wasile adam or wuh khuda bap ke hukam ke nafrman hoye

Or uske baad shariat di gai musa ki marifat

To shagird janam ke andhe ko is taur par samjh ye baat poch rahe,.,

Magar yisu masih ., fazl or sachchai ke adhin

Salib ke baad yani salibi qurbani ke baad murdon men se tisre din zinda hune ke puri duniya ki sulh ho chuki hai khuda ke sath or yisu kid eh ke dwara mel milap ho chukka hai duniya hai ., yisu ka khun puri duniya ki gunah ki muafi hai., jo adam ki wazah se kitab I muqdass ke mutabik gunah ke matahat kar di gai .,

To kehne ka mtlb ye hai ., salib qurbani ho chuki hai,. Lahu bahaya ja chukka hai.,

Yisu masih murdo men se ji uthe hain

To ab gunah ka iktar na hoga kyu ki salib ke baad duniya shariat ke matahat nhi fazl ke matahat hai.,

To aaj jab kabhi ek masih par problem ati hai., koi musibat aye to uska mtlb ye bilkol nhi ki usko uske gunaho ki saza milli hai .,

Khuda ki taraf se nhi ., puri duniya ka niya salib par ho chukka hai yisu masih ki salibi qurbani ke wasile ., hare k gunah ka kafara humesha humesha ke liye ek hi baar men diya ja chukka hai.,

Bus ab isliye musibat ya koi pareshani ek maish par ati hai khuda apke wasile apne kaam zahir karna chahta hai .,

Agar koi kahe bhi ki ye tumhare gunah ki saza hai ., to samjh liye usmen usi chalak sanp ki ruh., gumrahi ki ruh kam kar rahi jisne aurat ko or adam ko behkaya tha.,

Bag I adan ,men., doshi therane wala shiatan hai iblish ahi shrir hai purana sanp hai .,

To uske shabdo or awaaz par bilok dhyan nhi uski juban ka phal bilkol nhi khana agar jis us darakht phal kahya tu marah.,

Kyu rastbaz iman se jita hai .,

Or hum masih yisu par iman lane ke sabab

Rastbaz hai ., naki shariat ke hukmon ki palana ya pura karne krne ke karan.,

To agar koi kahe tum gunah gar or tumhen tumahre gunahon ki saza mili hai .,

To wuh apka fainsla shariat ke adhin kar raha ., jab ki aaj ke waqt hum bête ki ruh ke adhin yani fazl ki ruh ke adhin ., hain

Hum shariat ke adhin nhi balki fazl ke matahat hain.,

Jab ki mujhse bhi jab mera accident hua to mujhe yahi kaha gaya., kyu kuch log aj bhi shariat ki dharmikta men 10 hukmon ki dharmikta men phanse hoyen.,

Or wuh shariat ke ustad bane hoyen hain.,

Or tamam logo ko musa ki shariat ke adhin talim de rahne hain., or unko gunah or maut

Ki shariat gunah maut ki ministries yani sewkai kar rahen hain .,

To jo aise kar rahen or maish ki musibat ke din aisa kehte hain ., shayad unko andaza bhi nhi ki wuh kya bol rahne.,

Wuh dusre sandarab men bol rahen hain.m dusre shabdo men bol rahne hain.,

Na to masih yisu paida hoye na hi unho ne dukh saha nahi un par siysat hoi na hi unko kode lagaye ge nahi .., wuh salib diye gaye., na hi unko qabar men rakha gaya ., na hi wuh tisre murdo men se zinda hoye ., nahi wuh asman par uthaye ga nahi wuh baap dahine hath takt par birajman hain.,

Agar aap uski baton ka yaqin karte hain to ., salib ke baad khun behaye jane ke baad

Agar kisi bhi yisu naam par iman laine wale par dukh musibat tangi pareshani waqt ke chalte aa bhi jaye to humen khush huna chahiye

Matí 5

: 10Mubárak haiṉ wuh jo rástbází ke sabab satáe gaye haiṉ, kyúṉki ásmán kí bádsháhat unhíṉ kí hai. 11Jab mere sabab log tumheṉ laʻn taʻn kareṉge, aur satáeṉge, aur har tarah kí burí báteṉ tumhárí nisbat náhaqq kaheṉge, to tum mubárak hoge. 12Ḳhushí karná, aur niháyat shádmán honá, kyúṉki ásmán par tumhárá ajr baṛá hai, is liye ki logoṉ ne un nabíoṉ ko bhí jo tum se pahle the, isí tarah satáyá thá.

13Tum zamín ke namak ho, lekin agar namak ká maza játá rahe, to wuh kis chíz se namkín kiyá jáegá? Phir wuh kisí kám ká nahíṉ, siwá is ke, ki báhar pheṉká jáe, aur ádmíoṉ ke páṉwoṉ ke níche rauṉdá jáe. 14Tum dunyá ke núr ho; jo shahr paháṛ par basá húá hai, wuh chhip nahíṉ saktá; 15aur chirág jalákar paimáne ke níche nahíṉ, balki chirágdán par rakhte haiṉ, to us se ghar ke sab logoṉ ko raushní pahuṉchtí hai. 16Isí tarah tumhárí raushní ádmíoṉ ke sámne chamke, táki wuh tumháre nek kámoṉ ko dekhkar tumháre Báp kí, jo ásmán par hai, baṛáí kareṉ.

2 Kurinthíoṉ 4

:  8Ham har taraf se musíbat to uṭháte haiṉ, lekin láchár nahíṉ hote; hairán to hote haiṉ, magar náummed nahíṉ hote; 9satáe to játe haiṉ, magar akele nahíṉ chhoṛe játe; giráe to játe haiṉ, lekin halák nahíṉ hote; 10ham har waqt apne badan meṉ Yisúʻ kí maut liye phirte haiṉ, táki Yisúʻ kí zindagí bhí hamáre badan meṉ záhir ho. 11Kyúṉki ham jíte jí Yisúʻ kí ḳhátir hamesha maut ke hawále kiye játe haiṉ, táki Yisúʻ kí zindagí bhí hamáre fání jism meṉ záhir ho. 12Pas maut to ham meṉ asar kartí hai, aur zindagí tum meṉ. 13Aur chúṉki ham meṉ wuhí ímán kí rúh hai, jis kí bábat likhá hai, ki Maiṉ ímán láyá, aur isí liye bolá; pas ham bhí ímán láe, aur isí liye bolte haiṉ; 14kyúṉki ham jánte haiṉ, ki jis ne Ḳhudáwand Yisúʻ ko jiláyá, wuh ham ko bhí Yisúʻ ke sáth shámil jánkar jiláegá, aur tumháre sáth apne sámne házir karegá. 15Is liye ki sárí chízeṉ tumháre wáste haiṉ, táki bahut se logoṉ ke sabab fazl ziyáda hokar Ḳhudá ke jalál ke liye shukrguzárí bhí baṛháe.

 

1 Patras 4

: 12Ai piyáro, jo musíbat kí ág tumhárí ázmáish ke liye tum meṉ bhaṛkí hai, yih samajhkar us se taʻajjub na karo, ki yih ek anokhí bát ham par wáqiʻ húí hai: 13balki Masíh ke dukhoṉ meṉ jyúṉ jyúṉ sharík ho, ḳhushí karo; táki us ke jalál ke zuhúr ke waqt bhí niháyat ḳhush o ḳhurram ho. 14Agar Masíh ke nám ke sabab tumheṉ malámat kí játí hai, to tum mubárak ho; kyúṉki jalál ká Rúh, yaʻní Ḳhudá ká Rúh, tum par sáya kartá haí. 

Romíoṉ 5

1Pas jab ham ímán se rástbáz ṭhahre, to Ḳhudá ke sáth apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se sulh rakkheṉ; 2jis ke wasíle se ímán ke sabab us fazl tak hamárí rasáí bhí húí, jis par qáim haiṉ; aur Ḳhudá ke jalál kí ummed par faḳhr kareṉ. 3Aur sirf yihí nahíṉ, balki musíbatoṉ meṉ bhí faḳhr kareṉ; yih jánkar, ki musíbat se sabr paidá hotá hai; 4aur sabr se puḳhtagí; aur puḳhtagí se ummed paidá hotí hai: 5aur ummed se sharmindagí hásil nahíṉ hotí, kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai. 6Kyúṉki jab ham kamzor hí the, to ʻain waqt par Masíh bedínoṉ kí ḳhátir múá. 7Kisí rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá. 9Pas jab ham us ke ḳhún ke báʻis ab rástbáz ṭhahre, to us ke wasíle se gazab i Iláhí se zarúr hí bacheṉge. 10Kyúṉki jab báwujúd dushman hone ke, Ḳhudá se us ke Beṭe kí maut ke wasíle se hamárá mel ho gayá, to mel hone ke baʻd to ham us kí zindagí ke sabab se zarúr hí bacheṉge; 11aur sirf yihí nahíṉ, balki apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke sabab, jis ke wasíle se ab hamárá Ḳhudá ke sáth mel ho gayá, Ḳhudá par faḳhr bhí karte haiṉ.

 

, to Ḳhudá ká fazl aur us kí jo baḳhshish ek hí ádmí, yaʻní Yisúʻ Masíh ke fazl se paidá húí, bahut se ádmíoṉ par zarúr hí ifrát se názil húí. 

magar bahutere qusúroṉ se aisí niʻmat paidá húí, jis ká natíja yih húá ki log rástbáz ṭhahre.

to jo log fazl aur rástbází kí baḳhshish ifrát se hásil karte haiṉ, wuh ek shaḳhs, yaʻní Yisúʻ Masíh ke wasíle se, hamesha kí zindagí meṉ zarúr hí bádsháhí kareṉge. rástbází ke ek kám ke wasíle se sab ádmíoṉ ko wuh niʻmat milí, jis se rástbáz ṭhahrke zindagí páeṉ.  ek kí farmánbardárí se bahut se log rástbáz ṭhahre

20Aur bích meṉ sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda húá, waháṉ fazl us se bhí niháyat ziyáda húá: 21táki jis tarah gunáh ne maut ke sabab se bádsháhí kí, usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se bádsháhí kare.

Romíoṉ 8

1Pas ab, jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, un par sazá ká hukm nahíṉ. 2Kyúṉki zindagí kí Rúh kí sharíʻat ne, Masíh Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád kar diyá. 3Is liye ki jo kám shariʻat, jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us ne apne Beṭe ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye bhejkar, jism meṉ gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá ham meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte haiṉ.

12Pas, ai bháiyo, ham qarzdár to haiṉ, magar jism ke nahíṉ, ki jism ke mutábiq zindagí guzáreṉ. 13Kyúṉki agar tum jism ke mutábiq zindagí guzároge, to zarúr maroge. Aur agar rúh se badan ke kámoṉ ko nest o nábúd karoge, to jíte rahoge. 14Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ. 15Kyúṉki tum ko gulámí kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ. 16Rúh ḳhud hamárí rúh ke sáth milkar gawáhí detí hai, ki ham Ḳhudá ke farzand haiṉ. 17Aur agar farzand haiṉ, to wáris bhí haiṉ; yaʻní Ḳhudá ke wáris, aur Masíh ke hammírás; basharte ki ham us ke sáth dukh uṭháeṉ, táki us ke sáth jalál bhí páeṉ. 18Kyúṉki merí dánist meṉ is zamáne ke dukh dard is láiq nahíṉ, ki us jalál ke muqábil ho sakeṉ, jo ham par záhir honewálá hai. 19Kyúṉki maḳhlúqát kamál árzú se Ḳhudá ke beṭoṉ ke záhir hone kí ráh dekhtí hai. 

Yúhanná 9

1Phir us ne játe meṉ ek shaḳhs ko dekhá, jo janam ká andhá thá. 2Aur us ke shágirdoṉ ne us se púchhá, ki Ai Rabbí, kis ne gunáh kiyá thá, jo yih andhá paidá húá; is shaḳhs ne, yá is ke máṉ báp ne? 3Yisúʻne jawáb diyá, ki Na is ne gunáh kiyá thá, na is ke máṉ báp ne: balki yih is liye húá ki Ḳhudá ke kám us meṉ záhir hoṉ.

 

Aʻmál 10

: 9Dúsre din, jab wuh ráh meṉ the, aur shahr ke nazdík pahuṉche to Patras do pahar ke qaríb koṭhe par duʻá máṉgne chaṛhá. 10Aur use bhúk lagí, aur kuchh kháná cháhtá thá: lekin jab log taiyár kar rahe the, to us par beḳhudí chhá gayí; 11aur us ne dekhá, ki ásmán khul gayá, aur ek chíz, baṛí chádar kí mánind chároṉ konoṉ se laṭaktí húí, zamín kí taraf utar rahí hai, 12jis meṉ zamín ke sab qism ke chaupáe, aur kíṛe makauṛe, aur hawá ke parande haiṉ. 13Aur use ek áwáz áí, ki Ai Patras, uṭh, zabh kar, aur khá. 14Magar Patras ne kahá; Ai Ḳhudáwand, hargiz nahíṉ; kyúṉki maiṉ ne kabhí koí harám yá nápák chíz nahín kháí. 15Phir dúsrí bár use áwáz áí, ki Jin ko Ḳhudá ne pák ṭhahráyá hai, tú unheṉ harám na kah. 16Tín bár aisá hí húá; aur fiʼlfaur wuh chíz ásmán par uṭhá lí gayí.

 15Jab maiṉ kalám karne lagá, to Rúhuʼl Quds un par is tarah názil húá, jis tarah shurúʻ meṉ ham par názil húá thá. 16Aur mujhe Ḳhudáwand kí wuh bát yád áí, jo us ne kahí thí, ki Yúhanná ne to pání se baptisma diyá; magar tum Rúhuʼl Quds se baptisma páoge. 17Pas jab Ḳhudá ne un ko bhí wuhí niʻmat dí jo ham ko Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh par ímán lákar milí thí, to maiṉ kaun thá, ki Ḳhudá ko rok saktá? 18Wuh yih sunkar chup rahe, aur Ḳhudá kí baṛáí karke kahá; To beshakk Ḳhudá ne gairqaumoṉ ko bhí zindagí ke liye tauba kí taufíq dí hai.

Pák logoṉ ke liye sab chízeṉ pák haiṉ;  pak hain khuda baap or beta

 

magar gunáhálúda aur beímán logoṉ ke líye kuchh bhí pák nahíṉ balki un kí ʻaql aur dil donoṉ gunáhálúda haiṉ.

 

Paidáish 6

: 5Aur Ḳhudáwand ne dekhá ki zamín par insán kí badí bahut baṛh gayí, aur us ke dil ke tasawwur aur ḳhayál sadá bure hí hote haiṉ.

 

Buriyai chizon men insani men nhi hai.,

Burai humari aql men or humara dil gunah aluda hai .,

Or ye kaun log hain jinki aql or dil dono gunah aluda hain.,

Jo aj bhi musa ki shariat ke adhin hain .,

Romíoṉ 3

: 20kyúṉki sharíʻat ke aʻmál se koí bashar us ke huzúr rástbáz nahíṉ ṭhahregá, is liye ki sharíʻat ke wasíle se to gunáh kí pahchán hí hotí hai. 

Sochne wali baat ye tama logo ko sab men gunah nazar aa raha hai.,

Magar ek yisu hain jo sab pak bolte hain or paak tehrate hain

Ab ap kahi ge wuh khud khuda hai.,

Nhi unki aql  or dil gunah aluda nhi they .,

Jink aql  dil dono gunah aluda hain ., unke liye  kuch bhi pak nhi.,

Yaha tak ki yisu masih bhi nhi.,

1 Kurinthíoṉ 12

:  3Pas maiṉ tumheṉ jatátá húṉ, ki jo koí Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se boltá hai, wuh nahíṉ kahtá, ki Yisúʻ malʻún hai; aur na koí Rúhuʼl Quds ke bagair kah saktá hai, ki Yisúʻ Ḳhudáwand hai.

To kehna ka mtlb jine paas masih ki ruh nhi ruh l quds nhi

Or wuh sirf musa ki shariat ke adhin dharmik jeevan aaj bhi ji rahen hain .,

Or logo ko bhi pareret karte hain yani maut ki swkai pathro ki takhtyion ki sewkai .,

Doshi thehrane wali sewkai ., or jo log is tarah sewkai ke adhin hain.,

Romíoṉ 8

: Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ. 

 

Ifisíoṉ 2

: 8kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai: 9aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare.

Galatíoṉ 5

: 4Tum jo sharíʻat ke wasíle se rástbáz ṭhahrná cháhte ho, Masíh se alag ho gaye, aur fazl se mahrúm.

Yúhanná 5

1In bátoṉ ke baʻd Yahúdíoṉ kí ek ʻíd húí, aur Yisúʻ Yarúshalem ko gayá.

2Yarúshalem meṉ bheṛ darwáze ke pás ek hauz hai, jo ʻIbrání meṉ Bait Hasdá kahlátá hai; aur us ke páṉch barámade haiṉ. 3In meṉ bahut se bímár, aur andhe, aur laṉgṛe, aur pazhmurda log [pání ke hilne ke muntazir hokar] paṛe the. [4Kyúṉki waqt par Ḳhudáwand ká firishta hauz par utarkar pání hiláyá kartá thá: pání hilte hí jo koí pahle utartá so shifá pátá, us kí jo kuchh bimárí kyúṉ na ho.] 5Waháṉ ek shaḳhs thá, jo aṭhtís baras se bímárí meṉ mubtalá thá. 6Is ko Yisúʻ ne paṛá húá dekhá, aur yih jánkar ki wuh baṛí muddat se is hálat meṉ hai, us se kahá; Kyá tú tandurust honá cháhtá hai? 7Us bímár ne use jawáb diyá; Ai Ḳhudáwand, mere pás koí ádmí nahíṉ, ki jab pání hiláyá jáe, to mujhe hauz meṉ utár de; balki mere pahuṉchte pahuṉchte dúsrá mujh se pahle utar paṛtá hai. 8Yisúʻ ne us se kahá; Uṭh, aur apní chárpáí uṭhákar chal phir. 9Wuh shaḳhs fauran tandurust ho gayá, aur apní chárpáí uṭhákar chalne phirne lagá.

 

 

Yúhanná 11

1Maryam aur us kí bahin Marthá ke gáṉw Baitʻaniyyáh ká Laʻzar nám ek ádmí bímár thá. 2Yih wuhí Maryam thí, jis ne Ḳhudáwand par ʻitr ḍálkar apne báloṉ se us ke páṉw poṉchhe; isí ká bháí Laʻzar bímár thá. 3Pas us kí bahinoṉ ne use yih kahlá bhejá, ki Ai Ḳhudáwand, dekh, jise tú ʻazíz rakhtá hai, wuh bímár hai. 4Yisúʻ ne sunkar kahá, ki Yih bímárí maut kí nahíṉ, balki Ḳhudá ke jalál ke liye hai, táki us ke wasíle se Ḳhudá ke Beṭe ká jalál záhir ho. 

 

In sab waqiyat men ek hi baat zahir hoti ki sab kuch bête ke jalal ke liye hota ab masih yisu men ek iman se rastbaaz shakas ki zindghi men .,

 21Marthá ne Yisúʻ se kahá, ki Ai Ḳhudáwand, agar tú yaháṉ hotá, to merá bháí na martá. 22Aur ab bhí maiṉ jántí húṉ, ki jo kuchh tú Ḳhudá se máṉgegá, wuh tujhe degá. 23Yisúʻ ne us se kahá; Terá bháí jí uṭhegá. 24Marthá ne us se kahá; Maiṉ jántí húṉ, ki qiyámat meṉ áḳhirí din jí uṭhegá. 25Yisúʻ ne us se kahá; Qiyámat aur zindagí to maiṉ húṉ:

Yani qiymat ke baad bhi zindghi hi  hai yisu masih .,

'Yisúʻ ne us se kahá; Qiyámat aur zindagí to maiṉ húṉ: jo mujh par ímán látá hai, go wuh mar jáe, taubhí zinda rahegá: '

 

Yúhanná 11:25

27Us ne us se kahá; Háṉ, ai Ḳhudáwand; maiṉ ímán lá chukí húṉ, ki Ḳhudá ká Beṭá Masíh, jo dunyá meṉ ánewálá thá, tú hí hai.

Phir Sadúqí jo kahte haiṉ, ki qiyámat hai hí nahíṉ,

Mubárak aur muqaddas wuh hai, jo pahlí qiyámat meṉ sharík ho: aisoṉ par dúsrí maut ká kuchh iḳhtiyár nahíṉ; balkí wuh Ḳhudá aur Masíh ke káhin hoṉge, aur us ke sáth hazár baras tak bádsháhí kareṉge.

Pas jab Masíh kí yih manádí kí játí hai, ki wuh murdoṉ meṉ se jí uṭhá, to tum meṉ se baʻz kis tarah kahte haiṉ, ki murdoṉ kí qiyámat hai hí nahíṉ?

Aur jab tak yih hazár baras púre na ho liye, báqí murde zinda na húe. Pahlí qiyámat yihí hai.

Agar murdoṉ kí qiyámat nahíṉ, to Masíh bhí nahíṉ jí uṭhá:

Lekin fiʼlwáqiʻ Masíh murdoṉ meṉ se jí uṭhá hai, aur jo so gaye haiṉ, un meṉ pahlá phal húá.

Kyúṉki jab ádmí ke sabab se maut áí, to ádmí hí ke sabab se murdoṉ kí qiyámat bhí áí;

behurmatí ki hálat meṉ boyá játá hai; aur jalál kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:

aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge.

Aur us ne tumheṉ bhí, jo apne qusúroṉ aur jism kí námakhtúní ke sabab se murda the, us ke sáth zinda kiyá, aur hamáre sab qusúr muʻáf kiye;

Kulussíoṉ 2

:12aur usí ke sáth baptisma meṉ dafn húe, aur is meṉ Ḳhudá kí quwwat par ímán lákar, jis ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, us ke sáth jí bhí uṭhe. 13Aur us ne tumheṉ bhí, jo apne qusúroṉ aur jism kí námakhtúní ke sabab se murda the, us ke sáth zinda kiyá, aur hamáre sab qusúr muʻáf kiye; 14aur hukmoṉ kí wuh dastáwez miṭá ḍálí, jo hamáre nám par, aur hamáre ḳhiláf thí; aur us ko salíb par kíloṉ se jaṛkar sámne se haṭá diyá: 15us ne hukúmatoṉ aur iḳhtiyároṉ ko apne úpar se utárkar un ká barmalá tamásha banáyá, aur salíb ke sabab se un par fathyábí ká shádiyána bajáyá.

 

 
 
 

Comments


© 2023 by Daniel Lunsford. Proudly created with Wix.com

bottom of page