top of page
  • Twitter
  • YouTube
  • Instagram

kHOON AUR GOSHT blood and flesh लहू और मांस किताब-ए-मुक़द्दस kitaab-e-muqaddas•کتابِ مقدَّس


Paidáish 2

; 21Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam par gahrí nínd bhejí, aur wuh so gayá: aur us ne us kí pasliyoṉ meṉ se ek ko nikál liyá, aur us kí jagah gosht bhar diyá; 22aur Ḳhudáwand Ḳhudá us paslí se, jo us ne Ádam men se nikálí thí, ek ‘aurat banákar use Ádam ke pás láyá. 23Aur Ádam ne kahá, ki Yih to ab merí haḍḍiyoṉ meṉ se haḍḍí, aur mere gosht meṉ se gosht hai: is liye wuh Nárí kahláegí, kyúṉki wuh Nar se nikálí gayí. 

1 Kurinthíoṉ 15

; 40Ásmání bhí jism haiṉ, aur zamíní bhí: magar ásmáníoṉ ká jalál âur hai, zamíníoṉ ká âur.

1 Kurinthíoṉ 15

; 44nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání hai, waise hi âur ásmání bhí haiṉ. 

Yúhanná 19

; 33Lekin jab unhoṉ ne Yisúʻ ke pás ákar dekhá ki wuh mar chuká hai, to us kí ṭáṉgeṉ na toṛíṉ. 34Magar un meṉ se ek sipáhí ne bhále se us kí paslí chhedí aur fiʼlfaur us se ḳhún aur pání bah niklá. 

Istisná 12

;  23Faqat itní ihtiyát zarúr rakhná, ki tum ḳhún ko na kháo, kyúṉki ḳhún hí to ján hai; so tum gosht ke sáth ján ko hargiz na kháná; 24tum us ko kháná mat, balki use pání kí tarah zamín par unḍel dená: 

Ye ha hadyata musa ki shariat ke adhin

Israel keg hare ko

Magar fazl or sachchai ke adhin jo masih yeshu ki marfita pauhnchi

 

 

Yúhanná 6

; 47Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo ímán látá hai, hamesha kí zindagí us kí hai. 48Zindagí kí roṭí maiṉ húṉ. 49Tumháre bápdádá ne biyábán meṉ mann kháyá, aur mar gaye. 50Yih wuh roṭí hai jo ásmán se utartí hai, táki ádmí us meṉ se kháe aur na mare. 51Maiṉ húṉ wuh zindagí kí roṭí jo ásmán se utrí: agar koí is roṭí meṉ se kháe, to abad tak zinda rahegá; balki jo roṭí maiṉ jahán kí zindagí ke liye dúṉgá, wuh merá gosht hai.

52Pas Yahúdí yih kahkar ápas meṉ jhagaṛne lage, ki Yih shaḳhs apná gosht hameṉ kyúṉkar kháne ko de saktá hai? 53Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jab tak tum Ibn i Ádam ká gosht na kháo, aur us ká ḳhún na piyo, tum meṉ zindagí nahíṉ. 54Jo merá gosht khátá, aur merá ḳhún pítá hai, hamesha kí zindagí us kí hai, aur maiṉ use áḳhirí din phir zinda karúṉgá. 55Kyúṉki merá gosht fiʼlhaqíqat kháne kí chíz aur merá ḳhún fiʼlhaqíqat píne kí chíz hai. 56Jo merá gosht khátá aur merá ḳhún pítá hai, wuh mujh meṉ qáim rahtá hai, aur maiṉ us meṉ. 

Kulussíoṉ 2

; 20Jab tum Masíh ke sáth dunyawí ibtidáí bátoṉ kí taraf se mar gaye, to phir un kí mánind jo dunyá meṉ zindagí guzárte haiṉ, ádmíoṉ ke hukmoṉ aur taʻlímoṉ ke muwáfiq, aise qáʻidoṉ ke kyúṉ páband hote ho, 21ki Ise na chhúná, use na chakhná, use háth na lagáná, 22(kyúṉki yih sárí chízeṉ kám meṉ láte láte faná ho jáeṉgí)? 

 

Lúqá 22

; 14Jab waqt ho gayá, to wuh kháná kháne baiṭhá, aur rasúl us ke sáth baiṭhe. 15Us ne un se kahá; Mujhe baṛí árzú thí, ki dukh sahne se pahle yih Fasah tumháre sáth kháúṉ; 16kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Use kabhí na kháúṉgá, jab tak wuh Ḳhudá kí bádsháhat meṉ púrá na ho. 17Phir us ne piyála lekar shukr kiyá, aur kahá, ki Is ko lekar ápas meṉ báṉṭ lo: 18kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Angúr ká shíra ab se kabhí na píúṉgá, jab tak Ḳhudá kí bádsháhat na á le. 19Phir us ne roṭí lí, aur shukr karke toṛí, aur yih kahkar un ko dí, ki Yih merá badan hai, jo tumháre wáste diyá játá hai: merí yádgárí ke liye yihí kiyá karo. 20Aur isí tarah kháne ke baʻd piyála yih kahkar diyá, ki Yih piyála mere us ḳhún meṉ nayá ʻahd hai, jo tumháre wáste baháyá játá hai.

Ai bháiyo, merá matlab yih hai, ki gosht aur ḳhún Ḳhudá kí bádsháhat ká wáris nahíṉ ho saktá, aur na faná baqá kí wáris ho saktí hai.

kyúṉki hameṉ ḳhún aur gosht se kushtí nahíṉ karní hai, balki hukúmatwáloṉ aur iḳhtiyárwáloṉ, aur is dunyá kí táríkí ke hákimoṉ aur sharárat kí un rúhání faujoṉ se, jo ásmání maqámoṉ meṉ haiṉ.

 

Matí 16

; 13Jab Yisúʻ Qaisariya Filippí ke ʻiláqe meṉ áyá, to apne shágirdoṉ se yih púchhá, ki Log Ibn i Ádam ko kyá kahte haiṉ? 14Unhoṉ ne kahá; Baʻz Yúhanná baptisma denewálá kahte haiṉ, baʻz Eliyyáh, baʻz Yarmiyáh, yá nabíoṉ meṉ se koí. 15Us ne un se kahá; Magar tum mujhe kyá kahte ho? 16Shamaʻún Patras ne jawáb meṉ kahá; Tú zinda Ḳhudá ká Beṭá Masíh hai. 17Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá, ki Mubárak hai tú, Shámaʻún BarYoná; kyúṉki yih bát gosht aur ḳhún ne nahíṉ, balki mere Báp ne, jo ásmán par hai, tujh par záhir ki hai.

 

Pas jis súrat meṉ ki laṛke ḳhún aur gosht meṉ sharík haiṉ, to wuh ḳhud bhí un kí tarah un meṉ sharík húá; táki maut ke wasíle se us ko jise maut par qudrat hásil thí, yaʻní Iblís ko, tabáh kar de;

 

Agar iman la chuke ki hum masih men pakrwaye ge or saleeb di gaye  or tisre din murdo men se zinda hoye masih yeshua men

To ab tum jismani nhi ruhani

Magar agar aap khun ghost ki rasam ko ek reet ko taur par karte ho yahudio ki tarah iman nhi laye

To likha hai jo iman nhi laya uspar saza ka hukam ho chukka

Iman lain matlab ye nhi ki hum khud bhi unhi kamon ko duhrate jayen

Isliye ki hum yesu masih men hai iman laine ka matlab ye hai ki badan men sab

Kuch saleeb par

Yesu ke badan men tamam hoya pura hoya

Ab hum aram ke din men dakhil hoye

Romíoṉ 10

; 4Kyúṉki har ek ímán lánewále kí rástbází ke liye Masíh sharíʻat ká anjám hai. 

Matí 5

; 17Yih na samjho, ki maiṉ Tauret yá nabíoṉ kí kitáboṉ ko mansúḳh karne áyá húṉ; mansúḳh karne nahíṉ, balki púrá karne áyá húṉ. 1

Yasa‘iyáh 42

; 21Ḳhudáwand ko pasand áyá, ki apní sadáqat kí ḳhátir sharí‘at ko buzurgí de, aur use qábil i ta‘zím banáe. 

Lúqá 24

; 44Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ. 45Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ, 46aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí. 4

Romíoṉ 3

; 30kyúṉki ek hí Ḳhudá hai, jo maḳhtúnoṉ ko bhí ímán se, aur námaḳhtúnoṉ ko bhí ímán hí ke wasíle se rástbáz ṭhahráegá. 31Pas kyá ham sharíʻat ko ímán se bátil karte haiṉ? Hargiz nahíṉ: balki sharíʻat ko qáim rakhte haiṉ.

Chúṉki roṭí ek hí hai, is liye ham jo bahut se haiṉ ek badan haiṉ, kyúṉki ham sab usí ek roṭí meṉ sharík hote haiṉ.

 

Romíoṉ 5

;  12Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá — 13kyúṉki sharíʻat ke diye jáne tak dunyá meṉ gunáh to thá: magar jaháṉ sharíʻat nahíṉ, waháṉ gunáh mahsúb nahíṉ hotá. 14Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá. 15Lekin qusúr ká jo hál hai, wuh fazl kí niʻmat ká nahíṉ. Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr se bahut se ádmí mar gaye, to Ḳhudá ká fazl aur us kí jo baḳhshish ek hí ádmí, yaʻní Yisúʻ Masíh ke fazl se paidá húí, bahut se ádmíoṉ par zarúr hí ifrát se názil húí. 16Aur jaisá ek shaḳhs ke gunáh karne ká anjám húá, baḳhshish ká waisá hál nahíṉ; kyúṉki ek hí ke sabab se wuh faisala húá, jis ká natíja sazá ká hukm thá: magar bahutere qusúroṉ se aisí niʻmat paidá húí, jis ká natíja yih húá ki log rástbáz ṭhahre. 17Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr ke sabab maut ne us ek ke zaríʻe se bádsháhí kí; to jo log fazl aur rástbází kí baḳhshish ifrát se hásil karte haiṉ, wuh ek shaḳhs, yaʻní Yisúʻ Masíh ke wasíle se, hamesha kí zindagí meṉ zarúr hí bádsháhí kareṉge. 18G̣araz, jaisá ki ek qusúr ke sabab wuh faisala húá, jis ká natíja sab ádmíoṉ kí sazá ká hukm thá; waisá hí rástbází ke ek kám ke wasíle se sab ádmíoṉ ko wuh niʻmat milí, jis se rástbáz ṭhahrke zindagí páeṉ. 19Kyúṉki jis tarah ek hí shaḳhs kí náfarmání se bahut se log gunahgár ṭhahre, usí tarah ek kí farmánbardárí se bahut se log rástbáz ṭhahreṉge. 20Aur bích meṉ sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda húá, waháṉ fazl us se bhí niháyat ziyáda húá: 21táki jis tarah gunáh ne maut ke sabab se bádsháhí kí, usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se bádsháhí kare.

0 views0 comments

Kommentare


bottom of page