top of page
  • Twitter
  • YouTube
  • Instagram

मानसिक तनाव चिंता डिप्रेशन से कैसे बाहर आयें | overcoming depression anxiety


AGAR AAP CHINTAT HAIN HATASH HAIN PRESHAN HAIN  TO YE AAJ KA MASIH UPDESH JO FAZL OR SACHCHAI KE ADHIN HAI JO MASIH YESHUA KI MARIFAT PAUHNCHI

RUH L QUDS KI MADAD SE  HUM JO SHIRKAT KAR RAHI HAI SANGTI KAR RAHEN BETE KE KALAM KE SATH BAAP KE KALAM KE SAATH

MASIH UPDESH KO ADOPET KARNE KE LIYE GREHAN KARNE KE LIYE RECIVE KARNE KE LIYE APKA INSAAN HUNA KAFI HAI

OR MASIH UPDESH MEN EK HI CONDITION HAI KI VISHWASH HI SE AAP MASIH  UPDESH KO ACCEPT KARTE HAIN

ISKE ILAWA KOI OR CONDTION NHI

TO MASIH YESHUA KA KALAM APKE LIYE APKI HAR MUSHKIL PARESHANI KE LIYE KAAM KARNA SHURU KAR DETA HAI TAKI AAP MASIH MEN HUMESHA KI SHANTI HASIL KARE

TO MAIN HUN MASIH MEN APKA BHAI YASARIM EL AAP IS KALAM KO SUN PA RAHEN HAIN

YASARIM EL HINDI URDU HEBREW YOUTUBE CHANNEL PAR SUBSCRIBE KRNA BILKOL NA BOLEN

OR VIDEO KO SHARE KARNA TO BILKOL BHI NA BHOLEN  KYU APKE SHARE KARNE SE HI KISI KI ZINDGHI MEN  KISI BHI TARAH KI

CHINTA PARESHANI HO APKE EK SHARE SE WUH US PRESHANI SE MASIH KE KALAM KE DWARA ARAM PA JAYE GA

OR USKA AZR AAP PA CHUKE

TO CHALIYE AAJ KA UPDESH SHURU KARTE HAIN

 

 Matí 11

; 28Ai mihnat uṭhánewálo, aur bojh se dabe húe logo, sab mere pás áo, maiṉ tumheṉ árám dúṉgá.

'Maiṉ tumheṉ itmínán diye játá húṉ; apná itmínán tumheṉ detá húṉ: jis tarah dunyá detí hai, maiṉ tumheṉ us tarah nahíṉ detá. Tumhárá dil na ghabráe aur na ḍare. '

 

Yúhanná 14:27

1 Patras 5

;  6Pas Ḳhudá ke qawí háth ke níche firotaní se raho, táki wuh tumheṉ waqt par sarbaland kare; 7aur apní sarí fikr usí par ḍál do, kyúṉki us ko tumhárá ḳhayál hai. 

Matí 6

;  34Pas kal ke liye fikr na karo, kyúṉki kal ká din apne liye áp fikr kar legá. 

Yarmiyáh 17

; 7Mubárak hai wuh ádmí jo Ḳhudáwand par tawakkul kartá hai, aur jis kí ummedgáh Ḳhudáwand hai.

Zabúr 94

; 19Jab mere dil meṉ fikroṉ kí kasrat hotí hai,

To terí tasallí merí ján ko shád kartí hai.

1 Kurinthíoṉ 7

;  32Pas maiṉ yih cháhtá húṉ, ki tum befikr raho.

Yashú‘ 1

; So mazbút ho já aur hausala rakh: ḳhauf na khá, aur bedil na ho; kyúṉki Ḳhudáwand terá Ḳhudá, jaháṉ jaháṉ tú jáe, tere sáth rahegá.

Zabúr 55

; 22Apná bojh Ḳhudáwand par ḍál de, wuh tujhe sambhálegá:

Wuh sádiq ko kabhí jumbish na kháne degá.

 

Zabúr 23

 Ḳhudáwand merá chaupán hai; mujhe kamí na hogí.

HUM SAB NE JAROOR SUN HUGA

'Unhoṉ ne kahá; Ḳhudáwand Yisúʻ par ímán lá, to tú aur terá gharáná naját páegá. '

 

Aʻmál 16:31

HUM NE JAROOR JAB IS KALAM KO SUNA HUGA TO APNE APNE GHARANE KI FIKAR KI HUGI

JO HUM SANSAAR MEN  KHUN KE RISHTE HAIN

SANSARIK GHARANE HAIN UNKI HO CHINTA KI HUGI UNKI FIKAR KI HUGI UNKO BACHANE KE LIYE SOCHA HUGA

MAGAR HUMARA JO PADOSI HAI  JISPAR ABHI TAK MASIH ZAHIR NHI USKA KYA HUMARA GALLI MOHALLE MEN REHTE HAI UNKA KA KIYA

HUMARE GAON WALE SEHAR DISTRICT UNKA KYA

KYU EK TARAF TO HUM SUNTE HAIN

Filippíoṉ 2

;  10táki Yisúʻ ke nám par har ek ghuṭná ṭike, ḳhwáh ásmáníoṉ ká ho, ḳhwáh zamíníoṉ ká, ḳhwáh un ká jo zamín ke níche haiṉ; 11aur Ḳhudá Báp ke jalál ke liye har ek zabán iqrár kare, ki Yisúʻ Masíh Ḳhudáwand hai.

TO PHIR JAB HUMARE GHAR PARIWAR MEN SAB THIK THAK HO JATA HAI TO DUSRE KE LIYE HUMARI ANKHEN KAN KYU BAND HO JATE HAIN

KYA MASIH YESU NE SIRF UNHI KE LIYE JAAN DI JO MASIH MEN IMAN LA CHUKE OR ARAM PA CHUKE

Yúhanná 3

; 16Kyúṉki Ḳhudá ne dunyá se aisí mahabbat rakkhí, ki us ne apná iklautá Beṭá baḳhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe halák na ho, balki hamesha kí zindagi páe.

 

2 Kurinthíoṉ 5

; 4Kyúṉki Masíh kí mahabbat ham ko majbúr kar detí hai; is liye ki ham yih samajhte haiṉ, ki jab ek sab ke wáste múá, to sab mar gaye; 15aur wuh is liye sab ke wáste múá, 

1 Yúhanná 2

; aur wuhí hamáre gunáhoṉ ká kaffára hai, aur na sirf hamáre hí gunáhoṉ ká, balki tamám dunyá ke gunáhoṉ ká bhí.

HUM ISLIYE NAHI BACHAYE JATE MASIH MEN KI BACHKAR APNI RAH HO LE

HUM ISLIYE BACHAYE JATE HAIN KI BAKI JO DUNIYA MEN HUMARE GHARANE

KE LOG HAIN JO GUNAH MEN HAIN UNHEN MEN

APNI TARAH PAKIZGAI KE GHARANE KE LIYE BULAHAT DE JIS TARAH HUMEN WUH BULAHAT DI GAI

1 Patras 3

; 18Is liye ki Masíh ne bhí, yaʻní rástbáz ne nárástoṉ ke liye, gunáhoṉ ke báʻis ek bár dukh uṭháyá, táki ham ko Ḳhudá ke pás pahuṉcháe; wuh jism ke iʻtibár se to márá gayá, lekin rúh ke iʻtibár se zinda kiyá gayá;

HUM KYA KARTE JAB MASIH MEN CHUN LIYE JATEN HAIN

TO APNE PURANE DOSTO SE DOORI BANA LETE HAIN

PURANR RISHTE DARO SE DOORI BANA LETE HAIN

OR JO PEHLE SE MASIH HAIN UNSE DOSTI KARNA OR RISHTEDARI NIBANA OR PALANA SHURU KAR DETE

HAIN

MAGAR  BAUHT JALAD BHOL JATEN HAIN

KI HUM KABHI IN HI MEN  SE THEY

Ifisíoṉ 2

; 11Pas yád karo, ki tum jo jism ke rú se gairqaumwále ho — aur wuh log jo jism meṉ háth se kiye húe ḳhatne ke sabab maḳhtún kahláte haiṉ, tum ko námaḳhtún kahte haiṉ — 12agle zamáne meṉ Masíh se judá, aur Isráíl kí saltanat se ḳhárij, aur waʻde ke ʻahdoṉ se náwáqif, aur náummed, aur dunyá meṉ Ḳhudá se ʻaláhida the. 13Magar tum jo pahle dúr the, ab Masíh Yisúʻ meṉ Masíh ke ḳhún ke sabab se nazdík ho gaye ho. 14Kyúṉki wuhí hamárí sulh hai, jis ne donoṉ ko ek kar liyá, aur judáí kí díwár ko jo bích meṉ thí, ḍhá diyá; 15chunáṉchi us ne apne jism ke zaríʻe se dushmaní, yaʻní wuh sharíʻat jis ke hukm zábitoṉ ke taur par the, mauqúf kar dí; táki donoṉ se apne áp meṉ ek nayá insán paidá karke sulh kará de; 16aur salíb par dushmaní ko miṭákar, aur us ke sabab se donoṉ ko ek tan banákar, Ḳhudá se miláe; 17aur us ne ákar, tumheṉ jo dúr the, aur unheṉ jo nazdík the, donoṉ ko sulh kí ḳhushḳhabarí dí: 18kyúṉki us hí ke wasíle se ham donoṉ kí ek hí Rúh meṉ Báp ke pás rasáí hotí hai. 19Pas ab tum pardesí aur musáfir nahíṉ rahe, balki muqaddasoṉ ke hamwatan aur Ḳhudá ke gharáne ke ho gaye, 20aur rasúloṉ aur nabíoṉ kí neo par, jis ke kone ke sire ká patthar ḳhud Masíh Yisúʻ hai, taʻmír kiye gaye ho; 21usí meṉ har ek ʻimárat mil milákar Ḳhudáwand meṉ ek pák maqdis bantí játí hai; 22aur tum bhí us meṉ báham taʻmír kiye játe ho, táki Rúh meṉ Ḳhudá ká maskan bano.

'Usí marzí ke sabab ham Yisúʻ Masíh ke jism ke ek hí bár qurbán hone ke wasíle se pák kiye gaye haiṉ. '

 

ʻIbrá Níoṉ 10:10

Romíoṉ 6

; 10Kyúṉki Masíh jo múá, gunáh ke iʻtibár se ek bár múá: magar ab jo jitá hai, Ḳhudá ke iʻtibár se jítá hai. 

 

Ástar 2

;; 5Aur qasr i Sosan meṉ ek Yahúdí thá, jis ká nám Mardakí thá, jo Yáir, bin Sima‘í, bin Qís ká beṭá thá, jo Binyamíní thá; 6aur Yarúshalem se un asíroṉ ke sáth gayá thá jo sháh i Yahúdáh Yakúniyáh ke sáth asírí meṉ gaye the, jin ko sháh i Bábul Nabúkadnazar asír karke le gayá thá. 7Us ne apne chachá kí beṭí Hadassáh ya‘ní Ástar ko pálá thá; kyúṉki us ke máṉ báp na the; aur wuh laṛkí hasín aur ḳhúbsúrat thí: aur jab us ke máṉ báp mar gaye, to Mardakí ne use apní beṭí karke pálá. 8So aisá húá, ki jab bádsháh ká hukm aur farmán sunne meṉ áyá, aur bahut sí kuṉwáriyáṉ qasr i Sosan meṉ ikaṭṭhí hokar Haijá ke supurd húíṉ, to Ástar bhí bádsháh ke mahall meṉ pahuṉcháí gayí, aur ‘auratoṉ ke muháfiz Haijá ke supurd húí. 9Aur wuh laṛkí use pasand áí, aur us ne us par mihrbání kí; aur fauran use sháhí mahall meṉ se tahárat ke liye us ke sámán, aur kháne ke hisse, aur aisí sát saheliyáṉ jo us ke láiq thíṉ use díṉ, aur use aur us kí saheliyoṉ ko haramsará kí sab se achchhí jagah meṉ le jákar rakkhá. 10Ástar ne na apní qaum na apná ḳhándán záhir kiyá thá;

13Tab Mardakí ne un se kahá, ki Ástar ke pás yih jawáb le jáeṉ, ki Tú apne dil meṉ yih na samajh, ki sab Yahúdíoṉ meṉ se tú bádsháh ke mahall meṉ bachí rahegí. 14Kyúṉki agar tú is waqt ḳhámoshí iḳhtiyár kare, to ḳhalásí aur naját Yahúdíoṉ ke liye kisí âur jagah se áegí; par tú apne báp ke ḳhándán samet halák ho jáegí: aur kyá jáne ki tú aise hí waqt ke liye saltanat ko pahuṉchí hai? 15Tab Ástar ne un ko Mardakí ke pás yih jawáb le jáne ká hukm diyá, 16ki Já, aur Sosan meṉ jitne Yahúdí maujúd haiṉ, un ko ikaṭṭhá kar, aur tum mere liye roza rakkho, aur tín roz tak, din aur rát, na kuchh kháo na piyo; maiṉ bhí aur merí saheliyáṉ isí tarah se roza rakkheṉgí; aur aise hí maiṉ bádsháh ke huzúr jáúṉgí jo áín ke ḳhiláf hai; aur agar maiṉ halák húí to halák húí.

Romíoṉ 5

; 12Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá — 13kyúṉki sharíʻat ke diye jáne tak dunyá meṉ gunáh to thá: magar jaháṉ sharíʻat nahíṉ, waháṉ gunáh mahsúb nahíṉ hotá. 14Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá. 15Lekin qusúr ká jo hál hai, wuh fazl kí niʻmat ká nahíṉ. Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr se bahut se ádmí mar gaye, to Ḳhudá ká fazl aur us kí jo baḳhshish ek hí ádmí, yaʻní Yisúʻ Masíh ke fazl se paidá húí, bahut se ádmíoṉ par zarúr hí ifrát se názil húí.

Agar koí apnoṉ aur ḳhásskar apne gharáne kí ḳhabargírí na kare, to ímán ká munkir, aur beímán se badtar hai.

'Pas apní aur us sáre galle kí ḳhabardárí karo, jis ká Rúhuʼl Quds ne tumheṉ nigahbán ṭhahráyá, táki Ḳhudá kí kalísiyá kí gallabání karo, jise us ne ḳháss apne ḳhún se mol liyá. '

 

Aʻmál 20:28

Jo apne gharáne ko dukh detá hai hawá ká wáris hogá: Aur ahmaq dánádil ká ḳhádim banegá.

Nafa‘ ká lálachí apne gharáne ko pareshán kartá hai: Par wuh jis ko rishwat se nafrat hai zinda rahegá.

Aur Yúsuf ne apne bháiyoṉ se aur apne báp ke gharáne se kahá, Maiṉ abhí jákar Fir‘aun ko ḳhabar kar dúṉgá aur us se kah dúṉgá, ki Mere bháí aur mere báp ke gharáne ke log, jo mulk i Kan‘án meṉ the, mere pás á gaye haiṉ.

Sárí dunyá Ḳhudáwand ko yád karegí aur us kí taraf rujú‘ láegí: Aur qaumoṉ ke sab gharáne tere huzúr sijda kareṉge.

 

Aʻmál 10

1Qaisariya meṉ Kurneliyus nám ek shaḳhs thá, wuh us palṭan ká súbadár thá, jo Itáliyání kahlátí hai. 2Wuh díndár thá, aur apne sáre gharáne samet Ḳhudá se ḍartá thá, aur Yahúdíoṉ ko bahut ḳhairát detá, aur har waqt Ḳhudá se duʻá máṉgtá thá. 3Us ne tísre pahar ke qaríb royá meṉ sáf sáf dekhá, ki Ḳhudá ká firishta mere pás ákar kahtá hai; Kurneliyus. 4Us ne us ko gaur se dekhá, aur ḍarke kahá; Ḳhudáwand, kyá hai? Us ne us se kahá, ki Terí duʻáeṉ aur terí ḳhairát yádgárí ke liye Ḳhudá ke huzúr pahuṉchíṉ. 5Ab Yáfá meṉ ádmí bhejkar, Shamaʻún ko, jo Patras kahlátá hai, bulwá le. 6Wuh Shamaʻún dabbág ke háṉ mihmán hai, jis ká ghar samundar ke kanáre hai.

 

 Aur Kurneliyus apne rishtadároṉ aur dilí dostoṉ ko jamaʻ karke un kí ráh dekh rahá thá. 25Jab Patras andar áne lagá, to aisá húá ki Kurneliyus ne us ká istiqbál kiyá, aur us ke qadamoṉ meṉ girke sijda kiyá. 26Lekin Patras ne use uṭhákar kahá, ki Khaṛá ho; maiṉ bhí to insán húṉ. 27Aur us se báteṉ kartá húá andar gayá, aur bahut se logoṉ ko ikaṭṭhá pákar 28un se kahá; Tum to jánte ho, ki Yahúdí ko gairqaumwále se suhbat rakhní, yá us ke háṉ jáná nájáiz hai; magar Ḳhudá ne mujh par záhir kiyá, ki maiṉ kisí ádmí ko najis yá nápák na kahúṉ: 29isí liye jab maiṉ buláyá gayá, to beʻuzr chalá áyá. Pas ab maiṉ púchhtá húṉ, ki mujhe kis bát ke liye buláyá hai? 30Kurneliyus ne kahá; Is waqt púre chár roz húe, ki maiṉ apne ghar meṉ tísre pahar kí duʻá máṉg rahá thá; to dekho, ek shaḳhs chamakdár poshák pahine húe mere sámne khaṛá húá 31aur kahá, ki Ai Kurneliyus, terí duʻá sun lí gayí, aur teri ḳhairát kí Ḳhudá ke huzúr yád húí. 32Pas kisí ko Yáfá meṉ bhejkar Shamaʻún ko, jo Patras kahlátá hai, apne pás bulá; wuh samundar ke kanáre Shamaʻún dabbág ke ghar meṉ mihmán hai. 33Pas usí dam maiṉ ne tere pás ádmí bheje; aur tú ne ḳhúb kiyá jo á gayá. Ab ham sab Ḳhudá ke huzúr házir haiṉ, táki jo kuchh Ḳhudáwand ne tujh se farmáyá hai, use suneṉ. 34Patras ne zabán kholkar kahá;

Ab mujhe púrá yaqín ho gayá, ki Ḳhudá kisí ká tarafdár nahíṉ: 35balki har qaum meṉ jo us se ḍartá aur rástbází kartá hai, wuh us ko pasand átá hai. 36Jo kalám us ne baní Isráíl ke pás bhejá, jab ki Yisúʻ Masíh kí maʻrifat (jo sab ká Ḳhudáwand hai) sulh kí ḳhushḳhabarí dí, 37us bát ko tum jánte ho, jo Yúhanná ke baptisma kí manádí ke baʻd, Galíl se shurúʻ hokar, tamám Yahúdiya meṉ mashhúr ho gayí; 38ki Ḳhudá ne Yisúʻ Násarí ko Rúhuʼl Quds aur qudrat se kis tarah masah kiyá: wuh bhaláí kartá, aur un sab ko jo Iblís ke háth se zulm uṭháte the, shifá detá phirá; kyúṉki Ḳhudá us ke sáth thá. 39Aur ham un sab kámoṉ ke gawáh haiṉ, jo us ne Yahúdíoṉ ke mulk aur Yarúshalem meṉ kiye; aur unhoṉ ne us ko salíb par laṭkákar már ḍálá. 40Us ko Ḳhudá ne tísre din jiláyá, aur záhir bhí kar diyá, 41na ki sárí ummat par, balki un gawáhoṉ par jo áge se Ḳhudá ke chune húe the, yaʻní ham par, jinhoṉ ne us ke murdoṉ meṉ se jí uṭhne ke baʻd us ke sáth kháyá piyá. 42Aur us ne hameṉ hukm diyá, ki Ummat meṉ manádí karo aur gawáhí do, ki yih wuhí hai jo Ḳhudá kí taraf se zindoṉ aur murdoṉ ká munsif muqarrar kiyá gayá. 43Is shaḳhs kí sab nabí gawáhí dete haiṉ, ki jo koí us par ímán láegá, us ke nám se gunáhoṉ kí muʻáfí hásil karegá.

44Patras yih báteṉ kah hí rahá thá, ki Rúhuʼl Quds un sab par názil húá, jo kalám sun rahe the. 45Aur Patras ke sáth jitne maḳhtún ímándár áe the, wuh sab hairán húe, ki gairqaumoṉ par bhí Rúhuʼl Quds kí baḳhshish járí húí. 46Kyúṉki unheṉ tarah tarah kí zabáneṉ bolte, aur Ḳhudá kí baṛáí karte suná. Patras ne jawáb diyá; 

 

Galatíoṉ 3

; 6Chunáṉchi Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbází giná gayá. 7Pas ján lo, ki jo ímánwále haiṉ, wuhí Ibráhím ke farzand haiṉ. 8Aur kitáb i muqaddas ne peshtár se yih jánkar, kí Ḳhudá gairqaumoṉ ko ímán se rástbáz ṭhahráegá, pahle hí se Ibráhím ko yih ḳhushḳhabarí suná dí, ki Tere báʻis sárí qaumeṉ barakat páeṉgí. 9Pas jo ímánwále haiṉ, wuh ímándár Ibráhím ke sáth barakat páte haiṉ.

kyúṉki wuh kahtá hai, ki Maiṉ ne qubúlíyat ke waqt terí sun lí, Aur naját ke din terí madad kí: dekho, ab qubúlíyat ká waqt hai; dekho, yih naját ká din hai:

Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.

ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá.

AB AAP MASIH KE GHARANE KE HO CHUKE

AMEN MASIH YESHUA MEN AAPKI SALAMATI HO 

0 views0 comments

Comments


bottom of page