पुराना नियम + पवित्र आत्मा = यीशु मसीह का प्रकाशन
- Yasarim El

- Jul 12
- 13 min read
aaj parkahan humen sikhta hai ., ki parkasht vikaye ko samjhne ke liye kalam ke parkashan ko samjjhne ke liye hikmat or mukashafa ki ruh huni jaroori hai ., yisu ki baten men se sikhne ke liye or yaad rakhne ke liye ruh l quds ka hun jaroori hai ., or purane ahd name ki pustko ko samjhne ke liye jitne baten maish ke haq men likhi hai ., uske liye yisu masih ki baten men se sikhna or sunna jaroori ahi आज का यह अध्ययन हमें सिखाता है कि परमेश्वर के प्रकाशन को समझने के लिए केवल पढ़ना पर्याप्त नहीं है, बल्कि परमेश्वर की ओर से बुद्धि और प्रकाशन की आत्मा का होना आवश्यक है।
यीशु मसीह की शिक्षाओं को समझने, उन्हें स्मरण रखने और उनके आत्मिक अर्थ को ग्रहण करने के लिए पवित्र आत्मा आवश्यक है, क्योंकि उसी के विषय में यीशु ने कहा, "वह तुम्हें सब बातें सिखाएगा और जो कुछ मैंने तुम से कहा है, वह तुम्हें याद दिलाएगा।" (यूहन्ना 14:26)
इसी प्रकार पुराने नियम की पुस्तकों में जो कुछ मसीह के विषय में लिखा गया है, उसे समझने के लिए भी पवित्र आत्मा की अगुवाई और स्वयं यीशु मसीह की शिक्षा आवश्यक है। क्योंकि समस्त पवित्रशास्त्र अंततः यीशु मसीह की गवाही देता है।
जब हम मसीह के वचन को सुनते हैं, तब विश्वास उत्पन्न होता है। विश्वास के द्वारा हम परमेश्वर के पुत्र को ग्रहण करते हैं, और जिसके पास पुत्र है, उसके पास अनन्त जीवन है। पवित्र आत्मा उसी मसीह का प्रकाशन हमारे हृदय में करता है और हमें उसकी समानता में बढ़ाता है।
इस पूरे अध्ययन का सार यही है कि मसीही जीवन की नींव तीन बातों पर टिकी है—विश्वास, आशा और प्रेम। विश्वास हमें मसीह से जोड़ता है, आशा हमें अनन्त जीवन की ओर स्थिर रखती है, और प्रेम हमें मसीह के स्वरूप में परिपक्व बनाता है। जैसा लिखा है: "अब विश्वास, आशा और प्रेम ये तीनों स्थिर रहते हैं; पर इनमें सबसे बड़ा प्रेम है।" (1 कुरिन्थियों 13:13)"पुराना नियम मसीह की गवाही देता है, और पवित्र आत्मा उस गवाही का अर्थ खोलकर जी उठे हुए मसीह को हमारे हृदय में प्रकट करता है।
"क्या केवल बाइबल पढ़ लेने से कोई यीशु मसीह को जान सकता है?
अगर हाँ, तो फिर वे यहूदी, जो दिन-रात पवित्रशास्त्र पढ़ते थे, यीशु को क्यों नहीं पहचान पाए?
अगर पुराना नियम मसीह की गवाही देता है, तो फिर इतने सारे भविष्यद्वक्ता और शास्त्री उसके आने पर उसे क्यों न समझ सके?
और यीशु ने अपने चेलों से यह क्यों कहा कि "सत्य का आत्मा आएगा, वह मेरी गवाही देगा और तुम्हें सब सत्य में ले चलेगा"?
क्या पवित्र आत्मा कोई नया संदेश लेकर आया, या उसने पुराने नियम में लिखी हुई मसीह की गवाही का अर्थ खोलकर दिखाया?
आज की इस शिक्षा में हम बाइबल से देखेंगे कि पुराना नियम किसकी गवाही देता है, पवित्र आत्मा का वास्तविक कार्य क्या है, और क्यों परमेश्वर के आत्मा के बिना कोई भी मसीह के प्रकाशन को पूरी तरह नहीं समझ सकता।
यदि आप सचमुच परमेश्वर के वचन को उसके वास्तविक अर्थ में समझना चाहते हैं, तो इस अध्ययन को अंत तक अवश्य देखें।"पुराना नियम मसीह की गवाही देता है, और पवित्र आत्मा उस गवाही का अर्थ खोलकर जी उठे हुए मसीह को हमारे हृदय में प्रकट करता है।"
Yúhanná 5
: 39 Tum kitáb i muqaddas meṉ ḍhúṉḍhte ho; kyúṉki samajhte ho ki us meṉ hamesha kí zindagí tumheṉ miltí hai; aur yih wuh hai, jo merí gawáhí deti hai;
2 Kurinthíoṉ 3
; 15Magar áj tak jab kábhí Músá kí kitáb paṛhí játí hai, to un ke dil par parda paṛá rahtá hai. 16Lekin jab kabhí un ká dil Ḳhudáwand kí taraf phiregá, to wuh parda uth jáegá.
Lúqá 24": 44Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ. 45Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ, 46aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí. 48Tum in bátoṉ ke gawáh ho. 49Aur dekho, jis ká mere Báp ne waʻda kiyá hai, maiṉ us ko tum par názil karúṉgá; lekin, jab tak ʻálam i bálá par se tum ko quwwat ká libás na mile, is shahr meṉ ṭhahre raho.
Lúqá 24
: 25Us ne un se kahá, ki Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo! 26Kyá Masíh ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá? 27Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ.
Matí 13: 10Shágirdoṉ ne pás ákar us se kahá; Tú un se tamsíloṉ meṉ kyúṉ báteṉ kartá hai? 11Us ne jawáb meṉ un se kahá; Is liye ki tum ko ásmán kí bádsháhat ke bhedoṉ kí samajh dí gayí hai, magar unheṉ nahíṉ dí gayí. 12Kyúṉki jis ke pás hai, use diyá jáegá, aur us ke pás ziyáda ho jáegá; aur jis ke pás nahíṉ hai, us se wuh bhí le liyá jáegá, jo us ke pás hai. 13Maiṉ un se tamsíloṉ meṉ is liye báteṉ kartá húṉ, ki dekhte haiṉ aur phir nahíṉ dekhte, aur sunte haiṉ aur phir nahíṉ sunte, aur nahíṉ samajhte. 14Aur un ke haqq meṉ Yashaʻyáh kí yih peshíngoí púrí hotí hai, ki
Tum kánoṉ se sunoge, aur hargiz na samjhoge;
Aur áṉkhoṉ se dekhoge, aur hargiz maʻlúm na karoge;
15Kyúṉki is ummat ke dil par charbí chhá gayí hai,
Aur wuh kánoṉ se úṉchá sunte haiṉ,
Aur unhoṉ ne apní áṉkheṉ band kar lí haiṉ;
Kahíṉ aisá na ho, ki áṉkhoṉ se maʻlúm kareṉ,
Aur kánoṉ se suneṉ,
Aur dil se samjheṉ,
Aur rujúʻ láeṉ,
Aur maiṉ unheṉ shifá baḳhshúṉ.
16Lekin mubárak haiṉ tumhárí áṉkheṉ, is liye ki wuh dekhtí haiṉ, aur tumháre kán, is liye ki wuh sunte haiṉ. 17Kyúṉki maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki bahut se nabíoṉ aur rástbázoṉ ko árzú thí, ki jo báteṉ tum dekhte ho, dekheṉ, magar na dekhíṉ; aur jo báteṉ tum sunte ho, suneṉ, magar na suníṉ.
1 Patras 1: 9 aur apne ímán ká maqsad, yaʻní rúhoṉ kí naját, hásil karte ho. 10Isí naját kí bábat un nabíoṉ ne baṛí talásh aur tahqíq kí, jinhoṉ ne us fazl ke báre meṉ jo tum par hone ko thá, nubuwwat kí. 11Unhoṉ ne is bát kí tahqíq kí, ki Masíh kí Rúh, jo un meṉ thí, aur peshtar se Masíh ke dukhoṉ kí, aur un ke baʻd ke jalál kí gawáhí detí thí, wuh kaun se aur kaise waqt kí taraf ishára kartí thí. 12Un par yih záhir kiyá gayá, ki wuh na apní, balki tumhárí ḳhidmat ke liye yih báteṉ kahá karte the, jin kí ḳhabar ab tum ko un kí maʻrifat milí, jinhoṉ ne Rúhuʼl Quds ke wasíle jo ásmán par se bhejá gayá, tum ko ḳhushḳhabarí dí; aur firishte bhí in bátoṉ par gaur se nazar karne ke mushtáq haiṉ.
Aʻmál 8
: 26Phir Ḳhudáwand ke firishte ne Filippus se kahá, ki Uṭhkar dakkhin kí taraf us ráh tak já, jo Yarúshalem se ʻAzzáh ko játí hai, aur jangal meṉ hai. 27Wuh uṭhkar rawána húá; to dekho ek Habshí ḳhoja á rahá thá; wuh Habshíoṉ kí malika Kandáke ká ek wazír, aur us ke sáre ḳhazáne ká muḳhtár thá; aur Yarúshalem meṉ ʻibádat ke liye áyá thá. 28Wuh apní rath par baiṭhá húá, aur Yashaʻyáh nabí ke sahífe ko paṛhtá húá, wápas já rahá thá. 29Rúh ne Filippus se kahá, ki Nazdík jákar us rath ke sáth ho le. 30Pas Filippus ne us taraf dauṛkar use Yashaʻyáh nabí ká sahífa paṛhte suná, aur kahá, ki Jo tú paṛhtá hai use samajhtá bhí hai? 31Wuh bolá, yih mujh se kyúṉkar ho saktá hai, jab tak koí mujhe hidáyat na kare? Aur us ne Filippus se darḳhwást kí, ki mere pás á baiṭh. 32Kitáb i muqaddas kí jo ʻibárat wuh paṛh rahá thá yih thí, ki
Log use bheṛ kí tarah zabh karne ko le gaye,
Aur jis tarah barra apne bál katarnewále ke sámne bezabán hotá hai,
Usí tarah wuh apná muṉh nahíṉ kholtá.
33Us kí pasthálí meṉ us ká insáf na húá:
Aur kaun us kí nasl ká hál bayán karegá?
Kyúṉki zamín par se us kí zindagí miṭáí játí hai.
34Ḳhoje ne Filippus se kahá; Maiṉ terí minnat karke púchhtá húṉ, ki Nabí yih kis ke haqq meṉ kahtá hai? apne, yá kisí dúsre ke? 35Filippus ne apní zabán kholkar usí nawishte se shurúʻ kiyá, aur use Yisúʻ kí ḳhushḳhabarí dí. 36Aur ráh meṉ chalte chalte, kisí pání kí jagah par pahuṉche. Ḳhoje ne kahá; Dekh, pání maujúd hai; ab mujhe baptísma lene se kaun sí chíz roktí hai? [37Pas Filippus ne kahá, ki Agar tú dil o ján se ímán láe, to baptisma le saktá hai. Us ne jawáb meṉ kahá, Maiṉ ímán látá húṉ ki Yisúʻ Masíh Ḳhudá ká Beṭá hai.] 38Pas us ne rath ke khaṛá karne ká hukm diyá: aur Filippus aur ḳhoja donoṉ pání meṉ utar paṛe; aur us ne us ko baptisma diyá
1 कुरिन्थियों 2:11
"मनुष्यों में से कौन किसी मनुष्य की बातें जानता है, केवल मनुष्य की आत्मा के सिवा जो उसमें है? उसी प्रकार परमेश्वर की बातें भी परमेश्वर के आत्मा के सिवा कोई नहीं जानता।"
1 Kurinthíoṉ 2
: 12 Magar ham ne na dunyá kí rúh, balki wuh rúh páí, jo Ḳhudá kí taraf se hai; táki un bátoṉ ko jáneṉ, jo Ḳhudá ne hameṉ ʻináyat kí haiṉ. 13Aur ham ín bátoṉ ko un alfáz meṉ nahíṉ bayán karte, jo insání hikmat ne ham ko sikháe hoṉ, balki un alfáz meṉ, jo Rúh ne sikháe haiṉ; aur rúhání bátoṉ ká rúhání bátoṉ se muqábala karte haiṉ. 14Magar nafsání ádmí Ḳhudá kí Rúh kí báteṉ qubúl nahíṉ kartá, kyúṉki wuh us ke nazdík bewuqúfí kí báteṉ haiṉ; aur na wuh unheṉ samajh saktá hai, kyúṉki wuh rúhání taur par parkhí játí haiṉ. 15Lekin rúhání shaḳhs sab bátoṉ ko parakh letá hai, magar ḳhud kisí se parkhá nahíṉ játá. 16Ḳhudáwand kí ʻaql ko kis ne jáná, ki us ko taʻlím de sake? magar ham meṉ Masíh kí ʻaql hai.
परमेश्वर के वचन और यीशु मसीह के प्रकाशन को समझने के लिए पवित्र आत्मा आवश्यक है।
परमेश्वर विश्वासियों को बुद्धि और प्रकाशन की आत्मा देता है, ताकि वे उसे और उसके पुत्र यीशु मसीह को सही रीति से जान सकें।
इफिसियों 1:17 — "कि हमारे प्रभु यीशु मसीह का परमेश्वर... तुम्हें अपनी पहचान में बुद्धि और प्रकाशन की आत्मा दे।"
यीशु ने प्रतिज्ञा की कि सत्य का आत्मा आएगा और विश्वासियों को सब सत्य में ले चलेगा।
यूहन्ना 14:26 — "26Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.
यूहन्ना 14 : 16aur maiṉ Báp se darḳhwást karúṉgá, to wuh tumheṉ dúsrá Madadgár baḳhshegá, ki abad tak tumháre sath rahe, 17yaʻní sachcháí kí Rúh, jise dunyá hásil nahíṉ kar saktí, kyúṉki na use dekhtí, aur na jántí hai: tum use jánte ho; kyúṉki wuh tumháre sáth rahtí hai, aur tumháre andar hogí.
26Lekin jab wuh Madadgár áegá, jis ko maiṉ tumháre pás Báp kí taraf se bhejúṉgá, yaʻní Sachcháí kí Rúh, jo Báp kí taraf se nikaltí hai, to wuh merí gawáhí degí:
27aur tum bhí gawáh ho, kyúṉki shurúʻ se mere sáth ho.
Yúhanná 16: 12Mujhe tum se âur bhí bahut sí báteṉ kahní haiṉ; magar ab tum un kí bardásht nahíṉ kar sakte. 13Lekin jab wuh, yaʻní Sachcháí kí Rúh, áegí, to tum ko tamám sachcháí kí ráh dikháegí: is liye ki wuh apní taraf se na kahegí; lekin jo kuchh sunegí, wuhí kahegí, aur tumheṉ áyanda kí ḳhabareṉ degí. 14Wuh merá jalál záhir karegí; is liye ki mujh hí se hásil karke tumheṉ ḳhabareṉ degí.
पुराना नियम मसीह की गवाही देता है, जिसमें उसके दुःख, मृत्यु, पुनरुत्थान और महिमा सभी शामिल हैं।
पवित्र आत्मा उसी मसीह की गवाही को विश्वासियों पर प्रकट करता है, उन्हें उसका अर्थ समझाता है और सामर्थ देता है।
प्रेरित पवित्र आत्मा की सामर्थ से जी उठे हुए मसीह के प्रत्यक्ष गवाह बने और संसार को उसका सुसमाचार सुनाया।
इसलिए यह कहना अधिक सही होगा:
"पुराना नियम मसीह के विषय में भविष्यद्वाणी करता है। पवित्र आत्मा उस गवाही को खोलता है, जी उठे हुए मसीह को प्रकट करता है, और विश्वासियों को उसका गवाह बनाता है।"
परमेश्वर ने पुराने नियम में भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा पहले ही यीशु मसीह की गवाही लिखवा दी थी। उन भविष्यवाणियों में उसके जन्म, दुःख, मृत्यु, पुनरुत्थान और महिमा का वर्णन है।
जब यीशु पृथ्वी पर आए, तब उन्होंने उन भविष्यवाणियों को पूरा किया।
यीशु के पुनरुत्थान और स्वर्गारोहण के बाद पवित्र आत्मा आया। उसका काम कोई नया मसीह या नया सुसमाचार देना नहीं था, बल्कि शास्त्रों में लिखी हुई मसीह की गवाही को खोलना, विश्वासियों को उसका सही अर्थ समझाना, और यह प्रकट करना कि वे सभी भविष्यवाणियाँ यीशु मसीह में पूरी हुई हैं।
इसी कारण पवित्र आत्मा प्रेरितों को सामर्थ देता है, ताकि वे जी उठे हुए यीशु मसीह की गवाही सारी दुनिया को दें।
इसी कारण आत्मिक बातें आत्मिक रीति से समझी जाती हैं।
पूरी शिक्षा का क्रम
"मसीह के वचन को सुनने से विश्वास उत्पन्न होता है। विश्वास करने वाला परमेश्वर के पुत्र को ग्रहण करता है। जिसके पास पुत्र है, उसके पास अनन्त जीवन है, और परमेश्वर उसके हृदय में अपने पुत्र का आत्मा भेजता है। फिर पवित्र आत्मा उसे मसीह के वचनों में बढ़ाता है, ताकि वह विश्वास में परिपक्व होकर मसीह की पूर्णता तक पहुँचे।"
मसीह का वचन सुनना (रोमियों 10:17)
विश्वास उत्पन्न होना
मसीह को ग्रहण करना (यूहन्ना 1:12)
पवित्र आत्मा / पुत्र का आत्मा प्राप्त करना (गलातियों 4:6; इफिसियों 1:13)
अनन्त जीवन प्राप्त करना (1 यूहन्ना 5:11–12)
विश्वास में बढ़कर मसीह की समानता में परिपक्व होना (इफिसियों 4:13)
Matí 5: 6 Mubárak haiṉ wuh jo rástbází (iman ki dharmikta ke ) ke bhúke aur piyáse haiṉ, kyúṉki wuh ásúda hoṉge.
होशे 4: 6मेरे ज्ञान के न होने से मेरी प्रजा नष्ट हो गई; तू ने मेरे ज्ञान को तुच्छ जाना है,
नीतिवचन 29: 18 जहाँ दर्शन की बात नहीं होती,
वहाँ लोग निरंकुश हो जाते हैं,
"बेकाबू" या "आप से बाहर" मनमानी karne wale
Yúhanná 14: 26 Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.
Yúhanná 6: 63Zinda karnewálí to rúh hai; jism se kuchh fáida nahíṉ: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ.
यीशु मसीह की बातें वे हैं जो उन्होंने देह में पृथ्वी पर रहते हुए अपने चेलों को सिखाईं। पवित्र आत्मा उन्हीं बातों को विश्वासियों को सिखाता है, उनकी याद दिलाता है और उनके sachche atmic अर्थ को समझाता है।
यूहन्ना 1:14 —Aur Kalám mujassam húá, aur fazl aur sachcháí se maʻmúr hokar hamáre darmiyán rahá, aur ham ne us ká aisá jalál dekhá, jaisá Báp ke iklaute ká jalál.
'Kyúṉki us kí maʻmúrí meṉ se ham sab ne páyá, yaʻní fazl par fazl. '
Yúhanná 1:16
Yúhanná 6: 28 Pas unhoṉ ne us se kahá, ki Ham kyá kareṉ, táki Ḳhudá ke kám anjám deṉ? 29 Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá; Ḳhudá ká kám yih hai, ki jise us ne bhejá hai, us par ímán láo.
Yúhanná 6: 68Shamaʻún Patras ne use jawáb diyá; Ai Ḳhudáwand, kis ke pás jáeṉ? hamesha kí zindagí kí báteṉ to tere hí pás haiṉ. 69Aur ham ímán láe aur ján gaye haiṉ, ki Ḳhudá ká Quddús tú hí hai.
यीशु की बातें सुनने से होता क्या है?
kyu sunna jaroori hai yisu ki baten
isse humare jeevan men kya hota hai
यूहन्ना 20:30–31
"यीशु ने अपने चेलों के सामने और भी बहुत से चिन्ह दिखाए, जो इस पुस्तक में नहीं लिखे गए; परन्तु ये इसलिए लिखे गए हैं कि तुम विश्वास करो कि यीशु ही मसीह, परमेश्वर का पुत्र है, और विश्वास करके उसके नाम से जीवन पाओ।
Romíoṉ 10: 14Magar jis par wuh ímán nahíṉ láe, us se kyúṉkar duʻá máṉgeṉ? aur jis ká zikr unhoṉ ne nahíṉ suná, us par ímán kyúṉkar láeṉ? aur bagair manádí karnewále ke kyúṉkar suneṉ? 15Aur jab tak wuh bheje na jáeṉ, manádí kyúṉkar kareṉ? Chunáṉchi likhá hai, ki Kyá hí ḳhushnumá haiṉ un ke qadam, jo achchhí chízoṉ kí ḳhushḳhabarí dete haiṉ!
2 कुरिन्थियों 6:2
"क्योंकि वह कहता है, 'स्वीकार किए जाने के समय मैंने तेरी सुन ली, और उद्धार के दिन मैंने तेरी सहायता की।' देखो, अब स्वीकार किए जाने का समय है; देखो, अब उद्धार का दिन है।"
ʻIbrá Níoṉ 3
: Agar áj tum us kí áwáz suno,
To apne diloṉ ko saḳht na karo,
jis tarah ki gussa diláne ke waqt kiyá thá.
Romíoṉ 10
: 10Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai. 11Chunáṉchi kitáb i muqaddas yih kahtí hai, ki Jo koí us par ímán láegá, wuh sharminda na hogá.
गलातियों 3:11
"यह स्पष्ट है कि व्यवस्था के द्वारा परमेश्वर के सामने कोई धर्मी नहीं ठहरता, क्योंकि 'धर्मी विश्वास से जीवित रहेगा।'"
रोमियों 1:17
"क्योंकि उसमें परमेश्वर की धार्मिकता विश्वास से और विश्वास के लिये प्रगट होती है, जैसा लिखा है, 'धर्मी विश्वास से जीवित रहेगा।'"
इब्रानियों 10:38
"पर मेरा धर्मी जन विश्वास से जीवित रहेगा;
2 कुरिन्थियों 4:13
"और क्योंकि हम में वही विश्वास का आत्मा है, जैसा लिखा है, 'मैं ने विश्वास किया, इसलिए मैं ने कहा'; इसलिए हम भी विश्वास करते हैं, और इसलिए बोलते भी हैं।"
(3) हम धार्मिक ठहराए जाते हैं।
रोमियों 5:1"विश्वास से धर्मी ठहराए जाकर..."
(4) हम पवित्र आत्मा की प्रतिज्ञा प्राप्त करते हैं।
गलातियों 3:14"ताकि हम विश्वास के द्वारा आत्मा की प्रतिज्ञा को प्राप्त करें।"
(5) मसीह हमारे हृदय में वास करता है।
इफिसियों 3:17"कि मसीह विश्वास के द्वारा तुम्हारे हृदयों में वास करे।"
Romíoṉ 10
Yúhanná 5
: ; 17 Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.
24Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo merá kalám suntá, aur mere bhejnewále ká yaqín kartá hai, hamesha kí zindagí us kí hai, aur us par sazá ká hukm nahíṉ hotá, balki wuh maut se nikalkar zindagí meṉ dáḳhil ho gayá hai.
Galatíoṉ 4
: 4lekin jab waqt púrá ho gayá, to Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá, 5tákí sharíʻat ke mátahtoṉ ko mol lekar chhuṛá le, aur ham ko lepálak hone ká darja mile. 6Aur chúṉki tum beṭe ho, is liye Ḳhudá ne apne Beṭe kí Rúh hamáre diloṉ meṉ bhejí, jo Abbá, yaʻní, Ai Báp, kah kahkar pukártí hai. 7Pas ab tú gulám nahíṉ, balki beṭá hai; aur jab beṭá húá, to Ḳhudá ke sabab wáris bhí húá.
इफिसियों 1:13
"जब तुमने सत्य का वचन, अपने उद्धार का सुसमाचार सुना और उस पर विश्वास किया, तब प्रतिज्ञा किए हुए पवित्र आत्मा की मुहर तुम पर लगी।"
यूहन्ना 6:47
"मैं तुम से सच-सच कहता हूँ, जो विश्वास करता है उसके पास अनन्त जीवन है।"
1 Yúhanná 5
: 11Aur wuh gawáhí yih hai, ki Ḳhudá ne hameṉ hamesha kí zindagí baḳhshí, aur yih zindagí us ke Beṭe meṉ hai. 12Jis ke pás Beṭá hai, us ke pás zindagí hai; aur jis ke pás Ḳhudá ká Beṭá nahíṉ, us ke pás zindagí bhí nahíṉ.
Lúqá 10
: aur koí nahíṉ jántá, ki Beṭá kaun hai, siwá Báp ke; aur koí nahíṉ jántá, ki Báp kaun hai, siwá Beṭe ke, aur us shaḳhs ke, jis par Beṭá use záhir karná cháhe.
रोमियों 8:9
"यदि किसी में मसीह का आत्मा नहीं, तो वह उसका नहीं।"
Ifisíoṉ 4
: 13jab tak ham sab ke sab Ḳhudá ke Beṭe ke ímán aur us kí pahchán meṉ ek na ho jáeṉ, aur kámil insán na baneṉ, yaʻní Masíh ke púre qadd ke andáze tak na pahuṉch jáeṉ; 14táki ham áge ko bachche na raheṉ, aur ádmíoṉ kí bázígarí aur makkárí ke sabab, un ke gumráh karnewále mansúboṉ kí taraf, har ek taʻlím ke jhoke se maujoṉ kí tarah uchhalte bahte na phireṉ; 15balki mahabbat ke sáth sachcháí par qáim rahkar, aur us ke sáth jo sir hai, yaʻní Masíh ke sáth, paiwasta hokar har tarah se baṛhte jáeṉ;
Comments