top of page
Writer's pictureYasarim El

BIBLE KE MUTABIK DUSRE KHUDA kaun HAIN ? बाइबिल के मुताबिक दूसरे ईश्वर कौन हैं



Shalom masih yeshua men aap saboh ki salamati ho

Ruh l quds ki madad se or mukashafa ki ruh se

Fazl or sachchai ke adhin

Ye pehl updesh ka dusra bhaag hai

Kyu uski mamuri men se hum sab ne paya yani fazl par fazl

Pehla updesh is vishe men hai

Ki musa ki vivstha ke dus hukam

Wuh apas men ek hain apas men sabdant hain

Kaise yahi aj ke is updesh ka udeshaye hai

 

Wuh do nahi ek hain

Pehla hukam chate hukam ke sath

Jo is updesh ke pehle baagh men hum sanjha kar chuke hain

Abhi usi updesh ka dusra bhaag hai

Jo is waqt aap sun rahen hain

Dusra bhag hai

Ki jo dusra hukam hai 

Uska saband 7 hukam ke sath hai

Dusra hukam hai

निर्गमन 20

; 3Mere huzúr tú g̣airma‘búdoṉ ko na mánná.

3“तू मुझे छोड़ दूसरों को ईश्‍वर करके न मानना।

20:3

  

Thou shalt have no other gods before me.

 

7 hukam kya hai

14Tú ziná na karná.

14“तू व्यभिचार न करना।

20:14

  

Thou shalt not commit adultery.

 

Zina karna its dusre ko khuda manna

Dusre ke khuda its means zina

Karna

Ab bible ka mutabik zina  hai

Kya

Yani dusra khuda kaun ho skata

Kaun hai dusra khuda

Zina hai kya accodrding to bible

Jo dusra sihwar hai

Dusra khuda hai

1 Yúhanná 2

;5Na dunyá se mahabbat rakkho, na un chízoṉ se jo dunyá meṉ haiṉ. Jo koí dunyá se mahabbat rakhtá hai, us meṉ Báp kí mahabbat nahíṉ. 16Kyúṉki jo kuchh dunyá meṉ hai, yaʻní jism kí ḳhwáhish, aur áṉkhoṉ kí ḳhwáhish, aur zindagí kí sheḳhí, wuh Báp kí taraf se nahíṉ, balki dunyá kí taraf se hai.

 

Zina karna kya hai

Dusra khuda kaun

Duniya se mahobbat rakhna

Jo chizen duniya men hain  un chizon se mahobbat rakhna

Jo kuch duniya men hai yani,,jism ki khawahish, aur ankho ki khawahish aur zindghi ki shekhi

Hi dusra khuda hai  Or zina karna  hai ,,

Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai;

Galatíoṉ 5

; 17Kyúṉki jism Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai,

19Ab jism ke kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí, nápákí, shahwatparastí, 20butparastí, jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad, gussa, tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, 21bugz, nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind: in kí bábat tumheṉ pahle se kahe detá húṉ, jaisá ki peshtar jatá chuká húṉ, ki aise kám karnewále Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris na hoṉge.

 

 

2jin meṉ tum peshtar dunyá kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 

in meṉ ham bhí sab ke sab pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the: —

 

'Phir ḳhwáhish hámila hokar gunáh ko jantí hai; aur gunáh jab baṛh chuká to maut paidá kartá hai. '

Jawání kí ḳhwáhishoṉ se bhág, aur jo pák dil ke sáth Ḳhudáwand se duʻá máṉgte haiṉ, un ke sáth rástbází, aur ímán, aur mahabbat, aur sulh ká tálib ho.

 

1 Tímuthiyus 6

  ; 9Lekin jo daulatmand honá cháhte haiṉ, wuh aisí ázmáish aur phande aur bahut sí behúda aur nuqsán pahuṉchánewálí ḳhwáhishoṉ meṉ phaṉste haiṉ, jo ádmíoṉ ko tabáhí aur halákat ke daryá meṉ garq kar detí haiṉ; 10kyúṉki rupaye ki mahabbat har qism kí buráí kí ek jaṛ hai; jis kí árzú meṉ baʻz ne ímán se gumráh hokar apne diloṉ ko tarah tarah ke gamoṉ se chhalní kar liyá.

11Magar, ai mard i Ḳhudá, tú in bátoṉ se bhág: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho. 12Ímán kí achchhí kushtí laṛ, us hamesha kí zindagí par qabza kar le jis ke liye tú buláyá gayá thá, aur bahut se gawáhoṉ ke sámne achchhá iqrár kiyá thá.

 

नीतिवचन 16

5सब मन के घमण्डियों से यहोवा घृणा करता है;

मैं दृढ़ता से कहता हूँ, ऐसे लोग निर्दोष

न ठहरेंगे।

  ; 18विनाश से पहले गर्व,

और ठोकर खाने से पहले घमण्ड आता है।

 

Amsál 29

 ; 23Ádmí ká g̣urúr us ko past karegá;

Yaʻqúb 4

; Yaʻqúb 4

6Wuh to ziyáda fazl  baḳhshtá hai. Isí liye yih áyá hai, ki Ḳhudá magrúroṉ ká muqábala kartá hai, magar firotanoṉ ko fazl  baḳhshtá hai.

 

 

Yaʻqúb 1:15

 

2 Patras 1

; 4jin ke báʻis us ne ham se qímatí aur niháyat baṛe waʻde kiye, táki un ke wasíle se tum us ḳharábí se chhúṭkar, jo dunyá meṉ burí ḳhwáhish ke sabab se hai, zát i iláhí meṉ sharík ho jáo.

Titus 2

; 10chorí chálákí na kareṉ; balki har tarah kí diyánatdárí achchhí tarah záhir kareṉ; táki un se har bát meṉ hamáre Munjí Ḳhudá kí taʻlím ko raunaq ho. 11Kyúṉki Ḳhudá ká wuh fazl záhir húá hai, jo sáre ádmíoṉ kí naját ká báʻis hai, 12aur hameṉ tarbiyat detá hai, táki bedíní aur dunyawí ḳhwáhishoṉ ká inkár karke, is maujúda jahán meṉ parhezgárí, aur rástbází, aur díndárí ke sáth zindagí guzáreṉ;

 

 

Matí 4

; 8Phir Iblís use ek bahut úṉche paháṛ par le gayá, aur dunyá ki sárí badsháhateṉ aur un kí shán o shaukat use dikháí, 9aur us se kahá, ki Agar tú jhukkar mujhe sijḍa kare, to yih sab kuchh tujhe de dúṉgá. 10Yisúʻ ne us se kahá; Ai Shaitán, dúr ho, ḳyúṉki likhá hai, ki Tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá ko sijda kar, aur sirf usi kí ʻibádat kar. 11Tab Iblís us ke pás se chalá gayá; aur dekho, firishte ákar us kí ḳhidmat karne lage.

Matí 6

25Is liye maiṉ tum se kahtá húṉ, kí apní ján kí fikr na karná kí ham kyá kháeṉge? yá kyá píeṉge? aur na apne badan kí, kí kyá pahineṉge? Kyá ján ḳhurák se, aur badan poshák se baṛhkar nahíṉ? 26Hawá ke parandoṉ ko dekho, ki na bote haiṉ, na káṭte, na koṭhíyoṉ meṉ jamaʻ karte haiṉ; taubhí tumhárá ásmání Báp un ko khilátá hai. Kyá tum un se ziyáda qadr nahíṉ rakhte? 27Tum meṉ aisá kaun hai, jo fikr karke apní ʻumr meṉ ek ghaṛí bhí baṛhá sake? 28Aur poshák ke liye kyúṉ fikr karte ho? Janglí sosan ke daraḳhtoṉ ko gaur se dekho, ki wuh kis tarah baṛhte haiṉ; wuh na mihnat karte, na kátte haiṉ; 29taubhí maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Sulaimán bhí, báwujúd apní sárí shán o shaukat ke, un meṉ se kisí kí mánind poshák pahine húe na thá. 30Pas jab Ḳhudá maidán kí ghás ko, jo áj hai, aur kal tanúr meṉ jhoṉkí jáegí, aisí poshák pahinátá hai, to ai kamiʻtiqádo, tum ko kyúṉ na pahiná degá? 31Is liye fikrmand hokar yih na kaho, kí Ham kyá kháeṉge? yá kyá píeṉge? yá kyá pahineṉge? 32kyúṉki in sab chízoṉ kí talásh meṉ gairqaumeṉ rahtí haiṉ; aur tumhárá ásmání Báp jántá hai, ki tum in sab chízoṉ ke muhtáj ho; 33balki tum pahle us kí bádsháhat aur us kí rástbází kí talásh karo, to yih sab chízeṉ bhí tumheṉ mil jáeṉgí. 34Pas kal ke liye fikr na karo, kyúṉki kal ká din apne liye áp fikr kar legá. Áj ke liye áj hí ká dukh káfí hai.

 

MATÍ 5

 ; 27Tum sun chuke ho ki kahá gayá thá, ki Ziná na kar; 28lekin maiṉ tum se yih kahtá húṉ, ki jis kisí ne burí ḳhwáhish se kisí ʻaurat par nigáh kí, wuh apne dil meṉ us ke sáth ziná kar chuká.

24Is wáste Ḳhudá ne un ke diloṉ kí ḳhwáhishoṉ ke mutábiq unheṉ nápákí meṉ chhoṛ diyá, ki un ke badan ápas meṉ behurmat kiye jáeṉ: 25is liye ki unhoṉ ne Ḳhudá kí sachcháí ko badalkar jhúṭh baná ḍálá, aur maḳhlúqát kí ziyáda parastish aur ʻibádat kí, banisbat us Ḳháliq ke, jo abad tak mahmúd haí. Ámín.

26Isí sabab se Ḳhudá ne un ko gandí shahwatoṉ meṉ chhoṛ diyá: yaháṉ tak ki un kí ʻauratoṉ ne apne tabaʻí kám ko ḳhiláftabaʻ kám se badal ḍálá: 27isí tarah mard bhí ʻauratoṉ se tabaʻí kám chhoṛkar ápas kí shahwat se mast ho gaye; yaʻní mardoṉ ne mardoṉ ke sáth rúsiyáhí ke kám karke, apne áp meṉ apní gumráhí ke láiq badla páyá.

 

2 Patras 2

1Aur jis tarah us ummat meṉ jhúṭhe nabí bhí the, isí tarah tum meṉ bhí jhúṭhe ustád hoṉge, jo poshída taur par halák karnewálí bidʻateṉ nikáleṉge, aur us Málik ká inkár kareṉge, jis ne unheṉ mol liyá thá, aur apne áp ko jald halákat meṉ ḍáleṉge. 2Aur bahutere un kí shahwatparastí kí pairawí kareṉge; jin ke sabab se ráh i haqq kí badnámí hogí. 3Aur wuh lálach se báteṉ banákar, tum ko apne nafaʻ ká sabab ṭhahráeṉge: aur jo qadím se un kí sazá ká hukm ho chuká hai, us ke áne meṉ kuchh der nahíṉ, aur un kí halákat sotí nahíṉ. 4Kyúṉki jab Ḳhudá ne gunáh karnewále firishtoṉ ko na chhoṛá, balki jahannam meṉ bhejkar tárík gároṉ meṉ ḍál diyá, táki ʻadálat ke din tak hirásat meṉ raheṉ; 5aur na pahlí dunyá ko chhoṛá, balki bedín dunyá par túfán bhejkar rástbází ke manádí karnewále Núh ko, maʻ âur sát ádmíoṉ ke bachá liyá

 

10ḳhusúsan un ko jo nápák ḳhwáhishoṉ se jism kí pairawí karte haiṉ, aur hukúmat ko náchíz jánte haiṉ. Wuh gustáḳh, aur ḳhudráe haiṉ, aur ʻizzatdároṉ par laʻn taʻn karne se nahíṉ ḍarte: 11báwujúde ki firishte, jo táqat aur qudrat meṉ un se baṛe haiṉ. Ḳhudáwand ke sámne un par laʻn taʻn ke sáth nálish nahíṉ karte. 12Lekin yih log beʻaql jánwaroṉ kí mánind haiṉ, jo pakṛe jáne aur halák hone ke liye haiwán i mutlaq paidá húe haiṉ; jín bátoṉ se náwáqif haiṉ, un ke báre meṉ auroṉ par laʻn taʻn karte haiṉ; apní ḳharábí meṉ ḳhud ḳharáb kiye jáeṉge; 13dúsroṉ ke burá karne ke badle inhíṉ ká burá hogá. In ko din diháṛe ʻai-yáshí karne meṉ maza átá hai; yih dág aur ʻaib haiṉ; jab tumháre sáth kháte píte haiṉ, to apní taraf se mahabbat kí ziyáfat karke ʻaish o ʻishrat karte haiṉ; 14un kí áṉkheṉ, jin meṉ zinákár ʻaurateṉ basí húí haiṉ, gunáh se ruk nahíṉ saktíṉ; wuh beqayám diloṉ ko phaṉsáte haiṉ; un ká dil lálach ká mushtáq hai; wuh laʻnat kí aulád haiṉ; 15wuh sídhí ráh chhoṛkar gumráh ho gaye haiṉ, aur Baʻor ke beṭe Bilʻám kí ráh par ho liye haiṉ, jis ne nárástí kí mazdúrí ko ʻazíz jáná;

17Wuh andhe kúe haiṉ, aur aise kuhar, jise áṉdhí uṛátí hai; un ke liye behadd táríkí dharí hai. 18Wuh ghamanḍ kí behúda báteṉ bak bakkar, shahwatparastí ke zaríʻe se un logoṉ ko jismání ḳhwáhishoṉ meṉ phaṉsáte haiṉ, jo gumráhoṉ meṉ se níkal hí rahe haiṉ; 19wuh un se to ázádí ká waʻda karte haiṉ, aur áp ḳharábí ke gulám bane húe haiṉ; kyúṉki jo shaḳhs jis se maglúb hai, wuh us ká gulám hai. 20Aur jab wuh Ḳhudáwand aur Munjí Yisúʻ Masíh kí pahchán ke sabab dunyá kí álúdagíoṉ se chhúṭkar, phir un meṉ phaṉse, aur un se maglúb húe, to un ká pichhlá hál pahle se bhí badtar húá.

Romíoṉ 1

; 28Aur jis tarah unhoṉ ne Ḳhudá ká pahchánná nápasand kiyá, isí tarah Ḳhudá ne bhí un ko nápasandída ʻaql ke hawále kar diyá, ki náláiq harakateṉ kareṉ. 29Pas wuh har tarah kí nárástí, badí, lálach, badḳhwáhí se bhar gaye; aur hasad, ḳhúnrezí, jhagṛe, makkárí; bugz se maʻmúr ho gaye; aur gíbat karnewále, 30badgo, Ḳhudá kí nazar meṉ nafratí, auroṉ ke beʻizzat karnewále, magrúr, sheḳhíbáz, badíoṉ ke bání, máṉ báp ke náfarmán, 31bewuqúf, ʻahdshikan, tabaʻí mahabbat se ḳhálí, berahm, ho gaye: 32háláṉki wuh Ḳhudá ká yih hukm jánte haiṉ, ki aise kám karnewále maut kí sazá ke láiq haiṉ; phir bhí na faqat áp hí aise kám karte haiṉ, balki âur karnewáloṉ se ḳhush bhí hote haiṉ.

 

 

Romíoṉ 13

 ; 12Rát bahut guzar gayí, aur din nikalnewálá hai: pas ham táríkí ke kámoṉ ko tark karke, raushní ke hathyár báṉdh leṉ. 13Jaisá din ko dastúr hai, sháistagí se chaleṉ; na ki náchrang aur nashebází se, na zinákárí aur shahwatparastí se, aur na jhagṛe aur hasad se; 14balki Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ko pahin lo, aur jism kí ḳhwáhishoṉ ke liye tadbíreṉ na karo.

Romíoṉ 12

1Pas, ai bháiyo, maiṉ Ḳhudá kí rahmateṉ yád dilákar, tum se iltimás kartá húṉ, ki apne badan aisí qurbání hone ke liye nazr karo, jo zinda, aur pák, aur Ḳhudá ko pasandída ho; yihí tumhárí maʻqúl ʻibádat hai. 2Aur is jahán ke hamshakl na bano, balki ʻaql nayí ho jáne se apní súrat badalte jáo; táki Ḳhudá kí nek aur pasandída aur kámi! marzí tajribe se maʻlúm karte raho.

 

0 views0 comments

Comments


bottom of page