INSAN by NATURE apne hi ap men DILi NIYAT IRADE OR KHYAL se ap men apne ap ke sath huta hai
JIS INSAN Ke JIS TARAH ke DILI IRADE HUNGE NIYAT HUGI VESA SAMNE WALEKI PARITI USKE KHYAAL OR MANn MENEK TASVEER IMAGE YANI KHYAALI TASVEER BANTI JATI JAISEWUH KISI KE RELATE KRTA JATA HAI
Uske thought yani khyaal dil irayad depend
Karte hain usko by nature
Kis mahool men kaunsi satusation
Or invirment reh kar
Kya dekh
Or kya sun kar samjha
Or adapt
Kiya
Waqt or halat men zindghi guzarate hai
Or usko kaise kais life men experience hoyiye
YA JAISE USKE SATH KOI...TO JO INSAN DIL AQL NIYAT IRADE KAHUGA OR JIS DIL AQL NIYAT IRADESE WUH APNA NAZARIYA RAKHE GA VESEUSKE ANDAR samne wale ki TASVEER BANTI JAYE...GI JeSSE BHI RELATE KRE GA YA wuh kis se
Ya koi usse
Or isi waqt ke sath sath hum emtionaly bhi invest hute jate hain .Tu VESE hi TIME OR EMOTIONINVEST KARTA JATA HAI...MAGAR TIME OR VALUEUS WAQT SAB KUCH LOSE huta HAI jab dusra insaan KHYAALITASVEER DIL IRADE NIYAT AQL KE MUTABIK ASL MEN NHI niklta
OR JAYDA tar DUNIYA MEN AISE HI HUTA HAI..JISKI WAZAH KE KARAN TRUSTWORTHYRELATION TOT TE..hain
Hare k insaan ki sabsi bhadi bhool jo hai
Ki jaisa main hun waisa samne wala bhi hai
Insaan khud ko dusro men dondta hai
Magar khud khude men pane ki koshish kabhi nhi karta
Insaan apna most imposrtant waqt dusro men invest karta hai
Magar khud par kabhi nahi invest karta
JISKE KARAN HAR INSAN DUKHi OR THOKAR KA SHIKAR HAI..TO JO INSAN KA self TIME hai yani khud ke sath waqt bitana khud ko janna khud ko dondna
WUH DUNIYA Ka most precious EXPENSIV fainsla
Hai jiske men mat khata
Hai TO MERE KEHNA KA MTLB HAIINSAAN WAQT ke ZARRE SE ZARRESE BANTA HAI...MAGAR RAIT KI TARAH PHIR BIKHAR JATAJAB USKO ZINDGHI MEN THOKRE OR DUKHO KA SAMNA KARNA PADTA HAI..iska KARAn JAB HUM RISTO MEN WAQT KE CHALTE EMTIONALY INVESTMENT KARTEAPNe keemti waqt ke sath stah emonnly attached hune ke sath sath UMMEEDHAD SE JAYDA BHADATE JATE HAIN UMEED EK ASMAANI UNCHAYON KO DARSHATI HAI..TO JB KOI ASMAAN KI UNCHAYON PAR LAJA KAR SATH CHODTA HAITO INSAN BAUHT BHURI TARAH SE GHIRTA HAIOR KAN KAN HOKAR BHIKHAR JATA HAI...MAGAR PURI QAYNAY MEN EK HI HASTI hai YESU NASRIZINDA MASIH jo khudawand hai or maish bhi JO BHIKHRE HOYIYE DILON Ko or wuh WAQT jo guzar chukka huta hai BHARPAI BHI KARTA HAI..JO HUMNE DUNIYA MEN GAWAYA HAYA...USKA 100 guna VAPIS bhi lata hai HAI...
Agar koi zero halaton men se time investmest karan shuru karta hai
Yani bible padta hai to use hero 100 guna patta hai
Agar koi 100 guna halton men apna waqt bible ko padte or unke dwara di talim ke mutabik vishwash lata hai to wuh 1000 guna pata AGAR HUM APNA TIMEpal PURE DIL SE NEK NIYAT OR BERIYA IMAN KE SATH ..USKO APNA AAP SAUNPDEYANI USKE KALAM MENVAYAKATI TAV TAURPAR JOD LE...OR MASIH YESU MEN HUMARI TO MURAMAT HUGI... MAGAR MASIH YESU HUMEN IS LAYKE BHI BANATE HAIN...KI HUM DUSRO KI MADAD KAR SAKE IS LAYK BHI KARTA HAI....Ek hi WAHID SHAKShiyat HAI.. BIBLE KA YESU MASIHOR USKO APNA BANANE KE LIYEOR USKA HUNE KE LIYE DIL SE IMAN LANA LAIYE . OR JUBAN SE IQRAR KAREN
ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá.
Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.
aur ímán ke bhed ko pák dil meṉ hifázat se rakkheṉ.
WHO IS CHRIST
मसीह कौन है?
Aʻmál 2
, yih ján lo, aur kán lagákar merí báteṉ suno;
yih báteṉ suno, ki Yisúʻ Násarí ek shaḳhs thá, jis ká Ḳhudá kí taraf se honá tum par un muʻjizoṉ aur ʻajíb kámoṉ aur nishánoṉ se sábit húá, jo Ḳhudá ne us kí maʻrifat tum meṉ dikháe, chunáṉchi tum áp hí jánte ho. 23Jab wuh Ḳhudá ke muqarrara intizám aur ʻilm i sábiq ke muwáfiq pakaṛwáyá gayá, to tum ne besharaʻ logoṉ ke háth se use salíb dilwákar már ḍálá: 24lekin Ḳhudá ne maut ke band kholkar use jiláyá: kyúṉki mumkin na thá, ki wuh us ke qabze meṉ rahtá.
29Ai bháiyo, maiṉ qaum ke buzurg Dáúd ke haqq meṉ tum se dilerí ke sáth kah saktá húṉ, ki wuh múá aur dafn bhí húá, aur us kí qabr áj tak ham meṉ maujúd hai. 30Pas nabí hokar, aur yih jánkar ki Ḳhudá ne mujh se qasam kháí hai, ki terí nasl se ek shaḳhs ko tere taḳht par biṭháúṉgá; 31us ne peshíngoí ke taur par Masíh ke jí uṭhne ká zikr kiyá, ki na wuh ʻálam i arwáh meṉ chhoṛá gayá, na us ke jism ke saṛne kí naubat pahuṉchí. 32Isí Yisúʻ ko Ḳhudá ne jiláyá, jis ke ham sab gawáh haiṉ. 33Pas Ḳhudá ke dahine háth se sarbaland hokar, aur Báp se wuh Rúhuʼl Quds hásil karke, jis ká waʻda kiyá gayá thá, us ne yih názil kiyá, jo tum dekhte aur sunte ho. 36Pas Isráíl ká sárá gharáná yaqín ján le, ki Ḳhudá ne usí Yisúʻ ko jise tum ne salíb dí, Ḳhudáwand bhí kiyá aur Masíh bhí.
1 Kurinthíoṉ 15
1Ab, ai bháiyo, maiṉ tumheṉ wuhí ḳhushḳhabarí jatáe detá húṉ jo pahle de chuká húṉ, jise tum ne qubúl bhí kar liyá thá, aur jis par qáim bhí ho; 2usí ke wasíle se tum ko naját bhí miltí hai, basharte ki wuh ḳhushḳhabarí jo maiṉ ne tumheṉ dí thí yád rakhte ho; warna tumhárá ímán láná befáida húá. 3Chunáṉchi maiṉ ne sab se pahle tum ko wuhí bát pahuṉchá dí, jo mujhe pahuṉchí thí, ki Masíh kitáb i muqaddas ke bamújib hamáre gunáhoṉ ke liye múá; 4aur dafn húá; aur tísre din kitáb i muqaddas ke bamújib jí uṭhá; 5aur Kefá ko, aur us ke baʻd un bárah ko dikháí diyá; 6phir páṉch sau se ziyáda bháiyoṉ ko ek sáth dikháí diyá, jin meṉ se aksar ab tak maujúd haiṉ, aur baʻz so gaye; 7phir Yaʻqúb ko dikháí diyá; phir sáre rasúloṉ ko; 8aur sab se píchhe mujh ko, jo goyá adhúre dinoṉ kí paidáish húṉ, dikháí diyá.
YESU MASIH KIS MIZAZ KE HAIN
fazl aur sachcháí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi. '
Yúhanná 1:17
16Kyúṉki us kí maʻmúrí meṉ se ham sab ne páyá, yaʻní fazl par fazl
Lúqá 4
; 17Aur Yashaʻyáh nabí kí kitáb us ko dí gayí, aur kítáb kholkar us ne wuh maqám nikálá, jaháṉ yih likhá thá, ki
18Ḳhudáwand kí Rúh mujh par hai,
Is liye ki us ne mujhe garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke liye masah kiyá;
Us ne mujhe bhejá hai, ki qaidíoṉ ko riháí,
Aur andhoṉ ko bínái páne kí ḳhabar sunáúṉ,
Kuchle húoṉ ko ázád karúṉ,
19Aur Ḳhudáwand ke sál i maqbúl kí manádí karúṉ.
ʻIbrá Níoṉ 5
7Us ne apní basharíyat ke dinoṉ meṉ, zor zor se pukárkar aur áṉsú bahá bahákar, usí se duʻáeṉ aur iltijáeṉ kíṉ, jo us ko maut se bachá saktá thá, aur ḳhudátarsí ke sabab us kí suní gayí; 8aur báwujúd Beṭá hone ke us ne dukh uṭhá uṭhákar farmánbardárí síkhí; 9aur kámil bankar apne sab farmánbardároṉ ke liye abadí naját ká báʻis húá;
1 Patras 2
; 19Kyúṉki agar koí Ḳhudá ke ḳhayál se, beinsáfí ke báʻis dukh uṭhákar, taklífoṉ kí bardásht kare, to yih pasandída hai. 20Is liye ki agar tum ne gunáh karke mukke kháe, aur sabr kiyá, to kaun sá faḳhr hai? háṉ, agar nekí karke dukh páte, aur sabr karte ho, to yih Ḳhudá ke nazdík pasandída hai. 21Aur tum isí ke liye buláe gaye ho: kyúṉki Masíh bhí tumháre wáste dukh uṭhákar tumheṉ ek namúna de gayá hai, táki us ke naqsh i qadam par chalo. 22Na us ne gunáh kiyá, aur na us ke muṉh se koí makr kí bát niklí: 23na wuh gáliyáṉ khákar gálí detá thá; aur na dukh pákar kisí ko dhamkátá thá; balki apne áp ko sachche ínsáf karnewále ke supurd kartá thá: 24wuh áp hamáre gunáhoṉ ko apne badan par liye húe salíb par chaṛh gayá, táki ham gunáhoṉ ke iʻtibár se markar rástbází ke iʻtibár se jíeṉ; aur usí ke már kháne se tum ne shifá páí.
Filippíoṉ 2
; 5Waisá hí mizáj rakkho, jaisá Masíh Yisúʻ ká bhí thá: 6us ne agarchi Ḳhudá kí súrat par thá, Ḳhudá ke barábar hone ko qabze meṉ rakhne kí chíz na samjhá, 7balki apne áp ko ḳháli kar diyá, aur ḳhádim kí súrat iḳhtiyár kí, aur insánoṉ ke mushábih ho gayá; 8aur insání shakl meṉ záhir hokar apne áp ko past kar diyá, aur yaháṉ tak farmánbardár rahá, ki maut, balki salíbí maut, gawárá kí. 9Isí wáste Ḳhudá ne bhí use bahut sarbaland kiyá, aur use wuh nám baḳhshá jo sab námoṉ se aʻlá hai; 10táki Yisúʻ ke nám par har ek ghuṭná ṭike, ḳhwáh ásmáníoṉ ká ho, ḳhwáh zamíníoṉ ká, ḳhwáh un ká jo zamín ke níche haiṉ; 11aur Ḳhudá Báp ke jalál ke liye har ek zabán iqrár kare, ki Yisúʻ Masíh Ḳhudáwand hai.
Ab yesu ke asmani pita kaun hain
Jo iman lane wale ke bhi pita hai
Or hum unke bête
Maiṉ apne Báp ke nám se áyá húṉ, aur tum mujhe qubúl nahíṉ karte; agar koí âur apne hí nám se áe, to use qubúl kar loge.
Mere Báp kí taraf se sab kuchh mujhe sauṉpá gayá, aur koí Beṭe ko nahíṉ jántá, siwá Báp ke; aur koí Báp ko nahíṉ jántá, siwá Beṭe ke, aur us ke, jis par Beṭá use záhir karná cháhe.
Ibrani ja shabad hai ahba
Or ahaba ka mtlab hai mahobbat
1 Yúhanná 4
; 16Jo mahabbat Ḳhudá ko ham se hai, us ko ham ján gaye, aur hameṉ us ká yaqín hai. Ḳhudá mahabbat hai; aur jo mahabbat meṉ qáim rahtá hai, wuh Ḳhudá meṉ qáim rahtá hai, aur Ḳhudá us meṉ qáim rahtá hai. 17Isí sabab se manabbat ham meṉ kámil ho gayí hai, táki hameṉ ʻadálat ke din dilerí ho; kyúṉki jaisá wuh hai, waise hí dunyá meṉ ham bhí haiṉ. 18Mahabbat meṉ ḳhauf nahíṉ hotá: balki kámil mahabbat ḳhauf ko dúr kar detí hai, kyúṉki ḳhauf se ʻazáb hotá hai; aur koí ḳhauf karnewálá mahabbat meṉ kámil nahíṉ húá. 19Ham is liye mahabbat karte haiṉ, ki pahle us ne ham se mahabbat kí. 20Agar koí kahe, ki maiṉ Ḳhudá se mahabbat rakhtá húṉ, aur wuh apne bháí se ʻadáwat rakkhe, to jhúṭhá hai; kyúṉki jo apne bháí se jise us ne dekhá hai, mahabbat nahíṉ rakhtá, wuh Ḳhudá se bhí, jise us ne nahíṉ dekhá, mahabbat nahíṉ rakh saktá. 21Aur ham ko us kí taraf se yih hukm milá hai, ki jo koí Ḳhudá se mahabbat rakhtá hai, wuh apne bháí se bhí mahabbat rakkhe.
Kyúṉki Ḳhudá ne dunyá se aisí mahabbat rakkhí, ki us ne apná iklautá Beṭá baḳhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe halák na ho, balki hamesha kí zindagi páe.
Jo mahabbat nahíṉ rakhtá, wuh Ḳhudá ko nahíṉ jántá, kyúṉki Ḳhudá mahabbat hai.
Ai ʻazízo, jab Ḳhudá ne ham se aisí mahabbat kí, to ham par bhí ek dúsre se mahabbat karní farz hai.
Mahabbat is meṉ nahíṉ, ki ham ne Ḳhudá se mahabbat kí, balki is meṉ hai, ki us ne ham se mahabbat kí, aur hamáre gunáhoṉ ke kaffáre ke liye apne Beṭe ko bhejá.
Jo mahabbat Ḳhudá ko ham se hai, wuh is se záhir húí, ki Ḳhudá ne apne iklaute Beṭe ko dunyá meṉ bhejá hai, táki ham us ke sabab se zinda raheṉ.
Romíoṉ 5
; kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai. 6Kyúṉki jab ham kamzor hí the, to ʻain waqt par Masíh bedínoṉ kí ḳhátir múá. 7Kisí rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá. 9Pas jab ham us ke ḳhún ke báʻis ab rástbáz ṭhahre,
1 Kurinthíoṉ 13
1Agar maiṉ ádmíoṉ aur firishtoṉ kí zabáneṉ bolúṉ, aur mahabbat na rakkhúṉ, to maiṉ ṭhanṭhanátá húá pítal, yá jhanjhanátí húí jháṉjh húṉ. 2Aur agar mujhe nubuwwat milí, aur sáre bhedoṉ aur kull ʻilm kí wáqifíyat húí, aur merá ímán yaháṉ tak kámil húá ki paháṛoṉ ko haṭá dúṉ, aur mahabbat na rakkhúṉ, to maiṉ kuchh bhí nahíṉ. 3Aur agar apná sárá mál garíboṉ ko khilá dúṉ, yá apná badan jaláne ko de dúṉ, aur mahabbat na rakkhúṉ, to mujhe kuchh bhí fáida nahíṉ. 4Mahabbat sábir hai, aur mihrbán; mahabbat hasad nahíṉ kartí; mahabbat sheḳhí nahíṉ mártí, aur phúltí nahíṉ, 5názebá kám nahíṉ kartí, apní bihtarí nahíṉ cháhtí, jhunjhlátí nahíṉ, badgumání nahíṉ kartí; 6badkárí se ḳhush nahíṉ hotí, balki rástí se ḳhush hotí hai; 7sab kuchh sah letí hai, sab kuchh yaqín kartí hai, sab bátoṉ kí ummed rakhtí hai, sab bátoṉ kí bardásht kartí hai. 8Mahabbat ko zawál nahíṉ; nubuwwateṉ hoṉ, to mauqúf ho jáeṉgí; zabáneṉ hoṉ, to játí raheṉgí; ʻilm ho, to miṭ jáegá. 9Kyúṉki bamárá ʻilm náqis hai, aur hamárí nubuwwat nátamám: 10lekin jab kámil áegá, to náqis játá rahegá.
Comments