top of page
  • Twitter
  • YouTube
  • Instagram

Jhuthe Masih Gumrah Karne Wali Ruhon Se Rahe Savdhan URDU HINDI BIBLE ‪@YasarimEl‬

MASIHAT MEN MASIH YISU KE NAAM

MASIH KE KALAM PAR

SAB BHADE JUTH OR AJ KA MUKASHAFA UNKO SUHCET KARNE KE LIYE JO YE JUTH SUN KAR JUTH BOLNE WALI RUHON SE GUMRAH HUTEN HAIN

JO ACHI ZINDGHI LUXRY LIFE

ACHE BUSSNIES KA DAWA KARTE HAIN

JO ACHE GHAR KA DAWA KARTE HAIN

JO DUNIAWI OR ASHO ARAAM

CRORO ARBO RUPIYE KA DAWA KARTE HAIN

JO ACHI BIWI OR ACHE HUSBEND KA DAWA KARTE HAIN

JO ACHI CAR KA DAWA KARTE HAIN

OR JO YE KEHTE HAIN JITA JAYDA RUPIYA PAISA DO GE UTNA JAYDA

APKA PAISA BHADE GA

PHIR YE GUMRAH KARNE WALI RUHEN

JUTHE MASIH SHUAL BADSHA KE HAQ MEN LIKHE KALAM SE DELILE DETE

SHAUL,DAUD, SOLEMAN  BADSHA KI  ZINDGHI KI MISALE DETE BHI HAI OR LETE BHI HAIN YANI KHUD PAR BHI LAGU KARTE HAIN

YAHUDI BHI  AISA KEHTE HAIN OR KARTE HAIN AJ TAK

MAGAR YE ZAMIN KE BASHAH

OR MUSA KI SHARIAT KE ADHIN THEY

10 HUKMON KE ADHIN YE KOI NHI BTATA

OR YISU MASIH ASMAANI KA BDASHA HAI

OR FAZL OR SACHCHAI USI KI MARIFAT PAUHNCHI

OR YISU KHUDAWAND KA KHUDA

KI AGAR ZAMIN PAR KOI KHUDAWADO HUNE KA DAWA KARTA HAI

TO WUH USKA BHI KHUDA HAI

KHUDAWANDO KA KHUDA

OR AGAR ZAMIN PAR KOI BADHSHA HAI TO MASIH YISU USPAR HAKIM HAI

YANI WUH BADSHAHO KA BADSHA HAI

'Dakkhan kí malika is zamáne ke logoṉ ke sáth ʻadálat ke din uṭhkar inheṉ mujrim ṭhahráegi, kyúṉki wuh dunyá ke kanáre se Sulaimán kí hikmat sunne ko áí, aur dekho, yaháṉ wuh hai, jo Sulaimán se bhí baṛá hai. '

 

Matí 12:42

'aur Yisúʻ Masíh kí taraf se, jo sachchá gawáh, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ meṉ pahlauṭhá, aur dunyá ke bádsháhoṉ par hákim hai; tumheṉ fazl aur itmínán hásil hotá rahe. Jo ham se mahabbat rakhtá hai, aur jis ne apne ḳhún ke wasíle se ham ko gunáhoṉ se ḳhalásí baḳhshí, '

 

Mukáshafa 1:5

Matí 22

: ] Pas Dáúd Rúh kí hidáyat se kyúṉkar use Ḳhudáwand kahtá hai, ki

44Ḳhudáwand ne mere Ḳhudáwand se kahá;

Merí dahiní taraf baiṭh,

Jab tak maiṉ tere dushmanoṉ ko tere páṉwoṉ ke níche na kar dúṉ?

45Pas jab Dáúd us ko Ḳhudáwand kahtá hai,

 

Yúhanná 18

: 36Yisúʻ ne jawáb diyá, ki Merí bádsháhat dunyá kí nahíṉ;

Yúhanná 18

:Magar ab merí bádsháhat yaháṉ kí nahíṉ. 37Pílátus ne us se kahá; Pas kyá tú bádsháh hai? Yisúʻ ne jawáb diyá; Tú ḳhud kahtá hai, ki maiṉ bádsháh húṉ. Maiṉ is liye paidá húá, aur is wáste dunyá meṉ áyá húṉ, ki haqq kí gawáhí dúṉ. Jo koí sachcháí ká hai, merí áwáz suntá hai.

 

Yúhanná 10

: 7Pas Yisúʻ ne un se phir kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Bheṛoṉ ká darwáza maiṉ húṉ 8Jitne mujh se pahle áe, sab chor aur ḍákú haiṉ; \

Matí 24

: 4Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Ḳhabardár, koí tumheṉ gumráh na kar de. 5Kyúṉki bahutere mere nám se áeṉge, aur kaheṉge ki Maiṉ Masih húṉ, aur bahut se logoṉ ko gumráh kareṉge. 10Aur us waqt bahutere ṭhokar kháeṉge, aur ek dúsre ko pakaṛwáeṉge, aur ek dúsre se ʻadáwat rakkheṉge. 11Aur bahut se jhúṭhe nabí uṭh khaṛe hoṉge, aur bahuteroṉ ko gumráh kareṉge. 12Aur bedíní ke baṛh jáne ke sabab bahuteroṉ kí mahabbat ṭhandí paṛ jáegí. 13Magar jo áḳhir tak bardásht karegá, wuh naját páegá. 14Aur bádsháhat kí is ḳhushḳhabarí kí manádi tamám dunyá meṉ hogí, táki sab qaumoṉ ke liye gawáhí ho; aur us waqt ḳhátima hogá. 23Us waqt agar koí tum se kahe, ki Dekho, Masíh yaháṉ hai, yá waháṉ hai, to yaqín na karná. 24Kyúṉki jhúṭhe Masíh aur jhúṭhe nabí uṭh khaṛe hoṉge, aur aise baṛe nishán aur ʻajíb kám dikháeṉge, ki agar mumkin ho, to barguzídoṉ ko bhí gumráh kar leṉ. 25Dekho, maiṉ ne pahle hí tum se kah diyá hai. 26Pas agar wuh tum se kaheṉ, ki Dekho, wuh biyábán meṉ hai, to báhar na jáná; Dekho, wuh koṭhriyoṉ meṉ hai, to yaqín na karná.

1 Tímuthiyus 2

: 14aur Ádam ne fareb nahíṉ kháyá, balki ʻaurat fareb khákar gunáh meṉ paṛ gayí.

YE GUMRAH KARNE WALI RUHEN HAIN

OR JUTHE MASIH  HAIN

OR YE KHUD SE NHI AYE YE BHI KHUDAWAND KHUDA KI TARAF SE BEJE HOYE HAIN YE BHI KHUDAWAND KI MAKHLUQ KO HISA HAIN

 

 

Paidáish 3

1Aur sáṉp kull dashtí jánwaroṉ se, jin ko Ḳhudáwand Ḳhudá ne banáyá thá, chálák thá.

Romíoṉ 9

: 17Kyúṉki kitáb i muqaddas meṉ Firʻaun se kahá gayá hai, ki Maiṉ ne isí liye tujhe khaṛá kiyá hai, ki terí wajh se apní qudrat záhir karúṉ, aur merá nám tamám rú e zamín par mashhúr ho. 18Pas wuh jis par cháhtá hai rahm kartá hai, aur jise cháhtá hai use saḳht kar detá hai.

Paidáish 2

:  9Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne har daraḳht ko, jo dekhne meṉ ḳhushnumá, aur kháne ke liye achchhá thá zamín se ugáyá, aur bág̣ ke bích meṉ hayát ká daraḳht, aur nek o bad kí pahchán ká daraḳht bhí lagáyá.

Gintí 21

: 5Aur log Ḳhudá kí aur Músá kí shikáyat karke kahne lage, ki Tum kyúṉ ham ko Misr se biyábán meṉ marne ke liye le áe? yaháṉ to na roṭí hai, na pání; aur hamárá jí is nikammí ḳhurák se karáhiyat kartá hai. 6Tab Ḳhudáwand ne un logoṉ meṉ jalánewále sáṉp bheje; unhoṉ ne logoṉ ko káṭá, aur bahut se Isráílí mar gaye.

2 Thissaluníkíoṉ 2

:  8Us waqt wuh bedín záhir hogá, jise Ḳhudáwand Yisúʻ apne muṉh kí phúṉk( RUH L QUDS )  se halák, aur apní ámad kí tajallí se nest karegá;

2 Thissaluníkíoṉ 2

: aur jis ki ámad Shaitán kí tásír ke muwáfiq, har tarah kí jhúṭhí qudrat, aur nishánoṉ, aur ʻajíb kámoṉ ke sáth, 10aur halák honewáloṉ ke liye nárástí ke har tarah ke dhoke ke sáth hogí; is wáste ki unhoṉ ne haqq kí mahabbat ko iḳhtiyár na kiyá, jis se un kí naját hotí. 11Isí sabab se Ḳhudá un ke pás gumráh karnewálí tásír bhejegá, táki wuh jhúṭh ko sach jáneṉ, 12aur jitne log haqq ká yaqín nahíṉ karte, balki nárástí ko pasand karte haiṉ, wuh sab sazá páeṉ.

Mukáshafa 12

; 9Aur wuh baṛá azhdahá, yaʻní wuhí puráná sáṉp jo Iblís aur Shaitán kahlátá hai, aur sáre jahán ko gumráh kar detá hai,

Mukáshafa 13

: 5Aur baṛe bol bolne aur kufr bakne ke liye use ek muṉh diyá gayá, aur use bayálís mahíne tak kám karne ká iḳhtiyár diyá gayá.

 

OR YE UNHI KO GUMRAH KARTA HAI

JO SACHCHAI KI RAH SE GUMRAH HUTEN HAIN

YANI JO BADAN KI KHAWAHISHO KE SABAB

GUMRAH KARNE WALI RUHON KA SHIAKAR HUTEN HAIN

Yaʻqúb 1

: 14háṉ, har shaḳhs apní hí ḳhwáhishoṉ meṉ khiṉchkar aur phaṉskar ázmáyá játá hai.

1 Yúhanná 2

: 16Kyúṉki jo kuchh dunyá meṉ hai, yaʻní jism kí ḳhwáhish, aur áṉkhoṉ kí ḳhwáhish, aur zindagí kí sheḳhí, wuh Báp kí taraf se nahíṉ, balki dunyá kí taraf se hai. 17Dunyá aur us kí ḳhwáhish donoṉ miṭtí játí haiṉ, lekin jo Ḳhudá kí marzí par chaltá hai, wuh abad tak qáim rahegá.

18Ai laṛko, yih aḳhír waqt hai; aur jaisá tum ne suná hai ki muḳhálif i Masíh ánewálá hai, us ke muwáfiq ab bhí bahut se muḳhálif i Masíh paidá ho gaye haiṉ; is se ham jánte haiṉ, ki yih aḳhír waqt hai.

YISU MASIH HAQ KI PEHCHAN MEN DIL KI ANKHEN RASUHAN KARTE HAIN

YISU NE KAHA  RAH HAQ ZINDGHI MAIN HUN

JO HAQ KI RAH KO JANNE KA IMAN LEKAR ATE HAIN MASIH UNPAR HI HAQ KI RAH ZAHIR KARTA HAI

APNE FAZL KI DAULT SE

Mubárak haiṉ wuh jo pákdil haiṉ, kyúṉki wuh Ḳhudá ko dekheṉge.

Mubárak haiṉ wuh jo gamgín haiṉ, kyúṉki wuh tasallí páeṉge.

Mubárak haiṉ wuh jo halim haiṉ, kyúṉki wuh zamín ke wáris hoṉge.

Mubárak haiṉ wuh jo rástbází ke bhúke aur piyáse haiṉ, kyúṉki wuh ásúda hoṉge.

Mubárak haiṉ wuh jo rahmdil haiṉ, kyúṉki un par rahm kiyá jáegá.

Mubárak haiṉ wuh jo sulh karáte haiṉ, kyúṉki wuh Ḳhudá ke beṭe kahláeṉge.

Mubárak haiṉ wuh jo dil ke garíb haiṉ, kyúṉki ásmán kí bádsháhat unhíṉ kí hai.

Mubárak haiṉ wuh jo rástbází ke sabab satáe gaye haiṉ, kyúṉki ásmán kí bádsháhat unhíṉ kí hai.

ki Mubárak wuh haiṉ, jin kí badkáríáṉ muʻáf húíṉ, Aur jin ke gunáh ḍháṉke gaye.

Matí 6

: 33balki tum pahle us kí bádsháhat aur us kí rástbází kí talásh karo, to yih sab chízeṉ bhí tumheṉ mil jáeṉgí. 34Pas kal ke liye fikr na karo, kyúṉki kal ká din apne liye áp fikr kar legá. Áj ke liye áj hí ká dukh káfí hai.

31Is liye fikrmand hokar yih na kaho, kí Ham kyá kháeṉge? yá kyá píeṉge? yá kyá pahineṉge? 32kyúṉki in sab chízoṉ kí talásh meṉ gairqaumeṉ rahtí haiṉ; aur tumhárá ásmání Báp jántá hai, ki tum in sab chízoṉ ke muhtáj ho;

 

 

Aʻmál 3

: 6Patras ne kahá,  JO MASIH YISU KA RASOOL HAI SHAGIRD HAI

ki Chándí soná to mere pás hai nahíṉ; magar jo mere pás hai, wuh tujhe diye detá húṉ: Yisúʻ Masíh Násarí ke nám se chal phir.

Yúhanná 8

: 44Tum apne báp Iblís se ho, aur apne báp kí ḳhwáhishoṉ ko púrá karná cháhte ho. Wuh shurúʻ hí se ḳhúní hai, aur sachcháí par qáim nahíṉ rahá, kyúṉki us meṉ sachcháí hai nahíṉ. Jab wuh jhúṭh boltá hai, to apní hí si kahtá hai; kyúṉki wuh jhúṭhá hai, balki jhúṭh ká báp hai.

Matí 4

1Us waqt Rúh Yisúʻ ko jangal meṉ le gayí, táki Iblís se ázmáyá jáe.

3Aur ázmánewále ne pás ákar us se kahá, ki Agar tú Ḳhudá ká Beṭá hai, to farmá ki yih patthar roṭiyáṉ ban jáeṉ. (JISMANI NIYAT)

YE CHIN CHAMPTKAR  JA NISHAN HAI

4Us ne jawáb meṉ kahá; Likhá hai, ki Ádmí sirf rotí hí se jítá na rahegá, balki har bát sé, jo Ḳhudá ke muṉh se nikaltí hai.

5Tab Iblís use muqaddas shahr meṉ le gayá, aur haikal ke kangure par khaṛá karke us se kahá, ki 6Agar tú Ḳhudá ká Beṭá hai, to apne taíṉ níche girá de; kyúṉki likhá hai, ki

Wuh terí bábat apne firishtoṉ ko hukm degá;

Aur wuh tujhe háthoṉ par uṭhá leṉge,

Aisá na ho, ki tere páṉw ko patthar ki ṭhes lage.

7Yisúʻ ne us se kahá; Yih bhí likhá hai, ki Tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá ki ázmáish na kar. 8Phir Iblís use ek bahut úṉche paháṛ par le gayá, aur dunyá ki sárí badsháhateṉ aur un kí shán o shaukat use dikháí, 9aur us se kahá, ki Agar tú jhukkar mujhe sijḍa kare, to yih sab kuchh tujhe de dúṉgá. 10Yisúʻ ne us se kahá; Ai Shaitán, dúr ho, ḳyúṉki likhá hai, ki Tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá ko sijda kar, aur sirf usi kí ʻibádat kar. 11Tab Iblís us ke pás se chalá gayá;

TO YE IBLISH OR RUH L QUDS KI HIDAYET SE MASIH YISU KI BAT CHEET HUI

YISU RUHANI NIYAT SE RUH L QUDS KI HADAYT SE RUHANI NIYAT MEN PAVITER SHSHATER KA KALAM BOL RAHEN HAIN

OR IBLISH WUHI PAVITER SHASHATR KE KALAM KO JISMANI NIYAT MEN

ISTEMAAL KAR RAHA HAI

LIKHA HAI JISMANI NIYAT MAUT HAI

OR

Romíoṉ 8:7 (URDR55) is liye ki jismání níyat Ḳhudá kí dushmaní hai;

KHUDA JIS DAULT KI BAAT KARTE HAI RUHANI TAUR PAR WUH IMAN SABAR SACHCHAI JALAL RUHANI QUDRAT

FAZL KI DAULAT KI BAAT KARTE HAIN

1 Tímuthiyus 6

: 6Háṉ, díndárí qanáʻat ke sáth baṛe nafaʻ ká zaríʻa hai; 7kyúṉki na ham dunyá meṉ kuchh láe, aur na kuchh us meṉ se le já sakte haiṉ; 8pas agar hamáre pás kháne pahinne ko hai, to usí par qanáʻat kareṉ. 9Lekin jo daulatmand honá cháhte haiṉ, wuh aisí ázmáish aur phande aur bahut sí behúda aur nuqsán pahuṉchánewálí ḳhwáhishoṉ meṉ phaṉste haiṉ, jo ádmíoṉ ko tabáhí aur halákat ke daryá meṉ garq kar detí haiṉ; 10kyúṉki rupaye ki mahabbat har qism kí buráí kí ek jaṛ hai; jis kí árzú meṉ baʻz ne ímán se gumráh hokar apne diloṉ ko tarah tarah ke gamoṉ se chhalní kar liyá.

11Magar, ai mard i Ḳhudá, tú in bátoṉ se bhág: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho. 12Ímán kí achchhí kushtí laṛ, us hamesha kí zindagí par qabza kar le jis ke liye tú buláyá gayá thá, aur bahut se gawáhoṉ ke sámne achchhá iqrár kiyá thá.

1 Tímuthiyus 6

: 17Is maujúda jahán ke daulatmandoṉ ko hukm de, ki magrúr na hoṉ, aur nápáedár daulat par nahíṉ, balki Ḳhudá par ummed rakkheṉ, jo hameṉ lutf uṭháne ke liye sab chízeṉ ífrát se detá hai; 18aur nekí kareṉ, aur achchhe kámoṉ meṉ daulatmand baneṉ, aur saḳháwat par taiyár, aur imdád par mustaʻidd hoṉ;

Matí 6

19Apne wáste zamín par mál jamaʻ na karo, jaháṉ kíṛá aur zang ḳharáb kartá hai, aur jaháṉ chor naqb lagáte aur churáte haiṉ; 20balki apne liye ásmán par mál jamaʻ karo, jaháṉ na kíṛá ḳharáb kartá hai, na zang, aur na waháṉ chor naqb lagáte aur churáte haiṉ; 21kyúṉki jaháṉ terá mál hai, wahíṉ terá dil bhí lagá rahegá.

AB ATEN HAIN IS POINT PAR KHUDA TUMEN ACHI BIWI OR

KHUDA TUMHEN ACHA SHAUHAR DEGA

Lúqá 14

: 26Agar koí mere pás áe, aur apne báp, aur máṉ, aur bíwí, aur bachchoṉ, aur bháiyoṉ, aur bahinoṉ, balki apní ján se bhí dushmaní na kare, to merá shágird nahíṉ ho saktá. 27Jo koí apní salíb na uṭháe aur mere píchhe na áe, wuh merá shágird nahíṉ ho saktá.

1 Kurinthíoṉ 7

: Mard ke liye achchhá hai, ki ʻaurat ko na chhúe. 2Lekin harámkáríoṉ ke andeshe se har mard apní bíwí, aur har ʻaurat apná shauhar rakkhe.

Matí 19

: 9Aur maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Jo koí apní bíwí ko harámkárí ke siwá kisi âur sabab se chhoṛ de, aur dúsrí se biyáh kare, wuh ziná kartá hai; aur jo koí chhoṛí húí se biyáh kar le wuh bhí ziná kartá hai. 10Shágirdoṉ ne us se kahá, ki Agar mard ká bíwí ke sáth aisá hí hál hai, to biyáh karná hí achchhá nahíṉ. 11Us ne un se kahá, ki Sab is bát ko qubúl nahíṉ kar sakte, magar wuhí jinheṉ yih qudrat dí gayí hai. 12Kyúṉki baʻz ḳhoje (transgender किन्नर) aise haiṉ, jo máṉ ke peṭ hí se aise paidá húe, aur baʻz ḳhoje aise haiṉ, jinheṉ ádmíoṉ ne ḳhoja banáyá, aur baʻz ḳhoje aise haiṉ, jinhoṉ ne ásmán kí bádsháhat ke liye apne áp ko ḳhoja banáyá. Jo qubúl kar saktá hai, wuh qubúl kare.

 

Matí 22

: 23Usí din Sadúqí, jo kahte haiṉ, ki qiyámat hai hí nahíṉ, us ke pás áe, aur us se yih suwál kiyá, ki 24Ai ustád, Músá ne kahá thá ki Agar koí beaulád mar jáe, to us ká bháí us kí bíwí se biyáh kar le, aur apne bháí ke liye nasl paidá kare. 25Ab hamáre darmiyán sát bháí the; aur pahlá biyáh karke mar gayá, aur is sabab se, ki us ke aulád na thí, apní bíwí apne bhái ke liye chhoṛ gayá; 26isí tarah dúsrá aur tísrá bhí, sátweṉ tak. 27Sab ke píchhe wuh ʻaurat bhí mar gayí. 28Pas wuh qiyámat meṉ un sátoṉ meṉ se kis kí bíwí hogí? kyúṉki sab ne us se biyáh kiyá thá. 29Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Tum gumráh ho, is liye ki na kitáb i muqaddas ko jánte ho, na Ḳhudá ki qudrat ko; 30kyúṉki qiyámat meṉ biyáh shádí na hogí, balki log ásmán par firishtoṉ kí mánind hoṉge. 31Magar murdoṉ ke jí uṭhne kí bábat, jo Ḳhudá ne tumheṉ farmáyá thá, kyá tum ne wuh nahíṉ paṛhá, ki 32Maiṉ Ibráhím ká Ḳhudá, aur Izháq ká Ḳhudá, aur Yaʻqúb ká Ḳhudá húṉ? Wuh to murdoṉ ká Ḳhudá nahíṉ, balki zindoṉ ká hai.

'táki tum apne Báp ke jo ásmán par hai beṭe ṭhahro; kyúṉki wuh apne súraj ko badoṉ aur nekoṉ donoṉ par chamkátá hai, aur rástbázoṉ aur nárástoṉ donoṉ par meṉh barsátá hai. '

 

Matí 5:45

AB ATEN HAIN JO  RUHNEN CHANGAI KA LALACH DE KAR GUMRAH KART HAIN

Lúqá 10

: 20Taubhí is se ḳhush na ho, ki rúheṉ tumháre tábiʻ haiṉ; balki is se ḳhush ho, ki tumháre nám ásmán par likhe húe haiṉ.

1 Yúhanná 4

1Ai ʻazízo, har ek rúh ká yaqín na karo, balki rúhoṉ ko ázmáo, ki wuh Ḳhudá kí taraf se haiṉ yá nahíṉ; kyúṉki bahut se jhúṭhe nabí dunyá meṉ nikal khaṛe húe haiṉ.

 

Matí 7

:20Pas un ke phaloṉ se tum unheṉ pahchán loge. 21Jo mujh se, Ai Ḳhudáwand, ai Ḳhudáwand, kahte haiṉ, un meṉ se har ek ásmán kí bádsháhat meṉ dáḳhil na hogá, magar wuhí jo mere ásmání Báp kí marzí par chaltá hai. 22Us din bahutere mujh se kaheṉge; Ai Ḳhudáwand, ai Ḳhudáwand, kyá ham ne tere nám se nubuwwat nahíṉ kí, aur tere nám se badrúhoṉ ko nahiṉ nikálá, aur tere nám se bahut se muʻjize nahíṉ dikháe? 23Us waqt maiṉ un se sáf kah dúṉgá, ki Merí kabhí tum se wáqifíyat na thí: ai badkáro, mere pás se chale jáo.

2 Tímuthiyus 3

1Lekin yih ján rakh, ki aḳhír zamáne meṉ bure din áeṉge. 2Kyúṉki ádmí ḳhudgaraz, zardost, sheḳhíbáz, magrúr, badgo, máṉ báp ke náfarmán, náshukr, nápák, 3tabaʻí mahabbat se ḳhálí, saṉgdil, tuhmat lagánewále, bezabt, tundmi-záj, nekí ke dushman, 4dagábáz, ḍhíṭh, ghamanḍ karnewále, Ḳhudá kí nisbat ʻaish o ʻishrat ko ziyáda dost rakhnewále hoṉge; 5wuh díndárí kí wazaʻ to rakkheṉge, magar us ke asar ko qubúl na kareṉge; aisoṉ se bhí kanára karná. 6In hí meṉ se wuh log haiṉ, jo gharoṉ meṉ dabe páṉw ghus áte haiṉ, aur un chhachhorí ʻauratoṉ ko qábú meṉ kar lete haiṉ, jo gunáhoṉ meṉ dabí húí haiṉ, aur tarah tarah kí ḳhwáhishoṉ ke bas meṉ haiṉ; 7aur hamesha taʻlím pátí rahtí haiṉ, magar haqq kí pahchán tak kabhí nahíṉ pahuṉchtíṉ.

Yih aise ádmí haiṉ, jin kí ʻaql bigṛí húí hai, aur wuh ímán ke iʻtibár se námaqbúl haiṉ. 9Magar is se ziyáda na baṛh sakeṉge, is wáste ki in kí nádání sab ádmíoṉ par záhir ho jáegí, jaise un kí bhí ho gayí thí.

 

AB IBLISH YANI GUMRAH KARNE WALA SANP EK JUTH OR BOLTA HAI

OR YE DAWA KARTA HAI KI MASIH YISU MEN KOI DUKH TAKLEEF NAHI KOI BIMARI NHI

Lúqá 24

45Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ, 46aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí.

'Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ. '

 

Lúqá 24:44

: ki Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo! 26Kyá Masíh ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá? 27Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ.

 

ʻIbrá Níoṉ 12

: Ai mere beṭe, Ḳhudáwand kí tambíh ko náchiz na ján,

Aur jab wuh tujhe malámat kare, to bedil na ho;

6Kyúṉki jis se Ḳhudáwand mahabbat rakhtá hai, use tambíh bhí kartá hai,

Aur jis ko beṭá baná letá hai, us ke koṛe bhí lagátá hai.

7Tum jo kuchh dukh sahte ho wuh tumhárí tarbiyat ke liye hai. Ḳhudá farzand jánkar tumháre sáth sulúk kartá hai; wuh kaun sá beṭá hai, jise báp tambíh nahíṉ kartá? 8Aur agar tumheṉ wuh tambíh na kí gayí, jis meṉ sab sharík haiṉ, to tum harámzáde ṭhahre, na ki beṭe. 9ʻAláwa is ke, jab hamáre jismání báp hameṉ tambíh karte the, aur ham un kí taʻzím karte rahe, to kyá rúhoṉ ke Báp kí is se ziyáda tábiʻdárí na kareṉ, jis se ham zinda raheṉ? 10Wuh to thoṛe dinoṉ ke wáste apní samajh ke muwáfiq tambíh karte the, magar yih hamáre fáide ke liye kartá hai, táki ham bhí us kí pákízagí meṉ shámil ho jáeṉ. 11Aur biʼlfiʻl har qism kí tambíh ḳhushí ká nahíṉ, balki gam ká báʻis maʻlúm hotí hai: magar jo us ko sahte sahte puḳhta ho gaye haiṉ, un ko baʻd meṉ chain ke sáth rástbází ká phal baḳhshtí hai.

Romíoṉ 8

: 16Rúh ḳhud hamárí rúh ke sáth milkar gawáhí detí hai, ki ham Ḳhudá ke farzand haiṉ. 17Aur agar farzand haiṉ, to wáris bhí haiṉ; yaʻní Ḳhudá ke wáris, aur Masíh ke hammírás; basharte ki ham us ke sáth dukh uṭháeṉ, táki us ke sáth jalál bhí páeṉ.

2 Tímuthiyus 2

:  12agar ham dukh saheṉge, to us ke sáth bádsháhí bhí kareṉge;

ʻIbrá Níoṉ 4

: 14Pas jab hamárá ek aisá baṛá sardár káhin hai, jo ásmánoṉ se guzar gayá, yaʻní Ḳhudá ká Beṭá Yisúʻ, to áo, ham apne iqrár par qáim raheṉ. 15Kyúṉki hamárá aisá sardár káhin nahíṉ, jo hamárí kamzoríoṉ meṉ hamárá hamdard na ho sake, balki sárí bátoṉ meṉ hamárí tarah ázmáyá gayá, táham begunáh rahá.

ʻIbrá Níoṉ 2

;  17Pas us ko sab bátoṉ meṉ apne bháiyoṉ kí mánind banná lázim húá; táki ummat ke gunáhoṉ ká kaffára dene ke wáste, un bátoṉ meṉ jo Ḳhudá se ʻiláqa rakhtí haiṉ, ek rahmdil aur diyánatdár sardár káhin bane. 18Kyúṉki jis súrat meṉ us ne ḳhud hí ázmáish kí hálat meṉ dukh uṭháyá, to wuh un kí bhí madad kar saktá hai, jin kí ázmáish hotí hai.

Yúhanná 5

: 5Waháṉ ek shaḳhs thá, jo aṭhtís baras se bímárí meṉ mubtalá thá. 6Is ko Yisúʻ ne paṛá húá dekhá, aur yih jánkar ki wuh baṛí muddat se is hálat meṉ hai, us se kahá; Kyá tú tandurust honá cháhtá hai? 7Us bímár ne use jawáb diyá; Ai Ḳhudáwand, mere pás koí ádmí nahíṉ, ki jab pání hiláyá jáe, to mujhe hauz meṉ utár de; balki mere pahuṉchte pahuṉchte dúsrá mujh se pahle utar paṛtá hai. 8Yisúʻ ne us se kahá; Uṭh, aur apní chárpáí uṭhákar chal phir. 9Wuh shaḳhs fauran tandurust ho gayá, aur apní chárpáí uṭhákar chalne phirne lagá.

14In bátoṉ ke baʻd wuh Yisúʻ ko haikal meṉ milá. Us ne us se kahá; Dekh, tú tandurust ho gayá hai; phir gunáh na karná, aisá na ho ki tujh par is se bhí ziyáda áfat áe.

AB YE BAAT KIS KE ADHIN KAHI

MUSA KI SHARIAT KE ADHIN

KYU JIS WAQT YISU JIMSANI TAUR PAR KAAM RAHE THE MAJUDA

TAB PURI DUNIYA HI GUNAH OR SHATIAT KE ADHIN THI

SWAAL YE HAI KYA YE INSAAN 38 BARAS KA ROGI KHUDA KE JALAL

BADSHAHTA MEN DAKHIL HUA

ISK ZIKAR HAI NHI

ISI TARAH 12 BARAS KI  AURT JIS KHUN JARI THA

JAB WUH LAHU BEHNE KI BIMARI SE AZAAD HUI TO WUH KYA

KHUDA KE JALAL BADSHAHAT MEN DAKHIL HUI

KYA BIBLE IN ;LOGO KE HAQ MEN GAWAHI DETI HAI

NHI

KYU INKA IMAN HI SHIFA PANE TAK KA THA

Marqus 5

: 34Us ne us se kahá; Beṭí, tere ímán ne tujhe achchhá kiyá hai; salámat já, aur apní is bímárí se bachí rah.

Matí 9

“ 27Jab Yisúʻ wahaṉ se áge baṛhá, to do andhe us ke píchhe yih pukárte húe chale, ki Ai Ibn i Dáúd, ham par rahm kar. 28Jab wuh ghar meṉ pahuṉchá, to wuh andhe us ke pás áe; aur Yisúʻ ne un se kahá; Kyá tumheṉ iʻtiqád hai, ki maiṉ yih kar saktá húṉ? Unhoṉ ne us se kahá; Háṉ, Ḳhudáwand. 29Tab us ne un kí áṉkheṉ chhúkar kahá; Tumháre iʻtiqád ke muwáfiq tumháre liye ho. :29Tab us ne un kí áṉkheṉ chhúkar kahá; Tumháre iʻtiqád ke muwáfiq tumháre liye ho. KITAB MUQDASS NE SAB KO GUNAH KE MATAHAT KAR DIYA

SHARIAT KE ADHIN THEY

OR YE  CHANGE KYU HUYE

IMAN KE SABAB

MAGAR SHARIAT KO IMAN SE KUCH WASTA NAHI

SHARIAT NE AJ TIK KISI CHEEZ KO KAMIL NHI KIYA

SHRIAT GAZAB PAIDA KARTI HAI

MAUT OR GUNAH KA AHD  JISMANI AHD

SHARIAT  GUNAH KA ZOR HAI

Romíoṉ 5

:  20Aur bích meṉ sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda húá, waháṉ fazl us se bhí niháyat ziyáda húá:

Yúhanná 1

: 16Kyúṉki us kí maʻmúrí meṉ se ham sab ne páyá, yaʻní fazl par fazl. 17Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí; magar fazl aur sachcháí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi. 18Ḳhudá ko kisí ne kabhí nahíṉ dekhá; iklautá Beṭá, jo Báp kí god meṉ hai, usí ne záhir kiyá.

12Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá — 13kyúṉki sharíʻat ke diye jáne tak dunyá meṉ gunáh to thá: magar jaháṉ sharíʻat nahíṉ, waháṉ gunáh mahsúb nahíṉ hotá. 14Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá.

 

 

KYU KI JAISA IMAN WAISA HI INAM IN SAB KA VISHWASH HI SHIFA PANE TAK KA THA TO SIRF SHIFA HI PAI

 

Yúhanná 3

: 3Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Maiṉ tujh se sach sach kahtá húṉ, ki jab tak koí naye sire se paidá na ho, wuh Ḳhudá kí bádsháhat ko dekh nahíṉ saktá.

Matí 3

: 16Aur Yisúʻ baptisma lekar fiʼlfaur pání ke pás se úpar gayá; aur dekho, us ke liye ásmán khul gayá, aur us ne Ḳhudá kí Rúh ko kabútar kí mánind utarte, aur apne úpar áte dekhá. 17Aur dekho, ásmán se yih áwáz áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ.

Yúhanná 1

: 12Lekin jitnoṉ ne use qubúl kiyá, us ne unheṉ Ḳhudá ke farzand banne ká haqq baḳhshá, yaʻní unheṉ jo us ke nám par ímán láte haiṉ.

Romíoṉ 10

: 9ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá. 10Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.

 

 

Yúhanná 1

:  32Aur Yúhanná ne yih gawáhí dí, ki Maiṉ ne Rúh ko kabútar kí tarah ásmán se utarte dekhá hai, aur wuh us par ṭhahr gayí. 33Aur maiṉ to use pahchántá na thá; magar jis ne mujhe pání se baptisma dene ko bhejá, usí ne mujh se kahá, ki Jis par tú Rúh ko utarte aur ṭhahrte dekhe, wuhí Rúhuʼl Quds se baptisma denewálá hai. 34Chunáṉchi maiṉ ne dekhá aur gawáhí dí hai, ki yih Ḳhudá ká Beṭá hai.

: 35Dúsre din phir Yúhanná aur us ke shágirdoṉ meṉ se do shaḳhs khaṛe the. 36Us ne Yisúʻ par, jo já rahá thá, nigáh karke kahá, Dekho, yih Ḳhudá ká Barra hai! 37Wuh donoṉ shágird us ko yih kahte sunkar Yisúʻ ke píchhe ho liye. 38Yisúʻ ne phirkar aur unheṉ píchhe áte dekhkar un se kahá; Tum kyá ḍhúṉḍhte ho? Unhoṉ ne us se kahá; Ai Rabbí, (yaʻní Ai ustád), tú kaháṉ rahtá hai? 39Us ne un se kahá; Chalo, dekh loge. Pas unhoṉ ne ákar us ke rahne kí jagah dekhí, aur us roz us ke sáth rahe; aur yih dasweṉ ghanṭe ke qaríb thá. 40Un donoṉ meṉ se jo Yúhanná kí bát sunkar Yisúʻ ke píchhe ho liye the, ek Shamaʻún Patras ká bhái Andriyás thá. 41Us ne pahle apne sage bháí Shamaʻún se milkar us se kahá, ki Ham ko Ḳhristus, yaʻní Masíh mil gayá. 42Wuh use Yisúʻ ke pás láyá: Yisúʻ ne us par nigáh karke kahá, ki Tú Yúhanná ká beṭá Shamaʻún hai: tú Kefá, yaʻní Patras, kahláegá.

45Filippus ne Natanʼel se milkar us se kahá, ki Jis ká zikr Músá ne Tauret meṉ aur nabíoṉ ne kiyá hai, wuh ham ko mil gayá; wuh Yúsuf ká beṭá Yisúʻ Násarí hai. 46Natanʼel ne us se kahá; Kyá Násarat se koí achchhí chíz nikal saktí hai? Filippus ne kahá; Chalkar dekh le. 47Yisúʻ ne Natanʼel ko apní taraf áte dekhkar us ke haqq meṉ kahá; Dekho, yih fiʼlhaqíqat Isráílí hai: is meṉ makr nahíṉ. 48Natanʼel ne us se kahá; Tú mujhe kaháṉ se jántá hai? Yisúʻ ne us ke jawáb meṉ kahá; Is se pahle ki Filippus ne tujhe buláyá, jab tú anjír ke daraḳht ke níche thá, maiṉ ne tujhe dekhá. 49Natanʼel ne ús ko jawáb diyá; Ai Rabbí, tú Ḳhudá ká Beṭá, tú Isráíl ká bádsháh hai. 50Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Maiṉ ne jo tujh se kahá, ki tujh ko anjír ke daraḳht ke níche dekhá, kyá tú isí liye ímán láyá hai? Tú in se bhí baṛe baṛe májare dekhegá. 51Phir us se kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Tum ásmán ko khulá húá, aur Ḳhudá ke firishtoṉ ko úpar játe aur Ibn i Ádam par utarte dekhoge.

Marqus 15

:37Phir Yisúʻ baṛi áwáz se chilláyá, aur dam de diyá. 38Aur maqdis ká parda úpar se níche tak phaṭkar do ṭukṛe ho gayá. 39Aur jo súbadár us ke sámne khaṛá thá, us ne use yúṉ dam dete húe dekhkar kahá, ki Yih ádmí beshakk Ḳhudá ká Beṭá thá.

Yúhanná 4

: 7Sámariya kí ek ʻaurat pání bharne áí. Yisúʻ ne us se kahá; Mujhe pání pilá; 8kyúṉki us ke shágird shahr meṉ kháná mol lene ko gaye the. 9Us Sámarí ʻaurat ne us se kahá, ki Tú Yahúdí hokar mujh Sámarí ʻaurat se pání kyúṉ máṉgtá hai? (kyúṉki Yahúdí Sámaríoṉ se kisí tarah ká bartáo nahíṉ rakhte.) 10Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Agar tú Ḳhudá kí baḳhshish ko jántí, aur yih bhí jántí, ki wuh kaun hai, jo tujh se kahtá hai; Mujhe pání pilá, to tú us se máṉgtí, aur wuh tujhe zindagí ká pání detá. 11ʻAurat ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, tere pás pání bharne ko to kuchh hai nahíṉ, aur kúáṉ gahrá hai: phir wuh zindagí ká pání tere pás kaháṉ se áyá? 12Kyá tú hamáre báp Yaʻqúb se baṛá hai, jis ne ham ko yih kúáṉ diyá, aur ḳhud us ne, aur us ke beṭoṉ ne, aur us ke maweshí ne us meṉ se piyá? 13Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Jo koí is pání meṉ se pítá hai, wuh phir piyásá hogá; 14magar jo koí us pání meṉ se píegá jo maiṉ use dúṉgá, wuh abad tak piyásá na hogá; balki jo pání maiṉ use dúṉgá, wuh us meṉ ek chashma ban jáegá, jo hamesha kí zindagí ke liye járí rahegá. 15ʻAurat ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, wuh pání mujh ko de, táki maiṉ na piyásí húṉ, na pání bharne ko yaháṉ tak áúṉ. 16Yisúʻ ne us se kahá; Já, apne shauhar ko yaháṉ bulá lá. 17ʻAurat ne jawáb meṉ us se kahá, ki Maiṉ beshauhar húṉ. Yisúʻ ne us se kahá, ki Tú ne ḳhúb kahá; Maiṉ beshauhar húṉ; 18kyúṉki tú páṉch shauhar kar chukí hai; aur jis ke pás tú ab hai, wuh terá shauhar nahíṉ; yih tú ne sach kahá. 19ʻAurat ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, mujhe maʻlúm hotá hai ki tú nabí hai. 20Hamáre bápdádá ne is paháṛ par parastish kí; aur tum kahte ho, ki wuh jagah jaháṉ parastish karní cháhiye, Yarúshalem meṉ hai. 21Yisúʻ ne us se kahá; Ai ʻaurat, merí bát ká yaqín kar, ki wuh waqt átá hai ki tum na to is paháṛ par Báp kí parastish karoge, aur na Yarúshalem meṉ. 22Tum jise nahíṉ jánte, us kí parastish karte ho; ham jise jánte haiṉ, us kí parastish karte haiṉ; kyúṉki naját Yahúdíoṉ meṉ se hai. 23Magar wuh waqt átá hai, balki ab hí hai, ki sachche parastár Báp kí parastish rúh aur sachcháí se kareṉge, kyúṉki Báp apne liye aise hí parastár ḍhúṉḍhtá hai. 24Ḳhudá rúh hai, aur zarúr hai ki us ke parastár rúh aur sachcháí se parastish kareṉ. 25ʻAurat ne us se kahá; Maiṉ jántí húṉ, ki Masíh, jo Ḳhristus kahlátá hai, ánewálá hai; jab wuh áegá, to hameṉ sab báteṉ batá degá. 26Yísúʻ ne us se kahá; Maiṉ jo tujh se bol rahá húṉ, wuhí húṉ.

27Itne meṉ us ke shágird á gaye, aur taʻajjub karne lage ki wuh ʻaurat se báteṉ kar rahá hai; táham kisí ne na kahá, kí Tú kyá cháhtá hai? yá, Us se kis liye báteṉ kartá hai? 28Pas ʻaurat apná ghaṛá chhoṛkar shahr meṉ chalí gayí, aur logoṉ se kahne lagí; 29Áo, ek ádmí ko dekho, jis ne mere sab kám mujhe batá diye: kyá mumkin hai ki Masíh yihí hai? 30Wuh shahr se nikalkar us ke pás áne lage. 31Itne meṉ us ke shágird us se yih darḳhwást karne lage, ki Ai Rabbí, kuchh khá le. 32Lekin us ne un se kahá; Mére pás kháne ke liye aisá kháná hai jise tum nahíṉ jánte. 33Pas shágirdoṉ ne ápas meṉ kahá; Kyá koí us ke liye kuchh kháne ko láyá hai? 34Yisúʻ ne un se kahá; Merá kháná yih hai, ki apne bhejnewále kí marzí ke muwáfiq ʻamal karúṉ, aur us ká kám púrá karúṉ. 35Kyá tum kahte nahíṉ, ki Fasl ke áne meṉ abhí chár mahíne báqí haiṉ? Dekho, maiṉ tum se kahtá húṉ; apní áṉkheṉ uṭhákar khetoṉ par nazar karo, ki fasl pak gayí hai. 36Aur káṭnewálá mazdúri pátá, aur hamesha kí zindagi ke liye phal jamaʻ kartá hai, táki bonewálá aur káṭnewálá donoṉ milkar ḳhushí kareṉ. 37Kyúṉki is par yih masal ṭhík átí hai, ki Bonewálá âur hai, káṭnewálá âur. 38Maiṉ ne tumheṉ wuh khet káṭne ke liye bhejá, jis par tum ne mihnat nahíṉ kí: auroṉ ne mihnat kí, aur tum un kí mihnat ke phal meṉ sharík húe.

39Aur us shahr ke bahut se Sámarí us ʻaurat ke kahne se, jis ne gawáhí dí, ki Us ne mere sab kám mujhe batá diye, us par ímán láe. 40Pas jab wuh Sámarí us ke pás áe, to us se darḳhwást karne lage, ki Hamáre pás rah: chunáṉchi wuh do roz waháṉ rahá. 41Aur us ke kalám ke sabab âur bhí bahutere ímán láe; 42aur us ʻaurat se kahá; Ab ham tere kahne hí se ímán nahíṉ láte; kyúṉki ham ne ḳhud sun liyá, aur jánte haiṉ ki yih fiʼilhaqíqat dunyá ká Munjí hai.

 

Yúhanná 11

MARTHA LAZR KI BEHAN)  : 7Us ne us se kahá;( Háṉ, ai Ḳhudáwand; maiṉ ímán lá chukí húṉ, ki Ḳhudá ká Beṭá Masíh, jo dunyá meṉ ánewálá thá, tú hí hai. 28Yih kahkar wuh chalí gayí, aur chupke se apní bahin Maryam ko bulákar kahá, ki Ustád yahíṉ hai, aur tujhe bulátá hai.

Matí 16

: 13Jab Yisúʻ Qaisariya Filippí ke ʻiláqe meṉ áyá, to apne shágirdoṉ se yih púchhá, ki Log Ibn i Ádam ko kyá kahte haiṉ? 14Unhoṉ ne kahá; Baʻz Yúhanná baptisma denewálá kahte haiṉ, baʻz Eliyyáh, baʻz Yarmiyáh, yá nabíoṉ meṉ se koí. 15Us ne un se kahá; Magar tum mujhe kyá kahte ho? 16Shamaʻún Patras ne jawáb meṉ kahá; Tú zinda Ḳhudá ká Beṭá Masíh hai. 17Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá, ki Mubárak hai tú, Shámaʻún BarYoná; kyúṉki yih bát gosht aur ḳhún ne nahíṉ, balki mere Báp ne, jo ásmán par hai, tujh par záhir ki hai. 18Aur maiṉ bhí tujh se kahtá húṉ, ki Tú Patras hai, aur maiṉ is patthar par apní kalísiyá banáúṉgá, aur ʻálam i arwáh ke darwáze us par gálib na áeṉge. 19Maiṉ ásman kí bádsháhat kí kunjiyáṉ tujhe dúṉgá, aur jo kuchh tú zamín par báṉdhegá, wuh ásmán par bandhegá; aur jo kuchh tú zamín par kholegá, wuh ásmán par khulegá. 20Us waqt us ne shágirdoṉ ko hukm diyá, ki kisí ko na batáná, ki yih Masíh hai.

Lúqá 23

: 39Phir jo badkár salíb par laṭkáe gaye the, un meṉ se ek use yúṉ taʻna dene lagá, ki Kyá tú Masíh nahíṉ? to apne áp ko aur ham ko bachá. 40Magar dúsre ne use jhiṛakkar jawáb diyá; Kyá tú Ḳhudá se bhí nahíṉ ḍartá, háláṉki usí sazá meṉ giriftár hai? 41Aur hamárí sazá to wájibí hai; kyúṉki apne kámoṉ ká badla pá rahe haiṉ, lekin is ne koí bejá kám nahíṉ kiyá. 42Phir us ne kahá; Ai Yisúʻ, jab tú apní bádsháhat meṉ áe, to mujhe yád karná. 43Us ne us se kahá; Maiṉ tujh se sach kahtá húṉ, ki áj hí tú mere sáth Firdaus meṉ hogá.

Marqus 1

1Ḳhudá ke Beṭe Yisúʻ Masíh kí ḳhushḳhabarí ká shurúʻ.

14Phir Yúhanná ke pakaṛwáe jáne ke baʻd Yisúʻ ne Galíl meṉ ákar Ḳhudá kí ḳhushḳhabarí kí manádí kí, 15aur kahá, ki Waqt púrá ho gayá hai, aur Ḳhudá kí bádsháhat nazdík á gayí hai; tauba karo, aur ḳhushḳhabari ko máno.

 

Romíoṉ 10

: jo rástbází ímán se hai, wuh yúṉ kahtí hai,

ki Kalám tere nazdík hai, balki tere muṉh aur tere dil meṉ hai: yih wuhí ímán ká kalám hai, jis kí ham manádí karte haiṉ; 9ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá. 10Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.

Marqus 1

1Ḳhudá ke Beṭe Yisúʻ Masíh kí ḳhushḳhabarí ká shurúʻ.

14Phir Yúhanná ke pakaṛwáe jáne ke baʻd Yisúʻ ne Galíl meṉ ákar Ḳhudá kí ḳhushḳhabarí kí manádí kí, 15aur kahá, ki Waqt púrá ho gayá hai, aur Ḳhudá kí bádsháhat nazdík á gayí hai; tauba karo, aur ḳhushḳhabari ko máno.


 
 
 

Comments


© 2023 by Daniel Lunsford. Proudly created with Wix.com

bottom of page