MASHAQQAT मेहनत, मज़दूरी, श्रम Labour Toil urdu bible podcast @YasarimEl
- Yasarim El
- Aug 11
- 14 min read
Aj jis shabad ko hum study karne ja rahen hain wuh shabad hai mushaqat
English men Toil" labour
" कठिन परिश्रम या मेहनत.
बहुत मेहनत और प्रयास लगता है
Or iska karan kaun bana
Zamin jismani adam kyu
Usne nafrmaani
Uski nafrmani ki wazah se
Gunah or gunah ke wasile maut ayi or yun maut sab admiyon phail
Isliye sab ne gunah kiya zamini jismani adam karan bana
Ki kitab I muqdass ne sab ko gunah ke matahat kar diya
Yahi karan hai adam zad andar ghulami or dark i ruh paida hui
zamín par insán kí badí bahut baṛh gayí, aur us ke dil ke tasawwur aur ḳhayál sadá bure hí hote haiṉ.
Matí 15
: 19Kyúṉki bure ḳhayál, ḳhúnrezíáṉ, zinákáríáṉ, harámkáríáṉ, choriyáṉ, jhúṭhí gawáhíáṉ, badgoíáṉ díl hí se nikaltí haiṉ. 20Yihí báteṉ haiṉ, jo ádmí ko nápák kartí haiṉ;
Yarmiyáh 20
: 14 La‘nat us din par jis meṉ maiṉ paidá húá: wuh din jis meṉ merí máṉ ne mujh ko janam diyá hargiz mubárak na ho. 15La‘nat us ádmí par jis ne mere báp ko yih kahkar ḳhabar dí, ki Tere háṉ beṭá paidá húá; aur use bahut ḳhush kiyá. 16Háṉ, wuh ádmí un shahroṉ kí mánind ho, jin ko Ḳhudáwand ne shikast dí, aur afsos na kiyá: aur wuh subh ko ḳhaufnák shor sune, aur do pahar ke waqt baṛí lalkár; 17is liye ki us ne mujhe rihm hí meṉ qatl na kiyá; ki merí máṉ merí qabr hotí, aur us ká rihm hamesha tak bhará rahtá. 18Maiṉ paidá hí kyúṉ húá ki mashaqqat aur ranj dekhúṉ, aur mere din ruswáí meṉ kaṭeṉ?
18Balki maiṉ apní sárí mihnat se, jo dunyá meṉ kí thí, bezár húá: kyúṉki zarúr hai ki maiṉ use us ádmí ke liye jo mere ba‘d áegá chhoṛ jáúṉ. 19Aur kaun jántá hai, ki wuh dánishwar hogá yá ahmaq? Ba har hál wuh merí sárí mihnat ke kám par, jo maiṉ ne kiyá, aur jis meṉ maiṉ ne dunyá meṉ apní hikmat záhir kí, zábit hogá. Yih bhí butlán hai. 20Tab maiṉ phirá, ki apne dil ko us sáre kám se, jo maiṉ ne dunyá meṉ kiyá thá, náummed karúṉ. 21Kyúṉki aisá shaḳhs bhí hai, jis ke kám hikmat aur dánáí aur kámyábí ke sáth haiṉ; lekin wuh un ko dúsre ádmí ke liye, jis ne un meṉ kuchh mihnat nahíṉ kí, us kí mírás ke liye chhoṛ jáegá. Yih bhí butlán aur balá e ‘azím hai. 22Kyúṉkí ádmí ko us kí sárí mashaqqat aur jánfishání se, jo us ne dunyá meṉ kí, kyá hásil hai? 23Kyúṉki us ke liye ‘umr bhar g̣am hai, aur us kí mihnat mátam hai; balki us ká dil rát ko bhí árám nahíṉ pátá. Yih bhí butlán hai.
24Pas insán ke liye is se bihtar kuchh nahíṉ, ki wuh kháe aur piye aur apní sárí mihnat ke darmiyán ḳhush hokar apná jí bahláe. Maiṉ ne dekhá, ki yih bhí Ḳhudá ke háth se hai.
26Kyúṉki wuh us ádmí ko, jo us ke huzúr meṉ achchhá hai, hikmat aur dánáí aur ḳhushí baḳhshtá hai;
Wá‘iz 2:24
Wá‘iz 1
:12Maiṉ Wá‘iz Yarúshalem meṉ baní Isráíl ká bádsháh thá. 13Aur maiṉ ne apná dil lagáyá, ki jo kuchh ásmán ke níche kiyá játá hai, us sab kí taftísh o tahqíq karúṉ: Ḳhudá ne baní Ádam ko yih saḳht dukh diyá hai, ki wuh mashaqqat meṉ mubtalá raheṉ. 14Maiṉ ne sab kámoṉ par, jo dunyá meṉ kiye játe haiṉ, nazar kí; aur dekho, yih sab kuchh butlán aur hawá kí charán hai. 15Wuh jo ṭeṛhá hai, sídhá nahíṉ ho saktá, aur náqis ká shumár nahíṉ ho saktá. 16Maiṉ ne yih bát apne dil meṉ kahí. Dekh, maiṉ ne baṛí taraqqí kí, balki un sabhoṉ se jo mujh se pahle Yarúshalem meṉ the ziyáda hikmat hásil kí; háṉ, merá dil hikmat aur dánish meṉ baṛá kárdán húá. 17Lekin jab maiṉ ne hikmat ke jánne, aur hamáqat o jahálat ke samajhne par dil lagáyá, to ma‘lúm kiyá, ki yih bhí hawá kí charán hai. 18Kyúṉki bahut hikmat meṉ bahut gam hai; aur ‘ilm meṉ taraqqí dukh kí firáwání hai.
Wá‘iz 4
; 4Phir maiṉ ne sárí mihnat ke kám aur har ek achchhí dastkárí ko dekhá, ki is ke sabab se ádmí apne hamsáye se hasad kartá hai. Yih bhí butlán aur hawá kí charán hai.
Wá‘iz 3
: 9Kám karnewále ko us se, jis meṉ wuh mihnat kartá hai, kyá hásil hotá hai? 10Maiṉ ne us saḳht dukh ko dekhá, jo Ḳhudá ne baní Ádam ko diyá hai, ki wuh mashaqqat meṉ mubtalá raheṉ.
Ḳhudá ne baní Ádam ko yih saḳht dukh diyá hai, ki wuh mashaqqat meṉ mubtalá raheṉ.
Zabúr 107
: 4Wuh biyábán meṉ sahrá ke ráste par bhaṭakte phire;
Un ko basne ke liye koí shahr na milá.
5Wuh bhúke aur piyáse the,
Aur un ká dil baiṭhá játá thá.
6Tab apní musíbat meṉ unhoṉ ne Ḳhudáwand se faryád kí,
Aur us ne un ko un ke sab dukhoṉ se riháí baḳhshí.
7Wuh un ko sídhí ráh se le gayá,
Táki basne ke liye kisí shahr meṉ já pahuṉcheṉ.
8Kásh ki log Ḳhudáwand kí shafaqat kí ḳhátir,
Aur baní Ádam ke liye us ke ‘ajáib kí ḳhátir us kí sitáish karte!
9Kyúṉki wuh tarastí ján ko ser kartá hai,
Aur bhúkí ján ko ni‘matoṉ se málámál kartá hai.
10Jo andhere aur maut ke sáye meṉ baiṭhe,
Musíbat aur lohe se jakṛe húe the;
11Chúṉki unhoṉ ne Ḳhudá ke kalám se sarkashí kí,
Aur Haqq Ta‘álá kí mashwarat ko haqír jáná;
12Is liye us ne un ká dil mashaqqat se ‘ájiz kar diyá,
Wuh gir paṛe aur koí madadgár na thá.
13Tab apní musíbat meṉ unhoṉ ne Ḳhudáwand se faryád kí,
Aur us ne un ko un ke sab dukhoṉ se riháí baḳhshí.
14Wuh un ko andhere aur maut ke sáye se nikál láyá,
Aur un ke bandhan toṛ ḍále.
15Kásh ki log Ḳhudáwand kí shafaqat kí ḳhátir,
Aur baní Ádam ke liye us ke ‘ajáib kí ḳhátir us kí sitáish karte!
16Kyúṉki us ne pítal ke pháṭak toṛ diye,
Aur lohe ke beṉḍoṉ ko káṭ ḍálá.
17Ahmaq apní ḳhatáoṉ ke sabab se
Aur apní badkárí ke bá‘is musíbat meṉ paṛte haiṉ.
18Un ke jí ko har tarah ke kháne se nafrat ho játí hai,
Aur wuh maut ke pháṭakoṉ ke nazdík pahuṉch játe haiṉ.
19Tab wuh apní musíbat meṉ Ḳhudáwand se faryád karte haiṉ,
Aur wuh un ko un ke sab dukhoṉ se riháí baḳhshtá hai.
20Wuh apná kalám názil farmákar un ko shifá detá hai,
Aur un ko un kí halákat se riháí baḳhshtá hai.
21Kásh ki log Ḳhudáwand kí shafaqat kí ḳhátir,
Aur baní Ádam ke liye us ke ‘ajáib kí ḳhátir us kí sitáish
Agar Ḳhudáwand hí ghar na banáe,
To banánewáloṉ kí mihnat ‘abas hai:
Agar Ḳhudáwand hí shahr kí hifázat na kare,
To nigahbán ká jágná ‘abas hai.
2Tumháre liye sawere uṭhná, aur der meṉ árám karná,
Aur mashaqqat kí roṭí kháná ‘abas hai:
Kyúṉki wuh apne mahbúb ko to níṉd hí meṉ de detá hai.
10Bahut se charwáhoṉ ne mere tákistán ko ḳharáb kiyá,
Unhoṉ ne gehúṉ boyá, par káṉṭe jama‘ kiye; unhoṉ ne mashaqqat kheṉchí, par fáida na uṭháyá: Ḳhudáwand ke qahr i shadíd ke sabab se apne anjám se sharminda ho.
Jo kisán mihnat kartá hai, paidáwár ká hissa pahle usí ko milná cháhiye.
Paidáish 3
mashaqqat ke sáth tú apní ‘umr bhar us kí paidáwár kháegá;
'aur wuh tere liye káṉṭe aur úṉṭkaṭáre ugáegí; aur tú khet kí sabzí kháegá; '
Paidáish 3:18
aur agar jháṛiyáṉ aur úṉṭkaṭáre ugátí hai, to námaqbúl, aur qaríb hai ki laʻnatí ho, aur us ká anjám jaláyá jáná hai.
ʻIbrá Níoṉ 6
: 4Kyúṉki jin logoṉ ke dil ek bár raushan ho gaye, aur wuh ásmání baḳhshish ká maza chakh chuke, aur Rúhuʼl Quds meṉ sharík ho gaye, 5aur Ḳhudá ke ʻumda kalám, aur áyanda jahán kí quwwatoṉ ká záiqa le chuke, 6agar wuh bargashta ho jáeṉ, to unheṉ tauba ke liye phir nayá banáná námumkin hai, is liye ki wuh Ḳhudá ke Beṭe ko apní taraf se dobára salíb dekar ʻalániya zalíl karte haiṉ. 7Kyúṉki jo zamín us bárish ká pání pí letí hai, jo us par bár bár hotí hai, aur un ke kárámad sabzí paidá kartí hai, jin kí taraf se us kí kásht bhí hotí hai, wuh Ḳhudá kí taraf se barakat pátí hai:
Unhoṉ ne gehúṉ boyá, par káṉṭe jama‘ kiye; unhoṉ ne mashaqqat kheṉchí, par fáida na uṭháyá: Ḳhudáwand ke qahr i shadíd ke sabab se apne anjám se sharminda ho.
Paidáish 3
28Aur Lamak ek sau byásí baras ká thá, jab us se ek beṭá paidá húá: 29aur us ne us ká nám Núh rakkhá, aur kahá, ki Yih hamáre háthoṉ kí mihnat aur mashaqqat se, jo zamín ke sabab se hai, jis par Ḳhudá ne la‘nat kí hai, hameṉ árám degá.
aur us ne us ká nám Núh rakkhá, aur kahá, ki Yih hamáre háthoṉ kí mihnat aur mashaqqat se, jo zamín ke sabab se hai, jis par Ḳhudá ne la‘nat kí hai, hameṉ árám degá.
Dusra adam ruhani adam
Yani masih yisu
Yasa‘iyáh 53
: 4Taubhí us ne hamárí mashaqqateṉ uṭhá líṉ,
. Matí 11
: 28Ai mihnat uṭhánewálo, aur bojh se dabe húe logo, sab mere pás áo, maiṉ tumheṉ árám dúṉgá.
; Dekho, yih Ḳhudá ká Barra hai, jo dunyá ká gunáh uṭhá le játá hai. '
Yúhanná 1:29
na us kí koí shakl o súrat hai, na ḳhúbsúratí; aur jab ham us par nigáh kareṉ, to kuchh husn o jamál nahíṉ ki ham us ke mushtáq hoṉ. 3Wuh ádmíoṉ meṉ haqír o mardúd; mard i g̣amnák, aur ranj ká áshná thá: log us se goyá rúposh the, us kí tahqír kí gayí, aur ham ne us kí kuchh qadr na jání.
aur hamáre g̣amoṉ ko bardasht kiyá: par ham ne use Ḳhudá ká márá kúṭá aur satáyá húá samjhá. 5Háláṉki wuh hamárí ḳhatáoṉ ke sabab se gháyal kiyá gayá, aur hamárí badkirdárí ke bá‘is kuchlá gayá: hamárí hí salámatí ke liye us par siyasat húí; táki us ke már kháne se ham shifá páeṉ. 6Ham sab bheṛoṉ kí mánind bhaṭak gaye; ham meṉ se har ek apní ráh ko phirá; par Ḳhudáwand ne ham sab kí badkirdárí us par ládí.
7Wuh satáyá gayá, taubhí us ne bardasht kí aur muṉh na kholá; jis tarah barra jise zabh karne ko le játe haiṉ, aur jis tarah bheṛ apne bál katarnewáloṉ ke sámne bezabán hai, usí tarah wuh ḳhámosh rahá. 8Wuh zulm karke aur fatwá lagákar use le gaye; par us ke zamáne ke logoṉ meṉ se kis ne ḳhayál kiyá, ki wuh zindoṉ kí zamín se káṭ ḍálá gayá? mere logoṉ kí ḳhatáoṉ ke sabab se us par már paṛí. 9Us kí qabr bhí sharíroṉ ke darmiyán ṭhahráí gayí, aur wuh apní maut meṉ daulatmandoṉ ke sáth húá; háláṉki us ne kisí tarah ká zulm na kiyá, aur us ke muṉh meṉ hargiz chhal na thá.
10Lekin Ḳhudáwand ko pasand áyá, ki use kuchle; us ne use g̣amgín kiyá: jab us kí ján gunáh kí qurbání ke liye guzrání jáegí, to wuh apní nasl ko dekhegá, us kí umr daráz hogí, aur Ḳhudá kí marzí us ke háth ke wasíle se púrí hogí.
Galatíoṉ 3
:” 13Masíh jo hamáre liye laʻnatí baná, us ne hameṉ mol lekar sharíʻat kí laʻnat se chhuṛáyá: kyúṉki likhá hai, ki Jo koí lakṛí par laṭkáyá gayá, wuh laʻnatí hai: 14táki Masíh Yisúʻ meṉ Ibráhím kí barakat gairqaumoṉ tak bhí pahuṉche; aur ham ímán ke wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ, jis ká waʻda húá hai.
Galatíoṉ 4
: 3Isí tarah ham bhí jab bachche the, to dunyawí ibtidáí bátoṉ ke páband hokar gulámí kí hálat meṉ rahe: 4lekin jab waqt púrá ho gayá, to Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá, 5tákí sharíʻat ke mátahtoṉ ko mol lekar chhuṛá le, aur ham ko lepálak hone ká darja mile. 6Aur chúṉki tum beṭe ho, is liye Ḳhudá ne apne Beṭe kí Rúh hamáre diloṉ meṉ bhejí, jo Abbá, yaʻní, Ai Báp, kah kahkar pukártí hai. 7Pas ab tú gulám nahíṉ, balki beṭá hai; aur jab beṭá húá, to Ḳhudá ke sabab wáris bhí húá.
Romíoṉ 5
: 12Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá — 13kyúṉki sharíʻat ke diye jáne tak dunyá meṉ gunáh to thá: magar jaháṉ sharíʻat nahíṉ, waháṉ gunáh mahsúb nahíṉ hotá. 14Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá. 15Lekin qusúr ká jo hál hai, wuh fazl kí niʻmat ká nahíṉ. Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr se bahut se ádmí mar gaye, to Ḳhudá ká fazl aur us kí jo baḳhshish ek hí ádmí, yaʻní Yisúʻ Masíh ke fazl se paidá húí, bahut se ádmíoṉ par zarúr hí ifrát se názil húí. 16Aur jaisá ek shaḳhs ke gunáh karne ká anjám húá, baḳhshish ká waisá hál nahíṉ; kyúṉki ek hí ke sabab se wuh faisala húá, jis ká natíja sazá ká hukm thá: magar bahutere qusúroṉ se aisí niʻmat paidá húí, jis ká natíja yih húá ki log rástbáz ṭhahre. 17Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr ke sabab maut ne us ek ke zaríʻe se bádsháhí kí; to jo log fazl aur rástbází kí baḳhshish ifrát se hásil karte haiṉ, wuh ek shaḳhs, yaʻní Yisúʻ Masíh ke wasíle se, hamesha kí zindagí meṉ zarúr hí bádsháhí kareṉge. 18G̣araz, jaisá ki ek qusúr ke sabab wuh faisala húá, jis ká natíja sab ádmíoṉ kí sazá ká hukm thá; waisá hí rástbází ke ek kám ke wasíle se sab ádmíoṉ ko wuh niʻmat milí, jis se rástbáz ṭhahrke zindagí páeṉ. 19Kyúṉki jis tarah ek hí shaḳhs kí náfarmání se bahut se log gunahgár ṭhahre, usí tarah ek kí farmánbardárí se bahut se log rástbáz ṭhahreṉge. 20Aur bích meṉ sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda húá, waháṉ fazl us se bhí niháyat ziyáda húá: 21táki jis tarah gunáh ne maut ke sabab se bádsháhí kí, usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se bádsháhí kare.
1 Kurinthíoṉ 15
: 21Kyúṉki jab ádmí ke sabab se maut áí, to ádmí hí ke sabab se murdoṉ kí qiyámat bhí áí; 22aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge.
45Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání hai, waise hi âur ásmání bhí haiṉ.
Romíoṉ 8
1Pas ab, jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, un par sazá ká hukm nahíṉ. 2Kyúṉki zindagí kí Rúh kí sharíʻat ne, Masíh Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád kar diyá. 3Is liye ki jo kám shariʻat, jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us ne apne Beṭe ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye bhejkar, jism meṉ gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá ham meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte haiṉ.
Romíoṉ 6
: 17Lekín Ḳhudá ká shukr hai, ki agarchi tum gunáh ke gulám the, táham dil se us taʻlím ke tábiʻdár ho gaye, jis ke sáṉche meṉ tum ḍhále gaye the; 18aur gunáh se ázád hokar rástbází ke gulám ho gaye. 19Maiṉ tumhárí insání kam-zorí ke sabab insání taur par kahtá húṉ: jis tarah tum ne apne aʻzá badkárí karne ke liye nápákí aur badkárí kí gulámí ke hawále kiye the, usí tarah ab apne aʻzá pák hone ke liye rástbází kí gulámí ke hawále kar do. 20Kyúṉki jab tum gunáh ke gulám the, to rástbází ke iʻtibár se ázád the. 21Pas jin bátoṉ se tum ab sharminda ho, un se tum us waqt kyá phal páte the? kyúṉki un ká anjám to maut hai. 22Magar ab gunáh se ázád, aur Ḳhudá ke gulám hokar, tum ko apná phal milá, jis se pákízagí hásil hotí hai, aur is ká anjám hamesha kí zindagí hai. 23Kyúṉki gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.
Romíoṉ 6
6Chunáṉchi ham jánte haiṉ, ki hamárí purání insáníyat us ke sáth is liye salíb dí gayí, ki gunáh ká badan bekár ho jáe, táki ham áge ko gunáh kí gulámí meṉ na raheṉ. 7Kyúṉki jo múá, wuh gunáh se barí húá.
Yúhanná 8
: Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo koí gunáh kartá hai, gunáh ká gulám hai. 35Aur gulám abad tak ghar meṉ nahíṉ rahtá; beṭá abad tak rahtá hai. 36Pas agar Beṭá tumheṉ ázád karegá, to tum wáqaʻí ázád hoge.
Galatíoṉ 5
1Masíh ne hameṉ ázád rahne ke liye ázád kiyá hai. Pas qáim raho, aur dobára gulámí ke júe meṉ na juto.
Romíoṉ 6
: 10Kyúṉki Masíh jo múá, gunáh ke iʻtibár se ek bár múá: magar ab jo jitá hai, Ḳhudá ke iʻtibár se jítá hai. 11Isí tarah tum bhí apne áp ko gunáh ke iʻtibár se murda, magar Ḳhudá ke iʻtibár se Masíh Yisúʻ meṉ zinda samjho. 12Pas gunáh tumháre fání badan meṉ bádsháhí na kare, ki tum us kí ḳhwáhishoṉ ke tábiʻ raho. 13Aur apne aʻzá nárástí ke hathyár hone ke liye gunáh ke hawále na kiyá karo; balki apne áp ko murdoṉ meṉ se zinda jánkar Ḳhudá ke hawále karo, aur apne aʻzá rástbázi ke hathyár hone ke liye Ḳhudá ke hawále karo. 14Is liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.
2 Tímuthiyus 1
: 7Kyúṉki Ḳhudá ne hameṉ dahshat kí rúh nahíṉ, balki qudrat, aur mahabbat, aur tarbiyat kí rúh dí hai.
Romíoṉ 8
15Kyúṉki tum ko gulámí kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ. 16Rúh ḳhud hamárí rúh ke sáth milkar gawáhí detí hai, ki ham Ḳhudá ke farzand haiṉ. 17Aur agar farzand haiṉ, to wáris bhí haiṉ; yaʻní Ḳhudá ke wáris, aur Masíh ke hammírás; basharte ki ham us ke sáth dukh uṭháeṉ, táki us ke sáth jalál bhí páeṉ. : 12Pas, ai bháiyo, ham qarzdár to haiṉ, magar jism ke nahíṉ, ki jism ke mutábiq zindagí guzáreṉ. 13Kyúṉki agar tum jism ke mutábiq zindagí guzároge, to zarúr maroge. Aur agar rúh se badan ke kámoṉ ko nest o nábúd karoge, to jíte rahoge. 14Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ.
Romíoṉ 12
1Pas, ai bháiyo, maiṉ Ḳhudá kí rahmateṉ yád dilákar, tum se iltimás kartá húṉ, ki apne badan aisí qurbání hone ke liye nazr karo, jo zinda, aur pák, aur Ḳhudá ko pasandída ho; yihí tumhárí maʻqúl ʻibádat hai. 2Aur is jahán ke hamshakl na bano, balki ʻaql nayí ho jáne se apní súrat badalte jáo; táki Ḳhudá kí nek aur pasandída aur kámi! marzí tajribe se maʻlúm karte raho.
Kulussíoṉ 3
1Pas jab tum Masíh ke sáth jiláe gaye, to ʻálam i bálá kí chízoṉ kí talásh meṉ raho, jaháṉ Masíh maujúd hai, aur Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭhá hai. 2ʻÁlam i bálá kí chízoṉ ke ḳhayál meṉ raho, na zamín par kí chízoṉ ke; 3kyúṉ ki tum mar gaye, aur tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai. 4Jab Masíh, jo hamárí zindagí hai, záhir kiyá jáegá, to tum bhí us ke sáth jalál meṉ záhir kiye jáoge.
5Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke sabab se Ḳhudá ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum bhí, jis waqt un bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte the. 8Lekin ab tum bhí in sab ko, yaʻní gussa, aur qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná chhoṛ do: 9ek dúsre se jhúṭh na bolo, kyúṉki tum ne purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá, 10aur nayí insáníyat ko pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí bantí játí hai: 11waháṉ na Yúnáni rahá, na Yahúdí, na ḳhatna, na námaḳhtúní, na wahshí, na Skútí, na gulám, na ázád: sirf Masíh sab kuchh aur sab meṉ hai.
Comments