SHALOM MASIH YESHUA MEN AAP SABOH KI SALAMATI HO
AAJ KA UPDESHB SHURU KARNE SE PEHLE KUCH VACHAN HAI JO
SANJHA KARNE BAUHT JAROORI HAIN AJ KE IS UPDESH KO SAMJHNE KE LIYE
YA UPDESH JO MUSA KI SHARIAT KE DUS HUKMO HAI USKE BARE MEN
RUH L QUDS KI MADA SE OR MUKSHAFA KI RUH SE YE PARKASHA MILA HAI
LEKIN USSE PEHLE IS MUKASHFA SAMJHNE KE ;LIYE
VACHN KO SAMJHNA BAUHT JAROORI HAI
Yúhanná 8
; Tauret meṉ bhí likhá hai, ki do ádmíoṉ kí gawáhí milkar sachchí hotí hai.
Istisná 17
; 6Jo wájibu’l qatl ṭhahre, wuh do yá tín ádmíoṉ kí gawáhí se márá jáe; faqat ek hí ádmí kí gawáhí se wuh márá na jáe.
Matí 18
; 20Kyúṉki jaháṉ do yá tín mere nám par ikaṭṭhe haiṉ, waháṉ maiṉ un ke bích meṉ húṉ.
Ek hí badan hai, aur ek hí Rúh;
wuh do nahíṉ, balki ek jism haiṉ.
Kyá nahíṉ jánte, ki jo koí kasbí se suhbat kartá hai, wuh us ke sáth ek tan hotá hai? kyúṉki wuh farmátá hai, ki Wuh donoṉ ek tan hoṉge.
Aur jo Ḳhudáwand kí suhbat meṉ rahtá hai, wuh us ke sáth ek rúh hotá hai.
Ḳhurúj 32
; 15Aur Músá shahádat kí donoṉ lauheṉ háth meṉ liye húe ulṭá phirá, aur paháṛ se níche utrá; aur wuh lauheṉ idhar se aur udhar se donoṉ taraf se likhí húí thíṉ. 16Aur wuh lauheṉ Ḳhudá hí kí banáí húí thíṉ, aur jo likhá húá thá, wuh bhí Ḳhudá hí ká likhá, aur un par kanda kiyá húá thá.
Ḳhurúj 34
1Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Pahlí lauhoṉ kí mánind patthar kí do lauheṉ apne liye tarásh lená: aur maiṉ un lauhoṉ par wuhí báteṉ likh dúṉgá, jo pahlí lauhoṉ par, jin ko tú ne toṛ ḍálá, marqúm thíṉ.
`
AB JO DUS HUKAM HAI
YE DUS HAI
5 EK TAKHTI PAR LIKHE HOYIYE HAIN
5 EK
AB JO PEHLA HUKAM HAI
WUH CHATE HUKAM KE SATH EK HAI
HUMNE JO KALAM MEN PADA WUH DO NHI WUH EK HAIN
KAISE IS PAR MUKASHAFA HAI BUS BANE RAHEN
PEHLA HUKAM YANI NUMBER EK
HAI ALEPH YAN MAIN KHUDAWAND KHUDA HUN
YANI NUMNER EK DARASHTA HAI YANI PEHLA HUKAM KHUDAWAND KHUDA KO
OR NUMBER
6 DARSHATA HAI INSAN ZIMINI INSAAN KO
JISMANI INSAN KO CHATA HUKAM KYA HAI
TU KHUN NA KARNA
AB YE DO NHI EK HI HUKAM HAI
OR PEHLE OR SHATE KO EK KARO GE TO
YANI 1 ZAMA 6 HOJAYE TO 7 ANKH BANTA HAI
YANI 7 ANK DARSHTA HAI SAMPURNTA KO KAMIL INSAN KO
YANI SACHCHAI KO
So chhaṭá din húá.'
Paidáish 1:31
26Phir Ḳhudá ne kahá, ki Ham insán ko apní súrat par apní shabíh kí mánind banáeṉ;
27Aur Ḳhudá ne insán ko apní súrat par paidá kiyá, Ḳhudá ki súrat par us ko paidá kiyá;
OR INSAN KO KAHA TU KHUN NA KARNA
YANI 6 ANK OR CHATA HUKAM ZMINI JISMANI INSAN KO DARSHATA HAI
TO CHATA HUKAM KYA HAI TU KHUN
NA KARNA
KISKA KHUN NA KARNA
PEHLE KA ANK PHELA KISKO DARSHTA HAI
KHUDAWAND KHUDA KO YANI ALEPH KO
TO HUKAM 1 OR HUKAM CHATE KA MTLAB KYA HUA
KI TU KHUN NA KARNA MAGAR KISKA US SURAT KA UR SHABI KA
KHUDA KHUDA KI SHABI HAI KHUDAWAND KHUD KI SURAT HAI
KIYU KI MAIN KHUDAWAND HUN
JISNE TUJHKO APNI SURAT OR APNI SHABI KI MANIND
PAIDA KYA
KHUDA KHUDA KI SURAT KA
YE PEHLA HUKAM KEH RAHA
HAI CHATE HUKAM KO YANI INSAN KO
OR AGAR TU MERI SHABI OR SUART KI APNE AAP ZINDA RAKHE GA
TO TU 7 HUGA
AGAR CHATA OR PEHLA HUKAM BARKAR HAI
INSAN MEN TO INSAN KHUDA KI SURAT OR SHABI KI MANIND HAI
YANI 7 HAI SAMPURAN HAI
KAMIL IMAN HAI
ISLIYE CHATA HUKAM HAI TU KHUN NA KARNA PEHLE KA
PEHLA KAUN HAI KHUDAWAND KHUDA ,,
KYU INSAN KO KHUDAWADN KHUDA
APNI SURAT OR APNI SHABI KI MAIND PAIDA KIYA
ISLIYE TU USKA KHUN NA KARNA
Paidáish 2
; 7Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne zamín kí miṭṭí se insán ko banáyá, aur us ke nathnoṉ meṉ zindagí ká dam phúṉká; to insán jítí ján húá.
OR DAM IBRANI MEN KEHTE HAIN KHUN KO
Matí 4
; 4Us ne jawáb meṉ kahá; Likhá hai, ki Ádmí sirf rotí hí se jítá na rahegá, balki har bát sé, jo Ḳhudá ke muṉh se nikaltí hai.
TO PEHLE ADAM KE KE NATHNO MEN KHUDAWAND NE KYA PHONKA
KALAM KAUNSA KALAM IMAN KA KALAM
ʻIbrá Níoṉ 11
; 3Ímán hí se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ;
Aur chúṉki ham meṉ wuhí ímán kí rúh hai, jis kí bábat likhá hai, ki Maiṉ ímán láyá, aur isí liye bolá; pas ham bhí ímán láe, aur isí liye bolte haiṉ;
TO JO ADAM KE NATHNO MEN JO DUM PHONKA GAYA KHUDAWAND KI TARAF SE WUH
DAM YANI KHUN HAI
KALAM
Yúhanná 1
1Ibtidá meṉ Kalám thá, aur Kalám Ḳhudá ke sáth thá, aur Kalám Ḳhudá thá. 2Yihí ibtidá meṉ Ḳhudá ke sáth thá. 3Sárí chízeṉ us ke wasíle se paidá húíṉ; aur jo kuchh paidá húá hai, us meṉ se koí chíz bhí us ke bagair paidá nahíṉ húí. 4Us meṉ zindagí thí; aur wuh zindagí ádmíoṉ ká núr thá
'Aur Kalám mujassam húá, aur fazl aur sachcháí se maʻmúr hokar hamáre darmiyán rahá, aur ham ne us ká aisá jalál dekhá, jaisá Báp ke iklaute ká jalál. '
Yúhanná 1:14
Aur wuh ḳhún kí chhíṛkí húí poshák pahine húe hai: aur us ká nám Kalám i Ḳhudá kahlátá hai.
; Likhá hai, ki Ádmí sirf rotí hí se jítá na rahegá, balki har bát sé, jo Ḳhudá ke muṉh se nikaltí hai.
'Zinda karnewálí to rúh hai;: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ. '
Yúhanná 6:63
Paidáish 2
; 7Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne zamín kí miṭṭí se insán ko banáyá, aur us ke nathnoṉ meṉ zindagí ká dam phúṉká; to insán jítí ján húá.
kyúṉki likhá hai, kí Rástbáz ímán se jítá rahegá:
TO PHIR KHUDAWAND KHUDA KI SHABI OR SURAT KYA HAI
IMAN KI RUH
IMAN KA KALAM
JO INSAN KE NATHNO MEN ZINDAGHI KA DUM PHONKTA HAI
TU USKA KHUN NA KARNA
TO KHUDAWAND KHUDA MEN UR UNKI NIGAH MEN
JO INSAN IMAN KE SABAB SE ZINDA HAI HAI
JISMEN IMAN ZINDA HAI WUH INSAN ZINDA HAI
OR JO JAAN IMAN SE MURDA HAI
WUH INSAAN BHI MURDA HI HAI
'Yisúʻ ne us se kahá; Qiyámat aur zindagí to maiṉ húṉ: jo mujh par ímán látá hai, go wuh mar jáe, taubhí zinda rahegá: '
Yúhanná 11:25
OR JO IMAN NHI LATA BE SHAQ WUH ZINDA BHI HAI
EK KAFANYE HOYIYE MURDE OR BEGAIR IMAN KE JO INSAAN
USMEN KOI BHI FARAK NHI
Galatíoṉ 3
6Chunáṉchi Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbází giná gayá. 7Pas ján lo, ki jo ímánwále haiṉ, wuhí Ibráhím ke farzand haiṉ. 8Aur kitáb i muqaddas ne peshtár se yih jánkar, kí Ḳhudá gairqaumoṉ ko ímán se rástbáz ṭhahráegá, pahle hí se Ibráhím ko yih ḳhushḳhabarí suná dí, ki Tere báʻis sárí qaumeṉ barakat páeṉgí. 9Pas jo ímánwále haiṉ, wuh ímándár Ibráhím ke sáth barakat páte haiṉ.
Paidáish 2
; 16Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam ko hukm diyá aur kahá, ki Tú bág̣ ke har daraḳht ká phal be rok ṭok khá saktá hai: 17lekin nek o bad kí pahchán ke daraḳht ká kabhí na kháná: kyúṉki jis roz tú ne us meṉ se kháyá, tú mará.
OR YE WUHI HUKAM HAI MUSA KI SHARIAT KA
PEHLA OR CHATTA HUKAM
YANI 1 NE APLEH NE KHUDAWAND KHUDA NE
CHCHATE KO KAHA
YANI ADAM INSAN KO
KI TU KHUN NA KRNA
KISKA
MERI SURAT OR SHABI KA JO IMAN KE RUH
SE OR IMAN KE KALAM SE TERE JISMANI
BADAN MEN ZINDA HAI
OR ISKE WASILE TU BHI ZINDA HAI
ʻIbrá Níoṉ 10
; 38Aur merá rástbáz banda ímán se jítá rahegá:
Aur agar wuh haṭegá, to merá dil us se ḳhush na hogá.
Paidáish 3
1Aur sáṉp kull dashtí jánwaroṉ se, jin ko Ḳhudáwand Ḳhudá ne banáyá thá, chálák thá. Aur us ne ‘aurat se kahá, Kyá wáqa‘í Ḳhudá ne kahá hai, ki Bág̣ ke kisí daraḳht ká phal tum na kháná? 2‘Aurat ne sáṉp se kahá, ki Bág̣ ke daraḳhtoṉ ká phal to ham kháte haiṉ: 3par jo daraḳht bág ke bích meṉ hai, us ke phal kí bábat Ḳhudá ne kahá hai, ki Tum na to use kháná, aur na chhúná, warna mar jáoge. 4Tab sáṉp ne ‘aurat se kahá, ki Tum hargiz na maroge: 5balki Ḳhudá jántá hai, ki jis din tum use kháoge, tumhárí áṉkheṉ khul jáeṉgí, aur tum Ḳhudá kí mánind nek o bad ke jánnewále ban jáoge. 6‘Aurat ne jo dekhá, ki wuh daraḳht kháne ke liye achchhá, aur áṉkhoṉ ko ḳhushnumá ma‘lúm hotá hai, aur ‘aql baḳhshne ke liye ḳhúb hai, to us ke phal meṉ se liyá, aur kháyá; aur apne shauhar ko bhí diyá, aur us ne kháyá. 7Tab donoṉ kí áṉkheṉ khul gayíṉ, aur un ko ma‘lúm húá ki wuh nange haiṉ;
JO SANP NISHAN HAI JO KULL DHASHTI JANWAR HAIN
YANI ISKE ILAWA OR GUNAH USME SE JO CHALAK
SANP HAI WUH KULL DASHTI JANWAR HAIN USMEN SE CHALAK THA
CHALAK SANP TASVEER HAI YANI ANIMAL SPIRIT
GUNAH KI YE KAUNSA GUNAH HAI HARAMKARI KA
Harámkári se bhágo. Jitne gunáh ádmí kartá hai, wuh badan se báhar haiṉ; magar harámkár apne badan ká bhí gunahgár hai.
KYU KI KHUDA NE AURAT KO MADADGAR KE TAU RPAR ADAM KO DIYA
NA KE BIWI KE TAUR PAR MAGAR HUA KYA
Mard ke liye achchhá hai, ki ʻaurat ko na chhúe
1 कुरिन्थियों 7
; 2परन्तु व्यभिचार के डर से
har ʻaurat apná shauhar rakkhe. '
JO KI PADAISHA TIN ADHAYE MEN HUA
6‘Aurat ne jo dekhá,
to us ke phal meṉ se liyá, aur kháyá; aur apne shauhar ko bhí diyá,
7Tab donoṉ kí áṉkheṉ khul gayíṉ, aur un ko ma‘lúm húá ki wuh nange haiṉ;
2 Kurinthíoṉ 5
; 7kyúṉki ham ímán par chalte haiṉ, na ki áṉkhoṉ dekhe par;
2 Kurinthíoṉ 4
; 18jis hál meṉ ki ham dekhí húí chízoṉ par nahíṉ, balki andekhí chízoṉ par nazar karte haiṉ: kyúṉki dekhí húí chízeṉ chandroza haiṉ; magar andekhí chízeṉ abadí haiṉ.
'Lekin harámkáríoṉ ke andeshe se har mard apní bíwí,
1 Kurinthíoṉ 7:2
Romíoṉ 7
; 8magar gunáh ne mauqaʻ pákar, hukm ke zaríʻe se mujh meṉ har tarah ká lálach paidá kar díyá: kyúṉki sharíʻat ke bagair gunáh murda hai. 9Ek zamáne meṉ shariʻat ke bagair maiṉ zinda thá; magar jab hukm áyá, to gunáh zinda ho gayá, aur maiṉ mar gayá; 10aur jis hukm ká manshá zindagí thá, wuhí mere haqq meṉ maut ká báʻis ban gayá: 11kyúṉki gunáh ne mauqaʻ pákar, hukm ke zaríʻe se mujhe bahkáyá, aur usí ke zaríʻe se mujhe már bhí ḍálá.
Paidáish 5
; : 5aur Ádam kí kull ‘umr nau sau tís baras kí húí: tab wuh mará.
KHUDA KI SURAT OR SHABI YANI IMAN
KI MAUT WUH PADAISH KI 3 BAAP MEN HI MAR GAY A
THA
MAGAR JAAN KI MAT YANI BADAN KI MAUT
930 BARAS KI UMAR MEN MARA
AB 930 MEN
AGAR HUM 70 KO JODEN TO
EK HAZAAR ANK BNTA HAI
APLEPH KI IBARANI MEN NUMERICAL VALUE HAI 1000
1000 MEN SE 70 MINUS KAREN 930 BAKI BACHTA HAI
TO SAT ANK OR DRASHTA HAI SAMPURNTA KO KAMIL IMAN KO
930 SAAL KI UMAR ME N ADAM KA MARNA IS BAAT KA NISHNA HAI
KI USNE APNE BADAN KE KAMON PAR BHAROSA KIYA
UTPAT PADAISE GENSIS 3 CHEPATER KE BAAD WUH
BADAN KE KAMON KE BHROSE HI JIYA
Kyúṉki agar tum jism ke mutábiq zindagí guzároge, to zarúr maroge.
Aur jismání níyat maut hai
is liye ki jismání níyat Ḳhudá kí dushmaní hai
JB INSAN IMAN SE BARGASHTA HUTA HAI YANI 7 ANK KO APNI ZINDGHI MEN SE HATATA HAI
OR APNE KHUD KE BADAN KE KAMON PAR BHAROSA KARTA
HAI
TO PHIR PAIDA HUTA HAI DAR KA RUH
7Tab donoṉ kí áṉkheṉ khul gayíṉ, aur un ko ma‘lúm húá ki wuh nange haiṉ;
ISKA MATALAB HAI APNE BADAN KE KAMON KE NEKI OR BADI KE KAMON KE MUTABIK ZINDGHI GUZARANA
9Tab Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam ko pukárá, aur us se kahá, ki Tú kaháṉ hai? 10Us ne kahá, Maiṉ ne bág̣ meṉ terí áwáz suní, aur maiṉ ḍará, kyúṉki maiṉ nangá thá;
ISKA MTLAB KI AAP BEGAIRE IMAN KE
PANE NEK O BADI KE KAMON KE SABAB SE KHUDAWAND KHUDA JAB PUKARTE HAIN TO UNKE SAMNE NHI JA SAKTE
KYU KI PEHLE ADAM IMAN KE RUH SE ZINDA THA
AB ADAM APEN NEK O BADI KAMON KE SABAB SE ZINDA HAI
MAGAR KHUDANWAND KHUDA KI TARAF SE IMAN KE RUH SE MURDA HAI
PADAISE TIN KE MUTABIK
12Ádam ne kahá, ki Jis ‘aurat ko tú ne mere sáth kiyá hai, us ne mujhe us daraḳht ká phal diyá, aur maiṉ ne kháyá. 13Tab Ḳhudáwand Ḳhudá ne ‘aurat se kahá, ki Tú ne yih kyá kiyá? ‘Aurat ne kahá, ki Sáṉp ne mujh ko bahkáyá, to maiṉ ne kháyá.
14Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne sáṉp se kahá, Is liye ki tú ne yih kiyá, tú sab chaupáyoṉ aur dashtí jánwaroṉ meṉ mal‘ún ṭhahrá; tú apne peṭ ke bal chalegá, aur apní ‘umr bhar ḳhák cháṭegá: 15aur maiṉ tere aur ‘aurat ke darmiyán aur terí nasl aur ‘aurat kí nasl ke darmiyán ‘adáwat ḍálúṉgá; wuh tere sir ko kuchlegá, aur tú us kí eṛí par káṭegá. 16Phir us ne ‘aurat se kahá, ki Maiṉ tere dard i haml ko bahut baṛháúṉgá; tú dard ke sáth bachche janegí; aur terí rag̣bat apne shauhar kí taraf hogí, aur wuh tujh par hukúmat karegá. 17Aur Ádam se us ne kahá, Chúṉki tú ne apní bíwí kí bát mání, aur us daraḳht ká phal kháyá, jis kí bábat maiṉ ne tujhe hukm diyá thá, ki Use na kháná: is liye zamín tere sabab se la‘natí húí; mashaqqat ke sáth tú apní ‘umr bhar us kí paidáwár kháegá; 18aur wuh tere liye káṉṭe aur úṉṭkaṭáre ugáegí; aur tú khet kí sabzí kháegá; 19tú apne muṉh ke pasíne kí roṭí kháegá, jab tak ki zamín meṉ tú phir lauṭ na jáe; is liye ki tú us se nikálá gayá hai: kyúṉki tú ḳhák hai, aur ḳhák meṉ phir lauṭ jáegá. 20Aur Ádam ne apní bíwí ká nám Hawwá rakkhá; is liye ki wuh sab zindoṉ kí máṉ hai. 21Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam aur us kí bíwí ke wáste chamṛe ke kurte banákar un ko pahináe.
22Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne kahá, Dekho, insán nek o bad kí pahchán meṉ ham meṉ se ek kí mánind ho gayá:
NEK O BADI KYA HAI APNE BADAN KE
KAMON PARITI
ACHE BHURE BHALE
KAMON KE MUTABIK ZINDGHI GUZRANA
NA KE IMAN KE MUTABIK
JISKI BABAT LIKHA HAI
TO KHUDAWAND KHUDA KI SHABI KA SURAT KA KHUN NA KARNA
YANI IMAN KI RUH KA
JAISA ADAM NE KAYA
PEHLE ADAM NE
OR WUH MAR GAYA
Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá —
Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá.
Kyúṉki Ḳhudá ne Beṭe ko dunyá meṉ is liye nahíṉ bhejá, ki dunyá par sazá ká hukm kare, balki is liye ki dunyá us ke wasíle se naját páe.
Jo us par ímán látá hai, us par sazá ká hukm nahíṉ hotá; jo us par ímán nahíṉ látá, us par sazá ká hukm ho chuká; is liye ki wuh Ḳhudá ke iklaute Beṭe ke nám par ímán nahíṉ láyá.
Pas tum ímán lánewáloṉ ke liye to wuh qímatí hai: magar ímán na lánewáloṉ ke liye Jis patthar ko miʻmároṉ ne radd kiyá, Wuhí kone ke sire ká patthar ho gayá;
(kyúṉki sharíʻat ne kisí chíz ko kámil nahíṉ kiyá), aur us kí jagah ek bihtar ummed rakkhí gayí, jis ke wasíle se ham Ḳhudá ke nazdík já sakte haiṉ.
aur sharíʻat ko ímán se kuchh wásta nahíṉ;
1 Tímuthiyus 1
; 5Hukm ká maqsad yih hai, ki pák dil aur nek níyat aur beriyá ímán se mahabbat paidá ho. 6In ko chhoṛkar baʻz shaḳhs behúda bakwás kí taraf mutawajjih ho gaye; 7aur sharíʻat ke muʻallim banná cháhte haiṉ, háláṉki jo báteṉ kahte haiṉ, aur jin ká yaqíní taur se daʻwá karte haiṉ, un ko samajhte bhí nahíṉ.
Comments