top of page
  • Twitter
  • YouTube
  • Instagram

अब्राहम से पहले भी यीशु मसीह था ” 'यूहन्ना 8:56

Updated: 1 day ago

Yúhanná 8

56Tumhárá báp Ibráhím merá din dekhne kí ummed par bahut ḳhush thá; chunáṉchi us ne dekhá, aur ḳhush húá. 57Yahúdíoṉ ne us se kahá, ki Terí ʻumr to abhí pachás baras kí nahíṉ; phir tú ne Ibráhím ko dekhá? 58Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ; Peshtar us se ki Ibráhím paidá húá, maiṉ húṉ.

 

Masih yehsua men aap saboh ko salamati ho ,,, fazl or sachchai masih yeshua ki marifat pauhcnhi ,. Uski mamuri men se hum sab ne paya yani fazl  par fazl 

Ibraham yisu masih ka din dekhne ki umeed par bauht khush tha ., or usne  dekha or khush hua ,.

To masih ki ruh men iska parkashan kya hai .,

Paidáish 17

1Jab Abrám ninánawe baras ká húá, tab Ḳhudáwand Abrám ko nazar áyá, aur us se kahá, ki Maiṉ Ḳhudá e Qádir húṉ; tú mere huzúr meṉ chal, aur kámil ho.

 

HUM INSANI AQL SE LAGTA HAI .,

KI SHAYAD ITHIAAS MEN YE BAUHT DARD NAAK GATANA HUI HAI YE YE KUCH ANUKHA HUA ITHIAAS MEN HUMARE WAQT MEN YA SUNNE MEN AA RAHA HAI SHAYAD ISLIYE MASIH YISU KE NAAM KI DUNIYA MEN JAYDA PARSANSA HAI OR PARCHAAR  HO RAHA HAI

Wá‘iz 1

: 9Jo húá wuhí phir hogá; aur jo chíz ban chukí hai, wuhí hai jo banáí jáegí; aur dunyá meṉ koí chíz nayí nahíṉ. 10Kyá koí chíz aisí hai jis kí bábat kahá játá hai, ki Dekho, yih to nayí hai? wuh to sábiq meṉ ham se peshtar ke zamánoṉ meṉ maujúd thí. 11Agloṉ kí koí yádgár nahíṉ; aur ánewáloṉ kí apne ba‘d ke logoṉ ke darmiyán koí yád na hogí.

Wá‘iz 3

1Har chíz ká ek mauqa‘, aur har kám ká, jo ásmán ke níche hotá hai, ek waqt hai.

 

Aʻmál 4

: 12Aur kisí dúsre ke wasíle se naját nahíṉ; kyúṉki ásmán ke tale ádmíoṉ ko koí dúsrá nám nahíṉ baḳhshá gayá, jis ke wasíle se ham naját pá sakeṉ.

 

 

Hum lagta hai EK AAM DUNIYAWI INSAAN KI YAHI SOCH HAI KI .,

SALEEB KA PAIGAAAM

shariat ke adhin sab kariye masih yisu men shuru hoye tab SE khushkabhri wazood men AAI HAI ,.

Nhi aisa nhi pehle masih ki khushkhabri ayi phir uske baad shrishat ki padasih hui ., HAI ,.,

PEHLE SLEEB KA PAIGAM HAI

YANI ALEPH TAV

 

YAHI PAIGAM KI KHUSHKHABRI KO  GEHRAON MEN SUNANE KE LIYE QAYIM KARNE KE LIYE

PADAISH HUI HAI ,.

MASIH MEN MAISH KI RUH SE

YANI ALEPH TAV YANI SALEEB KA PAIGAM SALEEB KI KHUSHKHABRI ,.

 

Ki zamin par bhI  masih ki qudrat ashkara ho rasuhan ho ., raushni ho ja ALEPH TAV CREATION PADAISH BERE SHIT .,

ARANB HI SALEEBI QURBANI SE HAI ., CHAHE WUH PADAISH SE HO JO PEHLE ADAM MEN HUI

YA DUSRE ADAM MEN  YANI YANI MASIH MEN ., NAI PADAISH

IN SPIRIT OF MASIHACH

RUACH KEHTE HAI IBRANI MEN RUH KO ., OR RUH KYA HAI .,

Yúhanná 6

: 63Zinda karnewálí to rúh hai; jism se kuchh fáida nahíṉ: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ. 

Romíoṉ 1

:  16Kyúṉki maiṉ Injíl se sharmátá nahíṉ: is liye ki wuh har ek ímán lánewále ke wáste, pahle Yahúdí, phir Yúnání ke wáste, naját ke liye Ḳhudá kí qudrat hai. 17Is wáste ki us meṉ Ḳhudá kí rástbází ímán se aur ímán ke liye záhir hotí hai, jaisá likhá hai, ki Rástbáz ímán se jítá rahegá.

SALEEB KA PAIGAAM ALEPH TAV INJIL KHUDA KI QUDRAT HAI

 

Yani zamin ko bhi khushkhabri sunai gi gehraN  men bhi  masih ki khushkhabri ka paigaam suna gaya .,

Saleeb ka paigab hai jo masih men wuhi shuru hai .,

Or wuhi ant hai .,

Is purui qudrat or qayenaat men .,

Puri qudrat qayenat KA  zarra zarra ,. Masih ki khushkhabri ka gawah hai yani saleeb ki khushkhabri se wazood men aya paida hua .,

Jab hum ibrani men pehli kitab padte hain .,

BERESHIT BARRA ELOHIM ALEPH TAV YANI

Marqus 1

1Ḳhudá ke Beṭe Yisúʻ Masíh kí ḳhushḳhabarí ká shurúʻ.

 

 

Paidáish 1

: 1Ḳhudá ne ibtidá meṉ zamín o ásmán ko paidá kiyá.

Yani shuruaat hi men sleebi khushkhabri hai ,.

Or ibrani men wuh shabad hai aleph  tav

Yani saleeb ki khushkhabri

Or wuh kya hai shuru men aleph tav

 

Yúhanná 1

1Ibtidá meṉ Kalám thá, aur Kalám Ḳhudá ke sáth thá, aur Kalám Ḳhudá thá. 2Yihí ibtidá meṉ Ḳhudá ke sáth thá. 3Sárí chízeṉ us ke wasíle se paidá húíṉ; aur jo kuchh paidá húá hai, us meṉ se koí chíz bhí us ke bagair paidá nahíṉ húí. 4Us meṉ zindagí thí; aur wuh zindagí ádmíoṉ ká núr thá. 

Yúhanná 1

:14Aur Kalám mujassam húá, aur fazl aur sachcháí se maʻmúr hokar hamáre darmiyán rahá, aur ham ne us ká aisá jalál dekhá, jaisá Báp ke iklaute ká jalál.

Kulussíoṉ 1

: 12aur Báp ká shukr karte raho, jis ne ham ko is láiq kiyá, ki núr meṉ muqaddasoṉ ke sáth mírás ká hissa páeṉ; 13usí ne ham ko táríkí ke qabze se chhuṛákar apne ʻazíz Beṭe kí bádsháhat meṉ dáḳhil kiyá; 14jis meṉ ham ko maḳhlasí, yaʻní gunáhoṉ kí muʻáfí, hásil hai: 15wuh andekhe Ḳhudá kí súrat aur tamám maḳhlúqát se pahle maulúd hai; 16kyúṉki usí meṉ sárí chízeṉ paidá kí gayíṉ, ásmán kí hoṉ, yá zamín kí, dekhí hoṉ, yá andekhí, taḳht hoṉ, yá riyásateṉ, yá hukúmateṉ, yá iḳhtiyárát; sárí chízeṉ usí ke wasíle se, aur usí ke wáste paidá húí haiṉ; 17aur wuh sab chízoṉ se pahle hai, aur usí meṉ sárí chízeṉ qáim rahtí haiṉ. 18Aur wuhí badan, yaʻní kalísiyá, ká sir hai; wuhí mabdá hai, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ meṉ pahlauṭhá, táki sab bátoṉ meṉ us ká awwal darja ho; 19kyúṉki Báp ko yih pasand áyá, ki sárí maʻmúrí usí meṉ sukúnat kare; 20aur us ke ḳhún ke sabab jo salíb par bahá sulh karke, sab chízoṉ ká usí ke wasíle se apne sáth mel kar le, ḳhwáh wuh zamín kí hoṉ, ḳhwáh ásmán kí. 21Aur us ne ab us ke jismání badan meṉ maut ke wasíle se tumhárá bhí mel kar liyá, 22jo pahle ḳhárij, aur bure kámoṉ ke sabab dil se dushman the, táki wuh tum ko muqaddas, beʻaib, aur beilzám banákar, apne sámne házir kare: 23basharte ki tum ímán kí bunyád par qáim aur puḳhta raho, aur us ḳhushḳhabarí kí ummed ko jise tum ne suná, na chhoṛo, jis kí manádí ásmán ke níche ke tamám maḳhlúqát meṉ kí gayí; aur maiṉ Paulus usí ká ḳhádím baná.

Galatíoṉ 3

:  8Aur kitáb i muqaddas ne peshtár se yih jánkar, kí Ḳhudá gairqaumoṉ ko ímán se rástbáz ṭhahráegá, pahle hí se Ibráhím ko yih ḳhushḳhabarí suná dí, ki Tere báʻis sárí qaumeṉ barakat páeṉgí. 9Pas jo ímánwále haiṉ, wuh ímándár Ibráhím ke sáth barakat páte haiṉ. 

 Yúhanná 5

: 39Tum kitáb i muqaddas meṉ ḍhúṉḍhte ho; kyúṉki samajhte ho ki us meṉ hamesha kí zindagí tumheṉ miltí hai; aur yih wuh hai, jo merí gawáhí deti hai; 40phir bhí tum zindagí páne ke liye mere pás áná nahíṉ cháhte. .,

1 Patras 1

: 9aur apne ímán ká maqsad, yaʻní rúhoṉ kí naját, hásil karte ho. 10Isí naját kí bábat un nabíoṉ ne baṛí talásh aur tahqíq kí, jinhoṉ ne us fazl ke báre meṉ jo tum par hone ko thá, nubuwwat kí. 11Unhoṉ ne is bát kí tahqíq kí, ki Masíh kí Rúh, jo un meṉ thí, aur peshtar se Masíh ke dukhoṉ kí, aur un ke baʻd ke jalál kí gawáhí detí thí, wuh kaun se aur kaise waqt kí taraf ishára kartí thí. 12Un par yih záhir kiyá gayá, ki wuh na apní, balki tumhárí ḳhidmat ke liye yih báteṉ kahá karte the, jin kí ḳhabar ab tum ko un kí maʻrifat milí, jinhoṉ ne Rúhuʼl Quds ke wasíle jo ásmán par se bhejá gayá, tum ko ḳhushḳhabarí dí; aur firishte bhí in bátoṉ par gaur se nazar karne ke mushtáq haiṉ.

Matí 13

: 16Lekin mubárak haiṉ tumhárí áṉkheṉ, is liye ki wuh dekhtí haiṉ, aur tumháre kán, is liye ki wuh sunte haiṉ. 17Kyúṉki maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki bahut se nabíoṉ aur rástbázoṉ ko árzú thí, ki jo báteṉ tum dekhte ho, dekheṉ, magar na dekhíṉ; aur jo báteṉ tum sunte ho, suneṉ, magar na suníṉ. 1

Romíoṉ 16

: 25Ab Ḳhudá jo tum ko merí ḳhushḳhabarí, yaʻní Yisúʻ Masíh kí manádí ke muwáfiq, mazbút kar saktá hai, us bhed ke mukáshafe ke bamújib jo azal se poshída rahá, 26magar is waqt záhir hokar, Ḳhudá e azalí ke hukm ke mutábiq nabíoṉ kí kitáboṉ ke zaríʻe se sab qaumoṉ ko batáyá gayá, táki wuh ímán ke tábiʻ ho jáeṉ; 27usí wáhid hakím Ḳhudá kí, Yisúʻ Masíh ke wasíle se, abad tak tamjíd hotí rahe. Ámín.

Kulussíoṉ 1

: 26yaʻní us bhed kí, jo tamám zamánoṉ aur pushtoṉ se poshída rahá, lekin ab us ke un muqaddasoṉ par záhir húá, 27jin par Ḳhudá ne záhir karná cháhá, ki gairqaumoṉ meṉ us bhed ke jalál kí daulat kaisí kuchh hai, aur wuh yih hai, ki Masíh jo jalál kí ummed hai tum meṉ rahtá hai: 28jis kí manádí karke ham har ek shaḳhs ko nasíhat karte, aur har ek ko kamál dánáí se taʻlím dete haiṉ, táki ham har shaḳhs ko Masíh meṉ kámil karke pesh kareṉ; 29aur isí liye maiṉ us kí us quwwat ke muwáfiq jánfishání se mihnat kartá húṉ, jo mujh meṉ zor se asar kartí hai.

Lúqá 24

:  ki Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo! 26Kyá Masíh ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá? 27Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ.

Lúqá 24

: 44Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ. 45Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ, 46aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí. 48Tum in bátoṉ ke gawáh ho. 49Aur dekho, jis ká mere Báp ne waʻda kiyá hai, maiṉ us ko tum par názil karúṉgá; lekin, jab tak ʻálam i bálá par se tum ko quwwat ká libás na mile, is shahr meṉ ṭhahre raho.

Marqus 1

: 16Aur Galíl kí jhíl ke kanáre kanáre játe húe, us ne Shamaʻún aur Shamaʻún ke bháí Andriyás ko jhíl meṉ jál dálte dekhá; kyúṉki wuh machhliyoṉ ke pakaṛnewále the. 17Aur Yisúʻ ne un se kahá; Mere píchhe chale áo, to maiṉ tumheṉ ádmíoṉ ká pakaṛnewálá banáúṉgá.

AB JO LOG SWAALI HAIN ., JINKE DIL MEN SWALON KI RUH HAI .,

UNKE DIL MEN JROOR SWAAL HOGA KI YISU MASIH MICHLI PAKDEWALO KO HI KYU PEHLE BOLAYA YA CHUNA .,

TO ISKA JAWAAB HAI PAIDAISH MEN .,

Paidáish 1

: 27Aur Ḳhudá ne insán ko apní súrat par paidá kiyá, Ḳhudá ki súrat par us ko paidá kiyá; nar o nárí un ko paidá kiyá. 28Aur Ḳhudá ne un ko barakat dí, aur kahá, ki Phalo, aur baṛho, aur zamín ko ma‘múr o mahkúm karo: aur samundar kí machhliyoṉ, aur hawá ke parandoṉ, aur kull jánwaroṉ par jo zamín par chalte haiṉ, iḳhtiyár rakkho. 

 

1 Kurinthíoṉ 1

: 18Kyúṉki salíb ká paigám halák honewáloṉ ke nazdík to bewuqúfí hai, magar ham naját pánewáloṉ ke nazdík Ḳhudá kí qudrat hai. 

Galatíoṉ 6

: 14Lekin Ḳhudá na kare, ki maiṉ kisí chíz par faḳhr karúṉ, siwá apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí salib ke, jis se dunyá mere iʻtibár se maslúb húí, aur maiṉ dunyá ke iʻtibár se. 15Kyúṉki na ḳhatna kuchh chíz hai, na námaḳhtúní, balki naye sire se maḳhlúq honá. 16Aur jitne is qáʻide par chaleṉ, unheṉ, aur Ḳhudá ke Isráíl ko, itmínán aur rahm hásil hotá rahe.

17Áge ko koí mujhe taklíf na de: kyúṉki maiṉ apne jism par Yisúʻ ke dág liye húe phirtá húṉ.

 

Paidáish 1

: 2Aur zamín wírán aur sunsán thí; aur gahráo ke úpar andherá thá: aur Ḳhudá kí rúh pání kí sath par jumbish kartí thí. 3Aur Ḳhudá ne kahá, ki Raushní ho já: aur raushní ho gayí.

 

ISKA MASIH KI RUH MEN PARKASHAN YE HAI .,

GEHRAON MEN ANDHERA THA ,.

JO DUNIYA GUNAH OR

MAUT KE YANI SHRIAT ADHIN THI.,

DUNIAI ISLIYE GUNAH GAAR NHI THERAI GAI ., KI USKE PAAP BAUHT BHADE THEY NHI .,

AGAR PAAP BHADA THE MAISH KABHI GUNAH NA KAFARA NA DE PATTA YANI KE ISKA SWAAL HI PAIDA NA HOTA,. KYU SEHTA MASIH YISU BADAN MEN ITNE DUKH OR SALEEB KI LANAT ,.

KANTO KA TAZ ., JISM PAR 40 KODE .,

HATH PAON MEN KEEL LAGWAYE UNHON NE .,

ISLIYE NHI KI USPAR KISI HAKUMAT KA ZOOR THA NHI ., BALKI USKI APNI MARZI THI ,.

HAKUMAT BHI USKI HI THI ., GAIR NHI THI .,

DUNIYA GUNAH MEN ISLIYE THI KI DUNIYA IMAAN MEN NHI THI

,. IMAN KI RUH MEN NHI THI ., IMAN NHI LAYE ISLIYE

MASIH KI RUH MEN NHI THI

IMAN SUNNE SE PAIDA HOTA HAI SUNNE MAISH KE KALAM SE

ʻIbrá Níoṉ 12

: 2aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá. 3Pas us ko gaur karo, jis ne apne haqq meṉ buráí karnewále gunahgároṉ kí is qadr muḳhálafat kí bardásht kí; táki tum bedil hokar himmat na háro. 4Tum ne gunáh se laṛne meṉ ab tak aisá muqábala nahíṉ kiyá, jis meṉ ḳhún bahá ho.

Galatíoṉ 1

: 6Maiṉ taʻajjub kartá húṉ, ki jis ne tumheṉ Masíh ke fazl se buláyá, us se tum is qadr jald phirkar kisí âur tarah kí ḳhushḳhabarí kí taraf máil hone lage: 7magar wuh dúsrí nahíṉ: albatta baʻz aise haiṉ, jo tumheṉ ghabrá dete, aur Masíh kí ḳhushḳhabarí bigáṛná cháhte haiṉ. 8Lekin agar ham, yá ásmán ká koí firishta bhí, us ḳhushḳhabarí ke siwá jo ham ne tumheṉ sunáí, koí âur ḳhushḳhabarí tumheṉ sunáe, to malʻún ho. 

 9Jaisá ham peshtar kah chuke haiṉ, waisá hí ab maiṉ phir kahtá húṉ, ki us ḳhushḳhabarí ke siwá, jo tum ne qubúl kí thí, agar koí tumheṉ âur ḳhushḳhabarí sunátá hai, to malʻún ho. 

. Filippíoṉ 3

:  18Kyúṉki bahutere aise haiṉ, jin ká zikr maiṉ ne tum se bárhá kiyá hai, aur ab bhí ro roke kahtá húṉ, ki wuh apne chál chalan se Masíh kí salíb ke dushman haiṉ: 19un ká anjám halákat hai, un ká ḳhudá peṭ hai, wuh apní sharm kí bátoṉ par faḳhr karte haiṉ, aur dunyá kí chízoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ. 20Magar hamárá watan ásmán par hai; aur ham ek Munjí, yaʻní Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke waháṉ se áne ke intizár meṉ haiṉ:

2 Kurinthíoṉ 11

: 13Kyúṉki aise log jhúṭhe rasúl, aur dagábází se kám karnewále haiṉ, aur apne áp ko Masíh ke rasúloṉ ke hamshakl baná lete haiṉ. 14Aur kuchh ʻajab nahíṉ, kyúṉki Shaitán bhí apne áp ko núrání firishte ká hamshakl baná letá hai. 15Pas agar us ke ḳhádim bhí rástbází ke ḳhádimoṉ ke hamshakl ban jáeṉ, to kuchh baṛí bát nahíṉ: lekin un ká anjám un ke kámoṉ ke muwáfiq hogá.

 

Galatíoṉ 1

: 11Ai bháiyo, maiṉ tumheṉ jatáe detá húṉ, ki jo ḳhushḳhabarí maiṉ ne sunáí, wuh insán kí sí nahíṉ. 12Kyúṉki wuh mujhe insán kí taraf se nahíṉ pahuṉchí, aur na mujhe sikháí gayí, balki Yisúʻ Masíh kí taraf se mujhe us ká mukáshafa húá.

15Lekin jis Ḳhudá ne mujhe merí máṉ ke peṭ hí se maḳhsús kar liyá, aur apne fazl se bulá liyá, jab us kí yih marzí húí, 16ki apne Beṭe ko mujh meṉ záhir kare, táki maiṉ gairqaumoṉ meṉ us kí ḳhushḳhabarí dúṉ; to na maiṉ ne gosht aur ḳhún se saláh lí: 

2 Kurinthíoṉ 5

: 20Pas ham Masíh ke elchí haiṉ; goyá hamáre wasíle se Ḳhudá iltimás kartá hai: ham Masíh kí taraf se minnat karte haiṉ, ki Ḳhudá se mel miláp kar lo. 21Jo gunáh se wáqif na thá, usí ko us ne hamáre wáste gunáh ṭhahráyá, táki ham us meṉ hokar Ḳhudá kí rástbází ho jáeṉ.

1 Patras 2

: 24wuh áp hamáre gunáhoṉ ko apne badan par liye húe salíb par chaṛh gayá, táki ham gunáhoṉ ke iʻtibár se markar rástbází ke iʻtibár se jíeṉ; aur usí ke már kháne se tum ne shifá páí.

Ifisíoṉ 2

1Aur us ne tumheṉ bhí zinda kiyá, jab apne qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the, 2jin meṉ tum peshtar dunyá kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 3in meṉ ham bhí sab ke sab pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the: — 4magar Ḳhudá ne apne rahm kí daulat se, us baṛí mahabbat ke sabab, jo us ne ham se kí, 5jab qusúroṉ ke sabab murda hí the, to ham ko Masíh ke sáth zinda kiyá, (tum ko fazl hí se naját milí hai,) 6aur Masíh Yisúʻ meṉ shámil karke us ke sáth jiláyá, aur ásmání maqámoṉ par us ke sáth biṭháyá; 7táki wuh apní us mihrbání se, jo Masíh Yisúʻ meṉ ham par hai, ánewále zamánoṉ meṉ apne fazl kí beniháyat daulat dikháe: 8kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai: 9aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare. 10Kyúṉ-ki ham usí kí karígarí haiṉ, aur Masíh Yisúʻ meṉ un nek ʻamál ke wáste maḳhlúq húe, jin ko Ḳhudá ne pahle se hamáre karne ke liye taiyár kiyá thá.

11Pas yád karo, ki tum jo jism ke rú se gairqaumwále ho — aur wuh log jo jism meṉ háth se kiye húe ḳhatne ke sabab maḳhtún kahláte haiṉ, tum ko námaḳhtún kahte haiṉ — 12agle zamáne meṉ Masíh se judá, aur Isráíl kí saltanat se ḳhárij, aur waʻde ke ʻahdoṉ se náwáqif, aur náummed, aur dunyá meṉ Ḳhudá se ʻaláhida the. 13Magar tum jo pahle dúr the, ab Masíh Yisúʻ meṉ Masíh ke ḳhún ke sabab se nazdík ho gaye ho. 14Kyúṉki wuhí hamárí sulh hai, jis ne donoṉ ko ek kar liyá, aur judáí kí díwár ko jo bích meṉ thí, ḍhá diyá; 15chunáṉchi us ne apne jism ke zaríʻe se dushmaní, yaʻní wuh sharíʻat jis ke hukm zábitoṉ ke taur par the, mauqúf kar dí; táki donoṉ se apne áp meṉ ek nayá insán paidá karke sulh kará de; 16aur salíb par dushmaní ko miṭákar, aur us ke sabab se donoṉ ko ek tan banákar, Ḳhudá se miláe; 17aur us ne ákar, tumheṉ jo dúr the, aur unheṉ jo nazdík the, donoṉ ko sulh kí ḳhushḳhabarí dí: 18kyúṉki us hí ke wasíle se ham donoṉ kí ek hí Rúh meṉ Báp ke pás rasáí hotí hai. 19Pas ab tum pardesí aur musáfir nahíṉ rahe, balki muqaddasoṉ ke hamwatan aur Ḳhudá ke gharáne ke ho gaye, 20aur rasúloṉ aur nabíoṉ kí neo par, jis ke kone ke sire ká patthar ḳhud Masíh Yisúʻ hai, taʻmír kiye gaye ho; 21usí meṉ har ek ʻimárat mil milákar Ḳhudáwand meṉ ek pák maqdis bantí játí hai; 22aur tum bhí us meṉ báham taʻmír kiye játe ho, táki Rúh meṉ Ḳhudá ká maskan bano.

 

 

 
 
 

Comments


© 2023 by Daniel Lunsford. Proudly created with Wix.com

bottom of page