top of page
  • Twitter
  • YouTube
  • Instagram

मसीहियत ईमान की रूह से नहीं हैं “ “Masihiyat imaan ki rooh se nahin hai?”

Bhade hi dhyaan se apne ye baat ko samjhne ki koshish karni hai ., or maine masih ki ruh se ruh l quds ki madad se sachchai ki ruh se

Fazl or sachchai ke adhin uski mamuri men se hum sabne paya fazl par fazl men

Samjhane ki koshish krni hai .,

Ki  sachchai ki ruh se masih or masihyat

Iman ki ruh se nhi hai ., balki

Iman ki ruh masih ki ruh se hai ,.

Masih ki ruh se iman ki ruh paida hoti hai

Na ke iman ki ruh ya imane lane se masih ki ruh paida hoti hai ,.

Agar masih ki ruh hum men to hum pehle masih hain phir imandar or rastbaz sachchai ki ruh se sachche masih hain

Masih ki ruh se creation padaish hui

Na ki iman ki ruh se masih paida hua or phir

Age padasih hui .,

Pehle masih ki ruh thi hai or abad tak qayim rahe gi

Phir maish ki ruh se iman ki ruh paida hui

Uske baad padaish hui ,.

Har koi jo vishwashi hai ya khud vishwashi manta hai therata hai ,.

Ya vishwash men chal raha hai wuh masih nhi hai ,. Agar usmen masih ki ruh nhi hai

Masih ki ruh se to usmen masih ki vishwash hai ,.

To agar vishwash masih ki ruh se nhi .,

To wuh masih ka vishwash nhi .,

Sachchai ki ruh ke sath ,.

Or vishwash se masih ki ruh nhi masihiyat nahi sachchai ki ruh ke sath

Balki masih ki ruh se  iman paida hota hai or sachchai ke sath kam karta hai .,

Sachchai ki ruh nhi to wuh sachcha masih bhi nhi ,. Or sachchai ki ruh baap ki taraf se nikalti hai .,

Or yisu masih ne kaha main baap ki taraf se nikla hun main or baap ek hain

Bap mujhe men ek hai or main baap men ek hun ,.

Baap ka ibrani matalab hai mahobbat  sachchai ke ruh ke sath fazl ke ruh ke sath.,

Ye nhi ki masih ki ruh iman ki ruh ke adhin kam karti hai , nahi

Balki sachcai ye hai ki iman ki ruh masih ki ruh ke adhin ek khidmat guzar Ruh ki tarah kam karti hai .,

1 Patras 1

:  9aur apne ímán ká maqsad, yaʻní rúhoṉ kí naját, hásil karte ho. 10Isí naját kí bábat un nabíoṉ ne baṛí talásh aur tahqíq kí, jinhoṉ ne us fazl ke báre meṉ jo tum par hone ko thá, nubuwwat kí. 11Unhoṉ ne is bát kí tahqíq kí, ki Masíh kí Rúh, jo un meṉ thí, aur peshtar se Masíh ke dukhoṉ kí, aur un ke baʻd ke jalál kí gawáhí detí thí, wuh kaun se aur kaise waqt kí taraf ishára kartí thí. 12Un par yih záhir kiyá gayá, ki wuh na apní, balki tumhárí ḳhidmat ke liye yih báteṉ kahá karte the, jin kí ḳhabar ab tum ko un kí maʻrifat milí, jinhoṉ ne Rúhuʼl Quds ke wasíle jo ásmán par se bhejá gayá, tum ko ḳhushḳhabarí dí; aur firishte bhí in bátoṉ par gaur se nazar karne ke mushtáq haiṉ.

Masih yisu se maujjsam hune se pehle hi nabiyon ke dwara iman ki ruh wasile  zahir kiya gaya or nabiyon ne masih yisu ke maujjsam hune ki khabar di or

Nishan diye ,. Magar iman ki ruh kiske adhin ek post man ki tarah ek messanger

Ek suneha dene wale ki tarah kam kar rahi thi masih ki ruh ke adhin .,

Or ye khabar kinko milti khuda ke muqrar kiye gaye nabiyon ko

Or nabi yon ne age duniya ki khabdr di or nishan diye ,. Masih ke kamon ke bare men or muhaasam hune ke bare men ,,.

Mere kehna matlab ye hai  ki humen sab se pehle masih ka ruh huna jarori hai

Masih ki ruh se sari qudrat mamur hai masih ki ruh men sari qudrat mamur hai or sakunnnat kar rahi hai .,

Or iman ki ruh ek khidmat guzar ruh hai .,

Masih ke kamon ki khabar dene wali .,

ʻIbrá Níoṉ 11

1Ab ímán ummed kí húí chízoṉ ká iʻtimád, aur andekhí chízoṉ ká subút hai. 2Kyúṉki usí kí bábat buzurgoṉ ke haqq meṉ achchhí gawáhí dí gayí. 3Ímán hí se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki jo kuchh nazar átá hai záhirí chízoṉ se baná ho.

Iman ki ruh kiske adhin kaam kar rahi

Kiske hukam men kam kar rahi hai ., kiske liye kam kar rahi hai masih men masih ki ruh ke adhin masih ke liye .,

Romíoṉ 10

:  17Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.

Romíoṉ 8

: 9Lekin tum jismání nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai. Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ.

Iman  laine se masih ki ruh nhi paida hogi ya aye gi ya kam kre gi

Masih ki ruh se iman aye ga or kam kare ga ,.

Kulussíoṉ 1

: 16kyúṉki usí meṉ sárí chízeṉ paidá kí gayíṉ, ásmán kí hoṉ, yá zamín kí, dekhí hoṉ, yá andekhí, taḳht hoṉ, yá riyásateṉ, yá hukúmateṉ, yá iḳhtiyárát; sárí chízeṉ usí ke wasíle se, aur usí ke wáste paidá húí haiṉ; 17aur wuh sab chízoṉ se pahle hai, aur usí meṉ sárí chízeṉ qáim rahtí haiṉ. 18Aur wuhí badan, yaʻní kalísiyá, ká sir hai; wuhí mabdá hai, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ meṉ pahlauṭhá, táki sab bátoṉ meṉ us ká awwal darja ho; 19kyúṉki Báp ko yih pasand áyá, ki sárí maʻmúrí usí meṉ sukúnat kare;yani masih ki ruh men

Hum pehle vihswashi nhi pehle masih hain

Pehle vihswash kare ge phir masih ki ruh nhi paida hogi

Masih ki ruh se iman paida hota hai ,. Or kam karta hai

Na ki vihswash ki iman ki ruh ke adhin maish kam karta  hai masih ki ruh  kam karti hai .,

Kyu ki masih ki ruh ke begaire ka iman hai wuh masih ka iman nhi koi or ksii ka iman ho skta hai

Galatíoṉ 3

: 29Aur agar tum Masíh ke ho, to Ibráhím kí nasl, aur waʻde ke mutábiq wáris ho.

Ab yaha par kalam e qadoosh ye nhi zahir karta hai ki Ibrahim ki nasal aur wade ke mutabik tum masih ho ., bilkol bhi nahi ,.

Kalam e qadosh zahir karta hai .,

Ki pehle tum masih ho tum maish ki ruh huni bauht zaoori hai .,

Agar tum men masih ki ruh hai ., to tum masih ho ,. Tum masih ke ho

Galatíoṉ 3

: 29Aur agar tum Masíh ke ho, to Ibráhím kí nasl, aur waʻde ke mutábiq wáris ho.

'Pas Ibráhím aur us kí nasl se waʻde kiye gaye. Wuh yih nahíṉ kahtá, ki nasloṉ se, jaisá bahutoṉ ke wáste kahá játá hai; balki jaisá ek ke wáste, ki Terí nasl ko; aur wuh Masíh hai. '

 

Galatíoṉ 3:16

Pas ab, jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, un par sazá ká hukm nahíṉ.

chunáṉchi Masíh kí gawáhí tum meṉ qáim húí:

Hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke Ḳhudá aur Báp ki hamd ho, jis ne ham ko Masíh meṉ ásmání maqámoṉ par har tarah kí rúhání barakat baḳhshí:

 

Romíoṉ 9

: 7Aur na Ibráhím kí nasl hone ke sabab se sab farzand ṭhahre; balki yih likhá hai, ki Izháq hí se terí nasl kahláegí: 8yaʻní jismání farzand Ḳhudá ke farzand nahíṉ; balki waʻde ke farzand nasl gine játe haiṉ. 9Kyúṉki waʻde ká qaul yih hai, ki Maiṉ is waqt ke mutábiq áúṉgá, aur Sáráh ke beṭá hogá. 10Aur sirf yihí nahíṉ, balki Ribqáh bhí ek shaḳhs, yaʻní hamáre báp Izháq se hámila thí; 11aur abhí tak na to laṛke paidá húe the, aur na unhoṉ ne nekí yá badí kí thí; ki us se kahá gayá, ki Baṛá chhoṭe kí ḳhidmat karegá; 12tákí Ḳhudá ká iráda, jo barguzídagí par mauqúf hai, aʻmál par mabní na ṭhahre, balki bulánewále par. 13Chunáṉchi likhá hai, ki Maiṉ ne Yaʻqúb se to mahabbat kí, magar ʻEsau se nafrat.

14Pas ham kyá kaheṉ? Kyá Ḳhudá ke háṉ beinsáfí hai? Hargiz nahíṉ! 15Kyúṉki wuh Músá se kahtá hai, ki Jis par rahm karná manzúr hai, us par rahm karúṉgá; aur jis par tars kháná manzúr hai, us par tars kháúṉgá. 16Pas yih na iráda karnewále par munhasar hai, na dauṛ dhúp karnewále par, balki rahm karnewále Ḳhudá par. 17Kyúṉki kitáb i muqaddas meṉ Firʻaun se kahá gayá hai, ki Maiṉ ne isí liye tujhe khaṛá kiyá hai, ki terí wajh se apní qudrat záhir karúṉ, aur merá nám tamám rú e zamín par mashhúr ho. 18Pas wuh jis par cháhtá hai rahm kartá hai, aur jise cháhtá hai use saḳht kar detá hai.

 

Ab masih hai kaun sachcha masih

Tum ek dúsre ká bár uṭháo, aur yúṉ Masíh kí sharíʻat ko púrá karo.

Lúqá 4

: 18Ḳhudáwand kí Rúh mujh par hai,

Is liye ki us ne mujhe garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke liye masah kiyá;

Us ne mujhe bhejá hai, ki qaidíoṉ ko riháí,

Aur andhoṉ ko bínái páne kí ḳhabar sunáúṉ,

Kuchle húoṉ ko ázád karúṉ,

19Aur Ḳhudáwand ke sál i maqbúl kí manádí karúṉ.

 

Romíoṉ 5

: kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai. 6Kyúṉki jab ham kamzor hí the, to ʻain waqt par Masíh bedínoṉ kí ḳhátir múá. 7Kisí rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá.

Yúhanná 5

: 39Tum kitáb i muqaddas meṉ ḍhúṉḍhte ho; kyúṉki samajhte ho ki us meṉ hamesha kí zindagí tumheṉ miltí hai; aur yih wuh hai, jo merí gawáhí deti hai; 40phir bhí tum zindagí páne ke liye mere pás áná nahíṉ cháhte.

Lúqá 24

: Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo! 26Kyá Masíh ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá? 27Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ,

44Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ. 45Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ, 46aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí. 48Tum in bátoṉ ke gawáh ho. 49Aur dekho, jis ká mere Báp ne waʻda kiyá hai, maiṉ us ko tum par názil karúṉgá; lekin, jab tak ʻálam i bálá par se tum ko quwwat ká libás na mile, is shahr meṉ ṭhahre raho.

: aur tum Masíh ke ho; aur Masíh Ḳhudá ká hai.

Kyúṉki jis tarah Masíh ke dukh ham ko ziyáda pahuṉchte haiṉ, usí tarah hamárí tasallí bhí Masíh ke wasíle se ziyáda hotí hai.

 

Galatíoṉ 2

; 16táham yih jánkar ki ádmí sharíʻat ke aʻmál se nahíṉ, balki sirf Yisúʻ Masíh par ímán láne se rástbáz ṭhahrtá hai, ḳhud bhí Masíh Yisúʻ par ímán láe, táki ham Masíh par ímán láne se rástbáz ṭhahreṉ, na ki sharíʻat ke aʻmál se; kyúṉki sharíʻat ke aʻmál se koí bashar rástbáz na ṭhahregá. 17Aur ham jo Masíh meṉ rástbáz ṭhahrná cháhte haiṉ, agar ḳhud hí gunahgár nikleṉ, to kyá Masíh gunáh ká báʻis hai? Hargiz nahíṉ! 18Kyúṉkí jo kuchh maiṉ ne ḍhá diyá, agar use phir banáúṉ, to apne áp ko qusúrwár ṭhahrátá húṉ. 19Chunáṉchi maiṉ sharíʻat hí ke wasíle sharíʻat ke iʻtibár se mar gayá, táki Ḳhudá ke iʻtibár se zinda ho jáúṉ. 20Maiṉ Masíh ke sáth maslúb húá húṉ; aur ab maiṉ zinda na rahá, balki Masíh mujh meṉ zinda hai: aur maiṉ jo ab jism meṉ zindagí guzártá húṉ, to Ḳhudá ke Beṭe par ímán láne se guzártá húṉ, jis ne mujh se mahabbat rakkhí, aur apne áp ko mere liye maut ke hawále kar diyá. 21Maiṉ Ḳhudá ke fazl ko bekár nahíṉ kartá: kyúṉki rástbází agar sharíʻat ke wasíle se miltí, to Masíh ká marná ʻabas hotá.

Paidáish 17

1Jab Abrám ninánawe baras ká húá, tab Ḳhudáwand Abrám ko nazar áyá, aur us se kahá, ki Maiṉ Ḳhudá e Qádir húṉ; tú mere huzúr meṉ chal, aur kámil ho.

To yaha par ye nhi likha hai ki pehle kamil hokar aa abram phir to mere hazoor chal skta hai .,

Kalam e qadosh hidyat karta hai ruh l quds ke wasile ,. Ki hazur men chal or kamil ho .,

ʻIbrá Níoṉ 12

:  2aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá.

 
 
 

Comments


© 2023 by Daniel Lunsford. Proudly created with Wix.com

bottom of page