चार सौ ताव (400 चिन्ह) — पाप, गुलामी, मृत्यु और शाप — मूसा की व्यवस्था के अधीन हैं।”
- Yasarim El

- 4 days ago
- 13 min read
ʻIbrá Níoṉ 9
: 22Aur taqríban sárí chízeṉ sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí nahíṉ hotí.
Ab jo khun shabad hai ye ibrani ka shabad hai dam .,
Yani adam yani khun
To ek hai zamini jimsani khun
Jiske karan gunah aya or gunah ke wasile maut ayi .,
Yani pehla adam yani khun
To napaki dark i ruh lanat or shariat
Sab pehle khun ki wazah se hi ayi pehla ADAM
OR MAAFI KAFARA ABAD ZINDGHI SHIFA SALAMATI MUBARAK
KHUSHI
DUSRE KHUN SE YANI MAISH YISU JO ASMANI RUHANI KHUN HAI
USSE AYI
PEHLE ADAM YANI ZAMINI JISMANI KHUN NIYAT IRADE
KE OR MUSSA KI SHARIAT KE ADHIN JO
NUMBER 400 HAI WUH LANAT GUNAH GHULAMI KA NUMBER HAI OR IBRANI KE MUTABIK ISKA NISHAN CHIN HAI SALEEB KA NUMBER HAI
MUSA KI SHARIAT KE ADHIN ., GUNAH OR MAUT KI SHARIAT KE ADHIN PURANI VACHA KE ADHIN ,.
DOSHI THERANE WALE AHD KE ADHIN JISKE HUKAM PATHAR KI TAKTYION PAR LIKHI GAYE .,
Romíoṉ 5
: 12Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá — 13kyúṉki sharíʻat ke diye jáne tak dunyá meṉ gunáh to thá: magar jaháṉ sharíʻat nahíṉ, waháṉ gunáh mahsúb nahíṉ hotá. 14Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá.
MUSA KI SHARIAT YANI PEHLE ADAM KI NAFRAMANI KI WAZAH SE
PEHLE AHD KE MUTABIK NUMBER 400 JO LANAT KA GUNAH KA GHULAMI KA NUMBER HAI ., SALIB NISHAN HAI LANTI HUNE KA ,.
Istisná 21
: 22Aur agar kisí ne koí aisá gunáh kiyá ho, jis se us ká qatl wájib ho, aur tum use márkar daraḳht se ṭáṉg do;
Yúhanná 19
: 6Jab sardár káhin aur piyádoṉ ne use dekhá, to chilláke kahá, ki Salíb de! Salíb! Pílátus ne un se kahá, ki Tum hí ise le jáo aur salíb do, kyúṉki maiṉ is ká kuchh jurm nahíṉ pátá. 7Yahúdíoṉ ne use jawáb diyá, ki Ham ahl i sharíʻat haiṉ, aur sharíʻat ke muwáfiq wuh qatl ke láíq hai, kyúṉkí us ne apne áp ko Ḳhudá ká Beṭá banáyá.
MUSA KI SHARIAT KE ADHIN ,PURANA AHD ., 10 HUKAMO KE ADHIN ,., ., ZAMIN JISMANI ADAM KI NAFRAMANI KE ADHIN
NUMBER 400 ., GHULAMI., LANAT ., KA EK HI NISHAN SALEEB SALEEB .,
Paidáish 3
: 17Aur Ádam se us ne kahá, Chúṉki tú ne apní bíwí kí bát mání, aur us daraḳht ká phal kháyá, jis kí bábat maiṉ ne tujhe hukm diyá thá, ki Use na kháná: is liye zamín tere sabab se la‘natí húí;
ZAMIN KO BHI SALEEB DI GAI.,
OR KISKE SABAB ZAMIN JISMANI KHUN KE SABAB ADAM KA MTLB HAI IBRANI MEN KHUN .,
TO TERE SABAB SE ZAMIN LANTI HOI .,
Paidáish 4
: 10Phir us ne kahá, ki Tú ne yih kyá kiyá? QAIN NE HABIL RASTBAAZ KO QATAL KIYA JO USKA BHAI THA ,. tere bháí ká ḳhún zamín se mujh ko pukártá hai. 11Aur ab tú zamín kí taraf se la‘natí húá, jis ne apná muṉh pasárá, ki tere háth se tere bháí ká ḳhún le;
ʻIbrá Níoṉ 12
: 24aur naye ʻahd ke darmiyání Yisúʻ, aur chhiṛkáo ke us ḳhún ke pás áe ho, jo Hábíl ke ḳhún kí nisbat bihtar báteṉ kahtá hai.
HABIL KA KHUN BADLE KI MANG KARTA HAI ., KHUDAWAND KHUDA SE ., ADALAT KI MAND KARTA HAI ., YANI RASTBAZO KA DAM
Lúqá 11
: 49Isí liye Ḳhudá kí hikmat ne kahá hai, ki Maiṉ nabíoṉ aur rasúloṉ ko un ke pás bhejúṉgí; wuh un meṉ se baʻz ko qatl kareṉge, aur baʻz ko satáeṉge, 50táki sab nabíoṉ ke ḳhún kí, jo biná e ʻálam se baháyá gayá, is zamáne ke logoṉ se bázpurs kí jáe; 51Hábíl ke ḳhún se lekar us Zakaryáh ke ḳhún tak, jo qurbángáh aur maqdis ke bích meṉ halák húá; maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Isí zamáne ke logoṉ se sab kí bázpurs kí jáegí.
YAHI PAR PHIR SALEEB KI MANG HAI .,
YANI NUMBER 400 TAV ,
Galatíoṉ 3
: 13Masíh jo hamáre liye laʻnatí baná, us ne hameṉ mol lekar sharíʻat kí laʻnat se chhuṛáyá: kyúṉki likhá hai, ki Jo koí lakṛí par laṭkáyá gayá, wuh laʻnatí hai:
13-14 SAAL KI UMAR SE HI MERI ZUBAN SE SHABAD NIKLE THEY HALA KI MUJHE KHUDA KI RUH SPIRIT OF MASIHA SE OS BAAT KI RUHANI GEHRAI KI SAMJH NA THI
MAGAR MAIN WAFA KE HAQ MEN EK BAAT KEHTA AA RAHA HUN .,
KI WAFA JO HAI INSAAN APNE BAL BOTE PAR CHAHNE SE NHI KAR SKTA APNI MARZI SE NHI ., WAFA KHUN MEN HOTI HAI .,
RASTBAAZI KHUN MEN HOTI HAI .,
SACHCHAI KHUN MEN HOTI .,
KOI BHI INSAAN KHUD SE APNI AQL SE IRADE SE WAFA SACHCHAI RASTBAAZI NHI KAR SKTA JAB
TAK USKE KHUN MEN RASTBAAZI OR WAFA OR SACHCHAI NHI ,.
OR KALAM KI SACHCHAI NE QADOSIYAT NE IS BAAT PAR MUHR KI
KI YISU MASIH KA DAM YANI KHUN WAFA KA DAM HAI YANI KHUN HAI ., ASMANI KHUN HAI .,
YISU MASIH KA DAM YANI KHUN ., SHIFA KA KHUN HAI ., YISU KA KHUN DUNIYA KA KAFARA HAI ., YISU MASIH KA KHUN
TAMAM DUNIYA KE GUNAHON KI MUAAFI HAI .,
YISU MASIH KE KHUN SE KALAM E QADOSH SE PAK BHI HOYE OR RASTBAAZ BHI THERAYE GAYE YISU MASIH KA DAM ., YANI KHUN ABADI HIYAAT HAI ., YANI ZINDGHI KI RUH BETE KI RUH
TO YE HAI MASIH YISU KA DAM YANI KHUN ., RUHANI ASMANI KHUN .,
Paidáish 15
: 13Aur us ne Abrám se kahá, ki Yaqín ján ki terí nasl ke log aise mulk meṉ, jo un ká nahíṉ, pardesí hoṉge, aur waháṉ ke logoṉ kí g̣ulámí kareṉge( YANI SABAD HAI SALEEB ), aur wuh chár sau baras tak un ko dukh deṉge;( YANI SALEEB TAV ) 14lekin maiṉ us qaum kí ‘adálat karúṉgá, jis kí wuh g̣ulámí kareṉge, aur ba‘d meṉ wuh baṛí daulat lekar waháṉ se nikal áeṉge. 15Aur tú sahíh salámat apne bápdádá se já milegá, aur niháyat pírí meṉ dafn hogá. 16Aur wuh chauthí pusht meṉ, yaháṉ lauṭ áeṉge; kyúṉki Amoríoṉ ke gunáh ab tak púre nahíṉ húe.
Yúhanná 8
: 34Yisúʻ ne unheṉ jawáb diyá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo koí gunáh kartá hai, gunáh ká gulám hai. 35Aur gulám abad tak ghar meṉ nahíṉ rahtá; beṭá abad tak rahtá hai. 36Pas agar Beṭá tumheṉ ázád karegá, to tum wáqaʻí ázád hoge.
TO SHABAD HAI GHUNAH KI GHULAMI ,.
YANI NUMBER 400 JO KI SALEEB KA NISHAN HAI ., IBRANI MEN HAI TAV .,
YANI JO KOI BHI JISMANI TAUR PE JISM KHAWAHISHO KI WAZAH SE GUNAH KA GHULAM HAI WUH LANTI HAI .,
YANI NUMBER 400 TAV SLAEEB KA NISHAN .,
. Ḳhurúj 12
: 40Aur baní Isráíl ko, Misr meṉ búdobásh karte húe, chár sau tís baras húe the. 41Aur un chár sau tís barasoṉ ke guzar jáne par, ṭhík usí roz Ḳhudáwand ká sárá lashkar mulk i Misr se nikal gayá.
400 SALEEB KA NISHAN YANI IBRANI MEN TAV ,.
OR 30 JO HAI LAMAD HAI YANI CHARWAHE KA NISHAN HAI ,.
YE AISE JAISE MASIH YISU KO SALEEB SE UTARA GAYA HAI
Marqus 15
: 42Jab shám ho gayí, to is liye ki Taiyárí ká din thá, jo Sabt se ek din pahle hotá hai, 43Arimatiya ká rahnewálá Yúsuf áyá, jo ʻizzatdár mushír aur ḳhud bhí Ḳhudá kí bádsháhat ká muntazir thá, aur jurʼat se Pílátus ke pás jákar Yisúʻ kí lásh máṉgí. 44Aur Pílátus ne taʻajjub kiyá, ki wuh aisá jald mar gayá; aur súbadár ko bulákar us se púchhá, ki Us ko mare húe der ho gayí? 45Jab súbadár se hál maʻlúm kar liyá, to lásh Yúsuf ko dilá dí. 46Us ne ek mihín chádar mol li, aur lásh ko utárkar us chádar meṉ kafnáyá, aur ek qabr ke andar jo chaṭán meṉ khodí gayí thí use rakkhá, aur us qabr ke muṉh par ek patthar luṛhká diyá.
ABH YISU MASIH KI KHUN KE BAIS .,
FAZL OR SACHCHAI KE ADHIN .,
NUMBER 400 YANI SALEEB NISHAN THEHRA
SACHCHI MAHOBBAT KA SULAH KA
SALAMATI KE AHD KA NISHAN THEHRA FAZL OR SACHCHAO KE ADHIN
Romíoṉ 5
: 8Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá.
Romíoṉ 8
1Pas ab, jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, un par sazá ká hukm nahíṉ. 2Kyúṉki zindagí kí Rúh kí sharíʻat ne, Masíh Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád kar diyá. 3Is liye ki jo kám shariʻat, jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us ne apne Beṭe ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye bhejkar, jism meṉ gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá ham meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte haiṉ.
1 Patras 2
: 24wuh áp hamáre gunáhoṉ ko apne badan par liye húe salíb par chaṛh gayá, táki ham gunáhoṉ ke iʻtibár se markar rástbází ke iʻtibár se jíeṉ; aur usí ke már kháne se tum ne shifá páí.
Galatíoṉ 4
: 4lekin jab waqt púrá ho gayá, to Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá, 5tákí sharíʻat ke mátahtoṉ ko mol lekar chhuṛá le, aur ham ko lepálak hone ká darja mile. 6Aur chúṉki tum beṭe ho, is liye Ḳhudá ne apne Beṭe kí Rúh hamáre diloṉ meṉ bhejí, jo Abbá, yaʻní, Ai Báp, kah kahkar pukártí hai. 7Pas ab tú gulám nahíṉ, balki beṭá hai; aur jab beṭá húá, to Ḳhudá ke sabab wáris bhí húá.
Galatíoṉ 3
“; 3Masíh jo hamáre liye laʻnatí baná, us ne hameṉ mol lekar sharíʻat kí laʻnat se chhuṛáyá: kyúṉki likhá hai, ki Jo koí lakṛí par laṭkáyá gayá, wuh laʻnatí hai: 14táki Masíh Yisúʻ meṉ Ibráhím kí barakat gairqaumoṉ tak bhí pahuṉche; aur ham ímán ke wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ, jis ká waʻda húá hai.
Yasa‘iyáh 53
1Hamáre paig̣ám par kaun ímán láyá? aur Ḳhudáwand ká bázú kis par záhir húá? 2Par wuh us ke áge koṉpal kí tarah, aur ḳhushk zamín se jaṛ kí mánind phúṭ niklá hai: na us kí koí shakl o súrat hai, na ḳhúbsúratí; aur jab ham us par nigáh kareṉ, to kuchh husn o jamál nahíṉ ki ham us ke mushtáq hoṉ. 3Wuh ádmíoṉ meṉ haqír o mardúd; mard i g̣amnák, aur ranj ká áshná thá: log us se goyá rúposh the, us kí tahqír kí gayí, aur ham ne us kí kuchh qadr na jání.
4Taubhí us ne hamárí mashaqqateṉ uṭhá líṉ, aur hamáre g̣amoṉ ko bardasht kiyá: par ham ne use Ḳhudá ká márá kúṭá aur satáyá húá samjhá. 5Háláṉki wuh hamárí ḳhatáoṉ ke sabab se gháyal kiyá gayá, aur hamárí badkirdárí ke bá‘is kuchlá gayá: hamárí hí salámatí ke liye us par siyasat húí; táki us ke már kháne se ham shifá páeṉ. 6Ham sab bheṛoṉ kí mánind bhaṭak gaye; ham meṉ se har ek apní ráh ko phirá; par Ḳhudáwand ne ham sab kí badkirdárí us par ládí.
7Wuh satáyá gayá, taubhí us ne bardasht kí aur muṉh na kholá; jis tarah barra jise zabh karne ko le játe haiṉ, aur jis tarah bheṛ apne bál katarnewáloṉ ke sámne bezabán hai, usí tarah wuh ḳhámosh rahá. 8Wuh zulm karke aur fatwá lagákar use le gaye; par us ke zamáne ke logoṉ meṉ se kis ne ḳhayál kiyá, ki wuh zindoṉ kí zamín se káṭ ḍálá gayá? mere logoṉ kí ḳhatáoṉ ke sabab se us par már paṛí. 9Us kí qabr bhí sharíroṉ ke darmiyán ṭhahráí gayí, aur wuh apní maut meṉ daulatmandoṉ ke sáth húá; háláṉki us ne kisí tarah ká zulm na kiyá, aur us ke muṉh meṉ hargiz chhal na thá.
10Lekin Ḳhudáwand ko pasand áyá, ki use kuchle; us ne use g̣amgín kiyá: jab us kí ján gunáh kí qurbání ke liye guzrání jáegí, to wuh apní nasl ko dekhegá, us kí umr daráz hogí, aur Ḳhudá kí marzí us ke háth ke wasíle se púrí hogí. 11Apní ján hí ká dukh uṭhákar wuh use dekhegá, aur ser hogá: apne hí ‘irfán se merá sádiq ḳhádim bahutoṉ ko rastbáz ṭhahráegá: kyúṉki wuh un kí badkirdárí ḳhud uṭhá legá. 12Is liye maiṉ use buzurgoṉ ke sáth hissa dúṉgá, aur wuh lúṭ ká mál zoráwaroṉ ke sáth báṉṭ legá; kyúṉki us ne apní ján maut ke liye unḍel dí, aur wuh ḳhatákároṉ ke sáth shumár kiyá gayá: taubhí us ne bahutoṉ ke gunáh uṭhá liye, aur ḳhatákároṉ kí shafá‘at kí.
Ifisíoṉ 2
1Aur us ne tumheṉ bhí zinda kiyá, jab apne qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the, 2jin meṉ tum peshtar dunyá kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 3in meṉ ham bhí sab ke sab pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the: — 4magar Ḳhudá ne apne rahm kí daulat se, us baṛí mahabbat ke sabab, jo us ne ham se kí, 5jab qusúroṉ ke sabab murda hí the, to ham ko Masíh ke sáth zinda kiyá, (tum ko fazl hí se naját milí hai,) 6aur Masíh Yisúʻ meṉ shámil karke us ke sáth jiláyá, aur ásmání maqámoṉ par us ke sáth biṭháyá; 7táki wuh apní us mihrbání se, jo Masíh Yisúʻ meṉ ham par hai, ánewále zamánoṉ meṉ apne fazl kí beniháyat daulat dikháe: 8kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai: 9aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare. 10Kyúṉ-ki ham usí kí karígarí haiṉ, aur Masíh Yisúʻ meṉ un nek ʻamál ke wáste maḳhlúq húe, jin ko Ḳhudá ne pahle se hamáre karne ke liye taiyár kiyá thá.
11Pas yád karo, ki tum jo jism ke rú se gairqaumwále ho — aur wuh log jo jism meṉ háth se kiye húe ḳhatne ke sabab maḳhtún kahláte haiṉ, tum ko námaḳhtún kahte haiṉ — 12agle zamáne meṉ Masíh se judá, aur Isráíl kí saltanat se ḳhárij, aur waʻde ke ʻahdoṉ se náwáqif, aur náummed, aur dunyá meṉ Ḳhudá se ʻaláhida the. 13Magar tum jo pahle dúr the, ab Masíh Yisúʻ meṉ Masíh ke ḳhún ke sabab se nazdík ho gaye ho. 14Kyúṉki wuhí hamárí sulh hai, jis ne donoṉ ko ek kar liyá, aur judáí kí díwár ko jo bích meṉ thí, ḍhá diyá; 15chunáṉchi us ne apne jism ke zaríʻe se dushmaní, yaʻní wuh sharíʻat jis ke hukm zábitoṉ ke taur par the, mauqúf kar dí; táki donoṉ se apne áp meṉ ek nayá insán paidá karke sulh kará de; 16aur salíb par dushmaní ko miṭákar, aur us ke sabab se donoṉ ko ek tan banákar, Ḳhudá se miláe; 17aur us ne ákar, tumheṉ jo dúr the, aur unheṉ jo nazdík the, donoṉ ko sulh kí ḳhushḳhabarí dí: 18kyúṉki us hí ke wasíle se ham donoṉ kí ek hí Rúh meṉ Báp ke pás rasáí hotí hai. 19Pas ab tum pardesí aur musáfir nahíṉ rahe, balki muqaddasoṉ ke hamwatan aur Ḳhudá ke gharáne ke ho gaye, 20aur rasúloṉ aur nabíoṉ kí neo par, jis ke kone ke sire ká patthar ḳhud Masíh Yisúʻ hai, taʻmír kiye gaye ho; 21usí meṉ har ek ʻimárat mil milákar Ḳhudáwand meṉ ek pák maqdis bantí játí hai; 22aur tum bhí us meṉ báham taʻmír kiye játe ho, táki Rúh meṉ Ḳhudá ká maskan bano.
1 Kurinthíoṉ 1
: 18Kyúṉki salíb ká paigám halák honewáloṉ ke nazdík to bewuqúfí hai, magar ham naját pánewáloṉ ke nazdík Ḳhudá kí qudrat hai.
Galatíoṉ 5
: 24Aur jo Masíh Yisúʻ ke haiṉ, unhoṉ ne jism ko us kí ragbatoṉ aur ḳhwáhishoṉ samet salíb par kheṉch diyá hai.
Galatíoṉ 2
: . 20Maiṉ Masíh ke sáth maslúb húá húṉ; aur ab maiṉ zinda na rahá, balki Masíh mujh meṉ zinda hai: aur maiṉ jo ab jism meṉ zindagí guzártá húṉ, to Ḳhudá ke Beṭe par ímán láne se guzártá húṉ, jis ne mujh se mahabbat rakkhí, aur apne áp ko mere liye maut ke hawále kar diyá.
Romíoṉ 6
: 3Kyá tum nahíṉ jánte, ki ham jitnoṉ ne Masíh Yisúʻ meṉ shámil hone ká baptisma liyá, to us kí maut meṉ shámil hone ká baptisma liyá? 4Pas maut meṉ shámil hone ke baptisma ke wasíle se ham us ke sáth dafn húe; táki jis tarah Masíh Báp ke jalál ke wasíle se murdoṉ meṉ se jiláyá gayá, usí tarah ham bhí nayí zindagí kí ráh chaleṉ.
Kulussíoṉ 2
11usí meṉ tumhárá aisá ḳhatna húá, jo háth se nahíṉ hotá, yaʻní Masíh ká ḳhatna, jis se jismání badan utárá játá hai; 12aur usí ke sáth baptisma meṉ dafn húe, aur is meṉ Ḳhudá kí quwwat par ímán lákar, jis ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, us ke sáth jí bhí uṭhe.
: 13Aur us ne tumheṉ bhí, jo apne qusúroṉ aur jism kí námakhtúní ke sabab se murda the, us ke sáth zinda kiyá, aur hamáre sab qusúr muʻáf kiye; 14aur hukmoṉ kí wuh dastáwez miṭá ḍálí, jo hamáre nám par, aur hamáre ḳhiláf thí; aur us ko salíb par kíloṉ se jaṛkar sámne se haṭá diyá: 15us ne hukúmatoṉ aur iḳhtiyároṉ ko apne úpar se utárkar un ká barmalá tamásha banáyá, aur salíb ke sabab se un par fathyábí ká shádiyána bajáyá.
ʻIbrá Níoṉ 12
: 2aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá. 3Pas us ko gaur karo, jis ne apne haqq meṉ buráí karnewále gunahgároṉ kí is qadr muḳhálafat kí bardásht kí; táki tum bedil hokar himmat na háro.
Filippíoṉ 2
: 5Waisá hí mizáj rakkho, jaisá Masíh Yisúʻ ká bhí thá: 6us ne agarchi Ḳhudá kí súrat par thá, Ḳhudá ke barábar hone ko qabze meṉ rakhne kí chíz na samjhá, 7balki apne áp ko ḳháli kar diyá, aur ḳhádim kí súrat iḳhtiyár kí, aur insánoṉ ke mushábih ho gayá; 8aur insání shakl meṉ záhir hokar apne áp ko past kar diyá, aur yaháṉ tak farmánbardár rahá, ki maut, balki salíbí maut, gawárá kí.
Romíoṉ 5
: 15Lekin qusúr ká jo hál hai, wuh fazl kí niʻmat ká nahíṉ. Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr se bahut se ádmí mar gaye, to Ḳhudá ká fazl aur us kí jo baḳhshish ek hí ádmí, yaʻní Yisúʻ Masíh ke fazl se paidá húí, bahut se ádmíoṉ par zarúr hí ifrát se názil húí. 16Aur jaisá ek shaḳhs ke gunáh karne ká anjám húá, baḳhshish ká waisá hál nahíṉ; kyúṉki ek hí ke sabab se wuh faisala húá, jis ká natíja sazá ká hukm thá: magar bahutere qusúroṉ se aisí niʻmat paidá húí, jis ká natíja yih húá ki log rástbáz ṭhahre. 17Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr ke sabab maut ne us ek ke zaríʻe se bádsháhí kí; to jo log fazl aur rástbází kí baḳhshish ifrát se hásil karte haiṉ, wuh ek shaḳhs, yaʻní Yisúʻ Masíh ke wasíle se, hamesha kí zindagí meṉ zarúr hí bádsháhí kareṉge. 18G̣araz, jaisá ki ek qusúr ke sabab wuh faisala húá, jis ká natíja sab ádmíoṉ kí sazá ká hukm thá; waisá hí rástbází ke ek kám ke wasíle se sab ádmíoṉ ko wuh niʻmat milí, jis se rástbáz ṭhahrke zindagí páeṉ. 19Kyúṉki jis tarah ek hí shaḳhs kí náfarmání se bahut se log gunahgár ṭhahre, usí tarah ek kí farmánbardárí se bahut se log rástbáz ṭhahreṉge. 20Aur bích meṉ sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda húá, waháṉ fazl us se bhí niháyat ziyáda húá: 21táki jis tarah gunáh ne maut ke sabab se bádsháhí kí, usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se bádsháhí kare.
Romíoṉ 6
: 23Kyúṉki gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.



Comments