पौलुस यहूदा इस्किरयोती के विषय में वचन
- Yasarim El

- May 6
- 10 min read
YAHUDI ICHARYOTI RASULON MEN SE EK THA ., OR MASIH KE SATH PAR SHRIRAK SANSARIK TAUR PAR JISMANI TAUR PAR MAGAR DIL MEN MASIH NHI THA NAHI MASIH KE PARTI USKE DIL MEN SACHCHAI THI WUH CHOR THA LALCHI THA KHUNI THA ., OR WUH MASIH KE JO KHILAF THE UNKE SATH SHAMIL HUA YAHI LALACH OR CHORI KE SHAITAN USKE DIL MEN SAMA GAYA ,. HALA KI WUH MASIH YISU KO AZIZ THA ., AAJ KUCH LOG MASIH MEN TO HAI MAGAR MASIH UNKE DIL MEN NHI WUH MASIH MEN MASIH KE NAAM KI MANADI TO KARTE HAIN MAGAR WUH CHOR HAI ., LALACHI HAI OR MASIH KE KHUNI HAI ISLIYE KI WUH CHOR HAI ISLIYE KI WUH LALACHI HAI WUH KHUN KARTE HAIN RUHANI TAUR PAR MASIH KI RUH KA., OR WUH MAISH KI QUDRAT KO BECHTE HAIN., RUHANI BIJTEN HAIN OR JISMANI KAT TE HAIN RAH KOI BHI TARIKA KOI BHI ., MAGAR WUH RUHNAI BIJTE HAIN OR JISMANI KAT TE HAIN .,
. यहूदा का किरदार क्या दिखाता है?
वह यीशु मसीह के साथ चलता था
सेवा में था (थैली संभालता था)
लेकिन दिल में लालच था (यूहन्ना 12:6)
· 👉 मतलब: बाहर से सेवक, अंदर से लालची
📖 2. लालच क्या करवा सकता है?
बाइबल दिखाती है कि लालच धीरे-धीरे इंसान को गिराता है:
💰 (1) पहले चोरी
“वह चोर था…” (यूहन्ना 12:6)
😈 (2) फिर शैतान को जगह
“शैतान उसमें समा गया…” (लूका 22:3)
💸 (3) फिर मसीह को बेच दिया
“तीस चाँदी के सिक्कों में…” (मत्ती 26:15)
👉 हाँ — लालच मसीह को भी बेचवा सकता है
⚠️ 3. आज के लिए आत्मिक सच्चाई
“मसीह को बेचना” सिर्फ पैसे लेकर धोखा देना नहीं है, बल्कि:
जब कोई सच्चाई छोड़कर फायदा चुनता है
जब कोई सेवा को व्यापार बना देता है
जब कोई मसीह के नाम से अपना लाभ ढूँढता है
· LALACH MASIH KE PARATI DRISHTI KO DILI NIYAT IRADE KO ISKADAR NICHE GIRA DETA HAI JISKA PARMAAN PUKTA SABOOT EXAMPLE YAHUDA ICHARYOTI HAI
· MASIHIYAT MEN RASUL KE AHUDE PAR JO SHAKS HAI AGAR WUH LALACI HAI LUBI HAI PETO HAI YA NAZAIZ NAFA KA LALACHI HAI
· YA MASIH MEN TO HAI MAGAR USKI JO KANOON BADIYA HAI ., USKE JO MASUBE HAIN MASIH MEN MASIH KE RASUL KE AHUDE PAR ., USKE PICHE USKI NIYAT IRADE LALACH KE HAIN YA AMEER BANNE KE ., UNCHA BNANAE KE HAIN TO USKA ANT ANJAAM SAAF LIKHA HUA HAI .,
Amsál 21
· : 2Insán kí har ek rawish us kí nazar meṉ rást hai:
· Par Ḳhudáwand diloṉ ko jáṉchtá hai.
1 Samúel 16
· : kyúṉki Ḳhudáwand insán kí mánind nazar nahíṉ kartá, is liye ki insán záhirí súrat ko dekhtá hai, par Ḳhudáwand dil par nazar kartá hai.
Yarmiyáh 17
· : 10Maiṉ Ḳhudáwand dil o dimág̣ ko jáṉchtá aur ázmátá húṉ, táki har ek ádmí ko us kí chál ke muwáfiq aur us ke kámoṉ ke phal ke mutábiq badla dúṉ. 11Beinsáfí se daulat hásil karnewálá us títar kí mánind hai, jo kisí dúsre ke anḍoṉ par baiṭhe; wuh ádhí ‘umr meṉ use kho baiṭhegá, aur áḳhir ko ahmaq ṭhahregá.
· palaus ka kya kirdar tha fazl or schchai ke rashan hune se pehle kyu ki fazl or sachchai maish yehsua ki marifat pauhcnhi
· jab palaus jiska naam shauk bhi tha ‘
· musa ki shariat ke adhin
· uske kaam or uska kirdar
Aʻmál 8
: Sháúl kalísiyá ko is tarah tabáh kartá rahá, ki ghar ghar ghuske, aur mardoṉ aur ʻauratoṉ ko ghasíṭkar qaid karátá thá.
Aʻmál 9
1Aur Sháúl, jo abhí tak Ḳhudáwand ke shágirdoṉ ke dhamkáne aur qatl karne kí dhun meṉ thá, sardár káhin ke pás gayá, 2aur us se Damishq ke ʻibádatḳhánoṉ ke liye is mazmún ke ḳhatt máṉge, ki jin ko wuh is Taríq par páe, ḳhwáh mard, ḳhwáh ʻaurat, un ko báṉdhkar Yarúshalem meṉ láe.
Mafar jab fazl or sachchai ka nur mukashafa masih ki marifat uspar damishq ki rah men zahir hua to fazl or sachchai ke adhi pauls ki zindghi kaam or kirdar
Jo pehle khud masih rasulon ko kasliayaon ko stata tha ab khud stawa sehta hai masih ki khatir
: 24Ab maiṉ un dukhoṉ ke sabab se ḳhush húṉ, jo tumhárí ḳhátir uṭhátá húṉ, aur Masíh kí musíbatoṉ kí kamí us ke badan, yaʻní kalísiyá, kí ḳhátir, apne jism meṉ púrí kiye detá húṉ; 25jis ká maiṉ Ḳhudá ke us intizám ke bamújib ḳhádim baná, jo tumháre wáste mere supurd húá, táki maiṉ Ḳhudá ke kalám kí púrí púrí manádí karúṉ; 26yaʻní us bhed kí, jo tamám zamánoṉ aur pushtoṉ se poshída rahá, lekin ab us ke un muqaddasoṉ par záhir húá, 27jin par Ḳhudá ne záhir karná cháhá, ki gairqaumoṉ meṉ us bhed ke jalál kí daulat kaisí kuchh hai, aur wuh yih hai, ki Masíh jo jalál kí ummed hai tum meṉ rahtá hai:
2 Kurinthíoṉ 11
16Maiṉ phir kahtá húṉ, kí mujhe koí bewuqúf na samjhe: warna bewuqúf hí samajhkar mujhe qubúl karo, ki maiṉ bhí thoṛá sá faḳhr karúṉ. 17Jo kuchh maiṉ kahtá húṉ, wuh Ḳhudáwand ke taur par nahíṉ, balki goyá bewuqúfí se, aur us jurʼat se kahtá húṉ jo faḳhr karne meṉ hotí haí.
: 2Kyá wuhí ʻIbrání haiṉ? Maiṉ bhí húṉ. Kyá wuhí Isráílí haiṉ? Maiṉ bhí húṉ. Kyá wuhí Ibráhím kí nasl se haiṉ? Maiṉ bhí húṉ. 23Kyá wuhí Masíh ke ḳhádim haiṉ? (merá yih kahná díwánagí hai;) maiṉ ziyádatar húṉ; mihnatoṉ meṉ ziyáda, qaid meṉ ziyáda, koṛe kháne meṉ hadd se ziyáda, bárhá maut ke ḳhatroṉ meṉ rahá húṉ. 24Maiṉ ne Yahúdíoṉ se páṉch bár ek kam chálís chálís koṛe kháe. 25Tín bár bedeṉ kháíṉ, ek bár saṉgsár kiyá gayá, tín martabe jaház ṭúṭne kí balá meṉ paṛá, ek rát dín samundar meṉ káṭá; 26maiṉ bárhá safaroṉ meṉ, daryáoṉ ke ḳhatroṉ meṉ, ḍákúoṉ ke ḳhatroṉ meṉ, apní qaum se ḳhatroṉ meṉ, gairqaumoṉ se ḳhatroṉ meṉ, shahr ke ḳhatroṉ meṉ, biyábán ke ḳhatroṉ meṉ, samundar ke ḳhatroṉ meṉ, jhúṭhe bháiyoṉ ke ḳhatroṉ meṉ; 27mihnat aur mashaqqat meṉ, bárhá bedárí kí hálat meṉ, bhúk aur piyás kí musíbat meṉ, bárhá fáqakashí meṉ, sardí aur naṉgápan kí hálat meṉ rahá húṉ. 28Âur bátoṉ ke ʻaláwa, jin ká maiṉ zikr nahíṉ kartá, sárí kalísiyáoṉ kí fikr mujhe har roz á dabátí hai. 29Kis kí kamzorí se maiṉ kamzor nahíṉ hotá? Kis ke ṭhokar kháne se merá díl nahíṉ dúkhtá? 30Agar faḳhr hí karná zarúr hai, to un bátoṉ par faḳhr karúṉgá, jo merí kamzorí se mutaʻalliq haiṉ. 31Ḳhudáwand Yisúʻ ká Ḳhudá aur Báp, jis kí abad tak hamd ho, jántá hai ki maiṉ jhúṭh nahíṉ kahtá. 32Damishq meṉ us hákim ne jo bádsháh Aritás kí taraf se thá, mere pakaṛne ke liye Damishqíoṉ ke shahr par pahrá biṭhá rakkhá thá: 33phir maiṉ ṭokre meṉ khiṛkí kí ráh díwár par se laṭká diyá gayá, aur maiṉ us ke háthoṉ se bach gayá.
Aʻmál 9
: 15Magar Ḳhudáwand ne us se kahá, ki Tú já; kyúṉki yih qaumoṉ, bádsháhoṉ, aur baní Isráíl par merá nám záhir karne ká merá chuná húá wasíla hai. 16Aur maiṉ use jatá dúṉgá, ki use mere nám kí ḳhátir kis qadr dukh uṭháná paṛegá. 17Pas Hananyáh jákar us ghar meṉ dáḳhil húá; aur apne háth us par rakhkar kahá, ki Ai bháí Sháúl, Ḳhudáwand, yaʻní Yisúʻ, jo tujh par us ráh meṉ jis se tú áyá záhir húá thá, usí ne mujhe bhejá hai, ki tú bínáí páe aur Rúhuʼl Quds se bhar jáe. 18Aur fauran us kí áṉkhoṉ se chhilke se gire, aur wuh bíná ho gayá, aur uṭhkar baptisma liyá; 19phir kuchh kháke táqat pái.
1 Tímuthiyus 1
: 12Maiṉ apne táqat baḳhshnewále Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ ká shukr kartá húṉ, ki us ne mujhe diyánatdár; samajhkar apní ḳhidmat ke liye muqarrar kiyá; 13agarchi maiṉ pahle kufr baknewálá, aur satánewálá, aur beʻizzat karnewálá thá: táham mujh par rahm húá, is wáste ki maiṉ ne beímání kí hálat meṉ nádání se yih kám kiye the; 14aur hamáre Ḳhudáwand ká fazl, us ímán aur mahabbat ke sáth jo Masíh Yisúʻ meṉ hai, bahut ziyáda húá. 15Yih bát sach, aur har tarah se qubúl karne ke láiq hai, ki Masíh Yisúʻ gunahgároṉ ko naját dene ke liye dunyá meṉ áyá, jin meṉ sab se baṛá maiṉ húṉ. 16Lekin mujh par rahm is liye húá, ki Yisúʻ Masíh mujh baṛe gunahgár meṉ apná kamál tahammul záhir kare, táki jo log hamesha kí zindagí ke liye us par ímán láeṉge, un ke liye maiṉ namúna banúṉ. 17Ab azalí bádsháh, yaʻní gairfání, nádída, wáhid Ḳhudá kí ʻizzat aur tamjíd abaduʼl ábád hotí rahe. Ámín.
1 Kurinthíoṉ 15
: 10Lekin jo kuchh húṉ, Ḳhudá ke fazl se húṉ:
Filippíoṉ 3
: 4go maiṉ to jism ká bhí bharosá kar saktá húṉ: agar kisí âur ko jism par bharosá karne ká ḳhayál ho, to maiṉ us se bhí ziyáda kar saktá húṉ: 5áṭhweṉ din merá ḳhatna húá, Isráíl kí qaum, aur Binyámín ke qabíle ká húṉ; ʻIbráníoṉ ká ʻIbrání; sharíʻat ke iʻtibár se Farísí húṉ; 6josh ke iʻtibár se kalísiyá ká satánewálá; sharíʻat kí rástbází ke iʻtibár se beʻaib thá. 7Lekin jitní chízeṉ mere nafaʻ kí thíṉ, unhíṉ ko maiṉ ne Masíh kí ḳhátir nuqsán samajh liyá hai. 8Balki maiṉ apne Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ kí pahchán kí baṛí ḳhúbí ke sabab sab chízoṉ ko nuqsán samajhtá húṉ: jis kí ḳhátir maiṉ ne sárí chízoṉ ká nuqsán uṭháyá, aur un ko kúṛá samajhtá húṉ, táki Masíh ko hásil karúṉ, 9aur us meṉ páyá jáúṉ; na apní us rástbází ke sáth, jo sharíʻat kí taraf se hai, balki us rástbází ke sáth, jo Masíh par imán láne ke sabab hai, aur Ḳhudá kí taraf se ímán par miltí hai: 10aur maiṉ us ko aur us ke jí uthne kí qudrat ko, aur us ke sáth dukhoṉ meṉ sharík hone ko maʻlúm karúṉ, aur us kí maut se mushábahat paidá karúṉ; 11táki kisí tarah murdoṉ meṉ se jí uṭhne ke darje tak pahuṉchúṉ. 12Yih garaz nahíṉ, ki maiṉ pá chuká, yá kámil ho chuká húṉ: balki us chíz ke pakaṛne ke liye dauṛá húá játá húṉ, jis ke liye Masíh Yisúʻ ne mujhe pakṛá thá. 13Ai bháiyo, merá yih gumán nahíṉ, ki pakaṛ chuká húṉ: balki sirf yih kartá húṉ, ki jo chízeṉ píchhe rah gayíṉ un ko bhúlkar, áge kí chízoṉ kí taraf baṛhá húá, 14nishán kí taraf dauṛá húá játá húṉ, táki us inʻám ko hásil karúṉ, jis ke liye Ḳhudá ne mujhe Masíh Yisúʻ meṉ úpar buláyá hai.
Matí 27
· : 3Jab us ke pakaṛwánewále Yahúdáh ne yih dekhá ki wuh mujrim ṭhahráyá gayá, to pachhtáyá, aur wuh tís rupaye sardár káhinoṉ aur buzurgoṉ ke pás pher láyá, aur kahá; 4Maiṉ ne gunáh kiyá, ki bequsúr ko qatl ke liye pakaṛwáyá. Wuh bole; Hameṉ kyá? tú ján. 5Aur wuh rupayoṉ ko maqdis meṉ pheṉkkar chalá gayá, aur jákar apne áp ko pháṉsí dí. 6Sardár káhinoṉ ne rupaye lekar kahá; Inheṉ haikal ke ḳhazáne meṉ dálná rawá nahíṉ, kyúṉki ḳhún kí qímat hai. 7Pas unhoṉ ne saláh karke un rupayoṉ se kumhár ká khet pardesiyoṉ ke dafn karne ke liye ḳharídá. 8Is sabab se wuh khet áj tak Ḳhún ká khet kahlátá hai. 9Us waqt jo Yirmayáh nabí kí maʻrifat kahá gayá thá, wuh púrá húá, kí Jis kí qímat ṭhahráí gayí thí, unhoṉ ne us ki qímat ke wuh tís rupaye le liye; (us kí qímat baʻz baní Isráíl ne ṭhahráí thí;) 10aur unheṉ kumhár ke khet ke wáste diyá, jaisá Ḳhudáwand ne mujhe hukm diyá.
·
Aʻmál 1
· ; 17kyúṉki wuh ham meṉ shumár kiyá gayá, aur us ne is ḳhidmat ká hissa páyá. 18(Us ne badkárí kí kamáí se ek khet hásil kiyá; aur sir ke bal girá, aur us ká peṭ phaṭ gayá, aur us kí sárí antṛiyáṉ nikal paṛíṉ. 19Aur yih Yarúshalem ke sab rahnewáloṉ ko maʻlúm húá, yaháṉ tak ki us khet ká nám un kí zabán meṉ Haqal Damá paṛ gayá, yaʻní Ḳhún ká Khet.) 20Kyúṉki Zabúr meṉ likhá hai, ki
· Us ká ghar ujaṛ jáe,
· Aur us meṉ koí basnewálá na rahe:
· aur
· Us ká ʻuhda dúsrá le le.
Kulussíoṉ 3
: 5Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke sabab se Ḳhudá ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai;
2 Patras 2
1Aur jis tarah us ummat meṉ jhúṭhe nabí bhí the, isí tarah tum meṉ bhí jhúṭhe ustád hoṉge, jo poshída taur par halák karnewálí bidʻateṉ nikáleṉge, aur us Málik ká inkár kareṉge, jis ne unheṉ mol liyá thá, aur apne áp ko jald halákat meṉ ḍáleṉge. 2Aur bahutere un kí shahwatparastí kí pairawí kareṉge; jin ke sabab se ráh i haqq kí badnámí hogí. 3Aur wuh lálach se báteṉ banákar, tum ko apne nafaʻ ká sabab ṭhahráeṉge: aur jo qadím se un kí sazá ká hukm ho chuká hai, us ke áne meṉ kuchh der nahíṉ, aur un kí halákat sotí nahíṉ
Romíoṉ 16
: 17Ab ai bháiyo, maiṉ tum se iltimás kartá húṉ, ki jo log us taʻlím ke barḳhiláf jo tum ne páí, phúṭ paṛne aur ṭhokar kháne ke báʻis haiṉ, un ko táṛ liyá karo, aur un se kanára kiyá karo. 18Kyúṉki aise log hamáre Ḳhudáwand Masíh kí nahíṉ, balki apne peṭ kí ḳhidmat karte haiṉ; aur chikní chupṛí bátoṉ se sádadiloṉ ko bahkáte haiṉ.
Yúhanná 6
: 70Yísúʻ ne unheṉ jawáb diyá; Kyá maiṉ ne tum bárah ko nahíṉ chun liyá? aur tum meṉ se ek shaḳhs shaitán hai. 71Us ne yih Shamaʻún Iskariyotí ke beṭe Yahúdáh kí nisbat kahá; kyúṉki yihí, jo un bárah meṉ se thá, use pakaṛwáne ko thá.
1 Kurinthíoṉ 6
: Kyá tum nahín jánte, ki badkár Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris na hoṉge? Fareb na kháo; na harámkár Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris hoṉge, na butparast, na zinákár, na ʻaiyásh, na lauṉdebáz, 10na chor, na lálchí, na sharábí, na gáliyáṉ baknewále, na zálim. 11Aur baʻz tum meṉ aise hí the bhí;
Chor nahíṉ átá, magar churáne aur már ḍálne aur halák karne ko.
Yúhanná 12
: 4Magar us ke shágirdoṉ meṉ se ek shaḳhs Yahúdáh Iskariyotí, jo use pakaṛwáne ko thá, kahne lagá; 5Yih ʻitr tín sau dínár meṉ bechkar garíboṉ ko kyúṉ na diyá gayá? 6Us ne yih is liye na kahá ki us ko garíboṉ kí fikr thí, balki is liye ki chor thá, aur chúṉki us ke pás un kí thailí rahtí thí, us meṉ jo kuchh paṛtá wuh nikál letá thá.
Lúqá 12
: 33Apná mál asbáb bechkar ḳhairát kar do; aur apne liye aise baṭúe banáo, jo puráne nahíṉ hote, yaʻní ásmán par aisá ḳhazána jo ḳhálí nahíṉ hotá, jaháṉ chor nazdík nahíṉ játá, aur kíṛá ḳharáb nahíṉ kartá. 34Kyúṉki jaháṉ tumhárá ḳhazána hai, wahíṉ tumhárá dil bhí lagá rahegá.
Lúqá 22
: 3Aur Shaitán Yahúdáh meṉ samáyá, jo Iskariyotí kahlátá, aur un bárah meṉ shumár kiyá játá thá. 4Us ne jákar sardár káhinoṉ aur sipáhíoṉ ke sardároṉ se saláh kí, ki us ko kis tarah un ke hawále kare. 5Wuh ḳhush húe, aur use rupaye dene ká iqrár kiyá. 6Us ne mán liyá, aur mauqaʻ ḍhúṉḍhne lagá, ki use bagair hangáme ke un ke hawále kará de.
Matí 26
: 14Us waqt un bárah meṉ se ek ne, jis ká nám Yahúdáh Iskariyotí thá, sardár káhinoṉ ke pás jákar kahá, ki 15Agar maiṉ use tumháre hawále kará dúṉ, to mujhe kyá doge? Unhoṉ ne use tís rupaye tolkar de diye. 16Aur wuh us waqt se us ke pakaṛwáne ká mauqaʻ ḍhúṉḍhne lagá.
1 Patras 5
: 2ki Ḳhudá ke us galle kí gallabání karo jo tum meṉ hai; láchárí se nigahbání na karo, balki Ḳhudá kí marzí ke muwáfiq ḳhushí se; aur nájáiz nafaʻ ke liye nahíṉ, balki dilí shauq se; 3aur jo log tumháre supurd haiṉ, un par hukúmat na jatáo, balki galle ke liye namúna bano; 4aur jab sardár Gallabán záhir hogá, to tum ko jalál ká aisá sihrá milegá, jo muijháne ká nahíṉ. 5
Comments