वाचा AHD COVNENT DOST ABRAHAM SARAH BIWI SHAUHR पत्नी-पति
- Yasarim El

- May 6
- 8 min read
masih men masih ki ruh men masih ke khun mila rishta bana rishta masih ke khun men ahd vacha hai ,.
masih men jis inssan bhi humara masih ki ruh or khun ke wasile rishta hai ., mhobbat hai sulah hai masih men wuh ek vacha hai hai ahd hai ,. to us rihste ko vacha or ahd samjh kar nibaye men . wuh rishta koi bhi ho sakta hai ., jo sachchai ki ruh nek niyat or paak dil se mamur hai
uski mamuri men se hum sab ne paya yani fazl par fazl fazl or sachchai masih yeshua ki marifat pauhcnhi
aaj ka parkashan vacha or ahd
shadi biyah nikah bhi ahd hai
jab do jano ko ek sath biwi or shauhar hune ke liye joda jata hai to wuh khuda ki or se hota hai khuda khud dono ke ek karne ke liye mazaud hota hai or yisu masih
ka khun naye ahd ka khun or kasam ke sath hota or vacha ko ahd ko nibana hota hai har halat men jo humen masih yisu ne sikahya hai .,
har ahd khas nishan ke sath hota hai ., har waida kasam ke sath ., khun., paka or sachcha hota hai .,
to humare jo apsi khun ke rishte hain., wuh bhi ek ahd vacha hai .,jo humare farz hain jaha adhin rehna adhin tai men chalna waha har ek farz or jimme dari ko ek ahd vacha samjh kar nibana hai .,
Yaʻqúb 2
Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbázi giná gayá, aur wuh Ḳhudá ká dost kahláyá.
👉 गलातियों के नाम पत्री 3:7
“इसलिये जान लो कि जो विश्वास वाले हैं, वही अब्राहम की सन्तान हैं।”
रोमियों के नाम पत्री 4:16
“…वह हम सब का बाप है।”
Galatíoṉ 3
: 6Chunáṉchi Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbází giná gayá. 7Pas ján lo, ki jo ímánwále haiṉ, wuhí Ibráhím ke farzand haiṉ. 8Aur kitáb i muqaddas ne peshtár se yih jánkar, kí Ḳhudá gairqaumoṉ ko ímán se rástbáz ṭhahráegá, pahle hí se Ibráhím ko yih ḳhushḳhabarí suná dí, ki Tere báʻis sárí qaumeṉ barakat páeṉgí. 9Pas jo ímánwále haiṉ, wuh ímándár Ibráhím ke sáth barakat páte haiṉ.
ʻIbrá Níoṉ 6
: 13Chunáṉchi jab Ḳhudá ne Ibráhím se waʻda karte waqt qasam kháne ke wáste kisí ko apne se baṛá na páyá, to apní hí qasam khákar 14kahá, ki Yaqínan main tujhe barakatoṉ par barakateṉ baḳhshúṉgá, aur terí aulád ko bahut baṛháúṉgá. 15Aur is tarah sabr karke us ne waʻda kí húí chíz ko hásil kiyá. 16Ádmí to apne se baṛe kí qasam kháyá karte haiṉ, aur un ke har qaziye ká áḳhirí subút qasam se hotá hai. 17Is liye jab Ḳhudá ne cháhá, ki wáʻde ke wárisoṉ par âur bhí sáf taur se záhir kare, ki merá iráda badal nahíṉ saktá, to qasam ko darmiyán meṉ láyá: 18tá-ki do betabdíl chízoṉ ke báʻis, jin ke báre meṉ Ḳhudá ká jhúṭh bolná mumkin nahíṉ, hamárí puḳhta taur se diljamʻí ho jáe, jo panáh lene ko is liye dauṛe haiṉ, ki us ummed ko, jo sámne rakkhí húí hai, qabze meṉ láeṉ;
Paidáish 22
: 6Ḳhudáwand farmátá hai, Chúṉki tú ne yih kám kiyá, ki apne beṭe ko bhí, jo terá iklautá hai, dareg̣ na rakkhá, is liye maiṉ ne bhí apní zát kí qasam kháí hai, ki 17maiṉ tujhe barakat par barakat dúṉgá, aur terí nasl ko baṛháte baṛháte ásmán ke tároṉ, aur samundar ke kanáre kí ret kí mánind kar dúṉgá; aur terí aulád apne dushmanoṉ ke pháṭak kí málik hogí. 18Aur terí nasl ke wasíle se zamín kí sab qaumeṉ barakat páeṉgí; kyúṉki tú ne merí bát mání.
Isis tarah shadi biyah nikah bhi ek ahd vacha hai jo do jane ek sath hoti wuh khuda ki or se hoti na ki insaan ko or insaan ke wasile or ye bhi kasam rasam kalam qudrat fazl ke wasile khuda ki qadosiyat men hazoori men hota hai .,
सभोपदेशक 4
: 12यदि कोई अकेले पर प्रबल हो तो हो, परन्तु दो उसका सामना कर सकेंगे। जो डोरी तीन तागे से बटी हो वह जल्दी नहीं टूटती।
मलाकी 2
: 14इसलिये, क्योंकि यहोवा तेरे और तेरी उस जवानी की संगिनी और ब्याही हुई स्त्री के बीच साक्षी हुआ था
Marqus 10
: : 5Magar Yisúʻ ne un se kahá, ḳhilqat ke shurúʻ se, Us ne unheṉ mard aur ʻaurat banáyá. 7Is sabab se mard apne báp se aur máṉ se judá hokar apní bíwí ke sáth rahegá, 8aur wuh aur us kí bíwí donoṉ ek jism hoṉge: pas wuh do nahíṉ, balki ek jism haiṉ. 9Is liye jise Ḳhudá ne joṛá hai, use ádmí judá na kare.
Amsál 18
: 22Jis ko bíwí milí us ne tuhfa páyá;
Aur us par Ḳhudáwand ká fazl húá.
to masih ki ruh men biwi yani biwi ka rishta or
masih men fazl se mamur biwi jo hai wuh
fazl or sachchai ka ahd hai or fazl or sachchai masih yehsua ki marifat pauhcnhi .,
to masih men fazl or maish ke ruh se mamur biwi phir kiski marifat pauhcnhi masih yehsua ki .,
Isí wáste wuh mírás ímán se miltí hai, táki fazl ke taur par ho,
Galatíoṉ 4
: 22Yih likhá hai, ki Ibráhím ke do beṭe the; ek lauṉḍí se, dúsrá ázád se. 23Magar lauṉḍí ká laṛká jismání taur par, aur ázád ká laṛká waʻde ke sabab se paidá húá. 24In bátoṉ meṉ tamsíl páí játí hai: is liye ki yih ʻaurateṉ goyá do ʻahd haiṉ; ek Koh i Síná par ká, jis se gulám hí paidá hote haiṉ, aur wuh Hájira hai. 25Aur Hájira ʻArab ká Koh i Síná hai; aur maujúda Yarúshalem us ká jawáb hai, kyúṉki wuh apne laṛkoṉ samet gulámí meṉ hai. 26Magar ʻálam i bálá kí Yarúshalem ázád hai, aur wuhí hamárí máṉ hai.
Or har ahd khun bahaiye bina nhi yani sacrifice ke bina pura nhi
Kamil nhi
Hadi or ghost khun ke bina murda hai kyu ki jaan khun men hoti hai ,.
Hadi or gosht kaun hai aurat
'Aur Ádam ne kahá, ki Yih to ab merí haḍḍiyoṉ meṉ se haḍḍí, aur mere gosht meṉ se gosht hai: is liye wuh Nárí kahláegí, kyúṉki wuh Nar se nikálí gayí. 'Paidáish 2:23
Or adam ko ibrani men kehte hain khun .,
Yani hadi or mans yani aurat ka khun
Hadi or mans ka badan khun se zinda rehta hai
Or jism ki jaan khun men hoti hai .,
Yani ye ek complete sampuran insaan banta hai .,
Hadi mans khun or khun men jaan yani zindghi ka dam
Aurat hadi or mans hai or hadi or mans kisi ke wasile jinda hai khun ke ., khun yani mard
Or jaan khun men hoti hai .,
ʻIbrá Níoṉ 9
; 22Aur taqríban sárí chízeṉ sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí nahíṉ hotí.
hadi or gosht yani aurat yani Biwi ki paakizgi kisse hai paak khun se yani mard se shauahr se
or mard ki masih se or masih ki khuda baap se
yani ye ek rishta hai or vacha hai ahd hai jo hukam ke sath or khun men hai or khun ke wasile hai
yani hukam men rehkar vacha ko nibana
1 Samúel 15
: 22Samúel ne kahá, Kyá Ḳhudáwand soḳhtaní qurbáníoṉ aur zabíhoṉ se itná hí ḳhush hotá hai, jitná is bát se ki Ḳhudáwand ká hukm máná jáe? Dekh, farmánbardárí qurbání se, aur bát mánní meṉḍhoṉ kí charbí se bihtar hai.
रोमियों के नाम पत्री 14:23
“…जो कुछ विश्वास से नहीं, वह पाप है।”
ʻIbrá Níoṉ 11
: 6aur bagair ímán ke us ko pasand áná námumkin hai:
Yisu masih ne khud ko nafarmani men qurbani yani khun yani saleeb nhi diya balki farmabardari men hukam men reh kar rastbaazi ke kaam ko pura kiya ., na ki wuh yisu masih hai is liye rastbaazi ke kaam pura hua ., yisu masih bhi hai or hukam ke adhin reh kar rastbazi ke kaam ko pura kiya shariat ke adhin
Matí 5
: 17Yih na samjho, ki maiṉ Tauret yá nabíoṉ kí kitáboṉ ko mansúḳh karne áyá húṉ; mansúḳh karne nahíṉ, balki púrá karne áyá húṉ. 18Kyúṉki maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki jab tak ásmán aur zamín ṭal na jáeṉ, ek nuqta yá ek shosha Tauret se hargiz na ṭalegá, jab tak sab kuchh púrá na ho jáe.
Yúhanná 10
: 17Báp mujh se is liye mahabbat rakhtá hai, ki maiṉ apní ján detá húṉ táki use phir le lúṉ. 18Koí use mujh se chhíntá nahíṉ, balki maiṉ use áp hí detá húṉ. Mujhe us ke dene ka bhí iḳhtiyár hai, aur us ke phir lene ká bhí iḳhtiyár hai. Yih hukm mere Báp se mujhe milá.
1 Tímuthiyus 1
Yúhanná 13
: 34Maiṉ tumheṉ ek nayá hukm detá húṉ, ki ek dúsre se mahabbat rakkho; ki jaise maiṉ ne tum se mahabbat rakkhí, tum bhí ek dúsre se mahabbat rakkho. 35Agar ápas meṉ mahabbat rakkhoge, to is se sab jáneṉge ki tum mere shágird ho. 5Hukm ká maqsad yih hai, ki pák dil aur nek níyat aur beriyá ímán se mahabbat paidá ho.
Marqus 10
22Yih likhá hai, ki Ibráhím ke do beṭe the; ek lauṉḍí se, dúsrá ázád se. 23Magar lauṉḍí ká laṛká jismání taur par, aur ázád ká laṛká waʻde ke sabab se paidá húá. 24In bátoṉ meṉ tamsíl páí játí hai: is liye ki yih ʻaurateṉ goyá do ʻahd haiṉ; ek Koh i Síná par ká, jis se gulám hí paidá hote haiṉ, aur wuh Hájira hai. 25Aur Hájira ʻArab ká Koh i Síná hai; aur maujúda Yarúshalem us ká jawáb hai, kyúṉki wuh apne laṛkoṉ samet gulámí meṉ hai. 26Magar ʻálam i bálá kí Yarúshalem ázád hai, aur wuhí hamárí máṉ hai.
Abraham zamin par asmani baap ki tamsil hai
Or hazira purani vacha ah ahd purana ahd nama yani shariat
Or shariat to musa ki marifat di gai .,
Or fazl or sachchai masih yehsua ki marifat pauhnchi
Yani wuh ahd hai sarah .,
Beta baksh diya gaya abraham ka yani izahaq yani wuh baksha hua beta bête ki ruh ki tamsil hai yani jiske paas beta hai uske paas zindghi hai ,,.
Or memna zabah kiya gaya moriya pahad par jiske sing jhadiyo pase they sing jadiyon men pasna tamsil hai nishan hai ., yisu masih ke kannto ke taz ki kyu ysiu masih hi wuh memna jisne khud jabah ho kar duniya ko kafara or muafi ka haq dar banaya ., kyu lahu bahayiye bina gunaho ki maafi nhi .,
ʻIbrá Níoṉ 9
: 19Chunáṉchi jab Músá tamám ummat ko sharíʻat ká har ek hukm suná chuká, to bachhṛoṉ aur bakroṉ ká ḳhún lekar, pání, aur lál ún, aur zúfá ke sáth, us kitáb aur tamám ummat par chhiṛak diyá, 20aur kahá, ki Yih us ʻahd ká ḳhún hai, jis ká hukm Ḳhudá ne tumháre liye diyá hai. 21Aur isí tarah us ne ḳhaime aur ʻibádat ki tamám chízoṉ par ḳhún chhiṛká. 22Aur taqríban sárí chízeṉ sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí nahíṉ hotí.
Matí 26
: 26 Jab wuh khá rahe the to Yisúʻ ne roṭí lí, aur barakat cháhkar toṛí, aur shágirdoṉ ko dekar kahá; Lo, kháo, yih merá badan hai. 27Phir piyála lekar shukr kiyá, aur unheṉ dekar kahá, ki Tum sab is meṉ se pí lo; 28kyúnki yih ʻahd ká merá wuh ḳhún hai, jo bahuteroṉ ke liye gunáhoṉ kí muʻáfí ke wáste baháyá játá hai.
ʻIbrá Níoṉ 9
: 12aur bakroṉ aur bachhṛoṉ ká ḳhún lekar nahíṉ, balki apná hí ḳhún lekar, pák makán meṉ ek hí bár dáḳhil ho gayá, aur abadí ḳhalásí karáí.
'Mujhe tumhárí bábat Ḳhudá kí sí gairat hai: kyúṉki maiṉ ne ek hí shauhar ke sáth tumhárí nisbat kí hai, táki tum ko pákdáman kuṉwárí kí mánind Masíh ke pás házir karúṉ. '2 Kurinthíoṉ 11:2
Mukáshafa 19
:7Áo, ham ḳhushi karen, aur niháyat shádmán hoṉ, aur us kí tamjíd kareṉ: is liye ki Barre kí shádi á pahuṉchí, aur us kí bíwí ne apne áp ko taiyár kar liyá.
Ifisíoṉ 5
: 22Ai bíwiyo, apne shauharoṉ kí aisí tábiʻ raho, jaise Ḳhudáwand kí. 23Kyúṉkí shauhar bíwí ká sir hai, jaise ki Masíh kalísiyá ká sír hai, aur wuh ḳhud badan ká bachánewálá hai. 24Lekin jaise kalísiyá Masíh ke tábiʻ hai, waise hí bíwiyáṉ bhí har bát meṉ apne shauharoṉ ke tábiʻ hoṉ. 25Ai shauharo, apní bíwiyoṉ se mahabbat rakkho, jaise ki Masíh ne bhí kalísiyá se mahabbat karke apne áp ko us ke wáste maut ke hawále kar diyá; 26táki us ko kalám ke sáth pání se gusl dekar aur sáf karke muqaddas banáe, 27aur ek aisí jalálwálí kalísiyá banáke apne pás házir kare, jis ke badan meṉ dág, yá jhurrí, yá koí âur aisí chíz na ho; balki pák aur beʻaib ho. 28Isí tarah shauharoṉ ko lázím hai, ki apní bíwiyoṉ se apne badan kí mánind mahabbat rakkheṉ. Jo apní bíwí se mahabbat rakhtá hai, wuh apne se mahabbat rakhtá hai: 29kyúṉki kabhí kisí ne apne jism se dushmaní nahíṉ kí, balki us ko páltá, aur parwarish kartá hai, jaise ki Masíh kalísiyá ko;
Comments