top of page
  • Twitter
  • YouTube
  • Instagram

विश्‍वास, जो प्रेम के द्वारा प्रभाव डालता है। 'गलातियों 5:6 Faith, which works through love

ímán, jo mahabbat kí ráh se asar kartá hai. 'Galatíoṉ 5:6

Galatíoṉ 5

: mahabbat kí ráh se ek dúsre kí ḳhidmat karo. 14Kyúṉki sárí sharíʻat par ek hí bát se púrá ʻamal ho játá hai, yaʻní is se, ki Tú apne paṛausí se apní mánind mahabbat rakh.

राह कौन है?➡️ यीशु मसीह

'6Yisúʻ ne us se kahá, ki Ráh, aur Haqq, aur Zindagí maiṉ húṉ; koí mere wasíle ke bagair Báp ke pás nahíṉ átá. 'Yúhanná 14:6

BAAP IBRANI KA SHABAD HAI ABBA YANI MAHOBBAT

 

Marqus 12

: 28Aur faqíhoṉ meṉ se ek ne un ko bahs karte sunkar ján liyá ki us ne unheṉ ḳhúb jawáb diyá hai. Wuh pás áyá aur us se púchhá, ki Sab hukmoṉ meṉ awwal kaun sá hai? 29Yisúʻ ne jawáb diyá, ki Awwal yih hai; Ai Isráíl, sun: Ḳhudáwand hamárá Ḳhudá ek hí Ḳhudáwand hai: 30aur tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá se apne sáre dil, aur apní sárí ján, aur apní sárí ʻaql, aur apní sárí táqat se mahabbat rakh. 31Dúsrá yih hai, ki Tú apne paṛausí se apne barábar mahabbat rakh. In se baṛá âur koí hukm nahíṉ.

 

 1 Yúhanná 4

 Ḳhudá mahabbat hai.

9Jo mahabbat Ḳhudá ko ham se hai, wuh is se záhir húí, ki Ḳhudá ne apne iklaute Beṭe ko dunyá meṉ bhejá hai, táki ham us ke sabab se zinda raheṉ.  aur us kí mahabbat hamáre dil meṉ kámil ho gayí hai. 13Chúṉki us ne apní Rúh meṉ se hameṉ diyá hai, is se ham jánte haiṉ, ki ham us meṉ qáim rahte haiṉ, aur wuh ham meṉ.

16Jo mahabbat Ḳhudá ko ham se hai, us ko ham ján gaye, aur hameṉ us ká yaqín hai. Ḳhudá mahabbat hai; aur jo mahabbat meṉ qáim rahtá hai, wuh Ḳhudá meṉ qáim rahtá hai, aur Ḳhudá us meṉ qáim rahtá hai. 17Isí sabab se manabbat ham meṉ kámil ho gayí hai, 

 

 Romíoṉ 5

: kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai. 6Kyúṉki jab ham kamzor hí the, to ʻain waqt par Masíh bedínoṉ kí ḳhátir múá. 7Kisí rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá.

 

1 Kurinthíoṉ 13

: 4Mahabbat sábir hai, aur mihrbán; mahabbat hasad nahíṉ kartí; mahabbat sheḳhí nahíṉ mártí, aur phúltí nahíṉ, 5názebá kám nahíṉ kartí, apní bihtarí nahíṉ cháhtí, jhunjhlátí nahíṉ, badgumání nahíṉ kartí; 6badkárí se ḳhush nahíṉ hotí, balki rástí se ḳhush hotí hai; 7sab kuchh sah letí hai, sab kuchh yaqín kartí hai, sab bátoṉ kí ummed rakhtí hai, sab bátoṉ kí bardásht kartí hai. 8Mahabbat ko zawál nahíṉ; nubuwwateṉ hoṉ, to mauqúf ho jáeṉgí; zabáneṉ hoṉ, to játí raheṉgí; ʻilm ho, to miṭ jáegá. 9Kyúṉki bamárá ʻilm náqis hai, aur hamárí nubuwwat nátamám: 10lekin jab kámil áegá, to náqis játá rahegá. 13G̣araz ímán, ummed, mahabbat, yih tínoṉ dáimí haiṉ; magar afzal in meṉ mahabbat hai.

ímán, jo mahabbat kí ráh se asar kartá hai. 'Galatíoṉ 5:6

 

 

Romíoṉ 10

: Kalám tere nazdík hai, balki tere muṉh aur tere dil meṉ hai: yih wuhí ímán ká kalám hai, jis kí ham manádí karte haiṉ; 9ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá. 10Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai. 11Chunáṉchi kitáb i muqaddas yih kahtí hai, ki Jo koí us par ímán láegá, wuh sharminda na hogá. 

ʻIbrá Níoṉ 11

1Ab ímán ummed kí húí chízoṉ ká iʻtimád, aur andekhí chízoṉ ká subút hai

 

Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.

 ʻIbrá Níoṉ 12

: 2aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá.

 

 
 
 

Comments


© 2023 by Daniel Lunsford. Proudly created with Wix.com

bottom of page